Hazrat Fatimah Binte Khattab RadiAllahuTa'alaAnha

8:45 pm

Ye Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Bahen Hain. Ye Aur Inke Shohar Hazrat Sa'eed Bin Zaid RadiAllahuTa'alaAnhu Islam Ke Shuru Hi Me Musalmaan Ho Gaye The. Magar Ye Dono Hazrat Umar Ke Dar Se Apna Islam Poshidah Rakhte The. Hazrat Umar Ku In Dono Ke Musalmaan Hone Ki Khabar Mili, To Ghusse Me Aag Babola Ho Kar Bahen Ke Ghar Pahonche. Kawad Band The. Magar Andar Se Qur'an Padhne Ki Aawaaz Aa Rahi Thi. Darwza Khat Khataya,To Hazrat Umar Ki Aawaaz Sun Kar Sab Ghar Wale Idhar Udhar Chup Gaye. Bahen Ne Darwza Khola To Hazrat Umar Chilla Kar Bole Ke..
Aye Apni Jaan Ki Dushman.. Kya Tune Bhi Islam Qubool Kar Liya Hai? 
Phir Apne Bahenvi Hazrat Sa'eed Bin Zaid RadiAllahuTa'alaAnhu Per Jhapte Aur Inki Dadhi Pakad Kar Zameen Per Pachaad Diya. Aur Marne Lage. Inki Bahen Hazrat Fatimah Binte Khattab Apne Shohar Ko Bachane Ke Liye Hazrat Umar Ku Pakadne Lageen. Inku Hazrat Umar Ne Aysa Tamacha Mara Ke Kaan Ke Jhumar Toot Kar Gir Pade. Aur Chehra Khoon Se Rangeen Ho Gaya. Bahen Ne Nihayat Jurrat Ke Sath Saaf Saaf Keh Diya Ke..
UMAR..! SUN LO TUM SE JO HO SAKE KARLO.. MAGAR AB HAM ISLAM SE KABHI HARGIZ HARGIZ NAHI PHIR SAKTE. 

Hazrat Umar Ne Bahen Ka Jo Lahu Luhaan Chehra Dekha Aur Inka Josh O Jazbaat Me Bhara Huwa Jumla Suna To Ek Dam Inka Dil Naram Padh Gaya. Thodi Dair Tak Chup Khade Rahe. Phir Kaha Ke.. 
Achcha Tum Log Jo Padh Rahe The Woh Mujhe Bhi Dikhao. Behan Ne Qur'an Shareef Ke Warqon Ko Saamne Rakh Diya.

Hazrat Umar Ne Sure Hadid Ki Chand Aayaton Ko Ba-Gour PAdha To Kanpne Lage. Aur Qur'an Ki Haqqaniyat Ki Taaseer Se Dil Be-Qabu Ho Kar Tharra Gaya. Jab Is Aayat Per Pahonche Ke
امنوا بالله و رسوله
Yani Allah Aur Uske  Rasool Per Imaan Lao. To Phir Hazrat Umar Zabt Na Kar Sake. Aankhon Se Aansu Jari Ho Gaye. Badan Ki Boti Boti Kaanp Uthi Aur Zoor Zoor Se Padhne Lage

اشهدُ أنْ لا إلهَ إلاَّ الله. واشهدُ أنَّ محمدًا عَبْدُهُ و  رسولُ الله

Phir Ekdam Uthe Aur Hazrat Zaid Bin Arqam Ke MAkaan Per Ja Kar RasoolAllah ﷺ Ke Daman e Rahmat Se Chimat Gaye. Aur Phir Huzoor ﷺ Aur Sab Musalmano Ko Apne Sath Le Kar Khane Ka'aba Me Gaye. Aur Apne Islam Ka Eelaan Kar Diya. 

Us Din Se Musalmanon Ko Khouf O Hiraas Se Sukoon Mila. Aur Haram e Ka'aba Me Eelaniya Namaaz Padhne Ka Mouqa Mila. Warna Log Pehle Gharon Me Chup Chup Kar Namaaz O Qur'an PAdha Karte The. 
(Zarqani) 

Tabsira :

Aye Islami Behno Hazrath Fatimah Binte Khattab Se Emaani Josh Aur Islami Jurrat Ka Sabaq Seekho. 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...