Hazrath Zainab Bint Jahsh RadiAllahuTa'alaAnha

4:37 pm




Ye Huzoor ﷺ Ki Phupi Umaima Bint  Abdul Mutallib Ki Beti Hain. Huzoor ﷺ Ne Apne Aazad Karda Ghulam Aur Mutabanna  Hazrath Zaid Bin Haris Se Unka Nikah Kar Diya Tha. Lekin Khuda Ki Shaan Ke Miyan Biwi Me Nibah Na Ho Saka. Aur Zaid RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inko Talaq Dedi. Jab Inki Iddat Guzar Gayi To Achanak Ek Din Ye Aayat Utar Padi Ke.

"Jab Zaid Ne Hajat Puri Kardi (Talaq Dedi Aur Iddat Guzargayi) To Hamne (Zainab Ka) Aap Ke Sath Nikah Kar Diya."
(Sure Ahzaab)

Is Aayat Ke Nazil Hone Per RasoolAllah ﷺ Ne Muskurate Huwe Irshaad Farmaya. Koun Hai Jo Zainab Ke Pass Ja Kar Ye KhushKhabri Sunade Ke...  Allah Ta'ala Ne Mera Nikah Uske Sath Kar Diya.

Ye Sun Kar Ek Khadima Doudhi Huwi Gayi Aur Hazrat Zainab RadiAllahuTa'alaAnha Ko Ye KhushKhabri Sunadi.

Hazrath Zainab Ku Ye KhushKhabri Sun Kar Itni Khushi Huwi Ke Apne Zewraat Utar Kar Qadima Ko Dediya. Aur Khud Sajde Me Gir Paden. Aur Phir 2 Mah Lagataar Shukriya Ka Roza Rakha.

Huzoor ﷺ Ne Hazrath Zainab Ke Sath Nikah Karne Per Itni Badi Dawat e Walima Farmayi Ke Kisi Biwi Ke Nikah Per Itni Badi Dawat e Walima Nahi Ki Thi. Tamam Sahaba e Keeram Ko Aapne Naan - Gosht Khilaya.
(Bukhari O Mishkaat, Jild :2, Safa:278)

Huzoor ﷺ Ki Muqaddas Bibiyoun Me Hazrath Zainab Bint Hajash RadiAllahuTa'alaAnha Is Khususiyat Me Sab Bibiyoun Se Mumtaz Hain Ke Allah Ta'ala Ne Inka Nikah Khud Apne Habeeb Se Kar Diya.

Inki Ek Khususiyat Ye Bhi Hai Ke Ye Apne Hath Se Kuch Dastkari Karke Iski Aamadni Fuqara Wa Masakeen Ku Diya Karti The(n).

Chunanche, Ek Martaba Huzoor ﷺ Ne Farmaya Tha Ke Meri Wafat Ke Baad Sabse Pehle Meri Us Biwi Ki Wafat Hogi Jis Ke Hath Sab Biwiyoun Se Lambe Hain. Ye Sun Kar Sab Bibiyoun Ne Ek Ladki Se Apna Apna Hath Napa, To Hazrath Saudah RadiAllahuanha Ka Hath Sabse Lamba Nikla. Lekin Jab Huzoor ﷺ Ki Wafat e Aqdas Ke Baad Sabse Pehle Hazrath Zainab Bint Jahsh RadiAllahuTa'alaAnha Ki Wafat Huwi To Logon Ki Samajh Me Ye Baat Aayi Ke Hath Lamba Hone Se Huzoor AlaihisSalatoSalam Ki Muraad Kasrat Se Sadqa Dena Tha.

Behre Haal.. Apni Qism Qism Ki Sifaat e Hamida Ki Ba-Doulaat Ye Tamam Azwaje Mutahrat Me Khususi Imtiyaaz Ke Sath Mumtaz The(n).

20 Sane Hijri Ya 21 Sane Hijri Me Madine Munawwara Ke Andar Inki Wafat Huwi. Aur Ameer ul Momineen Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Har Kuche O Bazaar Me A'laan Kara Diya Tha Ke Sab Log Ummul Momineen Ke Janaze Me Shareek Hoon.

Chunanche, Bahot Bada Majma Huwa. Amwerul Momineen Ne Khud Hi Inki Namaaz e Janaza Padhayi Aur Inku Jannat ul Baqi Me Huzoor ﷺ Ki Dosri Biwiyoun Ke Pehlu Me Dafan Kiya.
(Madarijun Nabuwwat, Jild :2,Safa :476)

Tabsira :

Hazrath Zainab RadiAllahuTa'alaAnha Ku Huzoor ﷺ Ki Zaat Se Kis Qadar Walihana Mohabbat Aur Ishq Tha Ke Unhone Apne Nikah Ki Khabar Sun Kar Apna Sara Zewar Khushkhabri Sunane Wali Londi Ku De Diya. Aur Sajda e Shukr Ada Kiya. Aur Khushi Me 2 Mah Lagataar Roza Rahe(n).

Phir Zara Sakhawat Per Bhi Ek Nazar Dalo Ke Shahensha E Darain Ki Malika Ho Kar Apne Hath Ki Kamayi Se Jo Kuch Kamaya Karti The(n). O Fuqra O Masakeen Ku Dediya Karti The (n). Aur Sirf Isliye Mehnat O Mushaqqat Karti The(n) Ke Faqeeron Aur Mohtajon Ki Imadad Karen.

Allahu Akbar...! Mohabbat e Rasool Aur Miskeen Nawazi O Ghareeb Parwari Ke Ye Jazbaat Tamam Musalmaan Awraton Ke Liye Nasihat Aamooz Wa Qabil e Taqleed Shahkaar Hain. KhudaWande Kareem Sab Awraton Ko Toufeeq Ata Farmaye.. Aameen





You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...