Maa Baap Ki Fazilat

8:26 pm

Hadees Shareef Ki Roshni Me


Hadees 1

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahuAnhu Se Riwayat Hai Ke Ek Shakshs Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah ï·º Sab Se Ziyadah Ehsaan Ka Mustahiq koun Hai.
Irshaad Farmaya..
Tumhari Maa
Yani Maa Ka Haq Sab Se Ziyadah Hai.
Inhone Pucha Phir Koun
Huzoor Ne Phir Maa Ko Bataya 
Inhone Phir Pucha Ke Phir Koun 
Irshaad Farmaya Ke Tumhara Walid.
Ek Riwayat Me Hai Ke Huzoor Ne Farmaya Ke Sab Se Ziyadah Maa Hai Phir Maa Phir Maa Phir Baap Phir Wo Jo Ziyadah Qareeb Hai, Phir Wo Jo Ziyadah Qareeb Hai.
(Bukhari ,Muslim)

Faidah:
Is Hadees e Paak Se Maloom Huwa Ke Ehsaan Karne Me Maa Ka Martaba Baap Se Bhi Teen Darjah Buland Hai.


Hadees 2

Sarwar e Do Aalam SallallahuAlaihiwaSallam Ne Farmaya Ke Is Ki Naak Khaak Me Mile (Isko 3 Martaba Farmaya) Yani Zaleel Ho
Kisine Pucha
YA RasoolAllah Koun
Yani Ye Kis Ke Mutaliq
Irshaad Farmaya Jisne Maa- Baap Dono Ya Ek Ko Budhape Ke Waqt Paya Aur Jannat Me Dakhil Na Huwa Yani Inki Khidmat Na Ki Ke Jannat Me Jata.
(Muslim Shareef)



Hadees 3

Rahmatullil Aalameen Ne Farmaya Ne Farmaya Ke
Ye Baat Gunah e Kabeerah Me Hai Ke
Aadmi Apne Walidain Ko Gali Deta Hai.
Logon Ne Kaha Ya RasoolAllah 
Kya Koyi Apne Walidain Ko Bhi Gali Deta Hai..! 
Farmaya Haan.
Uski Surat Ye Hai Ke 
Ye Dosre Ke Baap Ko Gaali Deta Hai
To Woh Uske Baap Ko Gaali Deta Hai
Aur Ye Dosre Ki Maa Ko Gaali Deta Hai 
Aur Woh Uski Maa Ko Gaali Deta Hai.
(Bukhari , Muslim)

Faidah:
Pyari Behno ..! Ek Woh Zamana Tha Ke Sahaba e keeram Ki Samajh Me Bhi Ye Baat Na Aayi Ke Koyi Apne Maa Baap Ko Bhi Gaali De Sakta HAi. To Huzoor Ne Bataya Ke Muraad Usse Ye Hai Ke Dosron Se Gaali Dilwana Hai.
Magar Ab Woh Zamana Hai Ke Baaz Hamari Behne Khud Hi Apne MAa Baap Ko Gaaliyaan Deti Hain Aur Bula Bhala Kehti Hain Aur Kuch Lihaaz Nahi Karteen.Khuda e Ta'ala Unko Apne MAa Baap Ke Sath Abad Karne Ki Toufeeq De.
Aameen.



Hadees 4

Habeeb e Khuda Ne Farmaya Ke
Main Jannat Me Tashreef Le Gaya To Usme Qur'an e Majeed Padhne Ki Aawaaz Suni.
Maine Pucha Ye Koun Padhta Hai 
Farishton ne Kaha Haris bin Nomaan Hain.
Huzoor Ne Farmaya
Yahi Haal Hai Ehsaan Ka ,Yahi Haal Hai Ehsaan Ka.
Hazrat Haris Bin Nomaan RadiAllahuAnhu Apni Maa Ke Sath Bahot Bhalayi Karte The.
(Bayhaqi)

Faidah:
Jo Deeni Behan Apni Maa Ke Sath Ehsaan Karegi To In Sha Allah Wo Bhi Jannat Me Musarrat ki Zindagi Basar Karegi.




