Aadaab E MAjlis KA Bayaan

7:56 pm


Allah Ta'ala Ne Qur'an e Majeed Me Irshaad Farmaya Ke:
"AYE IMAAN WALO !! JAB TUM SE KAHA JAYE MAJLISON ME JAGAH DEDO TO TUM LOG JAGAH DEDO.ALLAH TA'ALA TUM KO JAGAH DEGA.AUR TUM SE KAHA JAYE KE UTH KHADE HO TO UTH KHADE HO JAO.ALLAH TA'ALA TUM ME SE IMAAN WALON AUR ILMWALON KE DARJAAT KO BULAND FARMA DEGA."
(Para 28, Ruku:2)

 RasoolAllah SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Irshaad Farmaya Ke Koi Shaksh Aysa Na KAre Ke Majlis Se Kisi Ko Utha KAr Khud Us JAgah Baith JAye Balke Aane Walon Ke Liye Hat Jaye Aur Jagah Kushada Karde.
(Bukhari Waghaira)


Majlison Me Har Mard Awrat Ko In Chand Aadaab Ka Lihaaz Rakhna Chahiye.

1.Kisi Ko Us Jagah Se Utha Kar Khud Wahan Mat Baitho.
(Abu Dawood Jild:2 Safa:316)

2. Koi Majlis Se Uth KAr Kisi Kaam Ko Gaya.Aur Ye Maloom Hai Ke O Abhi Aayega.To Aysi Surat Me Us Jagah Kisi Aur Ko Baithna Nahi Chahiye.Wo Jagah Usi Ka Haq Hai.
(Abu Dawood Jild 2 Safa 317)

3.Agar Do Shaksh Majlis Me Paas Paas Baith KAr Baten KAr Rahe Hoon To Un Dono Ke Beech Me Ja KAr Nahi Baith Jana Chahiye. Haan Albatta Agar Wo Dono Apni Khushi Se Tumhe Apne Darmiyaan Me Baithayen To Baithne Me Koi Harj NAhi.
(Abu Dawood Jild:2 Safa:317)

4.Jo TumSe Mulaqaat Ke Liye Aaye To Tum Khushi Ka Izhaar Karte Huwe Uske Liye Zara Apni Jagah Se Khisak Jao Jisse O Ye Jane Ke Meri Qadar Wa Izzat Ki.

5. Majlis Me Sardar Ban KAr Mat Baitho.Balke Jahan Bhi Jagah Mile Baith JAo.Ghamand Aur Guroor Allah Ta'ala Ko Behad Na-Pasand Hai. Aur Tawazo Aur inkesari Allah Ta'ala Ko Bahot Ziyada Mehboob Hai.

6.Majlis Me Cheenk Aaye To Apne Muh Per Apna Haat Ya Koi Kapda Rakh Lo Aur PAst Aawaaz Se Cheenko.Aur Buland Aawaaz Se Alhamdulillah Kaho Aur Hazreen e Majlis Jawaab Me يَرْحَمُكَ اللَّهُ (YarhamukAllah) Kahen.

7.Jamae Ko Jahan Tak Ho Sake Roko. Agar Phir Bhi Na Ruke To Hath Ya KApde Se Muh Dhank Lo.

8. Bahot Zoor Se Kehkhah Laga Kar Mat Hanso, Ke Is Tarha Hasne Se Dil Murda Ho Jata Hai.

9.Majlison Me Logon Ke Samne Tewri Chadha Kar Aur Mathe Per Bal Dal Kar Naak Muh Chadha Kar Mat Baitho Ke Ye Ghamandi Logon Aur Mutakabbiron Ka Tariqa Hai.Balke Nihayat Aajizana Andaaz Se Gareebon Ki Tarha Baitho.Koi Baat Mouqe Ki Hoto Logon Se BolChal Bhi Lo.Lekin Hargiz HArgiz Kisi Ki Baat Mat Kato .Na Kisi Ki Dil Aazari Karo.Na Koi Gunah Ki Baat Bolo!.

Majlis Se Uthte Waqt Ki Dua:

RasoolAllah SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke Jo Shaksh Majlis Se Uth Kar Teen(3) Martaba Ye Padhlega.AllahTa'ala Uske Gunahon Ko Mita Dega Aur Jo Shakshs Majlis-e-Khair Aur Majlis-e-Zikr Me Is Dua Ko Padhega.AllahTa'ala Uske liye Us Khair Par Mohar Kardega.
(Abu Dawood Jild 2 Safa 319)

سُبحَانَکَ اللہُمَّ وَ بِحَمدِکَ لآَاِلَهَ اِلآَ اَنتَ اَستَغفِرُكَ وَاَتُؤبُ اِلَيكَ-

Tarjuma:
Aye Allah! Ham Teri Tareef Ke Sath Teri Paaki Bayan Karte Hai.Tere Siwa Koi M'abood Nahi Mai Tujh Se Bakshish Mangta Hoon Aur Tere Darbaar Me Touba Karta Hoon.

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...