Laylatul Qadr
7:14 pm
Hadees Shareef
1. Hazrat Anas Bin Malik RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya ke Jab Ramdan Ka Mahina Shuru Huwa To Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Na Farmaya Ke ..
Ye Mahina Tum Me Aaya Hai.Aur Isme ek Raat Aysi Hai Jo Hazaar Mahino Se Behtar Hai ,To Jo Shakshs Iski Barkaton Se Mehroom Raha Woh Tamam Bhaliyoun Se Mehroom Raha Aur Nahi Mehroom Rakha Jata Iski Bhalayiyoun Se Magar woh Jo Ban kal Be-Naseeb Ho.
(Ibn e Majah)
2. Hazrat Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Kaha Ke Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke ..
Ramdan Ke Aakhri Ashrah Ki Taaq Raton Me Shab-e-Qadr Ko Talaash Karo.
(Bukhari)
3. Hazrat Aayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Farmaya Ke Maine Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Se Pucha Ke Ya RasoolAllah..!
Agar Mujh Ko Shab-e-Qadr Maloom Ho JAye To Main Isme Kya Karoon?
Aap Ne Farmaya Ke Ye Dua Padho..
Yaani
Aye Allah..! Tu Mua'af Farmaane Wala Hai Aur Mua'af Karna Tujhe Pasand Hai Tu Mujhe Mua'af Farmade.
(Timidhi)
4. Hazrat Aayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Farmaya Ke Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Jis Qadr Ramdan Ke Aakhri Ashrah Me(Taa'at o Ibadat Ke liye) Koshish Farmate The Itni Kisi Dosre Ashrah me Na Farmate The.
(Muslim)
5.Hazrat Anas RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasool e Kareem SallalllahuAlaihiWaSallam ne Farmaya Ke
Jab Shab-e-Qadr Aati Hai ,To Jibraeel AlaisSalam Farishton Ki Jam'at Ke Sath Aate Hain Aur Har us Bande Ke Liye Dua e Maghfirat Karte Hain jo Khade Ho KAr Ya Baith Kar Khuda e Ta'ala Ke Zikr Me Mashghool Rehta Hai.Phir Jab Unhe Eid-ul-Fitr Ka Din Naseeb hota Hai To Khuda e Ta'ala Apne In Bandon per Apne Farishton Ke Saamne Apni Khushnudi Ka Izhaar Karta HAi.Aur Farmata Hai Ke ..
Aye Mere Farishto..!
Is Mazdoor Ki Ujrat Kya HAi.jo Apna Kaam Pura Karde.
Farishte Arz Karte Hain ke
Aye Mere Parwardigaar Iski Ujrat Ye HAi Ke isko Pura mu'awizah Diya Jaye.
Khuda e Ta'ala Farmata HAi Ke ..
Aye Mere Farishto..!
Mere BandOn Aur Meri Londiyoun(Mere Muqarrar kiye Huwe) Farz Ko Ada Kar Diya .Ab Woh Gharon Se Dua Ke Liye Eidgah Ki Taraf Nikle Hian,
Qasam Hai Apni Izzat,Apne Jalal , Apni Bakshish O Rahmat Apni Azmat Shaan Aur Apni Rif'at e Makaan Ki Ke Mai Inki Duaon Ko Qubool Karonga.Phir Khuda e Ta'ala Farmata HAi
Aye Mere Bandon ..!Apne Gharon Ko Lout Jao Maine Tum Ko Baksh Diya Aur Tumhari Burayiyoun ko Nekiyoun Me Tabdeel Kar Diya.
Farmaya Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Ne ke PAs Musalmaan Wapis Hote Hain.eidgah Se Is Haal Me Ke Unke Gunah Baksh Diye Jate Hain.
(Bihaqi)
6.Hazrat Aayesha radiAllahuTa'alaAnha ne Farmaya Ke Jab Ramdan Ka Aakhri Ashrah Aata To Huzoor SallallahuAalihiWaSallam Apne tahband Ko Mazboot Bandh Lete (Yaani Ibadat Me Bahot Koshish Farmate) raton Ko Jagte Aur Apne Gharwalon Ko Jagate.
Note:
Ba'az Jagah Shab-e-Qadr Me Isha Ki Namaaz Ke Liye Saat(7) Baar Azaan Kehte Hain,Ye Be-Asl Hai Jiska Koyi Suboot Nahi.
(Anwarul Hadees,Safa:291)
Ramazanul Mubarak k Aakhiri Ayyam hain. Sarkar Alaihis Salatu wasSalam ne irshad farmaya k jis ne Ramazan ko paya aur apni Maghfirat na karwa saka wo halaak ho gaya (Aow Kama Qaal). Huzoor hum gunahgaar tou kuch nekiyan na kar sakay. Sarkar kch iss silsilay mein naseehat farmaen aur Laylatul Qadr se muta'alliq bhi fazail irshaad farmaen jinn se khoob khoob nekiyan krnay ki taraf raghbat ho aur jo murda dilon ki jila aur hum gunahgaron maghfirat ka sabab banay in sha Allah. JazakAllahu Khaira aHsan al-Jaza fid Daarain!! -
Listen From Here
http://jamiaturraza.com/
0 comments