Allah Ta'ala Ki Zaat Aur Sifat Ke Aqide
8:25 pm
Allah Ek Hai.Pak Be-Misl Be-Ayeb Hai.Har Kamal Wa Khubi Ka Jama'a Hai. Koi Kisi Baat Me Na Us Ka Shareek Na BArabar Na Usse Badh Kar,Wo Ma'a Apni Sifaat e Kamaliyah Ke Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega , Hameshgi Sirf Usi Ki Zaat Wa Sifaat Ke Liye Hai Uske Siwa Jo Kuch Hai Pehle Na Tha Jab Usne Paida Kiya To Huwa.. O Apne Aap Se Hai,Usko Kisine Paida Nahi Kiya .Na Wo Kisi Ka Baap Na Kisi Ka Beta Na Uske Bibi Na Rishtedaar.Sab Se Be-Niyaaz.Wo Kisi Baat Me Kisi Ka Mohtaaj Nahi Aur Sab Uske Mohtaaj. RoziDena,Marna,Jilana Usi Ke Ikhtiyaar Me Hai. Wo Sab Ka Malik Jo Chahe Kare.Uske Hukm Me Koi Dam Nahi Maar Sakta.Baghair Uske chahe Zarra Nahi Hil Sakta. Wo Har Khuli Chupi,Honi,Anhoni Ko Jaanta Hai Koi Cheez Uske Ilm Se BAher Nahi. Duniya Jahan Sare Aalam Ki Har Cheez Uski PAida Ki Huwi Hai.Sab Uske Bande Hain.wo Apne Bandon Per Maa-Baap Se Ziyada Meharbaan Raham KArneWala.Gunah BakhshneWala Touba Qubool FarmaneWala Hai.Uski Pakad nihayat Sakht Jisse Baghair Us Ke Chudaye Koi Chut Nahi Sakta.Izzat,zillat Usi Ki Ikhtiyaar Me Se Hai Izzat De Jise Chahe Zaleel Kare.Maal O Dowlat Usi Ke Qabze me Hai Jise Chahe Ameer Kare jise Chahe Faqeer Kare.
0 comments