Neek Awraten

8:04 am

Neek Awraten


2.Hazrath Saudah RAdiAllahuTA'alaAnha

3.Hazrath Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha

4.Hazrath Hafsah RadiAllahuTa'alaAnha

5.Hazrat Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha

6.Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha 

7.Hazrath Zainab Bint Jahash  RadiAllahuTa'alaAnha 

8.Hazrath Zainab Bint Khuzaima RadiAllahuTa'alaAnha 

9.Hazrath Maimuna RadiAllahuTa'alaAnha 

10.Hazrath Juwayriah RadiAllahuTa'alaAnha 

11.Hazrath Safiyah RadiAllahuTa'alaAnha 

Allahumma Salli WA Sallim WA Barik Ala Sayyidina Muhammadin WA Aalihi WA Ashabihi Ajmaeen.


Ye Huzoor E Akram Shahensha e Konain ï·º Ki Woh 11 Azwaje Mutahrat Hain Jin Per Tamam Mua'arikheen Ka Ittefaaq Hai. Inka Mukhtasar Tazkira Tum ne Padh Liya Agar Mufassil Haal Padhna Ho to Seerate Mustafa SallallahuTa'alaAlaihiWasallam Padho.

Ab Ham Huzoor Sultaane Do Aalam ï·º Ki Un Chaar (4)  Sehzadiyoun Ka Mukhtasar Tazkira Likhte Hain Jo Swalihaat Aur Neek Bibiyoun Ki Ladi Me Aabdaar Motiyoun Ki Tarha Chamak Rahi Hain.

12.Hazrath Zainab RadiAllahuTa'alaAnha

13.Hazrath Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha

16.Hazrath Safiyah Bint Abdul Mutallib RadiAllahuTa'alaAnha 

17.Ek Ansariya Awrat RadiAllahuTa'alaAnha

18.Hazrath Umme Amarah RadiAllahuTa'alaAnha 

19.Hazrath Bibi Sumay'yah RadiAllahuTa'alaAnha 




22.Hazrath Bibi Umme Ubays RadiAllahuTa'alaAnha

23.Hazrath Zin'nirah RadiAllahuTa'alaAnha 

24.Hazrath Halima Sadiyah RadiAllahuTa'alaAnha 


25.Hazrath Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha 

26.Hazrath Umme Sulaym RadiAllahuTa'alaAnha 

27.Hazrath Umme Haraam RadiAllahuTa'alaAnha 














44.Hazrat  Rubai’ bint  Nadhr RadiAllahuTa'alaAnha













Maa(n) Behno ..! 
Ye mukhtalif Zamanon ki 55 ba-Kamaal Awraton Ka Tazkira Hamne Likh Diya Hai.Take Musalmaan Awraten In Allah Waaliyoun ke Halaat o Waqi'aat Ko Padh Kar Ibrat Aur Sabaq Hasil Karen.Aur Apni Islah KArke Dono Jahan ki Salah o Falah Hasil Karne ka Samaan Karen.
Khuda Wande Kareem Apne Habeeb SallallahuAlaihiWaSallam ke Tufail Me Sab Ko Hidayat De.Aur Sab ko Siraat e Mustaqeem Per Chala Kar Khatimah Bil Khair Naseeb Farmaye.

Aameen Allahumma Aameen











Hazrath Zainab RadiAllahuTa'alaAnha

5:01 pm

Ye RasoolAllah ï·º Ki Sabse Badi Shahzadi Hain.Jo Elaan E Nabuwwat Se 10 Saal Qabl Makka e Mukarrama Me Paida Huwe.Ye Ibteda-e-Islam Hi Me Musalmaan Hogaye The(n).Aur Jang e Badr Ke Baad Huzoor ï·º Ne Inku Makka Se Madina Bulaliya Tha.

