Parda

SURE NOOR MAIN PARDE KE AHKAAM

5:38 pm

Allah Ta'Aala Azza-wa-Jal Ka Farmaane Aalishaan Hai , 
" Musalmaan Mardo'n Ko Hukm Du, Apni Nigaahe Nichi Rakhe Aur Apni Sharmagaho'n Ki Hifazat Kare , Ye Inke Liye Bahot Suthra Hai , Beshak Allah Ko Inke Kaamo Ki Khabar Hai.

Aur Musalmaan Aurato'n Ko Hukm Do , Apni Nigaahe'n Nichi Rakhe'n Aur Apni Parsaayi Ki Hifazat Kare , Aur Apna Banao Na Dikhaye Magar Jitna Khud Hi Zahir Hai Aur Dupatte Apne Garebano'n Par Daale Rahain,
Aur Apna Singhaar Zahir Na Kare Magar Apne Shuharo'n Par ,
Ya Apne Baap.... Ya Apne Shuhaaro'n Ke Baap... Ya Apne Bete... Ya Apne Shuharo'n Ke Bete... Ya Apne Bhai... Ya Apne Bhatije... Ya Apne Bhanje....Ya Apne Deen Ki Aurate'n... Ya Apni Kaneeze'n Jo Apne Haath Ki Milk Hon, Ya Nokar Ba'Shart Ye Ke Shehwat Wale Mard Na Hon , Ya Wo Bacche Jinhe'n Aurato'n Ki Sharm Ki Cheezo'n Ki Khabar Nahi ,

Aur Apne Paa'on Zameen Par Zor Se Na Rakhe Ke Jana Jaye Inka Chupa Huwa Singhaar( Yaani Zewar) Aur Allah Ki Taraf Tauba Karwaye Musalmano'n ! Sab Se Sab Is Ummeed Par Ke Tum Falah Paao".

(Sure Al-Noor :30,31 , Kanzul EEmaan , Az-Sarkaar AalaHazrat Bareillvi RadiyAllahu Ta'Aala Anhu)

In Aayaat Main Parde Ke Mutalliq Mandarje Zail Ahkaam Bayaan Huwe Hain :

● Awwal : Musalmaan Mard Aurat Apni Nigaahe'n Nichi Rakhe ,
● Duwwam : Apni Sharmagaah Aur Ismat -o- PaarSaayi Ki Hifazat Kare ,
● Suwwam : Aurate'n Apna Banao Singhaar Na-Mehramo'n Se Chupaye ,
● Chaharum : Apne Dupatte Ya Chadare'n Apne Sino'n Par Daale Rakhe'n ,
● Panjum : Apna Makhfi Banao Singhaar Bhi Zahir Na Hone De. 


Awwal: Musalman Mard -o-  Aurat Apni Nigaahe Nichi Rakhe Iska Khulasa Ye Hai

 Insani Nafsiyaat Se Waqif Koyi Shakhs Is Haqiqat Se Inkaar Nahi Kar Sakta Ke Be-Rah Rawi Ki Ibteda Na-Mehramo'n Ko Dekhne Se Hoti Hai.
Islaam Chunke Dine Fitrat Hai IsLiye Ye In Tamaam Asbaab Aur Zaraye Par Pabandi Aayid Karta Hai Jo Gunah Ka Maujib Ho.

Imam Ghazaali Alehi Rahma Farmate Hain , Is Mu'aamile Main Nafs Ki Misaal Ek Janwar Ki Si Hai Ke Jab Ibteda Main Kisi Simt Main Jane Ka Rujhaan Zahir Kare To Uski Lagaam ThaamNa Aur Us Simt Main Jane Se Rokna Mushkil Nahi Hota
Lekin Agar Lagaam Khuli Cchod De Aur Wo Kisi Simt GaamZan Hojaye To Phir Laakh Uski Dum Khinche'n Aur Use Baaz Rakhne Ki Koshish Kare Magar Kamiyaabi Dushwar Hojati Hai
Pas Asal Baat Ye Hai Ke Aankh Ki Hifazat Ki Jaye Kyunke Har Fitne Ki Ibteda Aankh Hi Se Hoti Hai.

