Hajj Bayanaats

6:15 pm

Please Zaroor Sune Aur Dosron Ko Bhi Share KAren...

◆ Hajj Ka Bayaan ⇄ ⇄ ⇄ http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-01-HajjKaBayaan.mp3

◆ Hajj Ke Arkan Aur Sharaet Aur Wajibaat ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-02-HajjKeArkanAurSharaetAurWajibaat.mp3

◆ Ahraam Aur Us Ke Ahkaam ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-03-AhraamAurUsKeAhkaam.mp3

◆ Muqamaat Aur Estelahate Hajj ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-04-MuqamaatAurEstelahateHajj.mp3

◆ Hajj Aur Umrah Ada Karne Ka Tariqa ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-05-HajjAurUmrahAdaKarneKaTariqa.mp3

◆ Fazail e Harmain Tayibain ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-06-FazaileHarmainTayibain.mp3

◆ Hazriye Sarkaar Ka Tariqa ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-07-HazriyeSarkaarKaTariqa.mp3

◆ Hajj Aur Umrah Ke Mutafarriq Masail ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-08-HajjAurUmrahKeMutafarriqMasail.mp3

◆ Pyare Nabi Ki Piyari Batein ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-09-PyareNabiKiPiyariBatein.mp3

◆ Ek Qabil e Hifz Aur Nafees Dua ⇄ ⇄ ⇄http://www.alahazrat.info/library/Audio-Books/Hamara-Islam/Volume-9/9-10-EkQabileHifzAurNafeesDua.mp3

Karbala

Salaam O Dua

2:18 pm


Bahot Se Waqiat Batour E Iqtesar Bhi Zikr Na Kar Sake, Lekin Aayiye Hazraath Sohda e Keram Ki Khidmat me Salam E Aqidat Arz Karke Is Mubarak Posts "Waqiya e Karbala" Ku Dua Per Qatam Karen.

SALAM

Murtuza Ke Dularon Pe Lakhon Salam
Chasme Zahra Ke Taron Pe Lakhon Salam

Noor E Ain E Moula Ali Pe Darood
Hashmi Naamdaron Pe Lakon Salam

Bhuke Pyaase Gareebul Watan Khasta Jaa'n
Ba Khuda Roza Daron Pe Lakhon Salam

Sar Hateli Pe Rakh Kar Jo Sathi Huwe
Un BaHattar(72) Sawaron Pe Lakhon Salam

Qatl Ki Shab Jo Mahwe Ibadat Rahe
Un Tahajjud Guzaron Pe Lakhon Salam

Quwate Be-Kasan Dastagire Jahan
Be-Bason Ke Saharon Pe Lakhon Salam

Jin Ke Iman Se Iman Ne Paya Furugh
Ayse Iman Daron Pe Lakhon Salam


DUA

Dua hai ke Allah Azawajal Hame Aur Aap Ko isi Tarha Har Saal Majalise Moharram Munaqid Karne Buzurgon Ka Zikr e Jameel Sunne Sunane Aur inse ibrat o Nasihat hasil Karne Ki Toufeeq e Rafeeq Bakshe aur Allah ke MAhboob Bandon Ko Satane Aur Unki Shaan me Gustakhi O Be-Adbi Karne Se Mehfooz Rakhe.Aur Qayamat Ke Din NABIYEEN, SIDDIQEEN, SHUHADA AUR SALIHEEN ke Damane Karam Ke Saye Me Ham Logan Ka Hashr Farmaye, اللّٰھمّ آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

Allah Hamare Is Kaam ko Shohda e Karbala RadiAllahuAnhum Ajamaeen Ke Sadqe O Tufail Me Qubul Farmaye, Aur Jis jis ne bhi ise Banane me Madad ki, isko Dosron Tak Pahonchaya Allah Un Sab ko Salamat Rakhe....Unke Neek Dili Jaiz Tamanna ko Pura KAre.....unke Gunahon ko Maaf Famaye...Aur Imam Hussain RadiAllahuAnhu ka Roza e Aqdas Ham Sab ko Dikahaye اللّٰھمّ آمین بجاه شفیع المذنبین 

Ek Lakh 40,000 Maqtool aur Qudrati Inteqam

2:12 pm


Hakim Mohaddis Ki Riwayat Hai Ke Allah Ta'ala Ne Apne Habeeb Per Ye Wahi Bheji Thi Ke Qoum Yahood Ne Hazrath Zakariyah AlahisSalam Ku Qatal Kiya To Unke Ek Khoon Ke Badle 70,000 Yahudi Qatal Huwe.Aur Aap Ke Nawase Hazrath Imam Hussain Ke Ek Khoon Ke Badle 70,000 Aur 70,000 Yani 1,40,000 Shami O Kufi Maqtool Honge.Chunanche, Hazrath E Haq Jalla Majdahu Ka Wada Pura Huwa Ke Muqtar Ki Ladai Me 70,000 Shami O Kufi Qatal Huwe.Aur Phir Abbasi Salatanat Ke Bani Abdullah Bin Saffah Ke Hath Se 70,000 Shami O Kufi Mare Gaye.

Qudrati Inteqam

Qatilane Imam Aali Maqam Me Se Jo Bad Bakhth Qatal Se Bache O Tarha Tarha Ke Zillat Aamez O Ibrat Khez Qudrati Azabon Me Mubtila Ho Gaye.Chunanche O Bad-Naseeb Jis Ne Hazrath Imam Ka Sare Aqdas Shikar Band Se Bandha Tha.Bada Hi Khubsurat Aur Haseen Jawan Tha.Magar Is Waqiye Ke Baad Iski Surat Aysi Masakh Ho Kar Bigad Gayi Ke O Ek Dam Kala Rusiya Aur Karihul Manzar Ho Gaya.Logon Ne Iska Haal Pucha To Isne Bataya Ke Karbala Se Wapasi Ke Baad My Rozana Khwab Me 2 Khouf Naak Aadmiyon Ko Dekhta Hoon Ke O Mujhe Ghaseet E Huwe Jaldti Huwi Aag Per Aoundha Latkate Hain.Isi Tarha Har Roz Mera Chehra Jalta Aur Pigalta Rehta Hai.Yahi Wajah Hai Ke Mera Chand Sa Muh Siyah Aur Mera Haal Tabah Ho Gaya.Ye Khabees Ta Dame Marg Isi Bala Me Giraftar Rah Kar Mar Gaya.

Isi Tarha Jabir Bin Yazeed Azvi Jis Ne Hazrath Imam Ka Amama Sare Mubarak Se Utar Kar Apne Sar Per Bandh Kar Khushi Me Raqs Kiya Tha.Us Per Ye Qahre Ilahi Toot Pada Ke Fouran Hi Pagal Ho Gaya..Gandi Naliyon Ka Pani Pita.Aur Gobar Aur Dosri Najasaten Khata Phirta Tha.Majburan Uske Ghar Walon Ne Isku Zanjeer Me Jakadh Diya.Aur Isi Halat Me O Zameen Per Naak Lagad Lagad Kar Mar Gaya.
Ju'una Hazri Jis Ne Hazrath Imam Ka Kurta Utar Kar Pehan Liya Tha O Mardood Bhi Kodhi Ho Gaya.Aur Iske Jism Ki Khal Aur Sar Aur Dadhi Ke Baal Sadh Sadh Kar Zameen Per Gir Padhe.
Aswab Bin Hanzalah Ne Hazrath Imam Ki Talwar Per Qabza Kar Liya Tha.O Bhi Juzam Me Mubtila Huwa.Aur Iske Tamam Badan Per Bade Bade Aabile Padh Gaye,Yahan Tak Ke Iska Sara Badan Sadh Gaya.

