Hazrat Asma' Bint Abi Bakr RadiAllahuTa'alaAnha

11:08 pm

Ye Hazrat Ameerul Momineen Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnha Ki Sahebzadi Hazrat Ummul Momineen Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ki Behan. Aur Jannati Sahabi Hazrat Zubair Bin Awwam RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Biwi Hain.

Hazrat Abdullah Bin Zubair Inhi Ke Shikam Se Paida Huwe. Hijrat Ke Baad Muhajareen Ke Yahan Kuch Dino Tak Awlaad Nahi Huwi. To Yahudiyoun Ko Badi Khushi Huwi. Balke Baaz Yahudiyoun Ne Ye Bhi Kaha Ke Ham Logon Ne Aysa Jadu Kar Diya Hai Ke Kisi Muhajir Ke Ghar Me Bachcha Paida Nahi Hoga. Is Fiza Me Sabse Pehle Jo Bachcha Muhajireen Ke Yahan Paida Huwa Woh Yahi Hazrat Abdullah Bin Zubair RadiAllahuTa'alaAnhuma The.

Paida Hote Hi Hazrat Bibi Asma' Ne Apne Is Farzand Ko Bargah e Risalat Me Bheja.

Huzoor Aqdas ﷺ Ne Apni Muqaddas Goad Me Le Kar Khajoor Mangayi. Aur Khud Khajoor Ko Cahaba Kar Is Bachche Ke Muh Me Daal Diya Aur Abdullah Naam Rakha. Aur Khair O Barkat Ki Dua Farmayi.

Ye Is Bachche Ki Khush Naseebi Hai Ke Sabse Pehli Ghiza Jo Unke Shikam Me Gayi Woh Huzoor AlaihisSalatoSalam Ka Lua'ab e Dahan Tha. Chunancha Hazrat Asma' RadiAllahuTa'alaAnha Ko Apne Bachche Ke Is Sharf Per Bada Naaz Tha.

Inke Shohar Hazrat Zubair Rishte Me Huzoor ﷺ Ke Phuphi Zaad Bhai Hain. Muhajir Me Bahot Hi Ghareeb The. Hazrat Bibi Asma' Jab Inke Ghar Me Aayen To Ghar Me Na Koyi Londi (Slave Girl) Thi Na Koyi Ghulaam.
Ghar Ka Sara Kaam Yahi Kiya Karti Thee(n). Yahan Tak Ke Ghode Ka Ghaas Dana Aur Uski Malish Ki Khidmat Bhi Yahi Anjaam Diya Karti Thi, Balke Oont Ki Khuraak Ke Liye Khajuroon Ki Guthliyaan Bhi Baghon Se Chun Kar Aur Apne Sar Per Ghathri Rakh Kar Laya Karti Thi. Inki Ye Mashaqqat Dekh Kar Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inko Ek Ghulaam Ata Farma Diya. To Inke Kamon Ka Bojh Kuch Halka Ho Gaya. Aap Farmaya Karti Thee(n) Ke Ek Ghulaam De Kar Goya Mere Walid Ne Mujhe Aazad Kar Diya.
(Bukhari, Jild 2, Safa:786)

Ye Mehnati Hone Ke Sath Sath Badi Bahaddur Aur Bade Dil Girdah Wali Awrat Thi.Hijrat Ke Waqt Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnhu Ke MAkaan Me Jab Huzoor ﷺ Ka Tosha e Safar Ek Thaile Me Rakha Gaya. Aur Is Thaile Ka Muh Bandhne Ke Liye Kuch Na Mila. To Hazrat Bibi  Asma' Ne Fouran Apni Kamar Ke Patke Ko Phadh Kar Usse Tosha Daan Ka Muh Bandh Diya. Usi Din Se Unko Zaatun Nitaaqain (Do Patke Wali) Ka Mu'azziz Laqab Mila. Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Huzoor AlaihisSalatoSalam Ke Sath Hijrat Ki. Lakin Hazrat Asma' Ne Uske Baad Apne Ghar Walon Ke Sath Hijrat Ki.

(Bukhari, Jild 1,Safa:5.55.waghaira)

