Khaane Ka Tariqah

9:01 pm


Khana Khane Se Pehle Aur Baad Mai Dono Haath Gatto(n) Tak Dhoye . Sirf Ek Hath Ya Faqat Ungliya Hi Na Dhoye Ke Isse Sunnat Ada Na Hogi.Lekin Iska Dhyan Rahe Ke Khane Se Pehle Haath Dhoker Ponchna Na Chahiye  Aur Khane Ke Baad Haath Dhoker Tualiya Ya Rumal Se Ponch Lena Chahiye Ta Ke Khane Ka Asar Baqi Na Rahe.
(Tirmazi ,J-2 ,S- 7 -o- AalamGiri ,J-5 ,S-296 )

بسم اللہ
Padhker Khana Shuru Kare Aur Buland Aawaz Se 
بسم اللہ 
Padhe Take Dusre Logo Ko Bhi Yaad Aajaye Aur Sab 
بسم اللہ 
Padhle.

● Khana Khate Waqt Ye Dua Padhe:.
بسم اللہ الرحمن الرحیم
(Bismillahir Rahma' Nirraheem )

بسم اللہ الذی لا یضر مع اسمہ شی فی الارض
ولا فی السماء یا حی یا قیوم

(Bismillahil Lazi Laa-Ya Durru Ma'as Mihi 
Shay'un Fil-Ardi Walaa Fis'samaa-E
Yaa-Hayyu Yaa-Qayyoom. )

بسم اللہ وعلی بر کتہ اللہ
( Bismillahi Wa'Ala Baraka Tillah )

Pehla Luqma Khaate Waqt Ye Dua Padh.
یاواسع المغفرہ
(Yaa Wasi'Al Magfirah )

Har Luqma Khaate Waqt Ye Dua Padhe
یا واجد
(Yaa Waajidu )

Aur Agar Shuru Mai
بسم اللہ
Padhna Bhool Gaya Ho To Jab Yaad Aajaye Ye Dua Padhe

بسم اللہ فی اولہ و اخرہ
( Bismillahi Fi Awwa'Lihi Wa Aakhirih )
(Tirmazi Sareef ,J-2 ,S-7 )

Roti Ke Uppar Koyi Cheez Na Rakhi Jaye.
Aur Haath Ko Roti Se Na Ponche.
Khana Hamesha Dahne Haath Se Khaaye. 
Baaye Haath Se Khana Peena Shaytaan Ka Kaam He.
(Mishkat ,J-2 ,S663 )

Mas'alah:. Khana Khate Waqt Baya Pao Bicha De Aur Dahna Pao Khada Rakhe Ya Suren Per Bethe Aur Dono Ghutne Khade Rakhe.
Aur Agar Bhari Badan Ya Kamzor Hone Ki Waja Se Is Tarah Na Beth Sake To Paalti (Char Zano Beth Na) Mar Ker Khane Mai Bhi Koyi Harj Nahi.
Khana Khane Ke Darmiyan Mai Kuch Bate Bhi Kerta Rahe Bilkul Chup Rehna Majousiyo Ka Tariqa He Magar Koyi Behuda Ya Phohad Baat Hargiz Na Bake.
Balke Acchi Acchi Bate Kerta Rahe
Khane Ke Baad Ungliyo Ko Chaat Le Aur Bartan Ko Bhi Ungliyo Se Ponch Ker Chaat Le.
Khane Ki Ibtida Namak Se Kare Aur Namak Hi Per Khatam Kare Ke Ismai Bahot Si Bimariyo Se Shifa He 

● Khana Khane Ke Baad Ye Dua Padhe
الحمداللہ الذی اطعمنا و سقانا و جعلنا من المسلمین 
( Al-Hamdu Lilla-Hillazi At-A-Ma'Na Wa Sa-Qaanaa Wa Ja-A-Lana Minal Muslimeen 

Khane Ke Baad Sabun Laga Ker Hath Dhone Mai Koyi Harj Nahi.
Khane Se Qabla Awwam Aur Jawanu Ke Hath Pehle Dhulaye Jaye Aur Khane Ke Baad Ulma-o-Mashayikh Aur Budho Ke Hath Pehle Dhulaye Jaye.
Khana Kha Lene Ke Baad DastarKhwan Per Sahabe Khana Aur Hazireen Ke Liye Khair-o-Barkat Ki Dua MangNi Bhi Sunnat He.
(Durre Al-Mukhtar -o- Durre Al-Muhtaar ,J-5 ,S-216 wagera )

