Pani Peene Ka Tariqa

4:46 pm



Paani Peene Ka Tariqa


RasoolAllahﷺ Paani Peene Mai 3 Bar Saa'ns Lete The. Farmate The Ke Is Tarah Peene Mai Zyada Serabi Hasil Hoti He Aur Sihat Ke Liye Mufeed Aur Khushgawar He.
(Bukhari -o- Muslim) 

Jo Kuch Bhi piyo 
بسم اللہ ( Bismillah ) 
padh Ker Dahne Hath Se Piyo.
Baaye Hath Se Peena Shaytaan Ka Tariqa He.
Jo Cheez Bhi Piyo 3 Saans Mai Piyo.
Aur Har Martaba Bartan Se Muh Hata Ker Saans Lo.
Chahiye Ke Pehli Martaba Aur Dusri Martaba Ek Ek Ghoont Piye Aur Tisri Mai Jitna Chahe Pile.
Khade Hoker Hargiz Koyi Cheez Na Piye.
Hadees Shareef Mai Iski Mumana'at He.
Paani Choos Choos Ker Peena Chahiye.
Ghat Ghat Bade Bade Ghoont Na Piye.
Jab Pee Chuke To 
الحمد اللہ (Al-HamDulillah ) 
Kahe.
Peene Ke Baad Glass Ya Katore Ka Bacha Huwa Paani Phenkna Israaf-o-Gunah He.
Surahi Aur Mushk Ke Muh Mai Muh Laga Ker Paani Peena Mana He.
Isi Tarah Laute Ki Totni Se Bhi Paani Peene Ki Mumana'at He 
Lekin Agar Paani Ondelne Ke Liye Koyi Bartan Na Ho Tu Totni Wagera Mai Dekh Bhal Ker Paani Pee Lene Koyi Harj Nahi.
(AalamGiri , J-5 , S-299 Wagera )

● Paani Peete Waqt Ki Dua:.
بسم اللہ الرحمن الرحیم
( Bismillah Hir-Rahma-NirraHeem )

● Paani Peene Ke Baad Ki Dua:.
الحمد للہ رب العلمین
( Al-Hamdu Lillahi Rabbil-Aala-Meen )

■ Agar Paani Peene Se Pehle Sirf
"BisMillah"
Aur Peene Ke Baad "Al-HamDuLillah"
Bhi PadhLe To Koyi Harj Nahi

Mas'ala:.Wazu Ka Bacha Huwa Paani Aur Zam Zam Shareef Ka Paani Khade Ho Ker Piya Jaye. In 2 Ke Siwa Har Paani Beth Ker Peena Chahiye.
Hadees Shareef Mai He Ke HarGiz Tum Mai Se Koyi Khade Hoker Kuch Na Piye. Aur Agar Bhool Ker Khade Khade PeeLe To Usko Chahiye Qay Ker De.
(Mishkat , J-2 ,S-370)

Hazrar Shaikh AbDul Haq Muhaddis Dehelvi Rahmathullahi Aleh 
Ne Is Hadees Ki Sharah Mai Tehreer Farmaya Ke Jab Bhool Ker Pee Lene Mai Qay Kerne Ka Hukm He To 
Qasdan Peene Mai To Ba'Darja Aulaa Ye Hukm Hoga.
(Ash'Atul-LaMaat ,J-3, S-522)

Mas'ala:.Sabeel Ka Paani MaalDaar Pee Sakta He. Han Albatta Waha Se Paani Koyi Apne Ghar Nahi Le Jasakta. Q Ke Waha Peene Ke Liye Paani Rakha Gaya He Na Ke Ghar Le Jaane Ke Liye .
Lekin Agar Sabeel Lagane Wale Ki Taraf Se Uski Ijazat Ho To Ghar Mai Le Ja Sakta He.
(AalamGiri, J-5 ,S-299 )

Mas'alah:. Jadou Mai Aksar Jaga Masjid Ke Saqaya Mai Paani Garam Kiya Jata He Ta Ke Masjid Mai Jo Namazi Aaye Usse Wazu-o-Ghusl Kare.
Wo Paani Bhi Wahi Istamaal Kiya Jasakta He Ghar Le Jane Ki Ijazat Nahi. 
Isi Tarah Masjid Ke Lotou Ko Bhi Waha Istamal Ker Sakte Hai.
Ghar Nahi Le Jasakte Ba'aad Log Taza Paani Bhar Ker Masjid Ke Lotou Mai Ghar Laate Hai Ye Jaiz Nahi.
(Bahare Shari'at , J-16 ,S-27 )



You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...