Makka Me Kafiron Ne In Per Jo Jo Zulm O Sitam Ke Pahad Tode Inka To Puchna Hi Kya..! Had Hogayi Ke Jab Ye Hijrat Ke Irade Se Oont Per Sawaar Ho Kar Makka Se Baher Nikle To Kafiron Ne Inka Raasta Rok Liya.Aur Ek Bad Naseeb Kafir Jo Bada Hi Zalim Tha "Habbar Bin Al-Aswad" Usne Neza Maar Kar Unko Oont Se Zameen Per Gira Diya. Jiske Sadme Se Inka Hamal Saqit Ho Gaya.Ye Dekh KAr Inke Dewar Kanana Ku Jo Agarche Kafir Tha Ekdam Taish Aagaya.Aur Isne JAng Ke Liye Teer Kaman Utha Liya.Ye Majra Dekh Kar Abu Sufiyaan Ne Darmiyan Me Padh Kar Rasta Saaf Kara Diya Aur Ye MAdina Munawwara Pahonch Gaye(n).

Huzoor ï·º Ke Qalb Ku Is Waqiye Se Badi Chot Lagi.Chunanche,Aapne Inke Fazail me Ye Irshaad Farmaya Ke..

"Ye Meri Betiyoun Me Is E'tebaar Se Bahot Fazilat Wali HAi Ke Meri TAraf Hijrat KArne Me Itni Badi Musibat Uthayi."

Phir Inke Baad Inke Shohar Hazrath Abul Aas RadiAllahhuAnhu Bhi Makka Se Hijrat KArke MAdina Aagaye.Aur Dono Ek Sath Rehne LAge.

Inki Awlaad Me Ek Ladka Jin Ka Naam Ali Tha Aur Ek Ladki Jinka Naam Umamah Tha Zinda Rahe.

Ibn e Asakar Ka Qoul Hai Ke ..
Ali Jang e Yarmook Me Shaheed Ho GAye.Hazrath Umamah RadiAllahuAnha Se Huzoor ï·º Ko Behad Muhabbat Thi.

Badesha Habsha Ne Tohfe Me Ek Joda Aur Ek Qeemti Angothi Darbaar e Nabuwwat Me Bheji To Aapne Ye Angothi Hazrath Umamah Ku Ata Farmayi.

Isi Tarha Kisi Ne Ek MArtaba Bahot Hi Besh Qimat Aur Intehayi Khoobsurat Ek Haar Nazr Kiya To Sab Bibiyaan Ye Samajhti The(n) Ke Huzoor ï·º Ye Haar Hazrath Ayesha Ke Gale Me Dalenge.
Magar Aapne Ye Farmaya Ke .. 
My Ye Haar Usku Pehnaonga jo Mere Gharwalon Me Mujh Ko Sabse Ziyadah Pyari HAin.Ye Farma Kar Aapne Ye Qeemti Haar Apni Nawasi Hazrath e Umama RadiAllahuAnha Ke Gale Me Daal Diya.

Sane 8 Hijri Me Hazrath Zainab RadiAllahuAnha Ka Inteqaal Ho Gaya.Aur Huzoor ï·º Ne Tabarruk Ke Tour Per Apna Tahband Shareef Inke Kafan Me Dediya Aur Namaaz e Janaza PAdha Kar Khud Apne Mubarak Hathon Se Unko Qabr Me Utara.Inki Qabr Shareef Bhi Jannatul Baqi Madine Munawwara Me HAi.
(Zarkhani, Jild :3)

Tabsira:

Huzoor Nabi KAreem Ki Sahebzadi Ku Islam Lane Ki Bina Per Kafiron Ne Jis Qadr Sataya Aur Dukh Diya Isse Musalmaaan Bibiyoun Ko Sabaq Lena Chahiye.Ke Kafiron Aur Zalimon Ke Zulmon Per Sabr KArna Hamare Rasool Aur Rasool Ke Ghar Walon Ki Sunnat HAi.Aur KHuda Ki Rah Me Deen Ke Liye Takleef Uthana Aur Bardasht KArna Bahot Bade Bade Ajar O Sawaab Ka Kaam Hai.