Harmala Bin Kahil Jis Ne Hazrath Ali Asgar Ke Halkhoom Per Teer Mara Tha, O Is Azab Me Giraftar Huwa Ke Iska Agla Rukh Shikam Ki Janib Har Waqt Aag Ki Tarha Jalta Tha.Aur Peet Ki Taraf Pichla Hissa Baraf Se Ziyada Thanda Rehta Tha.Pusht Ki Taraf O Hamesha Aag Jalaye Rakhta Aur Shikam Ki Taraf Har Waqt Paani Chidakta Aur Pankha Jhulasta Rehta Tha.Aur Usku Pyaas Ki Aysi Shiddat Raha Karti Thi Ke Har Waqt Paani Pita Rehta Tha.Magar Uski Pyaas Nahi Bujhti Thi.Aakhir Isi Musibat Me Giraftar Rehte Huwe Sar Patak Patak Kar Hilak Ho Gaya.Algharaz Gulshane Zahra Ke Lehlahate Bagh Ku Ujadh Kar Rahmate Aalam Ke Sisha e Dil Ku Pash Pash Karne Wale Dushmanane Imam Me Se Koi Bhi Qudrat Ke Qahirana Inteqam Se Nahi Bacha.Aur Sab Ke Sab Qahre Qahhar O Ghazabe Jabbar Me Giraftar Ho Kar Aazabe Darain Ke Sazawaar Huwe.

Yaad Rakhiye Ke Is Duniya Me Jis Tarha Har Cheez Ki Khaas Khaas Taseeren Hain Isi Tarha Adal Aur Zulm Ki Bhi Khaas Khaas Taseerat Hain.Yaad Rakhiye Ke Adal Ki Taseer Aabadi Hai, Aur Zulm Ki Taseer Barbadi. Hazrath Moulana Rumi AlaihiRahma Ne Kya Khoob Farmaya Ke
Gandam Az Gandam Buroyad Jo Az Jo
Az Makafate Amal Ghafil Mashao.
Yani Gyahoon Bone Se Gyahoon Ugta Hai, Aur Jau Bone Se Jau Ugta Hai.Jo Bo'ege Wahi Katoge Isliye Apne Amal Ki Jaza Aur Padash Se Ghafil Na Ho.Mashoor Misl Hai Ke.

"Jaisa Karoge Waisa Bharoge."


Maqame Ibrat Hai Ke Sirf Chand Barson Me Dushmana e Imam Qudarat Ke Qahirana Inteqam Me Mubtila Ho Kar Duniya Se Neest O Nabood Ho Gaye.Aur Inka Naam O Nishan Bhi Mit Gaya.Sach Kaha Kisi Shayer Ne Ke..

Dedi???Ke Khoon E Nahaq Parwana Shamma Ra 
Chanda Aman Na-Dad Ke Shab Ra Sahar Kunad


Yani Shamma Ne Parwane Ka Khoone Na Haq Kiya To Tumne Iska Anjam Bhi Dekha. Ke Parwane Ke Khoone Na Haq Me Shamma Ko Itni Deer Bhi Aman Nahi Di Ke O Subh Tak Roshan Rah Sake. Balke Subh Hone Se Pehle Hi Shamma Bhi Bujha Di Gayi.

ubaidullah bin ziyad Ka Na-Paak Sar aur Naak me Saanp

2:06 pm



ubaidullah bin ziyad Ka Na-Paak Sar

ubaidullah Bin Ziyad Jo Kufe Ka yazeedi Governer Tha. Aur Jisne Hazrath Imam Aur Ahle Bait Ku Karbala Me Qatal Karaya. Ye 30,000 Ki Fouj Le Kar "Mousal" Me Padao Kiye Huwe Tha. Muqtar Ne Ibrahim Bin Malik-e-Ashtar Ku Fouj Ka Sipah-Salar Bana Kar .Uske Muqabile Ke Liye Bheja. Chunanche, Mousal Se 15 Kos Ki Duri Per Daryaye Furat Ke Kinare Dono Lashkaron Me Din Bhar Jam Kar Ghumsaan Ki Ladai Huwi. Aur Aakhir Kaar Sham Tak Ibrahim Ka Lashkar Fatah Yaab Ho Gaya. Aur Ubaidullah Bin Ziyad Isi Maidan Me Mohraam Ki 10vi Tareeq 67 Hijri Ku Daryaye Furat Ke Kinare Qatal Huwa. Aur Uska Sara Lashkar Bhi Maqtool Ho Gaya. Ibrahim Ne Ubaidullah Bin Zayad Ka Sar Kat Kar Muqtar Ke Darbar Me Kufa Bheja Aur Muqtar Ne Darbar Aarasta Karke Majmu'ae Aam Me Ubaidullah Bin Ziyad Ke Sar Ku Apne Takh Ke Niche Theek Usi Jagah Per Rakhwaya. Jis Jagah Is Bad-Naseeb Ne Ibne RasoolAllah Ke Sar Ku Rakhwaya Tha.

Naak Me Saanp

Tirmizi Shareef Ki Hadees Hai Ke Jis Waqt Ibne Ziyad Bad-Nihad Ka Napak Sar Muqtar Ke Darbar Me Laa Kar Zameen Per Rakha Gaya To Nagaha Ek Sanp Gaib Se Namudar Huwa Aur O 3 Dafa Iski Naak Me Dakhil Huwa Aur Mooh Se Nikla Phir Ekdam Gaib Ho Gaya.Aur Kisi Ku Aaj Tak Ye Nahi Maloom Huwa Ke O Kahan Se Aaya Tha Aur Kahan Chala Gaya.

Muqtar Bin Ubaid Ka Karnama.

2:03 pm

Muqtar Bin Ubaid Ne Bar Sare Iqtedar Aate Hi Sab Se Pehle Qatilane Hazrath Imam Se Inteqam Lene Ka Program Banaya .Chunanche Usne Kufe Ke Government House Me Takht Per Baith Kar "Ibne Sa'ad " Ku Talab Kiya. Ibne Sa'ad Ka Beta Hafs Hazir Huwa To Muqtar Ne Dant Kar Pucha Ke Tera Baap Kahan Hai?? Hafs Ne Jawab Diya Ke Aye Ameer O To Ek Muddat Se Apne Me Gosha Nasheen Ho Kar Ibadat Me Mashghol Rehte Hain.Muqtar Ne Gusse Me Surkh Ho Kar Kaha Ke "900 Chuhe Khake Billi Hajj Ku Chali' Aaj O Gosha Nasheen Ho Kar Ibadat Guzar Ban Gaya Hai??? Hazrath Imam Hussain Ke Qatal Ke Din O Gosha Nasheen Ibadat Guzar Kyun Nahi Bana?? Aaj O Iran Ki Governari Ka Khwab Kahan Gaya?? Jis Ki Hirs O Tamanna Me Is Khabees Ne Ibne RasoolAllah Ku Qatal Karaya Tha.Iske Baad Muqtar Ne Ibne Sa'ad Ku Giraftaar Karaya..Aur Tarha Tarha Ka Azab De Kar Ibne Sa'ad Aur Iske Bete Hafs Aur Shimar Waghaira Tamam Qatilane Imam Ku Qatal Kar Diya..Aur Inke Saron Ku Hazrath Imam Ke Soutele Bhai Mohammad Bin Hanfiyah Ke Pass Bhej Diya..Phir Muqtar Ne Apni Foujon Ku Hukm De Diya Ke Jo Shakhsh Bhi Mo'urika E Karbala Me Yazeedi Lashkar Me Shamil Raha Ho Uska Qatle Aam Kiya Jaye.Chunanche Hukm Sunte Hi Kufiyon Me Bhag-Dhadh Mach Gayi Magar Muqtar Ki Foujonn Ne Un Sab Ka Taqub Kiya.Aur Jisku Jahan Paya Dhond Dhond Kar Qatal Kar Dala.Aur Inki Lashon Ku Jala Kar Inke Gharon Ku Loot Liya...Kholi Bin Yazeed Jis Ne Imam Aali Maqam Ka Sar Kata Tha.O Bhi Giraftar Karke Muqtar Ke Darbar Me Ghaseet Kar Laya Gaya.Muqtar Ne Pehle To Uske Hath Paoon Katwae Phir Isku Suli Per Latkaya, Phir Aag Me Jhonk Diya..Isi Tarha Ibne Sa'ad Ke Tamam Lashkare Ashrar Ku Tarha Tarha Ke Azabon Ke Sath Qatal Kiya Aur 6,000 Kufi Jo Yazeedi Lashkar Ke Sath Karbala Me The In Me Se Har Ek Ku Muqtar Ne Hilak Kar Diya.

