Wahab Bin Abdullah

2:37 pm

Isi Tarha Hazrath Wahab Bin Abdullah Kalbi Ki Mujahidana Sarfaroshi Ki Dastaan Bhi Qayamat Tak Faramosh Nahi Ki Ja Sakti. Ye Qabila Bani Kalb Ke Bahot Hi Haseen Aur Khubsurat Noujawan The.
Aur Inki Shadi Ko Abhi Sirf 17 Roz Hi Huwe The. Inki Maa Ne Kaha Beta Aaj  Mere Rasool Ka Pyara Nawasa Aur Hazrath Khatune Jannat Bibi Fatimah Ka Noore Nazar Be-Yaar-O- Madadgaar Dushmano Ke Narghe Me Giraftaar Ranj-O-Gham Ka Shikaar Hain..
Aye Beta! Isliye Meri Tamanna Hai Ke Tera Khoon Jo Mere Doodh Se Bana Hai Aaj Iska Ek Ek Khatra Rahe Haq Me Baha Kar ,Tu Apni Jaan Ahle-Bait Per Qurbaan Karke Meri Maghfirat Ka Samaan Kar De.
Chunancha Wahab Bin Abdullah Apni Walida Aur Apni Nayi Naweli Dulhan Ko Sath Le Kar Karbala Me Aaye.
Aur Hazrath Imam Se Ijazat Le Kar Ghode Per Sawar Huwe Aur Koondti Huwi Bijli Ki Tarha Maidane Jang Me Pahonch Gaye. Aur Mujahidana Lehje Me Jhoom Jhoom Kar Rajz Ka Ye Sher Padhne Lage..

حسین امیر و نعمہ الامیر
لہ لمعتہ کالسراج المنیر

Yani Aye Yazeediyo Sunlo!!..... Mera Aelaan Hai Ke Yazeed "Ameerul Momineen" Nahi Hai.
Balke "Ameerul Momineen" Husain Hain. Aur Wo Behtareen "Ameerul Momineen" Hain.
Inki Chamak Damak Roshan Chiragh Ki Tarha Munawwar Hai.
Yazeedi Fouj Ke Bade Bade Sorma Aur Jangjo Bahaddur Aap Ke Muqabla Ke Liye Aaye. Magar Jo Bhi Samne Aaya. Aapne Talwar Se Iska Sar Udha Diya. Aur Bahot Se Zalimon Ko Mout Ke Ghat Utar Kar Apni Maa Aur Biwi Ke Paas Aaye .Ye Dono Janaab Wahab Bin Abdullah Ka Mujahidana Jaan'Baaziyo Ka Nazara Dekh Dekh Kar Khush Ho Rahi The. Aap Ne Arz Kiya Ke  Aye Meri Muqaddas Maa ! Ab To Aap Mujh Se Khush Ho Gaye??
Maa Ne Dil Khol Kar Duaaye Diye.. Kaha Ke Beta! Me Tujh Se Khush To Ho Gayi.
Lekin Mere Laal Meri Khushi Ki Meraj To Jab Hogi Ke Maidane Jang Me Dushmano Ki Zarab Se Tera Jism Chalni Hojaye. Aur Tu Surkh Posh Dulha Ban Kar Uruse Shahadat Ki Aagosh Me Jannati Mehmaan Aur Mere Liye Rasoole Arbi Ki Shafa'at Ka Samaan Ban Jaye.
Phir Wahab Bin Abdullah Ne Apni Roti Huwi Nayi Naweli Dulhan Ke Sar Per Hath Rakh Kar Tasalli Di. Itne Me Dushman Ki Safo Me Se Mohkam Bin Tufail Ek Naami Girami Pehlwaan Mast Haathi Ki Tarha Jhoomta Huwa Nikla. Wahab Bin Abdullah Ko Jang Ki Dawat Dene Laga.

Hazrath Wahab Uski Aawaz Sun Kar Fouran Ghode Per Sawar Ho Gaye. Aur Apni Muqaddas Maa Aur Pyari Dulhan Ko Aakhri Salam Karke Shere-Nar Ki Tarha Maidane Jang Ki Taraf Badhe. Aur Mohkam Bin Tufail Ke Muqabla Ke Liye Tayyar Ho Gaye. Mohkam Bin Tufail Apne Intehayi Ghuroor Ke Nashe Me Sar Shaar Tha. Itrata Huwa Aage Badha Aur Intehayi La Parwahi Ke Sath Janab Wahab Per Talwaar Ka War Kiya. Magar Janab Wahab Ne Intehayi Phurti Aur Chaabuk Dasti Ke Sath Usko Neza Maar Kar Neze Ki Ani Per Utha Liya. Aur Is Zoor Se Zameen Per Patka Ke Uski Haddiya Chakna Choor Ho Gaye.
Ye Dekh Kar Ishqiya-E- Lashkar Per Aisi Haibat Aur Sara-Seemgi Cha Gayi Ke Yazeedi Lashkar Ka Dil Hil Gaya.
Chunancha Hazrath Wahab Neza Hila Hila Kar Yazeedi Sormao(N) Ko Lalkarte Aur Jang Ki Dawat Dete The.

