Qurbani Ka Jaanwar
4:55 pmQurbani Ka Janwar... Oont(Camel) , Gaaye , Bhains , Bakri , Bhed Nar -O- Maadah. Khasi, Gair-Khasi Sab Ki Qurbani Ho Sakti Hai.
(📓AalamGiri)
Mas'alah: Wehshi Janwar Jaise Hiran , Neel-Gaay , Bara-Singha Waghera Ki Qurbani Nahi Ho Sakti.
(📓AalamgGiri)
Mas'alah: Dumba Bhed Hi Main Dakhil Hai.
Mas'alah:
Onnt -- 5 Saal
Gaay , Bhains -- 2 Saal
Bhed , Bakri -- 1 Saal
Ki Ho Ya Zyada Ki Isse Kam Ki Na-Jaaiz Hai.
Haan Agar Dumba Ya Bhed Ka Cheh(6) Maha Ka Baccha Itna Bada Hoke Door Se Dekhne Main Saal Bhar Ka Ma'aloom Hota Ho To Uski Qurbani Jaaiz Hai.
(📓Durre Mukhtar)
Mas'alah:: Qurbani Ka Janwar Mota Taaza Aur Accha Hona Chahiye Aibi Na Hona Chahiye Agar Thoda Sa Aeb Hoto Qurbani Hojayegi Magar Markruh Hogi Aur Agar Zyada Aeb Hai To Hogi Hi Nahi.
(📓Durre Mukhtar -O- AalamGiri)
Mas'alah: Munda Jiske Paidaishi Seeng Na Hon Jaaiz Hai. Albatta Agar Seeng The Aur Toot Gaye Aur Meng (Goda) Tak Toot Gaye To Jaaiz Nahi Isse Kam Tota Hai To Jaaiz Hai.
(📓AalamGiri)
Mas'alah: Andha , Langda , Kaana , Behad Dubla , Kaan Kata , Dum Kata, Be-Daant Ka , Than Kata , Than Sokha , Naak Kata , Paidaishi Be-Kaan Ka Biamr , Khansa (Jiske Duno'n Nishaniya'n Hon) ,Jalala ( Jo Sirf Ghaleez Khata Ho) In Sab Ki Qurbani Jaaiz Nahi.
(📓Durre Mukhtar -O- Bahar)
Mas'alah:: Bimari Agar Khafeef Hai Aur Langda Pan Halka Hai Ke Chal Phir Leta Hai Qurban'Gah Tak Ja Sakta Hai. Ya Kaan Naak Dum Tehayi Se Zyada Nahi Kate To Jaaiz Hai.
(📓Durre Mukhtar , Hidaya , AalamGiri)
Mas'alah:: Qurbani Karte Waqt Janwar Uchla Quda Aur Usse Aebi Hogaya To Harj Nahi.
(📓Durre Mukhtar , Rudul Muhtar)
Mas'alah:: Qurbani Ki Aur Peth Main Zinda Baccha Hai To Use Bhi Zibah Karde Aur Kaam Main La Sakta Hai Aur Mara Hoto Phenk De.
(📓Bahare Shari'at)
Mas'alah: Khareed Ne Ke Ba'd Qurbani Se Pehle Janwar Ne Baccha De Diya To Use Bhi Zibah Kar Dale Aur Agar Bech Diya To Uski Qimat Ko Sadqa Kare Aur Agar Ayyame Qurbani Main Zibah Na Kiya To Zinda Sadqa Karde.
(📓AalamGiri-O-Bahar)
Mas'alah: Agar Janwar Sahi Saalim Kharida Tha Phir Us Main Koyi Aeb Mane'a Qurbani Paida Hogaya To Agar Khareed Ne Wala Gani Sahabe Nisaab Nahi Hai To Uske Liye Isi Aeb'Daar Janwar Ki Qurbani Jaaiz Hai. Aur Agar Ye Shakhs Gani Sahabe Nisaab Hai To Us Par Laazim Hai Ke Us Janwar Ke Badle Dusre Janwar Ki Qurbani Kare
(📓Durre Mukhtar Waghera)
Faidah: Hamare Aaqa-O-Maula Hazrat Ahmad Mujtaba Muhammad Mustafa (Sallallahu Ta'Aala Alaihi Wa Sallam) Ke Karame Ameem Ko Dekho Ke Khud Us Ummate Marhuma Ki Taraf Se Qurbani Ki Aur Us Moqa Par Bhi Ummat Ka Khayaal Farmaya
Lijaza Jis Musalman Se Ho Sake Wo Hazrat Ke Naam Ki Qurbani Kare To Kaisi Khush Naseebi Hai.
(📓Bahare Shari'at)
Reference: Qanoon-E-Shari'at
0 comments