Sitamgaron Ka Bura Anjam

2:02 pm

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sham Walon Ne Yazeed Ke Bete Mawiyah Bin yazeed Ku Takht Per Bithaya..Mawiyah Bin Yazeed Intehayi Neek O Swaleha Aur Ibadat Guzar Musalman Tha.Aur Apne Baap Ki Bad-Amaliyon Se Umr Bhar Bezar Raha.Ba-Dile Nakhwasta Ye Takhte Hukumat Per Baitha..Lekin Hukmat Sambhal Ne Ke Baad Se Ta Dame Marge Beemar Hi Raha Aur 40 Din Ya Chand Mah Ke Baad 21 Saal Ki Umr Me Inteqal Kar Gaya.Mout Ke Waqt Logon Ne Kaha Ke Aap Kisi Ku Apna Janasheen Bana Dijiye.To Isne Jawab Diya Ke Myne Is Hukumat Me Koi Lazzat O Halawat Nahi Payi To My Is Talqi Me Dosre Ko Kyun Mubtila Karon..Myne Tum Sab Logon Ku Apni Baiat Se Aazad Kiya...Tum Log Jisku Chaho Ye Saltanat De Do..
Maqame Ibrat Hai Ke O Saltanat Jisku yazeed Ne Ahle Bait E Nabuwwat Ke Khoon Per Qayim Ki Aur Jis Saltanat Ki Baqa Aur Istehkam Ke Liye.Hazaron Be-Gunahon Ku Qatal O Gharat Kiya.Khud Yazeed Bhi Isse Bahot Hi Kam Muddat Tak Mustafeed Ho Saka ..Aur Aaj Isi Yazeed Ka Beta Is Saltanat Ku Apni Thokar Se Maar Raha Hai..Mawiyah Bin Yazeed Ki Mout Ke Baad Misr Aur Sham Walon Ne Bhi Hazrath Abdullah Bin Zubair Ki Baiat Kar Li Aur Aap Puri Duniya E Islam Ke "Ameerul Momineen" Ho Gaye.Phir Marwan Bin Al-Hakam Ne Baghawat Ki Aur Misr O Sham Per Iska Qabza Ho Gaya. 65 Sane Hijri Me Jab Marwan Bin Al-Hakam Mar Gaya To Uska Beta Abdul Malik Bin Marwan Taqt Nasheen Huwa.Aur Isi Abdul Malik Bin Marwan Ke Ahad Me "Muqtar Bin Ubaid" Ku Kufe Me Ghalba O Iqtedar Hasil Huwa.

Yazeed Paleed Ki Hilakat.

2:00 pm

Imam Aali Maqam Ki Shahadat Ke Baad Yazeed Bilkul Hi Be-Lagam Ho Gaya Aur Iske Zalimana Doure Hukumat Me Zulm O Adwan Aur Bad-Aamali O Isyan Se Khuda Ki Zameen Bilbila Uthi, Zina , Sood, SharabKhori-O-Haram Kari Ki Har Taraf Garam Bazari Ho Gayi..Namaz O Roza Aur Hajj O Zakat Ki Pabandiyan Uth Gayen..Aur Shi'are Islam Ki Alal Elan Be-Hurmati Hone Lagi..Is Firoun E Zamane Ki Sarkashi Aur Shaitaniyat Is Had Tak Badhi Ke 63 Hijri Me Isne Muslim Bin Uqba Ku 12 Ya 20,000 Lashkar Ka Sipah Salar Bana Kar Madine Tayyaba Per Chadhayi Ka Hukm Diya Aur Is Lashkare Ashrar Ne Rasool Ke Darbar Aur Madine Munwwara Ke Kucha O Bazar Me O Tufan Barpa Kiya Ke Jis Ku Dekh Kar Kuffar Bhi Nadam O Sharam Saar Ho Jayen..In Firoun Sift Khoon Kharon Ne 700 Sahaba Ku Intehayi Be-Dardi Ke Sath Shaheed Kiya Aur Dusre Aam Musalmano Ku Mila Kar 10,000 Momineen Ku Zubah Kar Dala..In Shaitani Foujdaron Ne Masjide Nabwi Ke Sutuno Me Ghode Bandhe Aur Ahle Madina Ke Sath Aysi Aysi Bad-Tameeziyan Kiya Ke Unke Tasawur Se Bhi Jism Ka Rongta Rongta Aur Badan Ka Baal Baal Larza Barandam Aur Nidhal Ho Jata Hai.Phir Yahi Taghuti Lashkar Makke Mukarrama Per Hamla Aawar Huwa..Raste Me Ameere Lashkar Mar Gaya To Dosra Sipeh Salar Muqarrar Huwa.Aur In Shaitano Ne Kabe Muaazama Per Sang Bari Ki Aur Harame Mohtaram Me Najasat Phenki..Phir Kaba Muaz'zama Me Aag Laga Di..Jisse Gilafe Kaba Aur Chat Jal Gayi Aur Kabe Ke Tamam Tabarukat Ku Jala Dala..Inhi Taruukat Me Hazrath Ismail Zabiullah Ke Fidiye Me Qurbani Kiye Huwe Dumbah Ke O Singh Bhi Jal Gaye .Jo Sainkhdon Baras Se Kabe Me Batoure Tabaaruk Rakhe Huwe The Kayi Dino Tak Kaba Be Ghilaf Raha Aur Bashindagane Haram Saqt Musibaton Me MubtiLa Rahe. Aakhir Kaar Yazeed Paleed Qahare Qahhar O Ghazabe Jabbar Me Giraftar Huwa..Aur 3 Baras 7 Mahine Takhte Hukumat Per Shaitaniyat Karke 15 Rabi-Ul-Awwal 64 Hijri Ku Jis Din Iske Hukm Se Kabe Muazzam Me Aag Lagayi Gayi. 49 Baras Ki Umr Pa Kar Mulke Sham Ke Shaher Hamas Me Qisam Qisam Ke Amraz Khabisa Me Mubtila Ho Kar Hilak Ho Gaya.Yazeedi Fouj Ku Jab Apne Taghoot Ki Mout Ka Pata Chala To O Zaleel O Khawar Ho Kar Makke Mukarrama Se Farar Hone Lage.Aur Hazrath Abdullah Bin Zubair Ki Foujon Aur Bashindagane Haram Ne In Sitamgaron Ku Kutton Aur Cuhon Ki Tarha Dodha Doudha Kar Maar Dala..

Jinno Ki Nuha Khawani

1:59 pm

Riwayat Hai Ke Hazrath Imam Ki Shahadat Ke Roz Aap Ka Muqaddas Khoon Zameen Per Girte Hi Din Me Har Taraf Andhera Cha Gaya..Aur 3 Din Kamil Baghair Badli Ke Dhoop Gayab Rahi..Aur Har Taraf Andhera Hi Andhera Nazar Aata Raha..Aasman Se Khoon Ki Barish Huwi Aur Us Din Baitul Muqaddas Me Jo Pathar Uthaya Jata Tha Uske Neeche Taza Khoon Paya Jata Tha.Aur Sari Fiza Per Ranj Aur Udasi Ke Aasar Namudar Nazar Aate The.
(Behiqi)

Andhera Aur Khoon Ki Barish

1:57 pm

Riwayat Hai Ke Hazrath Imam Ki Shahadat Ke Roz Aap Ka Muqaddas Khoon Zameen Per Girte Hi Din Me Har Taraf Andhera Cha Gaya..Aur 3 Din Kamil Baghair Badli Ke Dhoop Gayab Rahi..Aur Har Taraf Andhera Hi Andhera Nazar Aata Raha..Aasman Se Khoon Ki Barish Huwi Aur Us Din Baitul Muqaddas Me Jo Pathar Uthaya Jata Tha Uske Neeche Taza Khoon Paya Jata Tha.Aur Sari Fiza Per Ranj Aur Udasi Ke Aasar Namudar Nazar Aate The.
(Behiqi)

