Hazrath Safiyah RadiAllahuTa'alaAnha

6:56 pm

Ye Khaibar Ke Sardaar e Aazam Huayayy  Bin Akhtab Ki Beti Aur Khabila e Banu Nazeer Ke Rais e Aazam Kenana Bin Al Haqeeq Ki Biwi The(n). Jo Jang e Khaibar Me Musalmaano Ke Hathon Se Qatl  Huwa. Ye Khaibar Ke Qaidiyoun Me Giraftaar Ho Kar Aaye(n). RasoolAllah ﷺ Ne Inki Ki Khandani Izzat O Wajahat Ka Khayaal Farma Kar Apni Azwaj e Mutahrat Aur Ummat Ki Maaon Me Shamil Farma Liya.

Jang e Khaibar Se Wapasi Me 3 Dino Tak Manzil e Sahba Me Aap Ne Unko Apne Khaime Ke Andar Apni Qurbat Se Sarfaraaz Farmaya. Aur Inke Walime Me Khajoor,  Ghee,Paneer Ka Malida Aap Ne Sahaba e Keeram Ku Khilaya.

Huzoor ﷺ Inka Bahot Ziyada Khiyaal Rakhte The. Ek Martaba Hazrath Bibi Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Unko Past Qad Keh Diya To Huzoor ﷺ Ne Hazrath Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ku Is Qadr Gusse Me Bhar Kar Danta Ke Kabhi Bhi Inko Itna Nahi Danta Tha.

 Isi Tarha Ek Martaba Hazrath Zainab RadiAllahuTa'alaAnha Ne Unko Yahudiya Keh Diya, To Ye Sun Kar RasoolAllah ﷺ Hazrath Zainab Per Is Qadr Khafa Ho gaye Ke 2, 3 Mah Tak Inke Bistar Per Qadam Nahi Rakha.

Ye Bahot Hi Ibadat Guzaar Aur Deendaar Hone Ke Sath Sath Hadees O Fiqha Sekhne Ka Bhi Jazba Rakhti The(n).

Chunanche, 10 Hadeesen Bhi Inse Marvi Hain.

Inki Wafat Ke Saal Me Ikhtelaaf Hai. Waqdi Ne 50 Hijri Aur Ibn e Sa'ad Ne 52 Sane Hijri Likha Hai.

Ye Bhi Madine Ke Mashoor Qabristaan Janant ul Baqi Me Madfoon Hain.
(Madarijun Nabuwwat, Zarkhani)

Tabsira:

Huzoor E Akram ﷺ Ne Inse Mahez Is Bina Per Khud Nikah Farma Liya Take Inke Qandani Aeezaaz O Ikram Me Koi Kami Na Hone Paye.

Tum Gour Se Dekhoge To Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Ziyadah Tar Jin Jin Awraton Se Nikah Farmaya Woh Kisi Na Kisi Deeni Maslihat Hi Ki Bina Per Huwa. Kuch Awraton Ki BeKasi Per Raham Farma Kar Aur Kuch Awraton Ke Qandani Aeezaaz O Ikraam Ku Bachane Ke Liye Kuch Awraton Se Is Bina Per Nikah Farma Liya Ke Woh Ranj O Gham Ke Sadmon Se Nidhal The(n) Lihaza Huzoor Ne Inke Zakhmi Dilon Per Marham Rakhne Ke Liye Inku Ye Aeezaaz Baksh Diya Ke Apni Azwaje Mutahraat Me Inku Shamil Kar Liya.

Huzoor ﷺ Ka Itni Awraton Se Nikah Farmana Hargiz Hargiz Apni Khwahish e Nafs Ki Bina Per Nahi Tha. Aur Iska Sabse Bada Suboot Ye Hai Ke Huzoor Ki Bibiyoun Me Hazrath Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ke Siwa Koi Bhi Kanwari Nahi The(n).  Balke, Sab Umr Daraaz Aur Bewa The(n). Halanke Agar Huzoor ﷺ Khwahish Farmate To Kounsi Aysi Kanwari Ladki Thi Jo Huzoor Se Nikah Karne Ki Tamannayen Na Karti Magar Darbaar E Nabuwwat Ka To Ye Mamla Hai Ke Shahensha e Do Aalam Ka Koi Qoul Koi Fa'el Ishara Bhi Aysa Nahi Huwa Jo Deen Aur Deen Ki Bhalayi Ke Liye Na Ho.

Aap Ne Jo Kaha Aur Jo Kiya Sab Deen Hi Ke Liye Kiya. Balke Aap Ki Zaat e Akram Hi Mujassim E Deen Hai.

Allahumma Salli WA Sallim WA Barik Ala Sayyidina Muhammadin WA Aalihi WA Ashabihi Ajmaeen.

Ye Huzoor E Akram Shahensha e KOnain ﷺ Ki Woh 11 Azwaje Mutahrat Hain Jin Per Tamam Mua'arikheen Ka Ittefaaq Hai. Inka Mukhtasar Tazkira Tum ne Padh Liya Agar Mufassil Haal Padhna Ho to Seerate Mustafa SallallahuTa'alaAlaihiWasallam Padho.

Ab Ham Huzoor Sultaane Do Aalam ﷺ Ki Un Chaar (4)  Sehzadiyoun Ka Mukhtasar Tazkira Likhte Hain Jo Swalihaat Aur Neek Bibiyoun Ki Ladi Me Aabdaar Motiyoun Ki Tarha Chamak Rahi Hain.

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...