Hazrath Zainab RadiAllahuTa'alaAnha
5:01 pm
Makka Me Kafiron Ne In Per Jo Jo Zulm O Sitam Ke Pahad Tode Inka To Puchna Hi Kya..! Had Hogayi Ke Jab Ye Hijrat Ke Irade Se Oont Per Sawaar Ho Kar Makka Se Baher Nikle To Kafiron Ne Inka Raasta Rok Liya.Aur Ek Bad Naseeb Kafir Jo Bada Hi Zalim Tha "Habbar Bin Al-Aswad" Usne Neza Maar Kar Unko Oont Se Zameen Per Gira Diya. Jiske Sadme Se Inka Hamal Saqit Ho Gaya.Ye Dekh KAr Inke Dewar Kanana Ku Jo Agarche Kafir Tha Ekdam Taish Aagaya.Aur Isne JAng Ke Liye Teer Kaman Utha Liya.Ye Majra Dekh Kar Abu Sufiyaan Ne Darmiyan Me Padh Kar Rasta Saaf Kara Diya Aur Ye MAdina Munawwara Pahonch Gaye(n).
Huzoor ﷺ Ke Qalb Ku Is Waqiye Se Badi Chot Lagi.Chunanche,Aapne Inke Fazail me Ye Irshaad Farmaya Ke..
"Ye Meri Betiyoun Me Is E'tebaar Se Bahot Fazilat Wali HAi Ke Meri TAraf Hijrat KArne Me Itni Badi Musibat Uthayi."
Phir Inke Baad Inke Shohar Hazrath Abul Aas RadiAllahhuAnhu Bhi Makka Se Hijrat KArke MAdina Aagaye.Aur Dono Ek Sath Rehne LAge.
Inki Awlaad Me Ek Ladka Jin Ka Naam Ali Tha Aur Ek Ladki Jinka Naam Umamah Tha Zinda Rahe.
Ibn e Asakar Ka Qoul Hai Ke ..
Ali Jang e Yarmook Me Shaheed Ho GAye.Hazrath Umamah RadiAllahuAnha Se Huzoor ﷺ Ko Behad Muhabbat Thi.
Badesha Habsha Ne Tohfe Me Ek Joda Aur Ek Qeemti Angothi Darbaar e Nabuwwat Me Bheji To Aapne Ye Angothi Hazrath Umamah Ku Ata Farmayi.
Isi Tarha Kisi Ne Ek MArtaba Bahot Hi Besh Qimat Aur Intehayi Khoobsurat Ek Haar Nazr Kiya To Sab Bibiyaan Ye Samajhti The(n) Ke Huzoor ﷺ Ye Haar Hazrath Ayesha Ke Gale Me Dalenge.
Magar Aapne Ye Farmaya Ke ..
My Ye Haar Usku Pehnaonga jo Mere Gharwalon Me Mujh Ko Sabse Ziyadah Pyari HAin.Ye Farma Kar Aapne Ye Qeemti Haar Apni Nawasi Hazrath e Umama RadiAllahuAnha Ke Gale Me Daal Diya.
Sane 8 Hijri Me Hazrath Zainab RadiAllahuAnha Ka Inteqaal Ho Gaya.Aur Huzoor ﷺ Ne Tabarruk Ke Tour Per Apna Tahband Shareef Inke Kafan Me Dediya Aur Namaaz e Janaza PAdha Kar Khud Apne Mubarak Hathon Se Unko Qabr Me Utara.Inki Qabr Shareef Bhi Jannatul Baqi Madine Munawwara Me HAi.
(Zarkhani, Jild :3)
Tabsira:
Huzoor Nabi KAreem Ki Sahebzadi Ku Islam Lane Ki Bina Per Kafiron Ne Jis Qadr Sataya Aur Dukh Diya Isse Musalmaaan Bibiyoun Ko Sabaq Lena Chahiye.Ke Kafiron Aur Zalimon Ke Zulmon Per Sabr KArna Hamare Rasool Aur Rasool Ke Ghar Walon Ki Sunnat HAi.Aur KHuda Ki Rah Me Deen Ke Liye Takleef Uthana Aur Bardasht KArna Bahot Bade Bade Ajar O Sawaab Ka Kaam Hai.
0 comments