Hazrat Umme Haani Bint Abu Talib RadiAllahuTa'alaAnha

12:13 am

Ye Hazrat Ali RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Behan Hain. Fath Makka Ke Saal 8 Sane Hijri Me Inhone Islam Qubool Kar Liya Tha. Zuhoor e Islam Se Pehle Hi Inki Shadi Hubayra bin Abi Wahb Ke Sath Ho Gayi Thi. Hubayra Apne Kufr Per Ada Raha. Aur Musalmaan Nahi Huwa. Isliye Miyan Biwi Me Judayi Ho Gayi. Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Inke Zakhmi Dil Ko Taskeen Dene Ke Liye Inke Pass Kehla Bheja Ke Agar Tumhari Khwahish Ho To Main Khud Tumse Nikah Karlon.
Unhone Jawaab Me Arz Kiya Ke.
Ya RasoolAllah ﷺ Jab Main Kufr Ki Halat Me Aapse Muhabbat Karti Thi. To Phir Islam Ki Doulat Mil Jane Ke Baad Me Kyun Na Aapse Muhabbat Karongi. Lekin Badi Mushkil Ye Hai Ke Mere Chote Chote Bachche Hain. Mujhe Khouf Hai Ke Mere In Bachchon Ki Wajah Se Aap Ko Koyi Takleef Na Pahonch Jaye. Huzoor ﷺ Unka Jawaab Sun Kar Mutmain Ho Gaye.
(Isti'aab, Jild :4)

Hazrat Umme Haani Radi RadiAllahuTa'alaAnha Ki Ye Do Khususiyat Bahot Ziyadah Ba'ais E Sharaf Hain.

Ek Ye Ke Fatah e Makka Ke Din Hazrat Umme Haani RadiAllahuTa'alaAnha Ne Ek Kafir Ko Amaan Aur Panah Dedi Iske Ba'ad Hazrat Ali RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Us Kafir Ko Qatl Karna Chaha.Jab Hazrat Umme Haani Ne Huzoor ﷺ Se Arz Kiya.
To Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Jisko Tumne Amaan Dedi Usko Ham Ne Bhu Amaan Dedi.

Dosri Ye Ke Fatah Makka Ke Din Huzoor ﷺ Ne Inke MAkaan Per Ghusl Farmaya Aur Khana Nosh Farmaya Phir Aath(8)Raka'at Namaaz e Chasht Ada Farmayi.

(Tirmidhi , JuldJ1,Safa :62,
Bukhari , Jild:1,Safa:446)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...