Hazrat Jareer Bin AbdullAh RadiyAllahuAnhu Ne Nabi Kareem ï·º Se Kisi Naa-Mehram Par Achanak Nazr Padh Jane Ke Mutalliq Pocha To
Aaqa-o-Maula ï·º Ne Fauran Nazar Pher Lene Ka Hukm Diya.

Dusri Hadees Shareef Main Irshad Huwa Pehli Achanak Nazar Muaf Hai Magar Dusri Nazar Jaaiz Nahi.
(Tirmazi)

Ek Aur Hadees Shareef Main Raste Ka Ek Haq Ye Bayaan Farmaya Gaya Ke Nigaahe Nichi Rakhi Jaaye.
(Bukhari)

Hadise Qudsi Hai, " Nazar Shaytaan Ke Tiro'n Main Se Ek Zehrila Teer Hai Jisne Isko Mere Khouf Se Tark Kar Diya Main Use Imaan Ka Wo Darjah Dunga Jiski Mithaas Aur Lazzat Wo Apne Dil Main Mahsoos Karega".
(Tibraani)

Yaani Jo Koyi Khouf-e-Khuda Ke Baa'is Na-Mehramo'n Ki Taraf Na Dekhe ,
Allah Ta'Aala Use Imaan Ki Halawat Ata Farmata Hai.

Allama Qurtabi Alehi Rahma Farmate Hain Ke " Dil Ki Taraf Khulne Wala Sab Se Bada Darwaza Nigaah Ka Hai.
Aankh Ki Be-Rah Rawi Ki Waja Se Hi Aksar Gunah Saadir Hojate Hain IsLiye Isse Bachna Chahiye Aur Tamam Mehrumaat Se Iski Hifazat Karni Chahiye".

Sadrul Afazil Alehi Rahma Is Aayat Ke Tahet Raqm Taraaz Hain, " Hadees Shareef Main Hai Ke Azwaaj-e-Mutehharaat Main Se Ba'z UmmeHaat-ul-Momineen Sayyede Aalam ï·º Ki Khidmat Main The'n Usi Waqt Ibne Umme Maktoom RadiyAllahuAnhu Aaye To Huzoor ï·º Ne Azwaaj Ko Parde Ka Hukm Farmaya. Unhone Arz Kiya Ke Wo Naa'Bina Hain.....
Huzoor ï·º Ne Farmaya , Tum To Naa'Bina Nahi Ho.
(Tirmazi , AbuDawood)

Is Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Aurato'n Ka Bhi Naa-Mehram Mardo'n Ko Dekhna Aur Unke Samna Hona Jaaiz Nahi".
(KhazayiNul Irfaan)


Duwwam :- Apni Sharmagaah Aur Ismat -o- Paarsaayi Ki Hifazat Kare Iska MafhoomYe Hai Ke 

Bad'Kaari Se Bhi Bacho Aur Iske Tamaam Asbaab Se Bhi.
Aaqaa-o- Maula ï·º Ka Irshaad Hai , Naa-Mehram Ko Shehwat Se Dekhna Aankh Ka Zina Hai ,
Shehwaani Baate Sunna Kaan Ka Zina Hai ,
Aisi Baate Karna Zaban Ka Zina Hai ,
Naa-Mehram Ko Cchuna Aur Pakadna Haath Ka Zina Hai ,
Uski Taraf Chalna Paa'on Ka Zina Hai ,
Aisi Buri Khwahish Dil Ka Zina Hai
Aur Sharmagah Use Sachaya Jhota Kar Deti Hai.
(Muslim)

Noore Mujassamï·º Ka Farmane Zishaan Hai ,
" Agar Tum Mere Liye 6 cheezo'n Ke Zaamin Ban Jao'n To Main Tumhare Liye Jannat Ka Zaamin Hon.

