Hazrath Halima Sadiyah RadiAllahuTa'alaAnha
6:48 pm
Ye Woh Muqaddas Aur Khush Naseeb Awrat Hain Ke Inhone Hamare RasoolAllah ﷺ Ko Doodh Pilaya Hai. Jab RasoolAllah ﷺ Ne Makka Fatah Ho Jane Ke Ba'ad Taif Ke Shehar Per Jihaad Farmaya. Is Zamane Me Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Apne Shohar Aur Bete Ko Lekar Bargah e Risalat Me Hazir Huwe(n). To RasoolAllah ﷺ Ne Inke Liye Apni Chadar e Mubarak Ko Zameen Per Bicha Kar Inko Is Per Bithaya Aur In'aam O Ikraam Se Bhi Nawaza. Aur Ye Sab Kalma Padh Kar Musalmaan Ho Gaye.
( Istiaab, Jild :4,Safa :1812)
Tabsira :
Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr e Anwar Madina Munawwara Me Jannatul Baqi Ke Andar Hai. 1959 Sane Iswi Me Jab My Madina Tayyaba Hazir Huwa Aur Jannatul Baqi Ke Mazaraat e Muqaddas Ki Ziyaraton Ke Liye Gaya. To Yeh Dekh Kar Qalb o Dimagh Per Zanj O Gham Aur Sadmaat Ke Pahaad Toot Pade Ke Zalim Najdi Wahabiyon Ne Tamam Mazaraat Ko Todh Phodh Kar Aur Qubbon Ko Gira Kar Phenk Diya Hai. Sirf Tuti Phuti Qabron Per Chand Patthar Ke Tukde Pade Huwe Hain. Aur Safai Suthrai Ka Bhi Koi Ahtimam Nahi Hai.
Beharhaal Sab Muqaddas Qabron Ki Ziyarat Karte Huwe Jab My Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr e Anwar Ke Samne Khada Huwa To Dekh Kar Hairaan Rah Gaya Ke Jannatul Baqi Ki Kisi Qabr Per Maine Koyi Ghaas Aur Sabzah Nahi Dekha. Lekin Hazrat Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr Shareef Ko Dekha Ke Bahot Hi Hari Aur Shadaab Ghanson Se Puri Qabr Chupi Huwi Hai. Main Hairat Se Dair Tak Is Manzar Ko Dekhta Raha. Aur Aakhir Maine Apne Gujrati Sathiyoun Se Kaha Ke Logo..! Batao Tum Logon Ne Jannatul Baqi Ki Kisi Qabr Per Bhi Ghaas Jami Huwi Dekhi.
Logon Ne Kaha Ke "Ji Nahi" Maine Kaha Ke Hazrath Bibi Halima Ki Qabr Ko Dekho Ke Kaisi Hari Hari Ghason Se Ye Qabr Sar Sabz O Shadaab Ho Rahi Hai.
Logon Ne Kaha Ke "Ji Haan Beshak" Phir Maine Kaha Ke Kya Iski Koyi Wajah Tum Logon Ki Samajh Me Aa Rahi Hai..! Logon Ne Kaha Ke "Ji Nahi.Aap Hi Batayiye.To Maine Keh Diya Ke Is Waqt Mere Dil Me Ye Baat Aayi Hai Ke Inhone Huzoor Rahmatul Lil Aalameen ﷺ Ko Apna Doodh Pila Pila Kar Seeraab Kiya Tha. To Rabbul Aalameen Ne Apni Rahmat Ke Paniyoun Se Inki Qabr Per Hari Hari Ghas Uga Kar Inki Qabr Ko Sar Sabz O Shadaab Kar Diya Hai.
Meri Ye Taqreer Sun Kar Tamam Hazireen Per Aysi Riqqat Taari Huwi Ke Sab Log Cheekh Maar Maar Kar Rone Lage Aur Main Khud Bhi Rote Rote Nidhaal Ho Gaya.
Phir Mere Muhhib e Mukhlis Seeth Al-Haaj Usmaan Ghani Ahmadabadi Ne Itr Ki Ek Badi Shishi Jis Me Se Do Do Teen Teen Qatara Woh Har Qabr Per Dalte The Ekdam Puri Shishi Unhone Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr Per Undail Di Aur Rote Rote Kaha Ke Aye Dayi Halima Khuda Ki Qasam Agar Aap Ki Qabr Ahmadabaad Me Hoti To Main Aap Ki Qabr Ko Itr Se Dho Deta. Phir Badi Dair Ke Baad Hamare Dilon Ko Sukoon Mila. Aur Maine Mudh Kar Piche Dekha To Lag Bhag Pachaas Aadmi Mere Piche Khade The Aur Sabki Aankhen Aansuon Se Tar The(n). Ya Allah Phir Dubara Ye Mouqa Naseeb Farma.

0 comments