Hazrath Khadijah RadiAllahuTa'alaAnha

8:37 am

Ye RasoolAllah ﷺ Ki Sabse Pehli Biwi Aur Rafeeqaye Hayat Hain.YE Khandan-E-Quraysh Ki Bahot Hi Bawaqar Wa Mumtaz Khatoon Hain.Inke Walid Ka Naam Khuwaylid Bin Asad Aur Inki Maa Ka Naam Fatimah Binte Zaieda Hai.Inki Sharafat Aur Paak Damani Ki Bina Per Tamam Makke Wale Inku "Tahira" Ke Laqab Se Pukara Karte The Unhone Huzoor ﷺ Ke Aqlakh O Aadat Aur Jamaale Surat Aur Kamaal-e-Seerat Ku Dekh Kar Khud Hi Aap Se Nikah Ki Raghbat Zahir Ki Chunanche, Ashraaf Quraysh Ke Majme Me Bakhaida Nikah Huwa .


Ye RasoolAllah ﷺ Ki Bahot Hi Janisaar Aur Wafa Shu'ar Biwi Hain .Aur Huzoor E Aqdas ﷺ Ko Inse Bahot Hi Be-Panah Mahobbat Thi .Chunanche Jab Tak Ye Zinda Rahen,Aap Ne Kisi Doosri Aurat Se Nikah Nahi Farmaya .Aur Ye Musalsil Pachchis(25) Saal Tak Mehbobe Khuda Ki Janisari O Khidmat Guzari Ke Sharf Se Sarfaraz Hain.



Huzoor ﷺ Ko Bhi Inse Is Qadar Mohabbat Thi Ke Inki Wafat Ke Baad Aap Apni Mehboob Tareen Biwi Hazrath Aayesha RadiAllahuAnha Se Farmaya Karte The Ke Khuda Ki Qasam !! Khadijah Se Behtar Mujhe Koi Biwi Nahi Mili. Jab Sab Logon Ne Mere Sath Kufr Kiya Us Waqt O Mujh Per Imaan Layi Aur Jab Sab Log Mujhe Jhutla Rahe The Us Waqt Unhone Meri Tasdeeq Ki Aur Jis Waqt Koi Shaksh Mujhe Koi Cheez Dene Ke Liye Tayyar Na Tha Us Waqt Khadijah Ne Mujhe Apna Sara Maal Aur Sara Saman Dediya Aur Inhi Ke Shikam Se Allah TAla Ne Mujhe Aulaad Ata Farmayi .
(Zarkhani Jild 3 Safa 224 O Istiaab Jild 4 Safa 1817 )

Is Baat Per Sari Ummat Ka Ittefaq Hai Ke Sabse Pehle Huzoor ﷺ Ki Nabuwat Per Yahi Imaan Layen .Aur Ibtidaye Islam Me Jab Ke Har Taraf Aapki Mukhalifat Ka Toofan Utha Huwa Tha Aise Khoof Naak Aur Kathin Waqt Me Sirf Ek Hazrath Khadijah Hi Ki Zaat Thi Jo Parwano K Tarha Huzoor Per Qurbaan Ho Rahi Theen .Aur Itne Khatarnaak Aukhat Me Jis Isteqlaal O Isteqamat Ke Sath Unho Ne Khatrat O Masa'Ib Ka Mukhabila Kiya. Is Khususiyat Me Tamam Azwaje Mutahrat Per Inko Ek Mumtaz Fazilat Hasil Hai.


Inke Fazail Me Bahot Si Hadesen Bhi Aayi Hain.Chunanche Huzoor E Akram ﷺ Ne Farmaya Ke Tamam Duniya Ki Auraton Me Sabse Ziyada Achchi Aur Ba Kamal Char Bibiyan Hain .
Ek Hazrath e Maryam,  Dosri HAzrath e Aasiya Firon Ki Biwi, 
Teesri Hazrathe Khadijah ,
Couthi(4th) HAzrathe Fatimah.
RadiAllahuAnhum



Ek Martaba HAzrath Jibrail AlaihisSalam Darbare Nabuwat Me Hazir Huwe Aur Arz Kiya Ke Aye Muhammed ﷺ Ye Khadijah Hain Jo Aap Ke Paas Ek Bartan Me Khana Le Kar Aa Rahi Hain. Jab Ye Aap Ke Paas Aa Jayen To Unse Unke Rab Ka Aur Mera Salam Keh Dijiye. Aur Unku Ye Khushkhabri Sunadijiye Ke Jannat Me Inke Liye Moti Ka Ek Ghar Bana Hai Jis Me Na Koi Shoor Hoga Na Koi Takleef Hogi 
(Bukhari Jild 1 Safa 539)