Hazrath Safiyah RadiAllahuTa'alaAnha

6:56 pm

Ye Khaibar Ke Sardaar e Aazam Huayayy  Bin Akhtab Ki Beti Aur Khabila e Banu Nazeer Ke Rais e Aazam Kenana Bin Al Haqeeq Ki Biwi The(n). Jo Jang e Khaibar Me Musalmaano Ke Hathon Se Qatl  Huwa. Ye Khaibar Ke Qaidiyoun Me Giraftaar Ho Kar Aaye(n). RasoolAllah ï·º Ne Inki Ki Khandani Izzat O Wajahat Ka Khayaal Farma Kar Apni Azwaj e Mutahrat Aur Ummat Ki Maaon Me Shamil Farma Liya.

Jang e Khaibar Se Wapasi Me 3 Dino Tak Manzil e Sahba Me Aap Ne Unko Apne Khaime Ke Andar Apni Qurbat Se Sarfaraaz Farmaya. Aur Inke Walime Me Khajoor,  Ghee,Paneer Ka Malida Aap Ne Sahaba e Keeram Ku Khilaya.

Huzoor ï·º Inka Bahot Ziyada Khiyaal Rakhte The. Ek Martaba Hazrath Bibi Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Unko Past Qad Keh Diya To Huzoor ï·º Ne Hazrath Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ku Is Qadr Gusse Me Bhar Kar Danta Ke Kabhi Bhi Inko Itna Nahi Danta Tha.

 Isi Tarha Ek Martaba Hazrath Zainab RadiAllahuTa'alaAnha Ne Unko Yahudiya Keh Diya, To Ye Sun Kar RasoolAllah ï·º Hazrath Zainab Per Is Qadr Khafa Ho gaye Ke 2, 3 Mah Tak Inke Bistar Per Qadam Nahi Rakha.

Ye Bahot Hi Ibadat Guzaar Aur Deendaar Hone Ke Sath Sath Hadees O Fiqha Sekhne Ka Bhi Jazba Rakhti The(n).

Chunanche, 10 Hadeesen Bhi Inse Marvi Hain.

Inki Wafat Ke Saal Me Ikhtelaaf Hai. Waqdi Ne 50 Hijri Aur Ibn e Sa'ad Ne 52 Sane Hijri Likha Hai.

Ye Bhi Madine Ke Mashoor Qabristaan Janant ul Baqi Me Madfoon Hain.
(Madarijun Nabuwwat, Zarkhani)

Tabsira:

Huzoor E Akram ï·º Ne Inse Mahez Is Bina Per Khud Nikah Farma Liya Take Inke Qandani Aeezaaz O Ikram Me Koi Kami Na Hone Paye.

Tum Gour Se Dekhoge To Huzoor E Aqdas ï·º Ne Ziyadah Tar Jin Jin Awraton Se Nikah Farmaya Woh Kisi Na Kisi Deeni Maslihat Hi Ki Bina Per Huwa. Kuch Awraton Ki BeKasi Per Raham Farma Kar Aur Kuch Awraton Ke Qandani Aeezaaz O Ikraam Ku Bachane Ke Liye Kuch Awraton Se Is Bina Per Nikah Farma Liya Ke Woh Ranj O Gham Ke Sadmon Se Nidhal The(n) Lihaza Huzoor Ne Inke Zakhmi Dilon Per Marham Rakhne Ke Liye Inku Ye Aeezaaz Baksh Diya Ke Apni Azwaje Mutahraat Me Inku Shamil Kar Liya.

Huzoor ï·º Ka Itni Awraton Se Nikah Farmana Hargiz Hargiz Apni Khwahish e Nafs Ki Bina Per Nahi Tha. Aur Iska Sabse Bada Suboot Ye Hai Ke Huzoor Ki Bibiyoun Me Hazrath Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ke Siwa Koi Bhi Kanwari Nahi The(n).  Balke, Sab Umr Daraaz Aur Bewa The(n). Halanke Agar Huzoor ï·º Khwahish Farmate To Kounsi Aysi Kanwari Ladki Thi Jo Huzoor Se Nikah Karne Ki Tamannayen Na Karti Magar Darbaar E Nabuwwat Ka To Ye Mamla Hai Ke Shahensha e Do Aalam Ka Koi Qoul Koi Fa'el Ishara Bhi Aysa Nahi Huwa Jo Deen Aur Deen Ki Bhalayi Ke Liye Na Ho.