Rahamate Aalam Ku Sadma E Azeema

1:55 pm

Is Hadisa E Faja Se Huzoor RahmateAalam SallallahuAlaihiwaSallam Ke Qalb E Nazuk Per Jo Sadma E Jaankah Guzra O Andaz O Qiyas Se Baher Hai.Hazrath Abdullah Bin Abbas RadiAllahuAnhu Ka Bayan Hai Ke Ek Roz Dopaher Ku My Khawab Me Huzoor Ahmade Muqtar SallallahuAlaihiWaSallam Ke Deedar Purnoor Se Musharraf Huwa Aur Myne Dekha Ke Huzoor Ke Gesu-e-Muambar Chehra E Anwar Per Bikhre Huwe Hain..Aur Daste Mubarak Me Ek Khoon Se Bhari Huwi Bottel Hai .My Ne Arz Kiya Ya Rasollallah!! Meri Jaan Aap Per Qurban ..Ye Bottel Kaise Hai??? Aur Is Qadar Zang O Malal K Kya Baat Hai?? To Irshad farmaya Ke Ye Mere Laqte jigar Hussain Aur Inke Jaanisar Rafiqon Ka Khoon Hai.Jisku My Aaj Suboh Se Utha Raha Hoon.Hazrath Ibne Abbas Farmate Hain Ke.My Ne Is Tareeq Aur Waqt Ku Yaad Rakha Aur Jab Chand Dino Ke Baad Khabar Aayi To Maloom Huwa Ke Yahi O Waqt Tha..Ke Hazrath Imam Shaheed Kiye Gaye The.
(Behqi)

Yazidiyon ki Gundagardi

1:52 pm

Imam Aali Maqam Ki Shahadat Ke Baad Yazzeediyon Ne Khimaye Athar Ka Sara Saman Loot Liya Aur Khime Ku Jala Dala Aur Apne Maqtulon Ku To Dafan Kiya Aur Tamma Shohda E Ahle Bait Ka Sar Kat Kar Unki Muqaddas Lashon Ku Ghodon Ki Tapon Se Rond Kar Unki Haddiyon Ko Bhi Chakna Choor Kar Diya...Aur Sarbarida Lashon Ku Be-Goor O Kafan Chod Kar Aur Tamam Shohda E Kiram Ke Saron Ku Nezon Per Chadha Kar Karbala Se Kufa Aur Kufe Se Damishq Tak Gasht Karaya...Aur Phir Ubaidullah Bin Zayad Ne Kufe Ke Govenmnt House Ku Aarasta Kiya..Aur Darbare Aam Munaqad Karke Hazrath Imam Ke Sare Aqdas Ku Apne Taqt Ke Neeche Rakha..Aur Be Adbi Ki Phir Shimar Na-Paak Ke Sath In Muqaddas Saron Ku Yazeed Ke Paas Damishq Bheja..Yazeed Ne Sare Mubarak Aur Ahle Bait Ku Hazrath Imam Zainul Aabideen Ki Hamrahi Me Madine Munawwara Rawana Kiya..Aur Hazrath Imam Ka Sare Aqdas Hazrath Bibi Fatimah RadiAllahuAnha Ya Imam Hassan RadiAllahuAnhu Ke Pehlu Me Madfan Huwa..

Qurbani

Qurbani Ke Gosht Aur Khaal

4:56 pm



Agar Janwar Mushtarik Hai To Gosht Taul Kar Taqseem Kiya Jaye Utkal Se Na Baate'n Ke Agar Kisi Ko Zyada Pohach Gaya To Dusre Ke Mu'af Karne Se Bhi Jaaiz Na Hoga Ke Haq Sharaa Hai. 
(📓Rudul Muhtar -O- Bahar)

Phir Apne Hisse Ke Teen(3) Hisse Karke Ek Hissah Faqiro'n Ko Dede'n Aur Ek Hissah Dosto'n Ko Aur Azeezo'n Ko De. Aur Ek Hissah Apne Ghar Walo'n Ke Liye Rakhe Khud Bhi Khaye Baal Baccho'n Ko Bhi Khilaye Agar Ghar Wale Zyada Hoto Kul Ghar Ke Sarf Main La-Sakta Hai. Aur Kul Sadqa Bhi Kar Sakta Hai Agarche Ek Hissah Apne Liye Behtar Hai.

Mas'alah: Agar Mayyat Ki Taraf Se Qurbani Ki To Uske Gosht Ka Bhi Yahi Hukm Hai. Albatta Agar Mayyat Ne Kaha Tha Ke Meri Taraf Se Qurbai Kar Dena To Is Surath Main Kul Gosht Sadqa Karde.

Mas'alah: Qurbani Agar Mayyat Ki Hai To Uska Gosht Na Khud Kha Sakta Hai Na Gani Ko Khila Sakta Hai Balke Usko Sadqa Kar Dena Wajib Hai.

Mas'alah: Qurbani Karne Wala Baqra-Eid Ke Din Sab Se Pehle Qurbani Ka Gosht Khaye Ye Mustahab Hai.
(📓Behrul Raa'yiq)

Mas'alah: Qurbani Ka Gosht Kafir Ko Na De (Ke Yaha'n Ke Kuffar Harbi Hai). 

Mas'alah: Chamda , Jhoul , Rassi , Haar , Sab Sadqa Karde Chamde Ko Khud Apne Kaam Main Bhi La-Sakta Hai. 
Maslan :Doul Ja-Namaz Bichona Waghera Bana Sakta Hai Lekin Bech Kar Qimat Apne Kaam Main Lana Jaaiz Nahi Agar Bech Diya To Us Qimat Ko Sadqa Karna Wajib Hai. 
(📓Durre Mukhtar -O-Rudul Muhtar)

Mas'alah: Aaj Kal Aksar Log Khaal Dini Madrasa Main Diya Karte Hai Ye Jaaiz Hai Agar Madrasa Main Dene Ki Niyyat Se Khaal Bech Kar Qiamat Madrasa Main Dede'n To Ye Bhi Jaaiz Hai.
(📓AalamGiri-O-Bahar)

Mas'alah: Qurbani Ka Gosht Ya Chamda Qasaab Ya Zibah Karne Wale Ko Mazduri Main Nahi De Sakta Haan Agar Dosto'n Ki Tarah Hadyatan Hissa Diya To De Sakta Hai Jabke Use Ujrat Main Shumar Na Kare.
(📓Hidaya Waghera) 

Mas'alah: Ba'z Jaga Qurbani Ka Chamda Masjid Ke Imam Ko Dete Hai Agar Tankhwa Main Na Diya Jaye Balke Bataure Madad Ke De'n To Harj Nahi.
(📓Bahar Waghera)
(📓Ref>>> Qanoon-E-Shari'at) 

●Note:- Shari'at Ke Mutabiq Zibah Kiye Huwe Halaal Janwar Ke Mandarjazail Aaza Khane Mana Hain.
Dum Masfookh (Zibah Ke Waqt Behne Wala Khoon) , 
Zakar (Nar Janwar Ka Aala-E- Tanasul) , 
Gaay , Bakri Ke Peshaab Ki Jaga (Farj) ,
Khasitain (Kapure) 
Masana , Dubar (Janwar Ke Pakhane Ki Jaga) , 
Haraam Magraz , Ojhdi Aur Aante'n In Main Dume Masfooh Haraam Qatayi Aur Qurbani Makruhe Tehreemi Hai.

Qurbani

Qurbani Ka Jaanwar

4:55 pm


Kin Janwaro'n Ki Qurbani Ho Sakti Hai : 

Qurbani Ka Janwar... Oont(Camel) , Gaaye , Bhains , Bakri , Bhed Nar -O- Maadah. Khasi, Gair-Khasi Sab Ki Qurbani Ho Sakti Hai.
(📓AalamGiri) 

Mas'alah: Wehshi Janwar Jaise Hiran , Neel-Gaay , Bara-Singha Waghera Ki Qurbani Nahi Ho Sakti.
(📓AalamgGiri)

Mas'alah: Dumba Bhed Hi Main Dakhil Hai.

