Hazrat Umme Waraqah Bint Abdullah RadiAllahuTa'alaAnha

9:12 pm

Ye Qabila Ansaar Ki Ek Sahabiya Hain. Huzoor E Akram ﷺ Inper Bahot Hi Meharbaan The. Aur Kabhi Kabhi Inke Ghar Bhi Tashreef Le Jate The Aur Inki Zindagi Me Hi Aapne Inko Shahadat Ki Basharat Di Aur ‘Shaheeda’ Ke Laqab Se Sarfaraaz Farmaya.

 Jang e Badr Ke Mouq'a Per Inhone Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah .! Aap Mujhe Bhi Is Jang Me Chalne Ki ijazat Dee dijiye Main Zakhmoon Ki Marham Patti Aur Unki Teemedaari Karongi. Shayad Allah Ta'ala Mujhe Shahadat Naseeb Farmaye.

Ye Sun Kar Huzoor AlaihisSalatoSalam Ne Farmaya Ke Tum Apne Ghar Me Baithi Raho Allah Ta'ala Tumhe Shahadat Se Sarfaraaz Farmayega. Yaqeenan Tum ‘Shaheeda’ Ho.

Chunanche Aysa Hi Huwa Ke Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Dour e Khilafat Me Inko Inke Ghar Ke Andar Inke Ek Ghulaam Aur Ek Londi Ne Qatl Kar Diya. Aur Dono Farar Ho Gaye

Ameerul Momineen Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ko Bada Ranj Huwa. Aur Aapne In Dono Qatilon Ko Giraftaar Karaya Aur Madina Munawwara Me In Dono Ko Phansi Di  Halanke In Dono Se Pehle Madina Munawwara Me Kisi Ko Phansi Nahi Di Gayi Thi.

Umme Waraqah RadiAllahuTa'alaAnha Ki  Shahadat Ki Khabar Sun Kar Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya Ke Beshak RasoolAllah ﷺ Sachche The. Kyunke Aap Farmaya Karte The Ke Chalo Umme Waraqah Shaheeda Ki Mulaqaat Kar Len. Chunanche Aysa Hi Huwa Ke Ghar Baithe Inko Shahadat Naseeb Hogayi.

(Isti'aab, Jild :4,Safa:1965)

Tabsira

Hazrat Umme Waraqah RadiAllahuTa'alaAnha Ke Shouq e Shahadat Se Ibrat Hasil Karo. 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...