Aap Ne Jo Kaha Aur Jo Kiya Sab Deen Hi Ke Liye Kiya. Balke Aap Ki Zaat e Akram Hi Mujassim E Deen Hai.

Allahumma Salli WA Sallim WA Barik Ala Sayyidina Muhammadin WA Aalihi WA Ashabihi Ajmaeen.

Ye Huzoor E Akram Shahensha e KOnain ï·º Ki Woh 11 Azwaje Mutahrat Hain Jin Per Tamam Mua'arikheen Ka Ittefaaq Hai. Inka Mukhtasar Tazkira Tum ne Padh Liya Agar Mufassil Haal Padhna Ho to Seerate Mustafa SallallahuTa'alaAlaihiWasallam Padho.

Ab Ham Huzoor Sultaane Do Aalam ï·º Ki Un Chaar (4)  Sehzadiyoun Ka Mukhtasar Tazkira Likhte Hain Jo Swalihaat Aur Neek Bibiyoun Ki Ladi Me Aabdaar Motiyoun Ki Tarha Chamak Rahi Hain.

Hazrath Juwayriah RadiAllahuTa'alaAnha

9:26 pm

Ye Qabila Bani Mustaliq Ke Sardare Aazam Haris Bin Diraar Ki Beti Hain. Ghazwa e Muraysi Me Inka Sara Qabila Giraftaar Ho Kar Musalmanon Ke Hathon Me Qaidi Ban Chuka Tha. Aur Sab Musalmano Ke Loundi (Slave) Ghulam Ban Chuke The. Magar RasoolAllah ï·º Ne Jab Hazrath Juwayriah  Ku Aazad Karke Unse Nikah Farma Liya To Hazrath Juwayriah  Ki Shaadmani O Musarrat Ki Koi Inteha Na Rahi. Jab Islami Lashkar Me Ye Khabar Pahili Ke RasoolAllah ï·º Ne Hazrath Juwayriah  Se Nikah Farma Liya To Tamam Mujahideen E Islam Ek Zaban Ho Kar Kehne Lage Ke..
Jis Khandan Me Hamare Rasool Ne Nikah Farma Liya Us Khandaan Ka Koi Fard Loundi Ghulaam Nahi Reh Sakta.

Chunanche, Is Khandaan Ke Jitne Loundi Ghulaam Musalmanon Ke Qabze Me The Sab Ke Sab Aazaad Kar Diye Gaye.

Yahi Wajah Hai Ke Hazrath Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Farmaya Karti Thi(n) Ke Duniya Me Kisi Awrat Ka Nikah Hazrath Juwayriah  Ke Nikah Se Ziyadah Mubarak Nahi Sabit Huwa.

 Kyunke Is Nikah Ki Wajah Se Tamam Khandaan Bani Mustaliq  Ku Ghulami Se Najaat Mil Gayi.

Hazrath Juwayriah RadiAllahuTa'alaAnha Ka Bayaan Hai Ke Huzoor ï·º Ke Mere Qibile Me Aane Se Pehle Myne Khwaab Dekha Ke Madine Ki Janib Se Ek Chaand Chalta Huwa Aaya, Aur Meri Goud Me Gir Pada. Myne Kisi Se Is Khwaab Ka Zikr Nahi Kiya. Lekin Jab Huzoor ï·º Ne Mujhe Nikah Farma Liya To Myne Samjh Liya Ke Yahi Meri Us Khwaab Ki Ta'abeer Hai.

Inka Asli Naam 'Barrah' (برة) Tha. Magar Huzoor ﷺ Ne Inka Naam 'Juwayriah' Rakh Diya.

