ubaidullah bin ziyad Ka Na-Paak Sar aur Naak me Saanp
2:06 pm
ubaidullah bin ziyad Ka Na-Paak Sar
ubaidullah Bin Ziyad Jo Kufe Ka yazeedi Governer Tha. Aur Jisne Hazrath Imam Aur Ahle Bait Ku Karbala Me Qatal Karaya. Ye 30,000 Ki Fouj Le Kar "Mousal" Me Padao Kiye Huwe Tha. Muqtar Ne Ibrahim Bin Malik-e-Ashtar Ku Fouj Ka Sipah-Salar Bana Kar .Uske Muqabile Ke Liye Bheja. Chunanche, Mousal Se 15 Kos Ki Duri Per Daryaye Furat Ke Kinare Dono Lashkaron Me Din Bhar Jam Kar Ghumsaan Ki Ladai Huwi. Aur Aakhir Kaar Sham Tak Ibrahim Ka Lashkar Fatah Yaab Ho Gaya. Aur Ubaidullah Bin Ziyad Isi Maidan Me Mohraam Ki 10vi Tareeq 67 Hijri Ku Daryaye Furat Ke Kinare Qatal Huwa. Aur Uska Sara Lashkar Bhi Maqtool Ho Gaya. Ibrahim Ne Ubaidullah Bin Zayad Ka Sar Kat Kar Muqtar Ke Darbar Me Kufa Bheja Aur Muqtar Ne Darbar Aarasta Karke Majmu'ae Aam Me Ubaidullah Bin Ziyad Ke Sar Ku Apne Takh Ke Niche Theek Usi Jagah Per Rakhwaya. Jis Jagah Is Bad-Naseeb Ne Ibne RasoolAllah Ke Sar Ku Rakhwaya Tha.
Naak Me Saanp
Tirmizi Shareef Ki Hadees Hai Ke Jis Waqt Ibne Ziyad Bad-Nihad Ka Napak Sar Muqtar Ke Darbar Me Laa Kar Zameen Per Rakha Gaya To Nagaha Ek Sanp Gaib Se Namudar Huwa Aur O 3 Dafa Iski Naak Me Dakhil Huwa Aur Mooh Se Nikla Phir Ekdam Gaib Ho Gaya.Aur Kisi Ku Aaj Tak Ye Nahi Maloom Huwa Ke O Kahan Se Aaya Tha Aur Kahan Chala Gaya.
0 comments