Mas'alah:
Onnt -- 5 Saal 
Gaay , Bhains  -- 2 Saal
Bhed , Bakri     -- 1 Saal
Ki Ho Ya Zyada Ki Isse Kam Ki Na-Jaaiz Hai.
Haan Agar Dumba Ya Bhed Ka Cheh(6) Maha Ka Baccha Itna Bada Hoke Door Se Dekhne Main Saal Bhar Ka Ma'aloom Hota Ho To Uski Qurbani Jaaiz Hai.
(📓Durre Mukhtar)

Mas'alah:: Qurbani Ka Janwar Mota Taaza Aur Accha Hona Chahiye Aibi Na Hona Chahiye Agar Thoda Sa Aeb Hoto Qurbani Hojayegi Magar Markruh Hogi Aur Agar Zyada Aeb Hai To Hogi Hi Nahi.
(📓Durre Mukhtar -O- AalamGiri)

Mas'alah: Munda Jiske Paidaishi Seeng Na Hon Jaaiz Hai. Albatta Agar Seeng The Aur Toot Gaye Aur Meng (Goda) Tak Toot Gaye To Jaaiz Nahi Isse Kam Tota Hai To Jaaiz Hai.
(📓AalamGiri)


Mas'alah: Andha , Langda , Kaana , Behad Dubla , Kaan Kata , Dum Kata, Be-Daant Ka , Than Kata , Than Sokha , Naak Kata , Paidaishi Be-Kaan Ka Biamr , Khansa (Jiske Duno'n Nishaniya'n Hon) ,Jalala ( Jo Sirf Ghaleez Khata Ho) In Sab Ki Qurbani Jaaiz Nahi.
(📓Durre Mukhtar -O- Bahar)


Mas'alah:: Bimari Agar Khafeef Hai Aur Langda Pan Halka Hai Ke Chal Phir Leta Hai Qurban'Gah Tak Ja Sakta Hai. Ya Kaan Naak Dum Tehayi Se Zyada Nahi Kate To Jaaiz Hai.
(📓Durre Mukhtar , Hidaya , AalamGiri)


Mas'alah:: Qurbani Karte Waqt Janwar Uchla Quda Aur Usse Aebi Hogaya To Harj Nahi.
(📓Durre Mukhtar , Rudul Muhtar)


Mas'alah:: Qurbani Ki Aur Peth Main Zinda Baccha Hai To Use Bhi Zibah Karde Aur Kaam Main La Sakta Hai Aur Mara Hoto Phenk De.
(📓Bahare Shari'at)


Mas'alah: Khareed Ne Ke Ba'd Qurbani Se Pehle Janwar Ne Baccha De Diya To Use Bhi Zibah Kar Dale Aur Agar Bech Diya To Uski Qimat Ko Sadqa Kare Aur Agar Ayyame Qurbani Main Zibah Na Kiya To Zinda Sadqa Karde.
(📓AalamGiri-O-Bahar)


Mas'alah: Agar Janwar Sahi Saalim Kharida Tha Phir Us Main Koyi Aeb Mane'a Qurbani Paida Hogaya To Agar Khareed Ne Wala Gani Sahabe Nisaab Nahi Hai To Uske Liye Isi Aeb'Daar Janwar Ki Qurbani Jaaiz Hai. Aur Agar Ye Shakhs Gani Sahabe Nisaab Hai To Us Par Laazim Hai Ke Us Janwar Ke Badle Dusre Janwar Ki Qurbani Kare 
(📓Durre Mukhtar Waghera)


FaidahHamare Aaqa-O-Maula Hazrat Ahmad Mujtaba Muhammad Mustafa (Sallallahu Ta'Aala Alaihi Wa Sallam) Ke Karame Ameem Ko Dekho Ke Khud Us Ummate Marhuma Ki Taraf Se Qurbani Ki Aur Us Moqa Par Bhi Ummat Ka Khayaal Farmaya 
Lijaza Jis Musalman Se Ho Sake Wo Hazrat Ke Naam Ki Qurbani Kare To Kaisi Khush Naseebi Hai.
(📓Bahare Shari'at)
Reference: Qanoon-E-Shari'at



Qurbani

Qurbani Ka Tariqa

4:52 pm



Qurbani Ke Janwar Ko Zibah Se Pehle Chaara Paani Dede Pehle Se Cchuri Tez KarLe Lekin Janwar Ke Samne Nahi Janwar Ko Baaye Pehlu Par Is Tarah Litaye Ke Qiblah Ki Taraf Uska Muh Ho Aur Zibah Karne Wala Apna Dahna Paao'n Uske Pehlu Par Rakh Kar Tez Cchuri Se Jald Zibah Karde Aur Zibah Se Pehle Ye Dua PadhLe: 
انی وجهت وجهي للذى فطر السموات والارض حنيفا وما انا من المشركين ان صلاتى ونسكي ومحياى ومماتى لله رب العالمين○ لا شريك له وبذلك امرت وانا من المسلمين اللهم لك ومنك بسم الله الله اكبر.
Dua Khatam Karte Hi Cchuri Chala De Qurbani Apni Taraf Se Ho To Zibah Ke Ba'd Ye Padhe: 
اللهم تقبل منى كما تقبلت من خليلك ابراهيم عليه السلام و حبيبك محمد صلى الله عليه و سلم.
Zibah Main Charo'n Rage'n Kate'n Ya Kam Se Kam Teen(3) Isse Zyada Na Kaate'n Ke Churi Mohra Tak Pohach Jaye Ke Ye Be-Waja Ki Takleef Hai Thanda Hone Par Paao'n Kaate'n Khaal Utare'n Agar Dusre Ki Taraf Se Zibah Kiya Hai To 
منی Ki Jaga من فلا ںKahe. (Yaani Uska Naam Le) Aur Agar Mushtarik Janwar Ho Jaise Gaay , Oont , Bhains To Falaa'n Ki Jaga Sab Shariko'n Ka Naam Le.

Mas'lah: Agar Dusre Se Zibah Karaye To Behtar Hai Ke Khud Bhi Hazir Rahe.
(📓Qanoon-E- Shari'at)

Qurbani

Qurbani Me Shirkat ke Masa'il

4:45 pm

Mas'alah: Jab Qurbani Ki Sharte'n Payi Jaye (Qurbani Kis Per Wajib) To Ek Bakri Ya Bheed Ka Zibah Karna Ya Oont , Gaay , Bhains Ka Saatwa'n (7wa) Hissah Wajib Hai. Isse Kam Nahi Ho sakta.

Yaha Tak Ke Agar Kisi Shareek Ka Hissah Saatwe'n (7we) Se Kam Hai To Kisi Ki Qurbani Sahi Na Hogi.
Haan Saat(7) Se Kam Shareek Hon Aur Hisse Bhi Kam-o-Besh Hon Lekin Kisi Ka Hissah Saatwe'n (7we) Se Kam Na Ho To Jaaiz Hai.

Mas'alah: Qurbani Ke Sab Shariko'n Ki Niyyat Taqarrub (Yaani Sawaab Pana) Hona Chahiye Khaali Ghosht Haasil Karna Na Ho 
Lihaza Aqeeqah Karne Wala Shareek Ho Sakta Hai (Ke Aqeeqah Bhi Taqarrub Ki Ek Surat Hai.
(📓Durre Mukhtaar)

Qurbani

Qurbani Ka Waqt

4:38 pm

Hazrat Jundub Bin Sufyaan RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Hamne RasoolAllah ﷺ 
Ke Sath Qurbani Ki. So Kuch Logo Ne Namaz Se Pehle Hi Qurbaniyaa'n Karli. Huzoor ﷺ Ne Jab Unko Dekha To Farmaya Jisne Namaz Se Pehle Qurbani Karli Usko Dubara Qurbani Dena Hogi.
(📓Nisaayi, Al-Sunan)

10vi Zil_Hajjah Ki Subah Sadiq Se 12vi Ke Ghuroob Aaftaab Tak Hai. Yaani 3-Din Aur 2-Raate'n Lekin 10vi Sab Main Afzal Hai Phir 11vi Phir 12vi. 

Mas'alah: Shahar Main Qurbani Ki Jaye To Shart Ye Hai Ke Namaze Eid Ke Ba'd Ho Aur Dihaat Main Chunke Namaze Eid Nahi Isliye Subah Sadiq Se Ho Sakti Hai.


