Hazrat Shifa Bint Abdullah RadiAllahuTa'alaAnha

9:33 pm

Ye Hijrat Se Pehle Hi Musalmaan Ho Gayi Theen  Bahot Hi Aqalmand Aur Fazl O Kamaal Wali Awrat Theen.
Huzoor Akram ﷺ In Per Bahot Ziyadah Shafaqqat O Karam Farmate The.Inhone Huzoor Akram ﷺ Ke Liye Ek Makhsoos Bistar Bana Rakha Tha Ke Jab Aap ﷺ Dopaher Me Kabhi Kabhi Unke MAkaan Per Qailullah (Mid-day Nap)  Farmate The To Woh Is Bistar Ko Bicha Deti Theen. Dosra Koyi Shakshs Bhi Na Us Bistar Per So Sakta Tha Na Baith Sakta Tha.

(Isti'aab, Jild :4,1868)

Tabsira:

SUBHANALLAH....
Inke Qalb Me Kis Qadar Huzoor ﷺ Ki Azmat Aur Kitna Nubuwwaat Ka EhteraAm Tha Ke Jis Bistar Per Huzoor Akram ﷺ Ne Aaraam Farma Liya inhone Dosre Kisi Shakshs Ko Bhi Us Per Baithne Nahi Diya  Ye Bistar Hazrat Shifa RadiAllahuTa'alaAnha Ke Baad Inke Sahebzada Hazrat Sayyiduna Sulayman bin Abi Huthma Ke Pass Ek Yaadgaari Tabarruk Hone Ki Haisiyat Se Mehfooz Raha.
Magar Hakim e Madina Marwaan Bin Hakim Amwi Ne Is Muqaddas Bichone Ko Inse Cheen Liya  Is Tarha Ye Tabarruk Lapata Ho Kar Zaye Ho Gaya.

Huzoor Akram ﷺ Ne Hazrat Shifa RadiAllahuTa'alaAnha Ko Jageer Me Ek Ghar Bhi Ata Farmaya Tha. Jis Me Ye Apne Bete Sulayman Ke Sath Raha Karti Theen. Hazrat Ameerul Momineen Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Inki Bahot Qadr Karte The Balke Bahot Se Malumaat Me Inse Mashwara Talab Kiya Karte The Inko Bichu Ke Dank Ka Zaher Utaarne Wala Ek Mantar Bhi Yaad Tha. Aur Huzoor ﷺ Ne Inse Farmaya Tha Ke Tum Ye Mantar Meri Biwi Hazrat Hafsah RadiAllahuTa'alaAnha Ko Bhi Sikha Do. Algharz Ye Bargah e Nubuwwat Me Muqarrab Theen. Aur Huzoor AlaihisSalatoSalam Ke Ishq O Muhabbat Ki Doulat Se Mala Maal Theen.
(Isti'aab  Jild :4,Safa:1868)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...