(1) Jab Baat Karo To Sach Bolo,

(2) Jab Wada Karo To Pura Karo ,

(3) JAB Amanat Di Jaye To Adaa Karo ,

(4) Apni Sharmgah Ki Hifazat Karo ,

(5) Apni Nigaahe'n Nichi Rakho

(6) Aur Apne Haath Zulm Se Rok Du".

(Masnade Ahmad)

Mufti Muhammad Kahleel Khaan Qadri Barkati Qudda Sirrahu Farmate Hain ,
" Mard Aur Aurate'n Apni Apni Sharmagaaho'n Ki Hifazat Kare , Is Hukm Ke Tahet Zina Kaari Ke Aelawa Aur Bhi Sare Tariqe Naa'Jaaiz Shehwat Raani Aur Badkaari -o- Bad'Nazri Ke Aagaye.
Aashiqaana Afsaane Aur Darame , Be'Hayayi Ke Manazir Dikhane Wale Theater Aur Cinema , Khayalaat -o- Jazbaat Main Hijaan Paida Karne Wali Taswire'n Waghera Sab Iske Tahet Main Aajati Hai.

(Sunni Baheshti Zewar , S-202)


Suwwam:- Aurate'n Apna Banao'n Singhaar Na-Mehramo'n Se Chupaye Iska Khulasa Ye Hai Ke 
Pehle Ye Samajh Lijiye Ke Na-Mehram Kon Hain????

Deene Islaam Main Aurat Ka Jin Mardo'n Se Nikah Haraam Hai Wo Mehram Kehlata Hain.
Inki Du(2) Qisme'n Hain. Ek Wo Jo Abdi Mehram Hain Yani Inse Kisi Bhi Surath Main Aurat Ka Nikah Haraam Hai..
 Jaise Baap.. Beta.. Bhai.. Sasur.. Damaad.. Chacha.. Mamu.. Bhanja.. Bhatija Wagherah.

Dusre Wo Jo Abdi Mehram Na Hon
Jaise Phopha.. Khaalu.. Behnoyi.. Jhet.. Dewar Waghera.
Ke Inse Hurmat Ka Rishta Daaiyimi Nahi.
Kyun Ke Jab Tak Aurat Ki Phophi.. Khaala Ya Bahen Inke Nikah Main Hai Unse Nikah Haraam Hai.
Magar Phophi.. Khaala Ya Bahen Ke Inteqaal Ya Talaaq Hojane Ki Surath Main Inse Aurat Ka Nikah Halaal Hojayega.

Chacha , Taaya , Mamu , Khaala Ya Phophi Ke Bete Jinhe Urf Main Bhai Kaha Jata Hai Isi Tarah Muh Bole Bhai Ya Uncle Waghera In Sab Ko Umuman Mehram Samjh Kar Inse Pardah Nahi Kiya Jata Jabke Ye Sab Ger'Mehram Hain ,
Khwateen Ke Liye In Aarzi Mehramo'n Aur Na-Mehramo'n Se Pardah Karna Aur Apna Bana'o Singhaar Chupana Zaruri Hai.

Ab Mazkurah Hukme QurAani Par Gour Kijiye Ke Aurate'n Apni Zinat Na-Dikhaye'n Magar Jitni Khud Hi Zahir Hai.
Zinat Main Har Wo Cheez Aajati Hai Jo Mardo'n Ke Liye Aurat Ki Taraf Ragbat Ka Baa'is Ho , Khwa Wo Zinat Paidaishi Ho Jaise Haseen Aawaaz , Jismani Khoob-Surthi , Khush-Khirami Waghera ,
Khwa Wo Zinat Kasbi Ho Jaise Khoob-Surath Libaas , Zewraat , Powder , Gaza(Khushbo'Daar Safoof Jo KhoobSurthi Ke Liye Rukhsar Par Mala Jata Hai) , Surkhi Wagherah.
Aisa Bana'o Singhaar Jo Shari'at Ki Hudood Main Ho Jaaiz Hai Ba'shart Ye ke Na-Mehramo'n Ke Samne Numaa'ish Maqsood Na Ho.