Mas'alah: Qurbani Ke Waqt Main Qurbani Hi Karni Laazim Hai Itni Qimat Ya Itni Qimat Ka Janwar Sadqa Karne Se Wajib Ada Na Hoga.
(📓AalamGir) 


Mas'alah: Qurbani Ke Din Guzar Jane Ke Ba'd Qurbani Faut Hogi Ab Nahi Hosakti 
Lihaza Agar Koyi Janwar Qurbani Ke Liye Khareed Rakha Hai To Usko Sadqa Kare Warna Ek Bakri Ki Qimat Sadqa Kare.
(📓Durre Mukhtar)

Qurbani

Qurbani Ka Wujoob

4:35 pm

QURABNI KE MASA'IL


Qurbani :
Ye Ek Maali Ibadat Hai Jo Har Gani Par Wajib Hai Khaas Janwar Ko Khaas Din Main Allah Ke Liye Sawab Ki Niyyat Se Zibah Karna Qurbani Hai.Musalman , Muqeem , Malike Nisaab , Aazaad Par Qurbani Wajib Hai.
Jis Tarah Qurbani Mard Par Wajib Hai Isi Tarah Aurat Par Bhi Wajib Hai.(📓Durre Mukhtar)

Mas'alah: Musafir Par Qurbani Nahi Lekin Agar Nafil Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai. Sawab Payega.(📓Durre Mukhtar)
Malike Nisaab Hone Se Muraad Itna Maal Hona Ke Jitna Maal Hone Se Sadqa Fitr Wajib Hota Hai. Yani Haa'jate Asliyah Ke Aelawa 200-Dirham (Sadhe 52 Taula Chandi) Ya 20-Dinar (Sadhe 7 Taula Sona) Ka Maalik Ho.(📓Durre Mukhtar -O- AalamGiri)

Jo Shakhs 200-Dirham Ya 20-Dinar Ka Malik Ho Ya Haajate Asliyah Ke Aelawa Kisi Aisi Cheez Ka Malik Ho Jiski Qimat 200-Dirham Ho To Wo Gani Hai Us Par Qurbani Wajib Hai.(📓Aalamgiri)

Agar Musafir MaalDaar Ho Aur Kisi Jaga 15-Din Qayaam Ki Niyyat Kare, Ya 12vi Tareekh Ko Suraj Ghuroob Hone Se Pehle Ghar Pohach Jaye, Ya Kisi NaDaar Aadmi Ke Pass12vi Tareekh Ko Ghuroob Shams Se Pehle Itna Maal Aajaye Ke Sahibe Nisaab Hojaye To In Tamam Surtho Main Us Par Qurbani Wajib Hojati Hai.

Hamare Haan Aam Taur Par Dekha Gaya Hai Ke KhanDaan Ya Ghar Ke Bade Ki Taraf Se Ya Ba'z Log Ghar Ke Har Fard Ki Taraf Se Qurbani Karte Hai.Shara'ee Ta'alimaat Ye Hain Ke Jo Shakhs Nisaab Ka Malik Hai , Qurbani Usi Par Wajib Hai. Is Liye Apni Wajib Qurbani Karne Ba'd Agar Mazeed Iste'taa'at Hai To Ghar Ke Jis Fard Ki Taraf Se Chahe Nifli Qurbani KarLeJab Tak Sahebe Nisaab Hai Har Saal Qurbani Karna Wajib Hai

Qurbani

Qurbani Ke Fazail

4:33 pm

Qurbani Ke Fazail Qur'aan Majeed

 Aur Ahadees-e-Mubarak Se


Allah Ta'Aala Ne Hazrat Ibraheem Alaihissalam Aur Hazrat Ismail Alaihissalam Ke Waqi'a Qurbani Ko Apne Kalame Paak Main Is Andaaz Se Bayaan Farmaya Hai.

Elaahi Mujhe Laayiq Aulaad De ,
To Hamne Use Khush Khabri Sunayi Ek Aqal'Mand Ladke Ki ,
Phir Jab Wo Uske Sath Kam Ke Qabil Hogaya...
Kaha Ae Mere Bete Main Ne Khwab Dekha.
Main Tujhe Zibah Karta Hon. Ab To Dekh Teri Kya Ray Hai. Kaha Ae Mere Baap Ki Jaise Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai , Khuda Ne Chaha To Qareeb Hai Ke Aap Mujhe Sabir Payege,
To Jab In Duno Ne Hamare Hukm Par Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Maathe Ke Bal Litaya Us Waqt Ka Haal Na Poch,
Aur Hamne Use Nida Farmayi Ke Ae Ibraheem ,
Beshak Tune Khwab Sach Kar Dikhaya Ham Aisa Hi Sila Dete Hain Neko'n Ko ,
Beshak Ye Roshan Jaanch Thi,
Aur Hamne Ek Bada Zabiha Iske Fidya Main De Kar Use Bachaliya,
Aur Ham Ne Pichlo'n Main Uski Taareef Baqi Rakhi,
Salaam Ho Ibraheem Par.

(Sure Al-Saaffaat , Ayat:100 to 109 , Kanzul Eemaan)


• Hazrat Zaid Bin Arqam RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya Huzoor Alaihissalato Wassalam Ke Sahaba Ne Arz Kiya Ke Yaa RasoolAllah !
Ye Qurbaaniya'n Kya Hain..??
Aapn Ne Farmaya Ye Tumhare Baap Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ki Sunnat Hain.
Sahaba Ne Arz Kiya... Yaa RasoolAllah !
Kya Isse Hamko Sawaab Milega..??
Farmaya Har Baal Ke Badle Ek Neki Hai..
Arz Kiya Aur Oon Yaa RasoolAllah !
To Aapne Farmaya Ke Oon Ke Har Baal Main Bhi Ek Neki Milegi.
(📙Ahmad , Ibne Maaja)

• Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ne Kaha Ke Rasule Kareem Alaihissalato Wassalam Ne Farmaya Ke
Qurbaani Ke Ayyam Main Ibne Aadam Ka Koyi Amal Khuda-E-Ta'Aala Ke Nazdeek Khoon Bahane (Yaani Qurbaani Karne) Se Zyada Pyara Nahi.
Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Singo'n Baalo'n Khuro'n Ke Sath Aayega Aur Qurbaani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Khuda-E- Ta'Aala Ke Nazdeek Maqame Qubool Main Pahoch Jata Hai.
(📙Tirmazi , Ibne Maaja)

• Hazrat Khash RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya Ke Main Ne Hazrat Ali Karamallahu Wajahu Ko Du(2) Dumbe Zibah Karte Huwe Dekha Main Ne Pocha Ye Kya Hai..?
Unhone Farmaya Ke Huzoor Alaihissalato Wassalam Ne Mujhe Wasiyat Farmayi Hai Ke Main Huzoor Ki Janib Se Qurbaani Kiya Karo'n To Main (Dusra Dumba Huzoor Ki Janib Se) Qurbaani Kar Raha Hon.
(📙Abu Dawood)

• Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha Ke Huzoor Alaihissalato Wasalam Ne Farmaya Ke Jis Main Us'at Ho Aur Qurbani Na Kare To Wo Hamari Eid'Gah Ke Qareeb Hargiz Na Aaye.
(📙Ibne Maja)

• Hazrat Umme Salma RadiyAllahu Ta'Aala Anha Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem Alaihissalat Wa Tasleem Ne Farmaya Ke Jab Tum Baqra'Eid Ka Chand Dekho Aur Tum Main Ka Koyi Qurbani Karna Chahe To Usko Chahiye Ke Baal Mundwane , Tarshawane Aur Nakhun Katwane Se Ruka Rahe.
(📙Muslim)
(📙Ref>> Anwarul Hadees , S-361 to 362)

Books

11:28 pm


Naat Books:


 Download
Download

Heavenly Womens

Hazrath Khadijah RadiAllahuTa'alaAnha

8:37 am

Ye RasoolAllah ﷺ Ki Sabse Pehli Biwi Aur Rafeeqaye Hayat Hain.YE Khandan-E-Quraysh Ki Bahot Hi Bawaqar Wa Mumtaz Khatoon Hain.Inke Walid Ka Naam Khuwaylid Bin Asad Aur Inki Maa Ka Naam Fatimah Binte Zaieda Hai.Inki Sharafat Aur Paak Damani Ki Bina Per Tamam Makke Wale Inku "Tahira" Ke Laqab Se Pukara Karte The Unhone Huzoor ﷺ Ke Aqlakh O Aadat Aur Jamaale Surat Aur Kamaal-e-Seerat Ku Dekh Kar Khud Hi Aap Se Nikah Ki Raghbat Zahir Ki Chunanche, Ashraaf Quraysh Ke Majme Me Bakhaida Nikah Huwa .


Ye RasoolAllah ﷺ Ki Bahot Hi Janisaar Aur Wafa Shu'ar Biwi Hain .Aur Huzoor E Aqdas ﷺ Ko Inse Bahot Hi Be-Panah Mahobbat Thi .Chunanche Jab Tak Ye Zinda Rahen,Aap Ne Kisi Doosri Aurat Se Nikah Nahi Farmaya .Aur Ye Musalsil Pachchis(25) Saal Tak Mehbobe Khuda Ki Janisari O Khidmat Guzari Ke Sharf Se Sarfaraz Hain.



