Hadees Shareef
Hadees Ki Tareef :
Hadees Kehte Hain Huzoor صلى اللّٰÙ‡ عليه وسلم Ke Qoul(Saying) Ko Wo Sarhatan Ho Ya Hukman Aur Huzoor صلى اللّٰÙ‡ عليه وسلم Ki Taqreer Ko .
Taqreer Ka Matlab Ye Hai Ke Huzoor صلى اللّٰÙ‡ عليه وسلم Ke Rubaru Koi Kaam Kiya Gaya Aur Huzoor صلى اللّٰÙ‡ عليه وسلم Ne Use Mana Nahi Farmaya.
Ya Sahaba رضي الله عنهم Me Se Kisi Ne Koi Baat Kahi Aur Huzoor صلى اللّٰÙ‡ عليه وسلم Ne Use Rad Nahi Kiya Balke Khamoosh Rahe Aur Amalan Use Sabit Farma Diya.
Aur Isi Tarha Hadees Ka Lafz Bola Jata Hai Sahaba رضي الله عنهم Ke Qoul o Faeal (Act) Aur Unke Taqreer Per bhi .
Aur Sahaba Kehte Hain Us Muhtaram Hasti Ko Jise Ba-Halat e Imaan Huzoor صلى اللّٰÙ‡ عليه وسلم Ki Sohbat Naseeb huwi Aur Halat e Imaan Per Hi Khatima Huwa.
Aur Isi Tarha Hadees Ka Lafz Bola Jata Hai Tabaeen Ke Qoul O Faeal (Act) Aur Unke Taqreer Per bhi .
Aur T'abaeen Kehte Hain Us Mu'azzam HAsti Ko Jisne Ba-Halat e Imaan Kisi Sahabi Se Mulaqaat Ki Aur Imaan Per Uska Khatima Huwa.
Aayiye Chand Hadisen Mulahiza Farmate Hain..
◆ Kitab-ul-Imaan
◆ Bad-Mazhab
◆ Namaaz Ki Ahmiyat Hadees Shareef Se
◆ Wazu Ke Chand Aahadees e Kareema