Zeenat Ka Bayan

5:05 pm


 Mardon ko Sone(Gold) ki Anghoti(Ring) Pehanna HAram hai.Mard Chandi(Silver) ki Ek Anghoti Ek Nag(Stone) Wali Jo Wazan Me Sadhe Chaar (4 and half) Masha Se Kam Ho Pehan Sakte Hain.Mard Chand (ek se Ziyada) Anghoti Ya Ek Anghoti Kayi (ek se ziyada) Nag Wali Ya Challe Nahi Pehan Sakte Ye Sab Mardon Ke Liye Najaiz Hain.

 Auraton Ko Sone Chandi Ki Har Qisam Ki Anghotiyan,Challe, aur Har Qisam ke Zewarat Pehan Sakti Hain.Lekn Sone Chandi Ke Alawa Dosri Dhaton Maslan Loha,Tamba,Petal,Rold Gold Waghaira Ke Zewrat ya Anghotiyan Mard Wa Awrat Dono Ke Liye Najaiz Hain.

 Bajne Wale Zewrat Bhi Awraton ke Liye Mana hain.
 Na Baligh Ladkon Ko Bhi Zewrat Pehnana Haram Hai,Pehnanewale Gunahgar Honge.
(Durr Al Mukhtaar Wa Rad Al Muhtaar)

Mas'ala: Shari’at Me Ijazat Hai Ke Agar Allah Ta’ala Ne Dowlat Di Hai To Achcha Libaas Aur Qeemti Kapdon KA IStemal Awraton Aur MArdon Dono Ke Liye Jaiz Hai BA-Shart Ye Ke Fakhr Aur Ghamandi Ke Liye Na Ho, Balke Nemat e Khudawandi Ke Izhar Ke Liye Ho.

 Mas'ala: Insaan Ke Balon Ko Awrat Choti Bana Kar Apne Balon ME Gundhe Take Uske Baal Ziyadah Khubsurat Maloom Ho Ye Haram HAi.Aur Agar Oon Ya Kale Daghon Ki Choti Bana KAr Balon Me Gundhe To Ye Jaiz Hai.
(Aalamgeri Jild 5 Safa 313)

 Mas'ala: Danton Ko Reti (Balu) Se Raet KAr Khubsurat Banane Wali Ya Mochne Se Bhawon (Eye Brow) Ke Balon Ko Noch Kar Bhawon Ko Bareek Aur Khubsurat Banane Wali Un Sab Awraton Per Hadees Me L’anat Aayi HAi.
(Bukhari Jild:2 Safa:880)

Ladkiyon Ke Naak Kaan Chedna Jaiz Hai.Baaz Jahil Mard Aur Awraten Ladkon ke Bhi Kaan Chidwaten HAin Aur Durya Pehnate Hain Ye Najaiz Hai. YAani Ladkon Ka Kaan Chidwana Bhi NaJAiz Aur Un Ke Kaan Me Zewar Pehnana Bhi Haram Hai.
(Rad Ul Muhtar)

 Awraten Apni Chotiyon Me Sone(Gold) Chandi Ke Dane,Phool,Clip Laga Sakti HAin.

 Mas'ala: Awraton Ko Kajal Aur Kala Surmah Zeenat Ke Liye Lagana Jaiz HAi.Mardon Ko Kala Surmah Mahaz Zeenat Ke Liye Lagana Makruh Hai. Haan Agar Kala Surmah Aankhon Ke Ilaaj Ke Liye Lagaye To Usme Koi Karahat Nahi.
(Aalamgeri Jild 5 Safa 314)

 Aadab:

 Jo Awraten Bahot Hi Qeemti Aur Razq-Barq Libaas Aur Shaandaar Zewarat Pehanti hain.Unke Pass Bahot Kam Utho Baitho Ke unke Thath Bath ko Dekh Kar Tum Ko Apni Muflisi Aur Gharibi Per Afsos Hoga. Aur Tum Khudawande Kareem Ki NaShukri Karne Lagogi. Aur Kwah Makhwah Duniya Ki Hawas Badhegi.

 Har Hafta(Every Weak) Naha Doh Kar Naaf Se Neeche Aur Baghal(Underarm) Waghaira ke Baal Door Karke Badan Ko Saaf Sutra Karna Mustahab Hai.
 Har Hafta Na ho To Pandhrawen (15) Din Sahi. Ziyadah Se Ziyadah Chalis(40) Din.Isse Ziyada Din Ki Ijazat Nahi.Agar Chalis (40) Din Guzar Gaye Aur Baal Saaf Na Kiye To Gunah Huwa.
>> Awraton Ko Khaas Tour Per Is Ka Khayal Rakhna Chahiye.Kyunke Awraton ki Gandagi Aur PhohadPan Se Soharon Ko Apni Biwiyoun Se Nafrat Ho Jaya Karti Hai.Phir Miyan Biwi Ke Taluqat Hamesha Ke Liye Kharaab HoJaya Karte Hain.
(Durr e Mukhtaar Jild 5 Safa 261)

 Mote Kapde Pehanna, aur Phate Purane Kapdon Me Pewand Laga KAr Pehanna Islami Tariqa Hai.
(Aalamgiri Jild :5,Safa: 293).

