Qurbani Ka Wujoob
4:35 pm
QURABNI KE MASA'IL
Qurbani :
Ye Ek Maali Ibadat Hai Jo Har Gani Par Wajib Hai Khaas Janwar Ko Khaas Din Main Allah Ke Liye Sawab Ki Niyyat Se Zibah Karna Qurbani Hai.Musalman , Muqeem , Malike Nisaab , Aazaad Par Qurbani Wajib Hai.
Jis Tarah Qurbani Mard Par Wajib Hai Isi Tarah Aurat Par Bhi Wajib Hai.(📓Durre Mukhtar)
Mas'alah: Musafir Par Qurbani Nahi Lekin Agar Nafil Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai. Sawab Payega.(📓Durre Mukhtar)
Malike Nisaab Hone Se Muraad Itna Maal Hona Ke Jitna Maal Hone Se Sadqa Fitr Wajib Hota Hai. Yani Haa'jate Asliyah Ke Aelawa 200-Dirham (Sadhe 52 Taula Chandi) Ya 20-Dinar (Sadhe 7 Taula Sona) Ka Maalik Ho.(📓Durre Mukhtar -O- AalamGiri)
Jo Shakhs 200-Dirham Ya 20-Dinar Ka Malik Ho Ya Haajate Asliyah Ke Aelawa Kisi Aisi Cheez Ka Malik Ho Jiski Qimat 200-Dirham Ho To Wo Gani Hai Us Par Qurbani Wajib Hai.(📓Aalamgiri)
Agar Musafir MaalDaar Ho Aur Kisi Jaga 15-Din Qayaam Ki Niyyat Kare, Ya 12vi Tareekh Ko Suraj Ghuroob Hone Se Pehle Ghar Pohach Jaye, Ya Kisi NaDaar Aadmi Ke Pass12vi Tareekh Ko Ghuroob Shams Se Pehle Itna Maal Aajaye Ke Sahibe Nisaab Hojaye To In Tamam Surtho Main Us Par Qurbani Wajib Hojati Hai.
Hamare Haan Aam Taur Par Dekha Gaya Hai Ke KhanDaan Ya Ghar Ke Bade Ki Taraf Se Ya Ba'z Log Ghar Ke Har Fard Ki Taraf Se Qurbani Karte Hai.Shara'ee Ta'alimaat Ye Hain Ke Jo Shakhs Nisaab Ka Malik Hai , Qurbani Usi Par Wajib Hai. Is Liye Apni Wajib Qurbani Karne Ba'd Agar Mazeed Iste'taa'at Hai To Ghar Ke Jis Fard Ki Taraf Se Chahe Nifli Qurbani KarLeJab Tak Sahebe Nisaab Hai Har Saal Qurbani Karna Wajib Hai
0 comments