Chalne Ke Aadab

7:50 pm


Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed Me Irshaad Farmaya Ke:

"AUR ZAMEEN PER ITRA KAR MAT CHALO.KOI ITRA KAR CHALNEWALA FAKHR KARNEWALA ALLAH KO PASAND NAHI HAI AUR DARMIYANI CHAAL CHALO (na bahot hi aahista aur na bilkul doudh kar )
AUR BAAT CHET ME ITNI AAWAZ PAST RAKHO.BESHAK SAB AAWAZON ME BURI AAWAZ GADHE KI HAI."
(Para:21, Ruku 11)


Dosri Aayat Me Irshaad Farmaya:

"Yaani TU ZAMEEN PER ITRA KAR MAT CHAL.BESHAK TO HARGIZ NA TO ZAMEEN KO CHEER DALEGA.AUR NA TU BULANDI ME PAHADON KO PAHONCHEGA."
(Para:15,Ruku:4)


Tesri Aayat Me FArmaya Ke :

"YANI RAHMAAN KE BANDE WO HAIN JO ZAMEEN PER AAHISTA CHLATE HAIN"
(Para:19, Ruku:4 )

Mas'ala: Chalne Me Itra Itra KAr Chalna.Ya Akda KAr Chalna.Ya Dayen Bayen Halte Aur Jhumte Huwe Chalna, Ya Zameen Per Paon Tapak Tapak KAr Chalna.Ya Logon Ko Dhakka Dete Huwe Chalna. Ye Sab Allah Ta'ala Ko Na PAsand Hai.Aur RasoolAllah SallallahuTa'alaLAaihiWaSallam Ki Sunnat Ke Khilaf Hai Is Liye Shari'at Me Is Qism Ki Chaal Chalna Man'a Aur Na-Jaiz Hai.

◆ Hadees Shareef Me Hai Ek Shaksh Do Chadaren Odhe Huwe Itra Itra Kar Chal Raha Tha Aur Bahot Ghamandi Me Tha To Allah Ta'ala Ne UsKo Zameen Me Dhansa Diya Aur Wo Qiyamat Tak Zameen Me Dhanstahi Rahega.
(Bukhari Wa Muslim Wa Mishkaat Jild 2 Safa: 44)

◆ Ek Hadees Me Ye Bhi Aaya HAi ke Chalne Me JAb Tumhare Samne Awraten Aajayen To Tum Unke Darmiyan Me Se Mat Guzro Dahne Ya Bayen Ka Rasta Lelo
(Sh'abul Imaan Bihaqi)

◆ Mas'ala: Rastah Chod Kar Kisi Ki Zameen Me Chalne Ka Haq Nahi. Haan Agar Wahan Rasta Nahi Hai To Chal Sakta Hai.Magar Jab Ke Zameen Ka Malik Mana Kare To Nahi Chal Sakta.Ye Hukm Ek Shaksh Ke Mutaliq Hai Aur Jo Bahot Se Log Hon To Jab Zameen Ka MAlik Razi Na Ho Nahi Chalna Chahiye Lekin Agar Raste Me Paani HAi Aur Uske Kinare Kisi Ki Zameen Hai Aysi Surat Me Us Zameen Par Chal Sakta Hai.
(Bahar e Shari'at Jild:16 Safa:7Aalamgeer)

◆ Baaz MArtaba Khet Boya Hota Hai Zahir Hai Ke Us Me Chalna Kashtkaar Ke Nuksaan Ka Sabab Hai Aysi Surat Me Hargiz Usme Chalna Na Chahiye Balke Baaz Martaba Kashtkaar Khet Ke Kinare Per Kaante Rakh Dete Hain. Ye Saaf Uski Daleel Hai Ke Us Ki Janib Se Chalne Ke Muman'at Hai. Us Per Bhi Baaz Log Towajah Nahi KArte. Un Logon Ko Jaan Lena Chahiye Ke Us Surat Me Chalna Man'a Hai.
(Bahare Shari'at Jild 16 Safa: 17)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...