Hazrat Khansa RadiAllahuTa'alaAnha

10:34 am

Ye Zamane Jahiliyat Me Bahot Badi Marsiyah Go Sha'airah Theen. Yahan Tak Ke "Ukkaz" Ke Mele Me Unke Qeme Per Jo Sign Board Lagta Tha  Us Per 'Arab ki Sabse Badi Marsiyah Go Sha'airah' Likha Hota Tha.

Ye Musalmaan Huween Aur Hazrat Ameerul Momineen Hazrat Umar Farooq e Aazam RAdiAllahuTa'alaAnhu Ke Darbaar e Khilafat Me Bhi Hazir Huween.

Inki Sha'ayiri Ka Diwaan Aaj Bhi Moujood Hai. Aur Ulama Adab Ka Ittefaaq Hai Ke Marsiyah Ka Fan Me Aaj Tak Khansa Ka Misl Paida Nahi Huwa.

Inke Mufassil Halaat Allama Abul Farj Asfahani Ne Apni Kitaab "Kitab - ul-Aghani" Me Tehreer Kiye Hain .

Ye Sahabiyat Ke Sharf Se Sarfaraz Hain Aur Be-Misaal Sha'air Goyi Ke Sath Ye Bahot Hi Bahaddur Bhi Theen .

Muharram 14 Sane Hijri Me Jang e Qadsiya Ke Khoon Reez Mu'arika Me Ye Apne Chaar Jawaan Beton Ke Sath Tashreef Le Gayeen . Jab Maidaan E Jang Me Ladayi Ki Safen Lag Gayeen Aur Bahadduron Ne Hathiyaar Sambhal Liye. To Inhone Apne Beton Ke Saamne Ye Taqreer Ki Ke..

"Mere Pyare Beton..! Tum Apne Mulk ko Do-Bhar Na The  Na Tum Per Koyi Qahet PAdha Tha. Bawajood Iske Tum Apni Budhi Maa Ko Yahan Laye Aur Faras Ke Aage Daal Diya Khuda Ki Qasam Jis Tarha Tum Ek Maa Ki Awlaad Ho Isi Tarha Ek Baap Ke Bhi Ho . Maine Kabhi Tumhare Baap Se Baddiyani Nahi Ki Na Tumhare Mamu Ko Ruswa Kiya. Lo Jao . Aakhir Tak Lado."

Beton Ne Maa Ki Taqreer Sun Kar Josh Me Bhare Huwe Ek Sath Dushmano Per Hamla Kar Diya  Jab Nigah Se Oujhal Ho Gaye. To Hazrat Khansa RadiAllahuTa'alaAnha Ne Aasmaan Ki Taraf Hath Utha Kar Kaha Ke Ilahi .! Tu Mere Bachchon Ka Hafiz o Nasir Hai Tu Unki Madad Farma.

Charon Bhaiyoun Ne Intehayi Dileri Aur Jaan Baazi Ke Sath Jang Ki Yahan Tak Ke Charon Is Ladayi Me Shaheed Ho Gaye.  Ameerul Momineen Hazrat Umar Farooq RadiAllahuTa'alaAnhu Is Waqi'a Se Behad Mutasir Huwe. Aur In Charon Beton Ki Tankhwahen Inke Maa Hazrat Khansa RadiAllahuTa'alaAnha Ko Ata Farmane Lage.

Tabsira :

Khawateen e Islam..! Khuda Ke Liye Hazrat Khansa Ka Dil Apne Seenon Me Paida Karo  Aur Islam Per Apne Beton Ko Qurbaan Kar Dene Ka Sabaq Is Deendaar Aur Jaan Nisaar Awrat Se Seekho Jis Ke Josh e Islam O Jazba e Jihaad Ki Yaad Qayamat Tak Faramosh Nahi Ki Ja Sakti. (RadiAllahuTa'alaAnha)
(Isti'aab  Jild 4, Safa 1826)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...