63 Sane Hijri Me Waqi'ah Karbala Ke Baad Jab Yazeed Paleed Ki Foujon Ne Makka Mukarrama Per Hamla Kiya. Aur Hazrat Abdullah Bin Zubair RadiAllahuTa'alaAnhu Ne In Zalimon Ka Muqabila Kiya. Aur Yazeedi Lashkar Ko Kutton Aur Chuhon Ki Tarha Douda Douda Kar Maar Dala. Us Waqt Bhi Hazrat Aama' Makka Mukarrama Me Moujood Rah Kar Apne Farzand Hazrat Abdullah Bin Zubair Ki Himmat Badhati Aur Unki Fatah O Nusrat Ke Liye Duawen Maangti Rahen. Aur Jab Abdul Malik Bin Marwaan Ke Zamana e Hukumat Me Hujjaaj Bin Yusuf Saqfi Zalim Ne Makka Mukarrama Per Hamla Kiya. Aur Hazrat Abdullah Bin Zubair RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Is Zalim Ki Foujon Ka Bhi Muqabila Kiya To Is Khoon Rez Jang Ke Waqt Bhi Hazrat Asma' Makka Mukarrama Me Apne Farzand Ka Housla Badhati Rahee(n) Yahan Tak Ke Jab Abdullah Bin Zubair ko Shaheed Kar Ke Hujjaaj Bin Yusuf Ne Unki Muqaddas Laash Ko Suli Per Latka Diya Aur Is Zalim Ne Majboor Kar Diya Ke Bibi Asma' Chal Kar Apne Bete Ki Laash Ko Suli Per Latki Huwi Dekhen To Aap Apne Bete Ki Laash Ke Pass Tashreef Le Gayee(n).
Jab Laash Ko Suli Per Dekha To Na Royee(n), Na Bil Bilayee(n) Balke Nihayat Jurrat Ke Sath Farmaya Ke..
"Sab Sawaar Ghode Se Utar Gaye. Lekin Ab Tak Ye Sawaar Ghode Se Nahi Utra".
Phir Farmaya Ke..
"Aye Hujjaaj..! Tune Mere Bete Ki Duniya Kharaab ki. Aur Usne Tere Deen Ko Barbaad Kar Diya".

Is Waqi'a Ke Baad Bhi Chand Dino Tak Hazrat Asna' Zinda Rahee(n). Makka Mukarrama Ke Qabrastaan Me Maa-Bete Dono Ki Muqaddas Qabren Ek Dosre Ke Barabar Bani Huwi Hain. Jin Ko Najdiyoun Ne Tood Phood Dala Hai. Magar Abhi Nishaan Baqi Hai.

1959 Sane Iswi Me In Dono Mazaron Ki Ziyarat Maine Ki Hai RadiAllahuTa'alaAnhauma.

(Istiaab, Jild :4,Safa:1781,Waghaira)

Tabsira :

Islami Behno..!
Hazrat Bibi Asma' RadiAllahuTa'alaAnha Ki Gharibi Aur Apne Shohar Ki Khidmat Aur RasoolAllah ﷺ Se Inki Mohabbat, Phir Inki Bahadduri Aur Jurrat O Isteqlaal Ke In Waqi'aat Ko Baar Baar Padho. Aur Inke Naqshe Qadam Per Chalne Ki Koshish Karo. Aur Ye Bhi Sun Lo..! Ke Pehle To Asma' RadiAllahuTa'alaAnha Ke Shohar Ghareeb The. Magar Bahot Hi Bade Mujahid The. Bahot Ziyadah Maal e Ghanimat Me Se Hissa Paya. Yahan Tak Ke Bahot Maaldaar Ho Gaye. Aur Phir Unke Malon Me Se Is Qadr Khair O Barkat Huwi Ke Shayad Hi Kisi Sahabi Ke Maal Me Itni Khair O Barkat Hasil Huwi Hogi.
(Bukhari, Jild :1,Safa :449)

Ye Inki Islam Ke Khidmaton, Aur Ibadaton Ki Barkaton Ke Mithe Mithe Phal The Jo Inko Duniya Ki Zindagi Me Mile. Aur Aakhirat Me Allah Ta'ala Ne In AllahWaliyoun Ke Liye Jo Ne'maton Ke Khazane Tayyar Farmaye Hain. In Ko Na Kisi Aankh Ne Dekha Hai Na Kisi Kaan Ne Suna Hai.Na Kisi Ke Khayal Me Aa Sakta Hai.

Aye Allah Ki Bandiyoun..! Himmat Karo. Aur Koshish Karo. Aur In Neek Bandiyoun Ke Tariqe Per Chalne Ka Natija Iradah Kar Lo. In Sha Allah Ta'ala Allah Ki Imdad O Nusrat Tumhara Bazu Thaam Legi. Aur In Sha Allah Duniya O Aakhirat Me Tumhara Beda Paar Ho Jayega. Bas Shart Ye Hai Ke Ikhlaas Ke Sath Ye Azm Kar Lo Ke Ham In Allah Wali Muqaddas Bibiyoun Ke Naqshe Qadam Per Apni Zindagi Ki Aakhri Saans Tak Chalti Rahengi. Aur Islam Ke Aqaid O A'amaal Per Puri Tarha Kaarband Rah Kar Dosri Awraton Ki Islah e Haal Ke Liye Bhi Apni Taqat Bhar Koshish Karti Rahengi...! 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...