Qurbani Ka Tariqa
4:52 pmQurbani Ke Janwar Ko Zibah Se Pehle Chaara Paani Dede Pehle Se Cchuri Tez KarLe Lekin Janwar Ke Samne Nahi Janwar Ko Baaye Pehlu Par Is Tarah Litaye Ke Qiblah Ki Taraf Uska Muh Ho Aur Zibah Karne Wala Apna Dahna Paao'n Uske Pehlu Par Rakh Kar Tez Cchuri Se Jald Zibah Karde Aur Zibah Se Pehle Ye Dua PadhLe:
انی وجهت وجهي للذى فطر السموات والارض حنيفا وما انا من المشركين ان صلاتى ونسكي ومحياى ومماتى لله رب العالمين○ لا شريك له وبذلك امرت وانا من المسلمين اللهم لك ومنك بسم الله الله اكبر.
Dua Khatam Karte Hi Cchuri Chala De Qurbani Apni Taraf Se Ho To Zibah Ke Ba'd Ye Padhe:
اللهم تقبل منى كما تقبلت من خليلك ابراهيم عليه السلام و حبيبك محمد صلى الله عليه و سلم.
Zibah Main Charo'n Rage'n Kate'n Ya Kam Se Kam Teen(3) Isse Zyada Na Kaate'n Ke Churi Mohra Tak Pohach Jaye Ke Ye Be-Waja Ki Takleef Hai Thanda Hone Par Paao'n Kaate'n Khaal Utare'n Agar Dusre Ki Taraf Se Zibah Kiya Hai To
منی Ki Jaga من فلا ںKahe. (Yaani Uska Naam Le) Aur Agar Mushtarik Janwar Ho Jaise Gaay , Oont , Bhains To Falaa'n Ki Jaga Sab Shariko'n Ka Naam Le.
Mas'lah: Agar Dusre Se Zibah Karaye To Behtar Hai Ke Khud Bhi Hazir Rahe.
(📓Qanoon-E- Shari'at)
0 comments