Hazrat Umme Khaalid RadiAllahuTa'alaAnha

6:31 pm

Ye Bhi Sahabiya Hain. Jab Musalmano Ne Habsha Ki Taraf Hijrat Ki To Ye Habsha Me Paida Huween Jab Unke Walid Habsha Se Hijrat Karke Madinah Munawwara Aaye To Inke Baap Inko Le Kar Huzoor ﷺ Ki Bargah e Aqdas Me Gaye.
Ye us  Waqt Pile (Yellow) Rang Ka Kapda Pehne Huwe Theen. Aap ﷺ  Ne Inko Dekh Kar Farmaya Ke.. Bahot Achcha Libaas Hai Bahot Achcha Kapda Hai.
Phir Ek Phooldaar Chadar Jo Bahot Hi Khoobsurat Thi Aapne Pyar O Muhabbat Se Inko Udha Di Aur Ye Farmaya Ke..
Isko Purani Kar, Isko Phaad, Ye Bahot Achchi Lagti Hai.

Is Dua Ka Matlab Ye Tha Ke Teri Umr Khoob Badi Ho Take Isko Oodhte Oodhte Purani Karde Aur Ye Bilkul Phat Jaye.

Chunancha Is Dua e Nabawi Ka Ye Asar Huwa Ke Hazrat Umme Khaalid RadiAllahuTa'alaAnha Ki Umr Is Qadr Lambi Huwi Ke In Ki Badi Umr Ka Logon Me Charcha Hota Tha. Aur Log Kaha Karte The Ke Hamne Nahi Suna Ke Jitni Lambi Umr Inhone Payi Hai Utni Badi Umr Madine Me Kisine Payi Ho.

(Bukhari و Isti'aab, Jild :4,Safa:1790)

Tabsira :

SUBHANALLAH..
Umr Lambi Ho Aur Phir Sari Umr Nekiyoun Ke Kamane Me Guzari Jaye. Isse Badh Kar Khush Naseebi Aur Kya Ho Sakti Hai?
Isliye Isme Koyi Shak Nahi Ke Hazrat Umme Khaalid RadiAllahuTa'alaAnha Neek Bakht Aur Khush Naseeb Theen Ke Huzoor ﷺ Ne Apne Dast e Mubarak Se Inko Chadar Udhayi Aur Apni Mubarak Duawon Se Inko Sarfaraaz Farma Diya Jiska Ye Asr Huwa Ke Umr Lambi Huwi. Aur Zindagi Ka Ek Ek Lamha Nekiyoun Aur Ibadaton Ki Chaon Me Guzra.

Deeni Behno..! Tum Bhi Koshish Karo Ke Jitni Bhi Umr Guzre Woh Nekiyoun Me Guzre. Ye Yaqeenan Woh Tijarat e Aakhirat Hai Ke Jis Me Naf'a Ke Siwa Kabhi Koyi Ghata Nahi Ho Sakta..! 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...