Mufti Muhammad Khaleel Khan Quadri Barkati (RehmathullAhi Alaih) Is Aayat Ki Tafseer Main Farmate Hai Ke:
"Jism Ke Wo Hisse Is Hukm Se Mustasna Hain Agarche Zinat Ke Muwaqe Hain
Lekin Inke Chupaye Rakhne Main Umuman Harj Aur Zehmat Hai
Jaise Chehre Ki Tikya, Hatheliyaa'n Aur Pao'n , Kyun Ke Surma Lagana Chehre Ki
Aur Khizaab Yaani Mehndi Lagana Aur Anghothiyaa'n Pehenna Hatheliyo'n Aur Ungliyo'n Ki Zinat Hain
Aur Bahot Si Dunyavi Aur Deeni Zarurate'n Inke Khula Rakhne Par Majboor Kar Deti Hain.
Agar Unke Chupane Ka Mutlaqan Har Haal Main Hukm Diya Jaye To Aurate'n Badi Dushwaariyo'n Main Phans Jaaye Isliye Unhe Ye Ri'aayat Di Gayi Ke Apne Mehram Rishtadaaro'n Maslan : Baap.. Beta.. Bhai.. Chacha.. Mamu.. Dada.. Nana.. Khusr Aur Damaad Waghera Ke Saamne Apne Jism Ka Wo Hissa Khula Rakh Sakti Hain Jisse Khula Rakhe Baghair Wo Khaangi Umoor Anjaam Nahi De Sakte'n.
Jaise Ataa Ghondhte Waqt Aastine'n Chadha Lena Ya Ghar Ka Farsh Dhote Waqt Shalwar Ke Paainche Zara Upar Chadha Lena Ke Jism Ke Ye Hisse Agarche Zinat Ke Muwaqe Hain Lekin Inka "Har Ek Se" Har Haalat Main Chupaye Rakhna Harje Azeem Aur Baa'ise Zehmat Hai.

Isiliye Hanfi Fuqaha-E- O Mufassireen Ke Yaha Chehra Aur Kafe Dast(Hatheliyo'n) Aur Pairo'n Ke Dekhne Ki Ijazat Milti Hai.
Lekin Khayal Rahe Ke In Aazaa Ki Taraf Nazar Karna Ya Inka Khule Rakhna Sirf Aur Sirf Isi Surat Main Jaaiz Hai Ke Kisi Fitna Ka Andesha Na Ho Warna Chehra To Chehra Kafe Dast Ka Dekhna Aur Is Par Nazar Jamana Bhi Jaaiz Nahi".
(Chadar Aur Char Diwaari , S-123)

Mazeed Farmate Hai." Kisi Aurat Ke Liye Jaaiz Nahi Ke Apne Husn -O- jamaal Aur Aara'ish -O- Zaiba'ish Aur Bana'o Singhaar Ki Numaish Ki Khatir Bhaadh Ki Tarha Muh Khole Aur Aawara Gardo'n Ki Nighaho'n Ko Dawate Nazaara De,
Lagzisho'n Ka saaman Faraham Kare Aur Islami Mu'Aashire Ko Daagdaar Banaye.

Khulasa-E- Kalam Ye Hai Ke Chehra Hatheliyaa'n Aur Pao'n Ye Teeno(3) Aazaa-E- Satar Main Dakhil Nahi ,
Inka Chupana Farz Nahi Magar Ajnabiyo'n Ke Liye Khula Rakhna Zaroor Haram Hai .
(Aizan S-124)


Chaharum:- Apne Dupatte Ya Chadre'n Apne Sino'n Par Daale Rakhe Iska Khulasa Ye Hai Ke 

Aaqa -O- Maula ( SallallahuTa'Aala Alaihi Wa Sallam) Ka Irshaad Hain....

