Hazrath Juwayriah RadiAllahuTa'alaAnha

9:26 pm

Ye Qabila Bani Mustaliq Ke Sardare Aazam Haris Bin Diraar Ki Beti Hain. Ghazwa e Muraysi Me Inka Sara Qabila Giraftaar Ho Kar Musalmanon Ke Hathon Me Qaidi Ban Chuka Tha. Aur Sab Musalmano Ke Loundi (Slave) Ghulam Ban Chuke The. Magar RasoolAllah ﷺ Ne Jab Hazrath Juwayriah  Ku Aazad Karke Unse Nikah Farma Liya To Hazrath Juwayriah  Ki Shaadmani O Musarrat Ki Koi Inteha Na Rahi. Jab Islami Lashkar Me Ye Khabar Pahili Ke RasoolAllah ﷺ Ne Hazrath Juwayriah  Se Nikah Farma Liya To Tamam Mujahideen E Islam Ek Zaban Ho Kar Kehne Lage Ke..
Jis Khandan Me Hamare Rasool Ne Nikah Farma Liya Us Khandaan Ka Koi Fard Loundi Ghulaam Nahi Reh Sakta.

Chunanche, Is Khandaan Ke Jitne Loundi Ghulaam Musalmanon Ke Qabze Me The Sab Ke Sab Aazaad Kar Diye Gaye.

Yahi Wajah Hai Ke Hazrath Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Farmaya Karti Thi(n) Ke Duniya Me Kisi Awrat Ka Nikah Hazrath Juwayriah  Ke Nikah Se Ziyadah Mubarak Nahi Sabit Huwa.

 Kyunke Is Nikah Ki Wajah Se Tamam Khandaan Bani Mustaliq  Ku Ghulami Se Najaat Mil Gayi.

Hazrath Juwayriah RadiAllahuTa'alaAnha Ka Bayaan Hai Ke Huzoor ﷺ Ke Mere Qibile Me Aane Se Pehle Myne Khwaab Dekha Ke Madine Ki Janib Se Ek Chaand Chalta Huwa Aaya, Aur Meri Goud Me Gir Pada. Myne Kisi Se Is Khwaab Ka Zikr Nahi Kiya. Lekin Jab Huzoor ﷺ Ne Mujhe Nikah Farma Liya To Myne Samjh Liya Ke Yahi Meri Us Khwaab Ki Ta'abeer Hai.

Inka Asli Naam 'Barrah' (برة) Tha. Magar Huzoor ﷺ Ne Inka Naam 'Juwayriah' Rakh Diya.

Inke Do Bhai Amr Bin Haris Wa Abdullah Bin Haris Aur Inki Ek Behan Amrah Bint Haris Ne Bhi Islam Qubool Karke Shabiyat Ka Sharaf Paya.

Hazrath Juwayriah RadiAllahuTa'alaAnha Badi Ibadat Guzaar Aur Deendaar The(n). Namaaz e Fajr Se Namaaz e Chasht Tak Hamesha Apne Wazife Me Mashghool Raha Karti The(n). 50 Sane Hijri Me 65 Baras Ki Umr Pa Kar Wafat Payi. Hakim e Madina Marwan Ne Inki Namaaz e Janaza Padhayi Aur Ye Jannatul Baqi Me Supurd e Khaak Ki Gayi.

(Madarijun Nabuwwat, Jild 2,Safa 481, Zarkhani, Jild 3 Safa 255)

Tabsira :
Inka Zindagi Bhar Ka Ye Amal Namaaz e Fajr Se Namaaz e Chasht Tak Hamesha Lagataaar Zikr e Ilahi Aur Wazifon Me Mashghool Rehna Ye Un Awraton Ke Liye Taziyanaye Ibrat Hai Jo Namaaz e Chasht Tak Soti Rehti Hain.

Allahu Akbar..! NABI ﷺ Ki Bibiyan To Itni Ibadat Guzaar Aur Deendaar..!  Aur Ummatiyoun Ka Ye Haal e Zaar Nawafil Ka To Puchna Hi Kya? Faraiz Se Bhi Bezaar. Balke Ulte Din Raat Tarha Tarha Ke Gunahoon Ke Aazaar Me Giraftaar.

ILAHI Touba ILAHI Teri Panah. 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...