Mas'alah:. Pao Phela Ker Aur Let Ker , Aur Chalte Phirte , Kuch Khana Peena Khilaafe Adab Aur Tariqa Sunnat Ke Khilaaf He.
Musalmano Ko Har Baat Aur Har Kaam Mai Islami Tariqo Ki Pabandi Aur Aadabe Sunnat Ki Taabi'Dari(FarmaBarDari) Kerni Chahiye.

Mas'alah:. Chandi Sone Ke Bartano Mai Khana Peena Jaiz Nahi.
Balke Un Cheezo Ka Kisi Tarah Se Istamaal Kerna Durust Nahi.
Jaise Sone Chandi Ka Chamcha Istamaal Kerna.
Ya Inke Bane Huwe Khilaal Se Dant Saaaf Kerna. 
Isi Tarah Chandi Sone Ke Bane Huwe Gulab Paash Se Gulab ChidakNa_ Ya KhaasDaan Mai Paan Rakhna_ Ya Chandi Ki Silayi Se Surma Lagana 
Ya Chandi Ki Pyali Mai Tel Lagana Ye Sab Haraam He.
(Durre Al-Mukhtaar -o- Durre Al-Muhtaar ,J-5 ,S-217 )


Khane Ke AaDaab:


Kisi Ke Yaha Dawat Mai Jao Tu Khane Ke Liye Bahot Be-Sabri Na Zahir Karo Ke Aisa Kerne Se Tum Logo Ki Nazro Mai Halke Ho Jaoge.
Khana Samne Aaye Tu Itminaan Ke Sath Khao. Bahot Jaldi Jaldi Mat Khao. Dusro Ki Taraf Mat Dekho. Aur Dusro Ke Bartano Ki Janib Nigah Mat Dalu. KhabarDaar Kisi Khane Mai Aeb Na Nikalu. Usse Ghar Walo Ki Dil Shikani Hogi. Aur Sunnat Ki Mukhalifat Hogi.
Q Ke Hamare Rasule Kareem ﷺ  Ka Muqaddas Tariqa Yahi Tha Ke Ka Bhi Aapne Kisi Khane Ko Aeb Nahi Lagaya Balke Dastarkhwan Per Jo Khana Aapko Margoob Hota Usko Tana'ul Farmate Aur Jo Napasand Hota Usko Na Khate Ba'aad Mardo Aur Aurato Ki Aadat Hoti He, Ke Dawat Se Lout Ker Sahab Khana Per Tarah Tarah Ke Ta'aane Mara Kerte Hai.
KaBhi Khano Mai Aeb Nikalte Hai.
KaBhi Muntazimeen Ko Kosne Dete Hai.
Mera Tajruba He Ke Mardo Se Zyada Aurate Is Marz Mai Mubtila Hai.
Lihaza In Buri Aadatu Ko Cchod Do Balke Ye Tariqa Ikhtiyar Karo Ke Agar Dawato Mai Tumhare Mizaj Ke Khilaaf Bhi Koyi BaatHo.
To Usko KhandaPeshani Ke Sath Bardasht Karo Aur Sahabe Khana Ki Dil'Juyi Ke Liye Chand Taareef Ke Alfaaz Keh Ker Uska Hosla Badha Do. Aisa Kerne Se Sahabe Khana Ke Dil Mai Tumhara Waqaar Badh Jayega.

Mas'alah:. Hath Se Luqma Cchoot Ker Girjaye Tu Usko Otha Ker Khalu. Shaykhi( Ghamand ,Badayi) Mat Bigharu. Ke Usko Zaya Ker Dena Israaf He. Jo Gunah He 
Bahot Zyada Garam Mat Khao. Na Khane Ko Songho. Na Khane Per Phoonk Mar Mar Ker Usko Thanda Karo Ke Ye Sab Bate Khilaafe Adab Bhi Hai Aur Muzir Bhi.
( Durre Al-Mukhtar , J-5 , S-216 )



You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...