Hazrat Mu’azah Adawiy’yah RadiAllahuTa'alaAnha

6:41 pm

Ye Bahot Hi Ibadat Guzaar Aur Parheezgar Khuda Ki Neek Bandi Theen. Hazrat Ummul Momineen Bibi Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ki Hadees Me Shagird Hain. Din Raat Me che Saw (600)Raka’at Namaaz e Nifl PAdha Karti Theen. Aur Raat Bhar Nawafil Aur Khuda Ki Yaad Me Masroof Rah Kar Jagti Theen. Khuda Ke Khouf Se Kabhi Aasmaan Ki Taraf Sar Utha Kar Nahi Dekhti Theen.

Din Me Kabhi Kabhi Bahot Ziyadah Neend Ka Ghalba Hota Tha To Ghanta Do Ghanta So Liya Karti Theen. Aur Apne Nafs Se Kaha Karti Theen Ke Abhi Kyun Soyen.!?
Ye To Amal Ka Waqt Hai Jaag Kar Jitna Ho Sake Achche Achche Amal Kar Lena Chahiye.
Mout Ke Baad Amal Ka Waqt Nahi Rahega Phir To Qayamat Tak Sona Hi Hai..

Kabhi Kaha Karti Theen Ke..
Main Kyun So'on.?
Kya Maloom Kab Mout AaJaye Kaheen Aysa Na Ho Ke Main Soti Rah Jaoon Aur Khuda Ki Yaad Se Ghafil Rehte Huwe Mera Dam Nikal Jaye.
Gharz In Per Khouf e Khuda Ka Bahot Ziyadah Ghalba Tha Jo Wilayat Ki Khass Nishani Hai. Allah Ta'ala Har Musalmaan Ko Ye Doulat Naseeb Farmaye.
Aameen
(Akmaal, Safa:260)

Tabsira :

Allah Ki Bandiyoun .! Aankhe'n Kholo Aur Dekho Ke Kaisi Kaisi Neek Bibiyan Is Duniya Me Ho Gayeen. Kya Tum Me Bhi Neek Banne Ka Koyi Shouq Hai .!?

Haye Afsoos Aaj Kal Ki Musalmaan Awraton Ki Zindagi Aur Unki Ghaflaton Aur Bad Aamaliyoun Ko Dekh Dekh Kar Dar Lagta Hai Ke Kaheen In Gunahoon Ki Nahusat Se Khada Ka Azaab Na Utar Pade .

Aye Cinema Dekh Dekh Kar Jagane Waliyoun..! Kya Khuda Ke Khouf Se Bhi Tum Kabhi Jagti Ho .!

 Aur Aye Novel Aur Jhute Afsane Padhne Waliyoun.! Kya Tumhe Iski Bhi Toufeeq Huwi Ke Qur'an Aur Deeni O Imaani Kitaben Padho !
Socho Aur Ibrat Pakdo  Aur Halaton Ko Badlo Aur Ye Na Bhulo Ke  Duniya Ki Zindagi Chand Roozah Aur Aani Faani Hai  Lihaza Jald Kuch Aakhirat Ka Kaam Kar Lo.! 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...