 Hadees Shareef Me RasoolAllah SalllallahuTa’alaAlaihiWaSallam Ne FArmaya KE JAb Tak Kapde Me Pewand Laga Kar Na Pehan Lo.Us Waqt Tak Kapde Ko Purana Na Samjho.Isliye Khabardaar Khabardaar Kabhi Hargiz Bhi Pewand Laga KAr KApdon Ko Pehanne Me Na Sharm Karo. Aur Na Us Ko Haqeer Samjho.Na Us Per Kisi Ko Ta’na Maro.
(Bahare Shari’at Jild :16 Safa:54)

 Naak Muh Saaf Karne Ke Liye Ya Wazu Ke Baad Hath Muh Pochne Ya Paseena Pochne Ke Liye Rumal Rakhna Chahiye.Daman Ya Aasteeen Se Hath, Muh Pochna.Ya NAak Saaf Karna Khilaf e Aadab Aur Ghinouhni Baat HAi.
(Aalamgeeri Jild:5 Safa:293)

Mutafariq Masail

Mas'ala: Mardon Ko Amamah Bandhna Sunnat Hai. Khususan Namaaz Me Kyunke Jo Namaaz Amamah Bandh Kar Padhi Jati HAi Uska Sawaab Bahot Ziyada Hota Hai.

Mas'ala: Amamah Bandhe To Uska Shimlah Dono Shanon Ke Darmiyaan Latkaye.Aur Shimla Ziyadah Se Ziyadah Itna Bada Hona Chahiye Ke Baithne me Rukawat Na De.
(Aalamgeeri Jild 5 Safa : 291)

Baaz Log Shimla Bilkul Nahi Latkate Ye Sunnat Ke Khilaf Hai Aur Baaz Log Shimla Ko Upar Lakar Amamah Me Ghurus lete Hain. Ye Bhi Nahi Chahiye.Khususan Namaz Ki Halat Me To Aysa Karna Makruh Hai.
(Bahare Shari’at Jild:6 Safa: 55)

Mas'ala: Amamah Ko Jab Phir Se Bandhna Hoto Usko Utar Kar Zameen Per Phenk Na De.Balke Jis Tarha Lapetta Hai Usi Tarha Odhedhna Chahiye.
(Aalamgeeri Jild 5 Safa: 291)

Mas'ala: Topi Pehanna Bhi Huzoor SallallahuTA’alaAlaihiWaSallam Ki Sunnat Hai.
(Aalamgeeri Jild:5 Safa: 291)

Huzoor SallalllahuTa’alaAlaihiWaSallam Topi Ke Uper Amamah BAndhte The Aur FArmate The Ke Ham Me Aur Mushrikeen Me Ye Farq Hai Ke Ham Amamon Ke Neeche Topi Rakte Hain Aur Wo Sirf Pagdi BAndhte HAin Aur Uske Neeche Topi NAhi Rakhte.Chunanche Hindustan Ke Kuffar Wa Mushrikeen Bhi Agar PAgdi Bandhte HAin To Us Ke Neeche Topi Nahi Pehante.
(Bahare Shari’at Jild 16 Safa 54)

Mas'ala: RasoolAllah SallallahuTA’alaAlaihiWaSallam Ka Chota Amamah Sath(7) Hath Ka. Aur Bada Amamah Barah(12) Hath Ka Tha.Lihaza Bas Isi Sunnat Ke Mutabiq Amamah Rakhna Chahiye.Barah Hath Se Ziyadah Bada Amamah Bandhna Sunnat Ke Khilaf HAi.
(Bahare Shari’at Jild 16, Safa 56)

Mas'ala: Awliya e Swaliheen Ke Mazaron Per Ghilaf Wa Chadar Dalna Jaiz Hai. Jab Ke Ye Maqsood Ho Ke Saheb e Mazar Ki Azmat Wa Rif’at Awwam Ki Nazron Me Paida Ho Aur Awwam Un AllahWalon Ka Adab Karen Aur Unse Fuyuz Wa Barkat Hasil Karen Aur Wahan Ba-Adab Hazir Ho Kar Fateha Khwani Karen.
(Rad ul Muhtar Jild: 5 Safa: 236)

 Wahabi Aur Bad Aqidah Log Jin Ke Dilon Me Awliya Aur Buzurgane Deen Ki Muhabbat O Aqidat Nahi Hai.Usko Najaiz O Haram Batate Hain.Un Logon Ki Baat Hargiz Hargiz Nahi Manni Chahiye Warna Gumrahi Ka Khatra HAi.