Huzoor ﷺ Ko Bhi Inse Is Qadar Mohabbat Thi Ke Inki Wafat Ke Baad Aap Apni Mehboob Tareen Biwi Hazrath Aayesha RadiAllahuAnha Se Farmaya Karte The Ke Khuda Ki Qasam !! Khadijah Se Behtar Mujhe Koi Biwi Nahi Mili. Jab Sab Logon Ne Mere Sath Kufr Kiya Us Waqt O Mujh Per Imaan Layi Aur Jab Sab Log Mujhe Jhutla Rahe The Us Waqt Unhone Meri Tasdeeq Ki Aur Jis Waqt Koi Shaksh Mujhe Koi Cheez Dene Ke Liye Tayyar Na Tha Us Waqt Khadijah Ne Mujhe Apna Sara Maal Aur Sara Saman Dediya Aur Inhi Ke Shikam Se Allah TAla Ne Mujhe Aulaad Ata Farmayi .
(Zarkhani Jild 3 Safa 224 O Istiaab Jild 4 Safa 1817 )

Is Baat Per Sari Ummat Ka Ittefaq Hai Ke Sabse Pehle Huzoor ﷺ Ki Nabuwat Per Yahi Imaan Layen .Aur Ibtidaye Islam Me Jab Ke Har Taraf Aapki Mukhalifat Ka Toofan Utha Huwa Tha Aise Khoof Naak Aur Kathin Waqt Me Sirf Ek Hazrath Khadijah Hi Ki Zaat Thi Jo Parwano K Tarha Huzoor Per Qurbaan Ho Rahi Theen .Aur Itne Khatarnaak Aukhat Me Jis Isteqlaal O Isteqamat Ke Sath Unho Ne Khatrat O Masa'Ib Ka Mukhabila Kiya. Is Khususiyat Me Tamam Azwaje Mutahrat Per Inko Ek Mumtaz Fazilat Hasil Hai.


Inke Fazail Me Bahot Si Hadesen Bhi Aayi Hain.Chunanche Huzoor E Akram ﷺ Ne Farmaya Ke Tamam Duniya Ki Auraton Me Sabse Ziyada Achchi Aur Ba Kamal Char Bibiyan Hain .
Ek Hazrath e Maryam,  Dosri HAzrath e Aasiya Firon Ki Biwi, 
Teesri Hazrathe Khadijah ,
Couthi(4th) HAzrathe Fatimah.
RadiAllahuAnhum



Ek Martaba HAzrath Jibrail AlaihisSalam Darbare Nabuwat Me Hazir Huwe Aur Arz Kiya Ke Aye Muhammed ﷺ Ye Khadijah Hain Jo Aap Ke Paas Ek Bartan Me Khana Le Kar Aa Rahi Hain. Jab Ye Aap Ke Paas Aa Jayen To Unse Unke Rab Ka Aur Mera Salam Keh Dijiye. Aur Unku Ye Khushkhabri Sunadijiye Ke Jannat Me Inke Liye Moti Ka Ek Ghar Bana Hai Jis Me Na Koi Shoor Hoga Na Koi Takleef Hogi 
(Bukhari Jild 1 Safa 539)



Sarkar E Do Jahan ﷺ Ne Inki Wafat Ke Baad Bahotsi Auraton Se Nikah Farmaya. Lekin, HAzrath Kadijah Ki Mohabbat Aakhri Umr Tak Huzoor Ke Qalb-E-Mubarak Me Rachi Basi Rahi .Yahan Tak Ke Unki Wafat Ke Baad Jab Bhi Huzoor Ke Ghar Me Koi Bakri Zabah Hoti To Aap ﷺ HAzrath Kadijah Ki Sehliyon Ke Yahan Bhi Zaroor Gosht Bheja Karte The Aur Hamesha Aap ﷺ Baar Baar Hazrath Bibi Khadijah Ka Zikr Farmate Rehte The. 




Hijrat Se Teen(3) Bars Qabal Paynsat((65) Baras Ki Umr Pa Kar Mahe Ramzan Me Makke Mukarrama Ke Andar Inhone Wafat Payi.Aur Makke Mukarrama Ke Mashhoor Qabristan Hajun(Jannatul Mu'alla) Me Khud HUzoor E Aqdas ﷺ Ne Inki Qabr Me Utar Kar Apne Muqaddas Hathon Se Inku Supurde Khaak Farmaya. Is Waqt Tak Namaz E Janaza Ka Hukm NAzil Nahi Huwa Tha. Isliye, Huzoor Ne Inke Janaze Ki Namaaz Nahi Padhayi HAzrath Khadijah Ki Wafat Se Teen Din Ya Panch(5) Din Pehle HUzoor Ke Chacha Abu Talib Ka Inteqaal Hogaya Tha. Abhi Chacha Ki Wafat Ke Sadme Se Huzoor ﷺ Ka Qalb-E-Nazuk Rang O Gham Se Nidhal Tha Hi Ke Hazrath Khadijah  رضي الله عنها Ka Inteqal Ho Gaya.Is Saaneh Ka Qalb-E-Mubarak Per Itna Zabardast Sadma Guzra Ke Aap Ne Is Saal Ka Naam "Aam-Ul-Huzn"(Gham Ka Saal ) Rakh Diya.



Tabsira

HAzrath Ummul Momineen Hazrat Khadijah RadiAllahAnha Ki Muqaddas Zindagi Se Maa Behno Ko Sabakh Hasil Karna Chahiye, Ke Unhone Kaise Kathin Aur Mushkilaat Ke Dour Me Huzoor -E-Akram ﷺ Per Apna Tan Man Dhan Sab Kuch Qurbaan Kar Diya.Aur Seena Super Hokar Tamam Masaib O Mushkilaat Ka Maqabila Kiya Aur Pahad Ki Tarha Imaan O Amal-E-Saleha Per Sabit Qadam Rahe Aur Masaib O Aalaam Ke Toofan Me Nihayat Hi Janisari Ke Sath Huzoor ﷺ Ki Dil Joi Aur Taskeen-E-Qalb Ka Saman Karti Rahein Aur Inki In Qurbaniyon Ka Duniya Hi Me Ye Sila Mila Ke Rabbul Aalameen Ka Salam Inke Naam Lekar Hazrath Jibrail AlaihisSalam Nazil Huwa Karte The. Isse Maloom Huwa Ke Mushkilaat Aur Pareshaniyon Me Apne Shohar Ki Dil Joi Aur Tasalli Dene Ki Aadat Khuda Ke Nazdeek Mehboob O Pasandeda Khaslat Hai.Lekin, Afsoos Ke Is Zamane Me Musalmaan Auraten Apne Shoharon Ki Dil Joi To Kahan!!! Ulthe Apne Shoharon Ko Pareshan Karti Rehti Hain Kabhi Tarha Tarha Ki Farmaishen Karke Kabhi Jhagda Takraar Karke Kabhi Gusse Me Muh Phaila Karke.





Maa Behno -- Tumhe Khuda Ka Wasta Dekar Kehta Hoon Ke Apne Shoharon Ka Dil Na Dukhao Aur Unku Pareshaniyon Me Na Dala Karo Balke Aade Waqton Me Apne Soharon Ko Tasalli De Kar Unki Dil Joi Kiya Karo. 


Tazkira 🌹 *Sayyida Tayyaba Zahida Tahira Ummul Momineen Khadijat-ul-Kubra RadiAllahuTa'alaAnha*
Sama'at Farmaye aur share karen.
Khususi Isaal e Sawaab bhi karen.
Click here 

Aadaab E MAjlis KA Bayaan

7:56 pm


Allah Ta'ala Ne Qur'an e Majeed Me Irshaad Farmaya Ke:
"AYE IMAAN WALO !! JAB TUM SE KAHA JAYE MAJLISON ME JAGAH DEDO TO TUM LOG JAGAH DEDO.ALLAH TA'ALA TUM KO JAGAH DEGA.AUR TUM SE KAHA JAYE KE UTH KHADE HO TO UTH KHADE HO JAO.ALLAH TA'ALA TUM ME SE IMAAN WALON AUR ILMWALON KE DARJAAT KO BULAND FARMA DEGA."
(Para 28, Ruku:2)

 RasoolAllah SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Irshaad Farmaya Ke Koi Shaksh Aysa Na KAre Ke Majlis Se Kisi Ko Utha KAr Khud Us JAgah Baith JAye Balke Aane Walon Ke Liye Hat Jaye Aur Jagah Kushada Karde.
(Bukhari Waghaira)


Majlison Me Har Mard Awrat Ko In Chand Aadaab Ka Lihaaz Rakhna Chahiye.