"AURAT , AURAT Hai Yaani chupaane Ki cheez Hai , Jab Woh Nikalti Hai To Use Shaitaan Jhaank Kar Dekhta Hai.
(Tirmizi)

Yaani Na-Mehram Aurat Ko Dekhna Shaitaani Kaam Hai , yu Bhi Kaha Ja Sakta Hai Ke ,
Shaitaan BadKaar -O- Aawaara Mardo'n Ko Aurat Ki Taraf Ma'yil Karta Hai Aur Bad'Nazri kmKe Murtakib Hote Hain.

Chunke Aurato'n Main Aaraa'ish -O- Khud'Numaayi Ka Shouq Jaldi Parwaan Chadta Hai Aur Ye Shouq Agar Makhsoos Islaami Hudood Ka Paband Na Rahe To Mu'Aashire Main Be-Hayaayi Aur Fahaashi Phailne Lagti Hai.

Isliye AllAh Ta'Aala Ne Musalmaan Aurato'n Ko Nigaah Ki Hifazat , Asmat -O- Paarsaayi Ki Hifazat Aur Bana'o ,Singhaar Chupaane Ke Ahkaam Dene Ke Ba'd Mazeed Taa'keed Farmayi Ke Woh Apni Chadre'n Ya Dupatte Apne Sino'n Par Odhe Rakhe

Taake Aawaara Logo'n Ki Hawas Naak Nazro'n Se Mahfooz Rahe Aur Mu'Aashire Ki Paakeezgi Bhi Qayim Rahe .

Is Aayat Se Ma'loom Huwa Ke Sir , Gardan , Aur Sina chupaana Farz Hai..
Aurato'n ko Chahiye Ke woh Dabeez Kapde Ke Dupatte Ya Chadre'n Saro'n(Head) Par Is Tarah Odhe'n Ke Inka Ek Hissah Pusht Par Rahe ..
Aur Dusra Sina Par Rahe ..
Is Tarah Sir Ke Balo'n Ki Rangat Bhi Nazar Nahi Ayegi..
Aur Kamar ,Gardan , Kaan , Galaa Aur Sina Bhi Aryaa'n Na Rahenge ..

Baqaule Mufti Sahab , " Goya Musalmaan Aurat Iffat , Asmat -O- PaarSayi Ki Ek Chalti Firti Tasweer Aur Sharm -O- Hayaa ki Ek Jeeti Jaagti Tanweer Ho , Sharm Ka Mujassama , Hayaa Ki Putli ".

Aap Mazeed Likhte Hai , Ba'z Riwayaat Main Aaya Hai Ke (In Aayaat Ke Na'zil Hone Par) In Aurato'n Ne Bareek Kapde Chhod Kar Apne Mote-Mote Odhe Jaane Ke Qaabil Kapdo'n Se Apne Liye Dupatte Bana Kar Saro'n (Head) Par Odhe.
(Ahkamul QurAan)

Dupatte Ya Odhni Ke Is Tarah Odhne Main Jo Hikmat Hai woh Hai Islaami Mu'Aashire Main Besh-Az-Besh Paakeezgi Aur Iffat Sha'Aari Ka Riwaaj.

Ye Agar Zahan Nasheen Rahe To Ye Baat Ba'Aasani Aadmi Samajh Sakta Hai Ke Aise Bareek Ghaas-Phoos Dupatto'n Ka Istemaal JinSe Baalo'n Ki Rangat Aur Sinah Wagerah Ki Saakht Jhalke , Jo Maqsade Shar'a Ko Pura Nahi Karte ,To Inka Pahenna Na pahenna Brabar Hai.
Phir Bhi Rasool'Allah ï·º Ki Shari'ate Mutehherah Ne Ise Hamari Kuj-muj Aql-O- Fahem Par Na Chhoda Balke Saaf Tasreeh Farma Di.