Inke Do Bhai Amr Bin Haris Wa Abdullah Bin Haris Aur Inki Ek Behan Amrah Bint Haris Ne Bhi Islam Qubool Karke Shabiyat Ka Sharaf Paya.

Hazrath Juwayriah RadiAllahuTa'alaAnha Badi Ibadat Guzaar Aur Deendaar The(n). Namaaz e Fajr Se Namaaz e Chasht Tak Hamesha Apne Wazife Me Mashghool Raha Karti The(n). 50 Sane Hijri Me 65 Baras Ki Umr Pa Kar Wafat Payi. Hakim e Madina Marwan Ne Inki Namaaz e Janaza Padhayi Aur Ye Jannatul Baqi Me Supurd e Khaak Ki Gayi.

(Madarijun Nabuwwat, Jild 2,Safa 481, Zarkhani, Jild 3 Safa 255)

Tabsira :
Inka Zindagi Bhar Ka Ye Amal Namaaz e Fajr Se Namaaz e Chasht Tak Hamesha Lagataaar Zikr e Ilahi Aur Wazifon Me Mashghool Rehna Ye Un Awraton Ke Liye Taziyanaye Ibrat Hai Jo Namaaz e Chasht Tak Soti Rehti Hain.

Allahu Akbar..! NABI ï·º Ki Bibiyan To Itni Ibadat Guzaar Aur Deendaar..!  Aur Ummatiyoun Ka Ye Haal e Zaar Nawafil Ka To Puchna Hi Kya? Faraiz Se Bhi Bezaar. Balke Ulte Din Raat Tarha Tarha Ke Gunahoon Ke Aazaar Me Giraftaar.

ILAHI Touba ILAHI Teri Panah. 

Hazrath Maimuna RadiAllahuTa'alaAnha

10:20 pm

Inke Walid Ka Naam Haaris Bin Hazan Aur Inke Walida Hind Bint Awf Hain. Pehle Inka Naam 'Bar' rah'  Tha. Magar Jab Ye Huzoor ï·º Ke Nikah Me Aagayen To Huzoor Ne Inka Naam Maimuna(Barkat Wali) Rakh Diya.

Sane 7 Hijri Umra tul Qaza  Ki Wapasi Me Huzoor Ne Inse Nikah Farmaya. Aur Maqam e Sarif Me Ye Pehli Martaba Bistar E Nabuwwat Per Soyen. Kul Chehattar (76) Hadisen Inse Marwi Hain. Inke Inteqaal Ke Saal Me Ikhtelaaf Hai. Baaz Ne 51 Sane Hijri Baaz ne 61 Sane Hijri Likha. Lekin Ibn e Ishaq Ka Qoul Hai Ke 63 Sane Hijri Me Inki Wafat Maqam e Sarif Me Huwi.

Jab Inka Janaza Uthaya Gaya To Inke Bhanje Hazrath Abdullah Bin Abbas RadiAllahuAnhuma Ne Buland Aawaaz Se Farmaya Ke...
Aye Logon..! Ye RasoolAllah ï·º Ki Biwi Hain Janaza Bahot Aahista Aahista Lekar Chalo. Aur Inki Muqaddas Lash Ku Hilne Na Do. Hazrath Yazeed Bin Asam RAdiAllahuTa'alaAnhu Ka Bayaan Hai Ke Ham Logon Ne Hazrath Maimuna RadiAllahuTa'alaAnha Ku Maqam e Sarif Me Usi Chappar Ke Andar Dafan Kiya. Jisme Pehli Baar Unku Huzoor ï·º Ne Apni Qurbat Se Sarfaraz Farmaya Tha.
(Zarkhani, Jild 3, Safa 253, Tirmizi, Jild 1, Safa 104 )

Tabsira:

Inku RasoolAllah ï·º Se Intehayi Muhabbat Balke Ishq Tha. Unhone Khud Huzoor ï·º Se Nikah Ki Tamanna Zahir Ki Thi Balke Ye Kaha Tha Ke My Apni Jaan RasoolAllah ï·º Ku Hibah Karti Hoon Aur Mujhe Mehar Lene Ki Bhi Koi Khwahish Nahi Hai. Chunanche, Qur'an e Majeed Me Ek Aayat Bhi Iske Bare Me Nazil Huwi Hai.

