Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha

6:55 pm



Ye Sardaar e Makka Hazrath Abu Sufyaan RAdiAllahuTa'alaAnhu Ki Beti Aur Hazrat Ameer Mu'awiyah RAdiAllahuTa'alaAnhu Ki Behan Hain. Inki Maa "Safiyyah Bint Aas" Hain Jo Ameer ul Momineen Hazrat Usmaan Ghani RAdiAllahuTa'alaAnhu Ki Phupi Hain.

Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ka Nikah Pehle Ubaydullah  Bin Jahash Se Huwa Tha. Aur Miyan Biwi Dono Islam Qubool Karke Habsha Ki Taraf Hijrat Karke Chale Gaye The. Magar Habsha Ja Kar Ubaydullah  Bin Jahash Nasrani Ho Gaya. Aur Isaiyoun Ke Sohbat Me Sharaab Pite Pite Mar Gaya. Lekin Hazrat Umee Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Apne Imaan Per Qayeem Rahe(n). Aur Badi Bahadduri Ke Sath Masaib O Mushkilaat Ka Muqabila Karti Rahe(n).

Jab Huzoor E Akram ﷺ Ko Unke Haal Ki Khabar Huwi To Qalb e Nazuk Per Behad Sadmah Guzra. Aur Aap Ne Hazrath Amr Bin Umayyah Zamri RAdiAllahuTa'alaAnhu Ko Unki Dil Joyi Ke Liye Habsha Bheja Aur Najashi Badsha e Habsha Ke Naam Khat Bheja Ke Tum Mere Wakeel Ban Kar Hazrath Umme Habeeba Ke Sath Mera Nikah Kardo. Najashi Badsha Ne Apni Londi(Slave Girl)  Ke Zariye RasoolAllah ﷺ Ka Paigham Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ke Pass Bheja.

Jab Hazrath Bibi Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ne Ye Khushkhabri Ka Paigham Suna To Khush Ho Kar Abraha Londi Ko Inaam Ke Tour Per Apna Zewar Utaar Kar De Diya.

Phir Apne Mamu Zaad Bhai Hazrath Khalid Bin Sa'eed RadiAllahuTa'alaAnhu Ko Apne Nikah Ka Wakeel Bana Kar Najashi Badsha Ke Pass BhejDiya.

Aur Unhone Bahot Se Muhajireen Ko Jama Karke Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ka Nikah Huzoor ﷺ Ke Sath Kar Diya. Aur Apne Pass Se Mehar Bhi Ada Kar Diya.

Aur Phir Pure A'ezaaz Ke Sath Hazrath Sharhubeel  Bin Hasana RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Sath Madina Munawwara Huzoor ﷺ Ke Pass Bhej Diya.

Aur Ye Huzoor ﷺ Ki Muqaddas Biwi Aur Tamaam Musalmaano Ki Maa Ban Kar Huzoor Ke Khana e Nabuwwat Me Rahne Lage(n).

Ye Sakhawat o Shuja'at, Deendari Aur Amanat O Diyanat Ke Sath Bahot Hi Qawi Imaan Wali Thi(n).

Ek Martaba Inke Baap Abu Sufyaan Jo Abhi Kafir The, Madine Me Inke Ghar Aaye Aur RasoolAllah ﷺ Ke Bistar Per Baith Gaye. Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ne Zara Bhi Baap Ki Parwah Nahi Ki Aur Baap Ko Bistar Se Utha Diya. Aur Kaha Ke My Hazgiz Isko Gawara Nahi Kar Sakti.Ke Ek Napaak Mushrik Rasool ﷺ Ke Is Paak Bistar Per Baithe.

Isi Tarha Inke Joshe Imaani Aur Jazba E Islami Ke Waqi'aat Ajeeb Ajeeb Hain. Jo Tarikhiyoun Me Likhe Huwe Hain.

Bahut Hi Deendaar Aur Pakiza Awrat Thi. Bahot Si Hadeese Bhi Yaad Thi. Aur Intehayi Ibadat Guzaar, Aur Huzoor ﷺ Ki Be-Inteha Qidmat Guzaar Aur Wafadaar Biwi Thi.

44 Hijri Me Madine Munawwara Ke Andar Inki Wafat Huwi. Aur Jannatul Baqi Ke Qabrastaan Me Dosre Azwaje Mutahrat Ke Khateerah Me Madfoon  Huwe..!
(Zarkhani, Jild 3 Safa 242,)


Tabsira :

Allahu Akbar..! Hazrath Bibi Umme Habeeba Radiallahuta'alaanha Ki Zindagi Kitni  Ibrat  Khaiz  Aur  Ta'ajub  Angez  Hai . Sardar E Makka Ki Shazadi Hoker Deen Ke Liye  Apna  Watan Chod  Kar  Habsha Ki Door  Daraaz  Jagah   Me  Hijrat Karke Chali Jati  Hain  Aur  Panhaguzen  Ki  Ek Jhonpdi  Me  Rehne  Lagti  Hain.
Phir Bilkul Nagahan Ye Musibat Ka Pahad Toot Padta Hai Ke Shohar Jo Pardes Ki Zameen Me Tanha Ek Sahara Tha. Isai Hokar Alag Thalag Hogaya.  Aur Dusra Koi Sahara Nahi Rahgaya. Magar Aise Nazuk Aur Khatarnaak Waqt Me Bhi Zara Bhi Unka Qadam Nahi Dagmagaya. Aur Pahad Ki Tarha Deen E Islam Per Qaim Rahe
Ek Zara Bhi Unka Housla Past Nahi Howa, Na Unhoun Ne Apne Kafir Baap Ko Yaad Kiya, Na Apne Kafir Bhaiyoun Bhatijoun Se Koi Madad Talab Ki Khuda Par Tawakkal Karke Ek Namanus Pardees Ki Zameen Me Badi Khuda Ki Ibadat Me Lagi Rahen. Yahan Tak Ke Khuda Ke Fazl O Karam Aur Rahmatul Lil Aalameen Ki Rahmat Ne Unki Dastagiri Ki. Aur Bilkul Achanak Khuda Wande Quddoos Ne Inko Apne Mehboob Ki Mehbooba Bibi Aur Sari Ummat Ki Maa Banadiya. Ke Qayamat Tak Sari Duniya Unko Ummul Momineen (Mominoun Ki Maa) Kehkar Pukarti Rahegi. Aur Qayamat Me Bhi Sari Khudai Khuda Ke Is Fazl O Karam Ka Tamasha Dekhegi.

Aye Musalman Auraton! Dekho Iman Per Mazbooti Ke Sath Qaim Rehne Aur Khuda Per Tawakkal Karne Ka Phal Kitna Mitha Aur Kitna Azeez Hota Hai! Aur Ye to Duniya Me Ajar Mila Hai Abhi Aakhirat Me Inko Kya Kya Ajar Milega? Aur Kaise Kaise Darjaat Ki Badshahi Milegi? Isko Khuda Ke Siwa Koi Nahi Janta. Ham Log to Un Darjoun Aur Martaboun Ki Bulandi O Azmat Ko Soch Bhi Nahi Sakte.. Allahu Akbar.. Allahu Akbar



















You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...