Abu Dawood Shareef Main Hazrat Wahyah Kalbi (RadiyAllahu Ta'Aala Anhu) Se Marwi Hai Ke ,
Rasool'Allah ï·º Ke Pass Misr Ki Bareek Malmal Aayi.
Aapne Ek Tukda Us Main Se Mujhe Diya Aur Farmaya ,
" Ek Hissah Ka Apne Liye Kurta Banalu Aur Ek Hissah Apni Biwi Ko Dedo Ke Woh Dupatta BanaLe. Magar Ise Ye Jata Dena Ke Iski Niche Ek Aur Kapda Laga Le Taake Jism Ki Saakht Isse Na Jhalke
(Chadar Aur Chaar Diwaari , S-126)

Aaqa -O- Maula ï·º Ne Hazrat Asmaa (RadiyAllahu Ta'Aala Anha) Se Farmaya
"Aurat Jab Baalig Ho Jaye To Uske Jism Ka Koyi Hissah Siwaaye Chehre Aur Hatheliyo'n Ke Nazar Na Aaye.
(Abu Dawood)

Isi Tarah Aurato'n Ko Chust Kapde Pahenna , Jin Se Jism K a Naqshah Khinch Jaye Aur Azaa'A Ki Haiyat Numaya'n Ho , Bilkul Na'jaaiz Aur Aisi Haalat Main Mardo'n Ko Unki Taraf Dekhna Haram Hai.


 Panjum:-Apna Makhfi Banao'n Singhaar Bhi Zahir Na Hone De Iska Khulasa Ye Hai Ke

Zamane Jahiliyat Main Aurate'n Paazeb wagariha Pahen Kar Jab Mardo'n Ke Qareeb Se Guzarte'n To Danista Apne Pao'n Zameen Par Marte TAake Mard Aawaz Ko Sun Kar Unki Taraf Mutawajjah Hon. Islaam Ne Aisi Tamam Zaleel Ishte'AalAngez Harkaat Par Pabandi Laga Di Jo Mu'Aashire Main Be-Haya'Ee Phailane Ka Sabab Ban Sakhti Hain.

Nez Muslaman Khawateen Ko Ye Taleem Di Ke Agar Kabhi Shara'i Uzr Ki Bina Par Ghar Se Bahar Nikalna Padhe To Shariat -E- Mutehhara Ke Mutabiq Satar Poshi Kar Ke WaqAar -O- Sanjeedgi Ke Sath Nikalna Aur Har Us Cheez Se Bachna Jo Na- Mehramo'n Ko Tumhari Taraf Mutawajjuh-O-Maayil Karne Ka Baa'is Ho.

Aaqa -O-Maula ï·º Ka Irshade Girami Hai,
"Wo Aurat Jo Ban Sawar Kar Na-Mehramo'n Main Itra Itra Kar Chalti Hai Wo Qayamat Ke Din Mujassam Tariki Ki Misl Hongi Jaha Roshani Ki Koyi Kiran Tak Na Ho."
(Tarmizi)

Mufti Muhammad Khaleel Khan Qadri Barkati Farmate Hain, "Hadees Shareef Main Hai Ke Allah Ta'aala Is Quam Ki Dua Qubool Nahi Karta Jiski Aurate'n Jhanjan (Aawaz Wala Zewar) pehanti Hon".
Isse Ye Samjhna Chahiye Ke Jab Zewar Ki Aawaz Dua Qubool Na Hone Ka Sabab Hai To Khas Aurat Ki Aawaz Aur Uski Be-Pardagi Kaisi Tabahi Ka Ba'is Hogi?"
(Sunni Baheshti Zewar H:2 , P:202)