 Mas'ala:Gale Me TAweez Pehanna Ya Bazu Per Taweez Bandhna. Isi Tarha Baaz Dua'on Ya Aayaton Ko Kagaz(Paper) Per Ya Kapi Per Likh Kar Shifa Ki Niyyat Se Dho Kar Pilana Bhi Jaiz Hai. Yaad Rakho Ke Baaz Hadeeson Me Jo Gale Me Taweez Latkane ki Mumani'at Aayi Hai UsSe Muraad Zamana e Jahaliyat Ke wo Taweez me Jo Mushrikanah Mantaron Se Banaye Jate HAin.Ayse Jantaron Ko Pehanna Aaj Kal Bhi HARAm Hai.Lekin Quran Ki Aayaton Aur Hadeeson Ke Taweezat Hamesha Aur Har Zamane Me Jaiz Hai.Aur Ab Bhi Jaiz HAi.
(Dur e Mukhtar Wa Rad ul Muhtar Jild: 5 Safa: 232)

 Mas'ala: Bichone Ya Musalli Ya DastarKhwan Ya Takiyoun Ya Masnadon Ya Rumalon Per Agar Kuch Likha Huwa Ho To Un Ko Istemaal Karna Jaiz NAhi. Ye Likhawat Khwah Kapdon Me Hi Bani Ho Ya Kadhi Huwi Ho Ya Roshnayi Se Likhi Huwi Ho. Alfaaz Ho Ya Hurf Ho, Har surat Me Mumani'at Hai.Kyunke Likhe Huwe Alfaaz Aur Huruf Ka Adab Wa Ehteram Lazim Hai.
(Rad ul Muhtar Jild: 5 Safa: 232)

 Mas'ala: Nazar Se Bachne Ke Liye Bachchon Ke Mathe Ya Thudi Wagaira Me Kajal Waghaira Se Dhabbah Laga Dena. Ya Khetiyoun Me Kisi Lakdi Me Kapda Lapet kar Gaad Dena.Take Dekhnewale Ki Nazar Pehle Us Per Padhe Aur Bachchon Aur Khetiyon Ko Kisi Ki Nazar na Lage.Aysa karna Mana Nahi Hai .Kyunke Nazar Ka Lagana Hadeeson Se sabit Hai. iska Inkar Nahi kiya Ja Sakta. Hadees Shareef Me Hai Ke Jab Apni Ya Kisi Musalmaan ki Koi Cheez Dekhe. Aur Wo Achchi Lage aur Pasand Aaye to Fouran Ye Dua Padhe.

تَبَارَكَ اللَّهُ أَحْسَنُ الْخَالِقِينَ اللَّهُمَّ بَارِكْ فِيهِ 

Ya urdu me Ye Kehden. Ke Allah Barkat De Is Tarha Kehne Se Nazar Nahi Lagegi.
(Rad ul Muhtaar Jild : 5 safa: 233)

Mas'ala: Jiske Yahan Maiyyat Huwi Hai Use Izhaar e Gham Ke Liye Kale Kapde Pehanna Jaiz Nahi Hai.
(AalamGeeri Jild 5 Safa: 293)

Isi Tarha izhare Gham Ke Liye Kale Bille Lagana Bhi Najaiz Hai Awwalan(1st) To Ye Sog Ki Surat Hai.Duwwam(2nd) Ye Ke Ye Nasraniyoun Ka Tariqa Hai.Isi Tarha Muhram Ke Dino Me Pehli Muhram Se Barawheen Muhram Tak Teen Qism ke Rang Wale Kapde Na Pehne Jaye.Kala Ke Ye Rafziyoun Ka TAriqa Hai ,Sabz Ke Ye Biddatiyon Yani Taziyadaron Ka Tariqa Hai aur Surkh Ke Ye Kharjiyon Ka Tariqa Hai Ke Wo Ma'azAllah Izhar e Musarrat Ke Liye Surkh Libas Pehante Hain.
(Bahar e Shari'at Jild:16 Sfa: 35)

Mas'ala: Ulma Wa Fuqha Ko Aysa Libaas Pehanna Chahiye Ke Wo Pehchane Jayen Take Logon Ko Un Se Masail Puchne Aur Deeni M'alumaat Hasil Karne Ka Mouq'a mile.Aur ilm e Deen Ki Izzat Wa Waqa'at Logon Ke Dilon Me Paida Ho.
(Bahare Shari'at Jild: 5 Safa: 25)

Mas'ala: Amamah Khade Ho KAr Bandhe Aur Pajamah Baith Kar Pehne.Jisne Is Ka Ulta Kiya Wo Ayse Marz Me Mubtila Hoga Jiski Dawa Nahi .
(Bahar e Shari'at Jild 12 Safa: 258)

Mas'ala: Pajamah Ka Takiya Na Banaye Ke Ye adab Ke Khilaf Hai Aur Amamah Ka Bhi Takiyah Na Banaye.
(Bahar e Shari'at Jild:16 Safa: 258)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...