Aetikaaf

11:55 pm

Hadees Shareef:

Hazrat Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Ramdaan Ke Aakhri Ashrah me Aetikaaf Kiya Karte The Yahan Tak Ke (Isi Tariqe Per) Wisaal Farmaya.
(Bukhari,Muslim)

Hazrat Anas RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya Ke Huzoor AlaihisSalam Ramdan Ke Aakhri Ashrah Me Aetikaaf Farmaya Karte The.Aur Ek Saal Aetikaaf NAhi Farmaya To Dosra Saal bees(20) Din Aetikaaf Farmaya.
(Tirmidhi,Abu-Dawood)

Aetikaaf Ke Masail

Ibadat Ki Niyyat Se Allah TA'ala Ke Liye Masjid Me Teharne KA Naam Aetikaaf Hai.
Aetikaaf Ki Teen (3) Qismen HAin.
Awwal Aetikaaf e Wajib
Dosra Aetikaaf e Sunnat
Tesra Aetikaaf Mustahab.

Aetikaaf e Wajib:


Jaise Kisi ne Ye Minnat Maani ke Mera Falan Kaam HoJaye to My Ek(1) Din Ya Do (2) Din Ka Aetikaaf Karonga.Aur Us KA Kaam Hogaya To Ye Aetikaaf Wajib Hai.Aur Iska Pura Karna Zaruri Hai.Yaad Rakho ke Aetikaaf e Wajib ke Liye Roza Shart HAi.Baghair Roza ke Aetikaaf e Wajib Sahi Nahi.
(Dar e Mukhtaar J:2 S:130)



Aetikaaf e Sunnat e Muakkada:


Ramzaan KE Aakhiri Das Dino Me Kiya Jayega.Yani Beeswen (20th) Ramzaan Ko Suraj Doobne Se Pehle Aetikaaf Ki Niyyat Se MAsjid Me Dakhil Ho JAye.Aur Teesween(30th) Ramzaan Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya Unteesween(29th) Ko Chaand Hone KE Baad Masjid Se Nikle .
yaad Rakho Ke Aeitekaaf Sunnat e Muakkada Kifaya Hai. Yani Agar Muhalle Ke Sab Log Chodh Den To Sab Aakhirat Ke Muakhizah Me Giraftaar Hoonge.Aur Kisi Ek Ne Bhi Aetikaaf KAr Liya To Sab Aakhirat Ke Muakhizah Se BAri Ho JAyenge.
Is Aetikaaf Me Bhi Roza Shart Hai.Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kafi HAi.
(Dar e  Mukhtaar J:2 S:129)

Aetikaaf Mustahab

Aetikaaf e Mustahab Ye Hai Ke Jab Kabhi Bhi Din Ya Raat Me MAsjid Ke Andar Dakhil Ho To Aetikaaf Ki Niyyat Kare.Jitni Der Tak MAsjid Me Rahega Aetikaaf Ka Sawaab Payega.
Niyyat Me Sirf Itna Dil Me Khayaal Kar Lena Aur Muh Se Keh LEna Kafi HAi Ke Main ne Khuda Ke Liye Aetikaaf e Mustahab Ki Niyyat Ki.
(Aalamgeer ,Jild:1,Safa:197)

Mas'ala:
Mard Ke Liye Zaruri Hai Ke MAsjid Me Aetikaaf KAre. Aur Awrat Apne Ghar Me Us Jagah Aetikaaf Karegi Jo Jagah Usne Namaaz Ke Liye Muqarrar Ki Ho.
(Dar e Mukhtaar,Jild:2,Safa:129)

Mas'ala:
Aetikaaf Karne Wale Ke Liye Bila Uzr Masjid Se Nikalna Haraam Hai Agar Nikala To Aetikaaf  Toot JAyega.Chahe Qasdan Nikla Ho Bhool Kar.isi Tarha Awrat NE Jis Ghar Me Aetikaaf Kiya HAi Usko Us Ghar Se Baher Nikalna HAraam HAi.Agar Awrat Us MAkaan Se Baher Nikal Gayi To Khwah Woh Qasdan Nikli Ho Ya Bhool Kar Uska Aetikaaf Toot JAyega.
(Dar e Mukhtaar )

Mas'ala:
Aetikaaf Karne Wala Sirf Do(2) Uzr Ki Wajah Se Masjid Ke Baher Nikal Sakta HAi.Ek Uzr e Taba'i Jaise Peshaab Pakhana Aur Ghusl e Farz Wazu Ke Liye.
Dosri Uzr e Shara'i Jaise Namaaz e Jummua Ke Liye Jana.
In Uzron Ke Siwa Kisi Aur Wajah Se Agarche Ek Hi Minute Ke Liye Ho.Masjid Se Agar Nikla To Aetikaaf  Toot JAyega.Agarche Bhool Kar Hi Nikle.
(Dar e Mukhtaar)

Mas'ala:
Aetikaaf Karne Wala Din Raat MAsjid Me Hi Rahega. Waheen Khaye Piye Soye MAgar Ye Ehtiyaat Rakhe Ke Khane Pine Se Masjid Gandi Na HOne Paye.
Mutakif Ke Siwa Aur Kisi Ko Majid Me Khane Pine Aur Sone Ki Iajzat Nahi Hai.
Isliye Agar Koyi Aadmi Masjid Me Khana Pina YA Sona chahe To Usko Chahiye KE Aetikaaf e Mustahab Ki Niyyat Kare Ke Masjid Me Dakhil  Ho Aur Namaaz PAdhe Ya Zikr e Ilahi Kare Phir Uske Liye KHane Pine Aur Sone Ki Bhi Ijazat Hai.
(Dar e Mukhtaar) 

Mas'ala:
Aetikaaf KArne Wala Bilkul Hi Chup Na Rahe Na BAhot Ziyadah Logon Se Baat Cheet Kare.Balke Usko Chahiye Ke Nafl Namaazen Padhen,Tilawat e Qur'an e Majeed Kare,Ilm e Deen KA Dars De ,Awliya o Swaliheen Ke halaat Sune Aur Dosron Ko Sunayen.Kasrat Se Darood Shareef Padhe ,Aur Zikr e Ilahi Kare Aur Aksar Ba-Wazu RAhe.Aur Duniyadari Ke Khayalaaat Se Dil Ko Paak O Saaf Rakhe.Aur Ba Kasrat Ro Ro Kar Gidh Gida Kar Khuda Se Duwaen Mange.
(Dare Mukhtaar,Jild:2,Safa:135)

















You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...