Waqia e Karbala





Waqia e Karbala Ek Azeem Waqiya Jo Tareekh-E-Islam Ka Ek Bahot Hi Ahem Tareen Waqiya Hai Is Rikkat Angez Dastaan Jo Sirf Ashqbaar Aankho Se Padhi Ja Sakti Hai. 

Sayyaddus Shohda Hazrath Imam Hussain RadiAllahuTa'AlaAnhu ,Mehboob E Khuda Sayyadul Ambiya SallallahuAlaihiWaSallam Ke Nawase Hain, Hazrath Ali Murtuza Ke Lakht E Jigar Hain Aur Hazrath Fatimah Zahra RadiAllahuTa'AlaAnha Ke Noor E Nazar Hain .... Jo Tamam Azeez O Aqarib Yahan Tak Ke Jawaan Bete Ali Akbar Aur Sheer Khwaar Sahebzade Ali Asgar Ki Dardnaaak Shahadat Ke Bawajood Himmat NAhi Hare Aur Rah E Haq Me Qurban Hogaye... Wo Shaheed Ho KAr Hamesha Ke Liye Musalmanon Ke Dilon Ki Dhadkan Ban Gaye Aur Unki Mohabbaton Ke Markaz Ban Gaye..


Yahi Wajah HAi Ke Har Saal Jab Inki Tareeq E Shahadat Qareeb Aati Hai Aur Moharram Ka Chaand Namudaar Hota HAi To Unki Yaad Logon Ke Dilon Ko Tadpati HAi Jagah JAgah Unke Zikr Ki Majlis Qayim Hoti Hai, Khane Khalaye Jate Hain Khichde PakayeJate Hain Aur Tarha Tarha Se Unki Bargah Me Nazr O Niyaaz Pesh Ki JAti Hai .. Aur In Sha Allah Ye Silsila Qayamat Tak Ayse Hi Jari Rahega Yazeediyoun Ki Hazaar Mukhalifat Ke Ba-Wajood Kabhi Nahi Mitega.
Rahega Yu Hi Unka Charcha Rahega Pade Khaaq Ho Jaye Jal Jaane Waale
  Waqia E Karbala Ko Hamne Yahan Per Roman Urdu Me Likha Hai .Jisko Bhi Urdu Padhne Ya English Samajhne Me Dushwari Hoti Hai O Yahan Se Ba Aasani Karbala Ki Dastaan Ko Padh Sakte Hain ..

Waqia E KArbala Ko Roman Urdu Me Is Kitaab  "Haqqani Takhreren"
Musannif  "Hazrth Allama Al-Haaj Abdul Mustafa Aazmi Mujadidi Madazillahu" Se Likha Gaya Hai

Ahele Ilm Se Guzarish Ke Kahi Koi Sharai Galti Nazar Aaye To Lillah Islah Farmayen 
sunnisistersknowledge@gmail.com

◆  Mahe Muharramul Haraam

◆  Shohda e Karbala

◆  Yazeed Paleed

◆  Rouza-E-Munawwara Per Imam Ka Aakhri Salam

 Kofiyo Ki Dedh-Saw(150) Arziya

 Imam Kufa Kyun Gaye?

◆  Hazrat Muslim Ki Rawangi

 Kufiyo(n) Ki Be-Wafayi

Hazrath Imam Muslim Ki Shahadat

 Hazrath Imam Kufa Rawana Huwe

◆  Karbala Janewale Ahle Bait

 Hazrath Muslim Ki Shahadat Ki Khabar

Hur aur Ek Hazar Sawar

◆  Hazrath e Imam Karbala Me

 Ibne Sa'ad

◆  Ahle Bait Per Paani Band

◆  Hazrath Imam Ki Isteqamat

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...