Hazrath Maimuna RadiAllahuTa'alaAnha

10:20 pm

Inke Walid Ka Naam Haaris Bin Hazan Aur Inke Walida Hind Bint Awf Hain. Pehle Inka Naam 'Bar' rah'  Tha. Magar Jab Ye Huzoor ﷺ Ke Nikah Me Aagayen To Huzoor Ne Inka Naam Maimuna(Barkat Wali) Rakh Diya.

Sane 7 Hijri Umra tul Qaza  Ki Wapasi Me Huzoor Ne Inse Nikah Farmaya. Aur Maqam e Sarif Me Ye Pehli Martaba Bistar E Nabuwwat Per Soyen. Kul Chehattar (76) Hadisen Inse Marwi Hain. Inke Inteqaal Ke Saal Me Ikhtelaaf Hai. Baaz Ne 51 Sane Hijri Baaz ne 61 Sane Hijri Likha. Lekin Ibn e Ishaq Ka Qoul Hai Ke 63 Sane Hijri Me Inki Wafat Maqam e Sarif Me Huwi.

Jab Inka Janaza Uthaya Gaya To Inke Bhanje Hazrath Abdullah Bin Abbas RadiAllahuAnhuma Ne Buland Aawaaz Se Farmaya Ke...
Aye Logon..! Ye RasoolAllah ﷺ Ki Biwi Hain Janaza Bahot Aahista Aahista Lekar Chalo. Aur Inki Muqaddas Lash Ku Hilne Na Do. Hazrath Yazeed Bin Asam RAdiAllahuTa'alaAnhu Ka Bayaan Hai Ke Ham Logon Ne Hazrath Maimuna RadiAllahuTa'alaAnha Ku Maqam e Sarif Me Usi Chappar Ke Andar Dafan Kiya. Jisme Pehli Baar Unku Huzoor ﷺ Ne Apni Qurbat Se Sarfaraz Farmaya Tha.
(Zarkhani, Jild 3, Safa 253, Tirmizi, Jild 1, Safa 104 )

Tabsira:

Inku RasoolAllah ﷺ Se Intehayi Muhabbat Balke Ishq Tha. Unhone Khud Huzoor ﷺ Se Nikah Ki Tamanna Zahir Ki Thi Balke Ye Kaha Tha Ke My Apni Jaan RasoolAllah ﷺ Ku Hibah Karti Hoon Aur Mujhe Mehar Lene Ki Bhi Koi Khwahish Nahi Hai. Chunanche, Qur'an e Majeed Me Ek Aayat Bhi Iske Bare Me Nazil Huwi Hai.

MAA BEHNO! Dekho Huzoor Ki Muqaddas Bibiyoun Ko Huzoor Se Kaisi Walihana Muhabbat Thi.
SubhanAllah SubhanAllah..
 Kya Kehna Un Ummat Ki Maon Ki Imaan Ki Nooraniyat Ka.


You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...