Aap Is Aayat Ki Tafseer Main Raqmtaraaz Hain , " Aayate Kareema Ka Tarze Khitaab Saaf Bata Raha Hai Ke Ye Muma'ni'at Sirf Paao'n Main Pahenne Wale Zewraat Ki Aawaaz Tak Mahdood Nahi Balke Isse Maqsood Har Aisi Harkat, Har Aise Aqdaam Aur Har Aise Feal Se Rok Dena Hai.. Jo Ajnabi Mardo'n Ki Ragbat Aur Dil-Kashi Ka Baa'is Ho Aur Jo Aurato'n Ko Na-Mehramo'n Ki Tawajjuh -O- ILtifaat Ka Markaz Bana De. Isi Liye Shoukhe Rang , Bhadak Daar Libaas Istemaal Karke Ya Tez Khushbu Laga Kar Aurato'n Ka Majma-ae Aam Main Jana, Ya Aise Chust MalboSaat Zebe Tan Karke Ajnabiyo'n Main Guzarna Jinse Badan Ki Sakht Numayaa'n Ho, Shari'ate Mutehhara Ko Ek Aankh, Ek Aan Ke Liye Pasand-O-Gawara Nahi.
Chunanche Nabi Kareem Alaih AfzalusSalaat Wa Tasleem Ne Aurato'n Ko Hukm Diya Ke " Wo Khushbo Laga Kar Gharo'n Se Bahar Na Nikle'n Hatta Ke Masjido'n Main Bhi Tez Khushbo Laga Kar Namaaz Padhne Ke Liye Na Jaye".

Abu Dawood Ibne Maja Main Marwi Hai Ke Ek Aurat Masjid Se Nikal Kar Ja Rahi Thi.
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahuTa'AalaAnhu Ka Iske Paas Se Guzar Huwa To Aapne Use Rok Kar Dariyaft Farmaya,
Ae Khuda Wande Jabbar Ki Bandi ! Kya Tu Masjid Se Aarahi Hai?
Arz Kiya , Jee Ha. 

Irshaad Farmaya, Main Ne Apne Mahboobe Akram Abul Qaasim ï·º Ko Ye Farmate Suna Hai Ke Allah Ta'Aala Us Aurat Ki Namaaz Qubool Nahi Farmata Jo Masjid Main Tez Khushbu Laga Kar Jaye, Jab Tak Wo Ghar Aakar Ghusle Janab Na KarLe".

Imam Tirmazi Ne Riwayat Ki Ke Huzoor ï·º Ne Farmaya, "Jo Aurat Itr Laga Kar (Yani Kisi Tez Khushbu Main Khud Ko Basa Kar) Mardo'n Ke Majme'a Se Guzre Taake Log Uski Khushbo Se Lutf Andooz Hon (Aur Zahir Hai Ke Tez Khushbo'on Main Bas Kar Mardo'n Main Se Guzarna Isi Maqsad Se Hota Hai) To Wo Aurat Aisi Aur Aisi (Yani Zaaniyah) Hai".

Mazkurah Aayate Kareema Se Ye Baat Bhi Mustanbat Hoti Hai Ke Jab Zewar Ki Aawaaz Ka Ghairo'n Ke Kaano'n Tak Pohchana Shari'ate Mutehhara Ko HarGiz Pasand Nahi, Balke Wo Iske Chupane Ka Is Qadr Aehtamaam Karti Hai To Khud Uski Aawaaz Ka Ghairo'n Ke Kaano'n Se Takrana Kis Qadr Naa-Pasandidah Hoga, Phir Jab Iski Aawaaz Chupaane Ke Qaabil Hai To Surath Kyun Kar Chupaane Ke Qaabil Na Hogi Ke Asl Fitnah Ka Baa'is To Shakl-O-Surath Hi Hai......