1.Kisi Ko Us Jagah Se Utha Kar Khud Wahan Mat Baitho.
(Abu Dawood Jild:2 Safa:316)

2. Koi Majlis Se Uth KAr Kisi Kaam Ko Gaya.Aur Ye Maloom Hai Ke O Abhi Aayega.To Aysi Surat Me Us Jagah Kisi Aur Ko Baithna Nahi Chahiye.Wo Jagah Usi Ka Haq Hai.
(Abu Dawood Jild 2 Safa 317)

3.Agar Do Shaksh Majlis Me Paas Paas Baith KAr Baten KAr Rahe Hoon To Un Dono Ke Beech Me Ja KAr Nahi Baith Jana Chahiye. Haan Albatta Agar Wo Dono Apni Khushi Se Tumhe Apne Darmiyaan Me Baithayen To Baithne Me Koi Harj NAhi.
(Abu Dawood Jild:2 Safa:317)

4.Jo TumSe Mulaqaat Ke Liye Aaye To Tum Khushi Ka Izhaar Karte Huwe Uske Liye Zara Apni Jagah Se Khisak Jao Jisse O Ye Jane Ke Meri Qadar Wa Izzat Ki.

5. Majlis Me Sardar Ban KAr Mat Baitho.Balke Jahan Bhi Jagah Mile Baith JAo.Ghamand Aur Guroor Allah Ta'ala Ko Behad Na-Pasand Hai. Aur Tawazo Aur inkesari Allah Ta'ala Ko Bahot Ziyada Mehboob Hai.

6.Majlis Me Cheenk Aaye To Apne Muh Per Apna Haat Ya Koi Kapda Rakh Lo Aur PAst Aawaaz Se Cheenko.Aur Buland Aawaaz Se Alhamdulillah Kaho Aur Hazreen e Majlis Jawaab Me يَرْحَمُكَ اللَّهُ (YarhamukAllah) Kahen.

7.Jamae Ko Jahan Tak Ho Sake Roko. Agar Phir Bhi Na Ruke To Hath Ya KApde Se Muh Dhank Lo.

8. Bahot Zoor Se Kehkhah Laga Kar Mat Hanso, Ke Is Tarha Hasne Se Dil Murda Ho Jata Hai.

9.Majlison Me Logon Ke Samne Tewri Chadha Kar Aur Mathe Per Bal Dal Kar Naak Muh Chadha Kar Mat Baitho Ke Ye Ghamandi Logon Aur Mutakabbiron Ka Tariqa Hai.Balke Nihayat Aajizana Andaaz Se Gareebon Ki Tarha Baitho.Koi Baat Mouqe Ki Hoto Logon Se BolChal Bhi Lo.Lekin Hargiz HArgiz Kisi Ki Baat Mat Kato .Na Kisi Ki Dil Aazari Karo.Na Koi Gunah Ki Baat Bolo!.

Majlis Se Uthte Waqt Ki Dua:

RasoolAllah SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke Jo Shaksh Majlis Se Uth Kar Teen(3) Martaba Ye Padhlega.AllahTa'ala Uske Gunahon Ko Mita Dega Aur Jo Shakshs Majlis-e-Khair Aur Majlis-e-Zikr Me Is Dua Ko Padhega.AllahTa'ala Uske liye Us Khair Par Mohar Kardega.
(Abu Dawood Jild 2 Safa 319)

سُبحَانَکَ اللہُمَّ وَ بِحَمدِکَ لآَاِلَهَ اِلآَ اَنتَ اَستَغفِرُكَ وَاَتُؤبُ اِلَيكَ-

Tarjuma:
Aye Allah! Ham Teri Tareef Ke Sath Teri Paaki Bayan Karte Hai.Tere Siwa Koi M'abood Nahi Mai Tujh Se Bakshish Mangta Hoon Aur Tere Darbaar Me Touba Karta Hoon.

Chalne Ke Aadab

7:50 pm


Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed Me Irshaad Farmaya Ke:

"AUR ZAMEEN PER ITRA KAR MAT CHALO.KOI ITRA KAR CHALNEWALA FAKHR KARNEWALA ALLAH KO PASAND NAHI HAI AUR DARMIYANI CHAAL CHALO (na bahot hi aahista aur na bilkul doudh kar )
AUR BAAT CHET ME ITNI AAWAZ PAST RAKHO.BESHAK SAB AAWAZON ME BURI AAWAZ GADHE KI HAI."
(Para:21, Ruku 11)


Dosri Aayat Me Irshaad Farmaya:

"Yaani TU ZAMEEN PER ITRA KAR MAT CHAL.BESHAK TO HARGIZ NA TO ZAMEEN KO CHEER DALEGA.AUR NA TU BULANDI ME PAHADON KO PAHONCHEGA."
(Para:15,Ruku:4)


Tesri Aayat Me FArmaya Ke :

"YANI RAHMAAN KE BANDE WO HAIN JO ZAMEEN PER AAHISTA CHLATE HAIN"
(Para:19, Ruku:4 )

Mas'ala: Chalne Me Itra Itra KAr Chalna.Ya Akda KAr Chalna.Ya Dayen Bayen Halte Aur Jhumte Huwe Chalna, Ya Zameen Per Paon Tapak Tapak KAr Chalna.Ya Logon Ko Dhakka Dete Huwe Chalna. Ye Sab Allah Ta'ala Ko Na PAsand Hai.Aur RasoolAllah SallallahuTa'alaLAaihiWaSallam Ki Sunnat Ke Khilaf Hai Is Liye Shari'at Me Is Qism Ki Chaal Chalna Man'a Aur Na-Jaiz Hai.

◆ Hadees Shareef Me Hai Ek Shaksh Do Chadaren Odhe Huwe Itra Itra Kar Chal Raha Tha Aur Bahot Ghamandi Me Tha To Allah Ta'ala Ne UsKo Zameen Me Dhansa Diya Aur Wo Qiyamat Tak Zameen Me Dhanstahi Rahega.
(Bukhari Wa Muslim Wa Mishkaat Jild 2 Safa: 44)

◆ Ek Hadees Me Ye Bhi Aaya HAi ke Chalne Me JAb Tumhare Samne Awraten Aajayen To Tum Unke Darmiyan Me Se Mat Guzro Dahne Ya Bayen Ka Rasta Lelo
(Sh'abul Imaan Bihaqi)

◆ Mas'ala: Rastah Chod Kar Kisi Ki Zameen Me Chalne Ka Haq Nahi. Haan Agar Wahan Rasta Nahi Hai To Chal Sakta Hai.Magar Jab Ke Zameen Ka Malik Mana Kare To Nahi Chal Sakta.Ye Hukm Ek Shaksh Ke Mutaliq Hai Aur Jo Bahot Se Log Hon To Jab Zameen Ka MAlik Razi Na Ho Nahi Chalna Chahiye Lekin Agar Raste Me Paani HAi Aur Uske Kinare Kisi Ki Zameen Hai Aysi Surat Me Us Zameen Par Chal Sakta Hai.
(Bahar e Shari'at Jild:16 Safa:7Aalamgeer)

◆ Baaz MArtaba Khet Boya Hota Hai Zahir Hai Ke Us Me Chalna Kashtkaar Ke Nuksaan Ka Sabab Hai Aysi Surat Me Hargiz Usme Chalna Na Chahiye Balke Baaz Martaba Kashtkaar Khet Ke Kinare Per Kaante Rakh Dete Hain. Ye Saaf Uski Daleel Hai Ke Us Ki Janib Se Chalne Ke Muman'at Hai. Us Per Bhi Baaz Log Towajah Nahi KArte. Un Logon Ko Jaan Lena Chahiye Ke Us Surat Me Chalna Man'a Hai.
(Bahare Shari'at Jild 16 Safa: 17)

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...