Sarkar E Do Jahan ﷺ Ne Inki Wafat Ke Baad Bahotsi Auraton Se Nikah Farmaya. Lekin, HAzrath Kadijah Ki Mohabbat Aakhri Umr Tak Huzoor Ke Qalb-E-Mubarak Me Rachi Basi Rahi .Yahan Tak Ke Unki Wafat Ke Baad Jab Bhi Huzoor Ke Ghar Me Koi Bakri Zabah Hoti To Aap ﷺ HAzrath Kadijah Ki Sehliyon Ke Yahan Bhi Zaroor Gosht Bheja Karte The Aur Hamesha Aap ﷺ Baar Baar Hazrath Bibi Khadijah Ka Zikr Farmate Rehte The. 




Hijrat Se Teen(3) Bars Qabal Paynsat((65) Baras Ki Umr Pa Kar Mahe Ramzan Me Makke Mukarrama Ke Andar Inhone Wafat Payi.Aur Makke Mukarrama Ke Mashhoor Qabristan Hajun(Jannatul Mu'alla) Me Khud HUzoor E Aqdas ﷺ Ne Inki Qabr Me Utar Kar Apne Muqaddas Hathon Se Inku Supurde Khaak Farmaya. Is Waqt Tak Namaz E Janaza Ka Hukm NAzil Nahi Huwa Tha. Isliye, Huzoor Ne Inke Janaze Ki Namaaz Nahi Padhayi HAzrath Khadijah Ki Wafat Se Teen Din Ya Panch(5) Din Pehle HUzoor Ke Chacha Abu Talib Ka Inteqaal Hogaya Tha. Abhi Chacha Ki Wafat Ke Sadme Se Huzoor ﷺ Ka Qalb-E-Nazuk Rang O Gham Se Nidhal Tha Hi Ke Hazrath Khadijah  رضي الله عنها Ka Inteqal Ho Gaya.Is Saaneh Ka Qalb-E-Mubarak Per Itna Zabardast Sadma Guzra Ke Aap Ne Is Saal Ka Naam "Aam-Ul-Huzn"(Gham Ka Saal ) Rakh Diya.



Tabsira

HAzrath Ummul Momineen Hazrat Khadijah RadiAllahAnha Ki Muqaddas Zindagi Se Maa Behno Ko Sabakh Hasil Karna Chahiye, Ke Unhone Kaise Kathin Aur Mushkilaat Ke Dour Me Huzoor -E-Akram ﷺ Per Apna Tan Man Dhan Sab Kuch Qurbaan Kar Diya.Aur Seena Super Hokar Tamam Masaib O Mushkilaat Ka Maqabila Kiya Aur Pahad Ki Tarha Imaan O Amal-E-Saleha Per Sabit Qadam Rahe Aur Masaib O Aalaam Ke Toofan Me Nihayat Hi Janisari Ke Sath Huzoor ﷺ Ki Dil Joi Aur Taskeen-E-Qalb Ka Saman Karti Rahein Aur Inki In Qurbaniyon Ka Duniya Hi Me Ye Sila Mila Ke Rabbul Aalameen Ka Salam Inke Naam Lekar Hazrath Jibrail AlaihisSalam Nazil Huwa Karte The. Isse Maloom Huwa Ke Mushkilaat Aur Pareshaniyon Me Apne Shohar Ki Dil Joi Aur Tasalli Dene Ki Aadat Khuda Ke Nazdeek Mehboob O Pasandeda Khaslat Hai.Lekin, Afsoos Ke Is Zamane Me Musalmaan Auraten Apne Shoharon Ki Dil Joi To Kahan!!! Ulthe Apne Shoharon Ko Pareshan Karti Rehti Hain Kabhi Tarha Tarha Ki Farmaishen Karke Kabhi Jhagda Takraar Karke Kabhi Gusse Me Muh Phaila Karke.





Maa Behno -- Tumhe Khuda Ka Wasta Dekar Kehta Hoon Ke Apne Shoharon Ka Dil Na Dukhao Aur Unku Pareshaniyon Me Na Dala Karo Balke Aade Waqton Me Apne Soharon Ko Tasalli De Kar Unki Dil Joi Kiya Karo. 


Tazkira 🌹 *Sayyida Tayyaba Zahida Tahira Ummul Momineen Khadijat-ul-Kubra RadiAllahuTa'alaAnha*
Sama'at Farmaye aur share karen.
Khususi Isaal e Sawaab bhi karen.
Click here 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...