Allah Allah ! Iffat-O-ParSaayi Aur PaakDaamani Ka Kis Qadr Aehtamaam Hamari Shari'ate Mutehhara Main Hai Aur Fitnah -O-Shar Ke Kaise Kaise Darwazo'n Darwazo'n Aur Sawar-Khwo'n Ko Hamari Shari'ate Kaamilah Ne Band Kar Diya Hai. Ek Taraf To Ye Aehtiyaate'n Aur Paabandiyaa'n Hain Aur Dusri Taraf Gaane Aur Tarah Tarah Ke Surele Baajo'n Ke Sath Gaane Hi Ki Nahi Balke Mard -O- Aurat Ke Mushtarika Naach Ki Aazadiyaa'n Hain ! Duno Zindagiyo'n Ke Nataayij Bilkul Zaahir Hain.

Parda

Auraton Ka JOB Karna Kaisa?

5:07 pm

Auraton Ka JOB Karna Kaisa?

Jawaab :
Aurat Ka Job Karna 5 Sharto ke Sath Jaa'iz Hai:....... 

1. Kapde Baareek Na Hon, Jinse Sar ke Baal ya Kalaayi Waghera Satr (Jitne Jism Ka Chhupaana Farz Hai Us) Ka Koi Hissa Na Chamke.

2. Kapde Tang Aur Chust (tight & fit) Na Hon, Jo Badan ki Banawat (Yaani Seene Ka Ubhaar Ya Pindli ki Glaayi Waghaira) Zaahir Karein.

3. Baalon Ya Gale Ya Pet Ya Kalaayi Ya Pindli Ka Koi Hissa Zaahir Na Hota Ho.

4. Kabhi Na-Mehram Ke Sath Kisi Khafeef Der Ke Liye Bhi Tanhayi Na Hoti Ho.
( Zara Si Der Ke Liye Bhi Na-Mehram Mard Ke Saath Tanhaayi Na Hoti Ho)

5. Uske Wahaa Rehne Ya (Ghar Se) Baher Aane Jaane Me Koyi Fitna (Gunah Aur Kharabi) Ka Gumaan Na Ho,

Ye 5 Shartein Agar Jama Hon To Aurat Ke Job Karne Me Haraj Nahi, Aur Agar In Me Se Ek Bhi Kam Hai To Haram Hai,

(📚Fataawa Razwiya: 22/248)

Ye Shartein Ghar Se Baaher Nikalne Ke Har Muaamale Me Lagu Hongi,
Jaise Education, shopping, functions, waghaira,

 Jahaalat Aur Be-Parwahi Ka Daur Hai, Upar Bayan Ki Gayi 5 Sharto Par Amal Is Zamaane Me Bahut Zyada Mushkil Hai,
Balke Koyi Aurat Kar Hi Nahi Sakti
Aaj Kal Daftaro Me Mard Aur Aurat Ekatthe Kaam Karte Hain,
Aur Is Tarah Be-Pardagi, Be-Takallufi Aur Bad Nigahi Se Bachna Na-Mumkin Ke Qarib Hai,
Is Liye Aurat Ko Chahiye Ke Daftar Ya Kisi Ke Ghar Naukari Ke Bajaaye Aisa Koyi Kaam Kare Jis Se Apne Ghar Me Rehte Huwe Kamayi Ho Sake,
Isi Liye Meri Behno Ghar Me Reh Kar Chatni Roti Hi Khao Magar Izzat Se Saath Shuhar Ki Kamaai Me Hi Allaah Ta'ala Barkaten ata Farmayega Bas zara Sabr Aur Shukr Se Kaam Lijiye Aur Allaah Ta'aala Se Istaghfaar Karte Rahen, Musalaman Gareeb Aur Bewa Aurton Ki Bhi Madad Karte Rahe Agar Musalmaan Sahi Taur Par Apni Zakat Ada Kare To Koyi Bhi Gareeb Be-wah Aurat Ghar Se Bahar Na Nikle.

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...