Hadees 5

Sarwar e Do Aalam SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Parwardigaar ki Khushnudi Baad ki KhushNudi Me Hai Aur Parwardigaar Ki Naraazgi Baap Ki Naraazgi Me Hai.
(Tirmidhi Shareef)


Hadees 6

Ek Shakshs Abu Darda RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Pass AAya Aur Ye Kaha Ke Meri Maa  Mujhe Ye Hukm Deti Hai Ke Main Apni Awrat ko Talaq Doon. Abu Darda RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya Ke Maine Suna Rasool e Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Farmate Suna Ke Walidah Jannat Ke Darwazon Me Se Beech Ka Darwazah Hai.Ab Teri Khushi Hai Ke Us Darwaze ki Hifazat Kare Ya Za'ie Karde.
(Tirmidhi,Ibn e Majah)



Hadees 7

Hazrat Ibn e Umar RAdiAllahuTa'alaAnhuma Farmate Hain Ke
Mai Apni Bibi Se Muhabbat Rakhta Tha Aur Mere Walid Hazrat Umar RadiAllahuAnhu Us Awrat Se Karahat Karte The.Unhone Mujhe FArmaya Ke Use Talaq Dedo.Maine Talaaq Na Di
Phir Hazrat Umar RadiAllahuAnhhu RasoolAllah SallallahuAlaihiWaSallam Ki Khidmat Me HAzir Huwe Aur Ye Waqi'ah Bayaan Kiya.Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Ne Mujh Se Farmaya Ke Use Talaq Dedo.

Faidah:
Hazraat Ulma Farmate Hian Ke Agar Walidain Haq Per Hoon To Talaq Dena Wajib Hai Agar Awrat Haq Per Hai Jab Bhi Walidain Ki Razamandi Ke Liye Talaq Dena Jaiz Hai.



Hadees 8

Ek Shakshs Ne Arz Kiya
Ya RasoolAllah maa Baap Ka Awlaad Per Kya Haq Hai
Farmaya Woh Dono Tere Jannat O Dozakh Hain.
Yani Unko Razi Rakhne Se Jannat Milegi Aur Naraaz Rakhne Se Dozakh Ka Mustahaq Honge.
(Ibn Majah)



Hadees 9

Rasool e Khuda SallallahuALaihiWaSallam Ne Farmaya Ke Jisne Is Haal Me Subh Ki Ke Apne Walidain Ka Farmabardaar Hai.Uske Liye Subh Hi Ko Jannat Ke Darwaze Khul Jate HAin Aur Agar Walidain Me Se Ek Hi Ho To Ek Darwaza Khulta Hai,
Aur Jisne Is Haal Me Subh Ke Walidain Ke Muta'liq Khuda Ki Na Farmani Karta Hai,Uske Liye Subh Hi Ko Jahannum Ke Do Darwaze Khul Jate Hain Aur Ek Ho To Ek Darwaza Khulta Hai.
Ek Shakshs Ne Kaha Agarche Maa Baap Us Per Zulm Karen..Aap SallallahuAlaihiwaSallam Ne Farmaya Agarche Zulm Karen , Do Martaba Farmaya.
(Bayhaqi)


Hadees 10 

RasoolAllah ï·º Ne Farmaya ...
Jab Awlaad Apne Walidain Ki Taraf Nazre Rahmat Se Dekhe To Allah Ta'ala Uske Liye Har Nazar Ke Badle Sawaab Likhta Hai. Logon Ne Arz Kiya Agarche Din Me Saw (100) Martaba Nazr Kare.. Farmaya Haan.
(Bayhaqi)

Hadees 11


Maa Ke Qadmon Ke Niche Jannat Hai 
Ek Sahabi Huzoor e Aqdas ï·º Ki Khidmat Me Hazir Huwe Aur Arz Ki Ya RasoolAllah Mera Iradah Jihaad Me Jane Ka Hai.Huzoor Se Mashwara Lene Ko Hazir Huwa Hoon.
Aap ï·º Ne Farmaya
Teri Maa Hai.
Arz ki Haan..
Farmaya.. Uski Khidmat Lazim Kar Le Ke Jannat Uske Qadam Ke Pass Hai
(Nisa'i, Bayhaqi)


Hadees 9
Maa Baap Naraaz Ho Kar Wafaat Pa Jayen To Kya Karen 

Mehboob E Khuda ï·º Ne Farmaya Ke Kisi Ke Maa Baap Dono Ya Ek Ka Inteqaal Ho Jaye Aur Ye Unki Nafarmani Karta Tha. Ab Unke Liye Ye Hamesha Astaghfaar Karta Rehta Hai Yahan Tak Ke Allah Ta'ala Us Ko Neeku Kaar Likh Deta Hai.
(Bayhaqi)







Ref : Noorani Zewar.












Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...