MAA BEHNO! Dekho Huzoor Ki Muqaddas Bibiyoun Ko Huzoor Se Kaisi Walihana Muhabbat Thi.
SubhanAllah SubhanAllah..
 Kya Kehna Un Ummat Ki Maon Ki Imaan Ki Nooraniyat Ka.


Hazrath Zainab Bint Khuzaima RadiAllahuTa'alaAnha

4:33 pm



Ye Bachpan Hi Se Bahot Sakhi The(n). Gareebon Aur Muskinon Ko Dhoond Dhoond Kar Khana Khilaya Karti The(n). Isliye Log Unko Ummul Masakeen (Miskinon Ki Maa) Kaha Karte The.

Pehle Mashoor Sahabi Hazrath Abdullah Bin Jahash  RadiAllahuTa'alaAnhu Se Inka Nikah Huwa Tha. Lekin Jab Woh Jang E Ohad Me Shaheed Hogaye To Huzoor ï·º Ne 3 Sane Hijri Inse Nikah Kar Liya. Aur Ye Ummul Masakeen Ki Jagah Ummul Momineen Kehlane Lage.

Magar Ye Huzoor se Nikah Ke Baad Sirf 2 Ya 3 Mahine Zinda Rahen. Aur Rabi ul Awwal 4 Sane Hijri Me Ba-Maqam Madine Munawwara Wafat Pagaye. Aur Jannatul Baqi Me Azwaje Mutahrat Ke Pehlu Me MaDafoon Huwe.

Huzoor ï·º Inki Wafat Tak Inse Behad Khush Rahe Aur Inki Wafat Per Qalb e Nuzuk Per Bada Sadma Guzra.

Ye Maa Ki Janib Se Hazrat Ummul Momineen Bibi Maymuna RadiAllahuTa'alaAnha Ki Behan Hain. Inki Wafat Ke Baad Huzoor ï·º Ne Inki Behan Hazrath Maymuna RadiAllahuTa'alaAnha Se Nikah Farmaya.

(Zarkhani, Jild 3, Safa 249)

Hazrath Zainab Bint Jahsh RadiAllahuTa'alaAnha

4:37 pm




Ye Huzoor ï·º Ki Phupi Umaima Bint  Abdul Mutallib Ki Beti Hain. Huzoor ï·º Ne Apne Aazad Karda Ghulam Aur Mutabanna  Hazrath Zaid Bin Haris Se Unka Nikah Kar Diya Tha. Lekin Khuda Ki Shaan Ke Miyan Biwi Me Nibah Na Ho Saka. Aur Zaid RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inko Talaq Dedi. Jab Inki Iddat Guzar Gayi To Achanak Ek Din Ye Aayat Utar Padi Ke.

"Jab Zaid Ne Hajat Puri Kardi (Talaq Dedi Aur Iddat Guzargayi) To Hamne (Zainab Ka) Aap Ke Sath Nikah Kar Diya."
(Sure Ahzaab)

Is Aayat Ke Nazil Hone Per RasoolAllah ï·º Ne Muskurate Huwe Irshaad Farmaya. Koun Hai Jo Zainab Ke Pass Ja Kar Ye KhushKhabri Sunade Ke...  Allah Ta'ala Ne Mera Nikah Uske Sath Kar Diya.

Ye Sun Kar Ek Khadima Doudhi Huwi Gayi Aur Hazrat Zainab RadiAllahuTa'alaAnha Ko Ye KhushKhabri Sunadi.

Hazrath Zainab Ku Ye KhushKhabri Sun Kar Itni Khushi Huwi Ke Apne Zewraat Utar Kar Qadima Ko Dediya. Aur Khud Sajde Me Gir Paden. Aur Phir 2 Mah Lagataar Shukriya Ka Roza Rakha.

Huzoor ï·º Ne Hazrath Zainab Ke Sath Nikah Karne Per Itni Badi Dawat e Walima Farmayi Ke Kisi Biwi Ke Nikah Per Itni Badi Dawat e Walima Nahi Ki Thi. Tamam Sahaba e Keeram Ko Aapne Naan - Gosht Khilaya.
(Bukhari O Mishkaat, Jild :2, Safa:278)

Huzoor ï·º Ki Muqaddas Bibiyoun Me Hazrath Zainab Bint Hajash RadiAllahuTa'alaAnha Is Khususiyat Me Sab Bibiyoun Se Mumtaz Hain Ke Allah Ta'ala Ne Inka Nikah Khud Apne Habeeb Se Kar Diya.

Inki Ek Khususiyat Ye Bhi Hai Ke Ye Apne Hath Se Kuch Dastkari Karke Iski Aamadni Fuqara Wa Masakeen Ku Diya Karti The(n).

Chunanche, Ek Martaba Huzoor ï·º Ne Farmaya Tha Ke Meri Wafat Ke Baad Sabse Pehle Meri Us Biwi Ki Wafat Hogi Jis Ke Hath Sab Biwiyoun Se Lambe Hain. Ye Sun Kar Sab Bibiyoun Ne Ek Ladki Se Apna Apna Hath Napa, To Hazrath Saudah RadiAllahuanha Ka Hath Sabse Lamba Nikla. Lekin Jab Huzoor ï·º Ki Wafat e Aqdas Ke Baad Sabse Pehle Hazrath Zainab Bint Jahsh RadiAllahuTa'alaAnha Ki Wafat Huwi To Logon Ki Samajh Me Ye Baat Aayi Ke Hath Lamba Hone Se Huzoor AlaihisSalatoSalam Ki Muraad Kasrat Se Sadqa Dena Tha.

Behre Haal.. Apni Qism Qism Ki Sifaat e Hamida Ki Ba-Doulaat Ye Tamam Azwaje Mutahrat Me Khususi Imtiyaaz Ke Sath Mumtaz The(n).

20 Sane Hijri Ya 21 Sane Hijri Me Madine Munawwara Ke Andar Inki Wafat Huwi. Aur Ameer ul Momineen Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Har Kuche O Bazaar Me A'laan Kara Diya Tha Ke Sab Log Ummul Momineen Ke Janaze Me Shareek Hoon.

Chunanche, Bahot Bada Majma Huwa. Amwerul Momineen Ne Khud Hi Inki Namaaz e Janaza Padhayi Aur Inku Jannat ul Baqi Me Huzoor ï·º Ki Dosri Biwiyoun Ke Pehlu Me Dafan Kiya.
(Madarijun Nabuwwat, Jild :2,Safa :476)

Tabsira :

Hazrath Zainab RadiAllahuTa'alaAnha Ku Huzoor ï·º Ki Zaat Se Kis Qadar Walihana Mohabbat Aur Ishq Tha Ke Unhone Apne Nikah Ki Khabar Sun Kar Apna Sara Zewar Khushkhabri Sunane Wali Londi Ku De Diya. Aur Sajda e Shukr Ada Kiya. Aur Khushi Me 2 Mah Lagataar Roza Rahe(n).

Phir Zara Sakhawat Per Bhi Ek Nazar Dalo Ke Shahensha E Darain Ki Malika Ho Kar Apne Hath Ki Kamayi Se Jo Kuch Kamaya Karti The(n). O Fuqra O Masakeen Ku Dediya Karti The (n). Aur Sirf Isliye Mehnat O Mushaqqat Karti The(n) Ke Faqeeron Aur Mohtajon Ki Imadad Karen.

Allahu Akbar...! Mohabbat e Rasool Aur Miskeen Nawazi O Ghareeb Parwari Ke Ye Jazbaat Tamam Musalmaan Awraton Ke Liye Nasihat Aamooz Wa Qabil e Taqleed Shahkaar Hain. KhudaWande Kareem Sab Awraton Ko Toufeeq Ata Farmaye.. Aameen





Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...