Magar In Buz_Dilon Me Se Kisi Ki Taab Aur Himmat Nahi Padhti Thi. Aap Ke Muqabla Ke Liye Maidaan Me Nikalta. Idhar Jaanab Wahab Shouqe Shahadat Me Is Qadar  Wa-Rafta Ho Rahe The Ke Dam Bhar Ke Liye Qarar Nahi Tha. Jab Aap Ne Dekha Ke Koyi Bhi Mere Muqabla Ke Liye Maidaan Me Nahi Nikalta To Aap Khud Hi Dushmano Ko Lalkarte Huwe Bhuke Shair Ki Tarha Dushmano Per Hamla Awar Hogaye. Aur Is Zoor Ka Mujahidana Hamla Kiya Ke Dushmano Ki Saffon Ko Darham Barham Karte Huwe Qalbe Lashkar Tak Pahonch Gaye. Aur Apne Neze Ki Maar Se Bade Bade Bahadduro Ko Ched Kar Chslni Bana Dala. Yahan Tak Ke Aap Ka Neza Toot Gaya.

Phir App Ne Biphar Kar Miyaan Se Talwar Nikali Aur Apni Shamsheer Aab-Daar Ki Maar Se Bahot Se Zalimo Ko Kheere Aur Kakdi Ki Tarha Kaat Kar Rakh Diya. Aap Joshe Jihaad Me Intehayi Jaan-Bazi Ke Sath Talwaar Chala Rahe The.  Ke Achanak Kisi Khabees Ne Nishana Bandh Kar Aap Ke Ghode Ki Peshani Per Aisa Teer Mara Ke Ghoda Nidhal Ho Kar Zameen Per Gir Pada. Aur Aap Piyada Pa Ho Gaye. Itne Me Ibne Sa'Ad Ne Apne Lashkar Ko Hukm Diya Ke Iska Muhasira Karlo.
Chunancha Har Taraf Se Ashqiyane Dhawa Karke Is Bahaddur Mujahid Ko Gher Liya Aur Charo Taraf Se Is Qadar Neze Barsaye Aur Is Tarha Neeza -O-Talwaar Se Lagataar Hamla Karne Lage. Aap Laachar Ho Kar Zameen Per JalwaGar Huwe. Aur Ek Shaqi Ne Aage Badh Kar Aap Ka Sar Kaat Liya
Aur Hazrath Imam Ke Samne Phenk Diya. Wahab Ki Maa Ne Doudh Kar Apne Bete Ke Sar Ko Apni Goud Me Utha Liya. Aur Intehayi Pyaar -O- Mohabbat Ke Sath Pashani Ko Choom Kar Apne Kaleje Se Laga Liya. Shaire Dil Maa Baar Baar Apne Mujahid Aur Shaheed Bete Ke Sar Ko Boosa Deti Thi Aur Kehti Thi Ke ..
Aye Mere Supoot Bete.. Aye Mere Bahaddur Bete.. Khuda Gawah Hai Ke Aaj Tune Mere Doodh Ka Haq Ada Kar Diya. Aye Beta Tujhe Mubarak Ho. Khuda Aleem Hai Ke  Aaj Teri Maa Tujh Se Khush Ho Gayi.
Phir Maa Ne Apne Bete Ka Sar Dulhan Ki Goud Me Rakh Diya! Aur Kaha Ke Beti Tujhe Mubarak Ho Ke Maidane Mehshar Me Khuda Ka Munadi Tujhe Ek Shaheed Ki Bewa Keh Kar Pukarega. To Us Waqt Tera Sar Fakhra' Se Ooncha Ho Jayega Ke Tu Is Mujahide Jaan'Baaz Ki Refeeqe Zindagi Hai.
Jo Tere Bistare Urusi Se Oth Kar Aaya Aur Khuda Ki Rah Me Apna Khoon Ka Aakhri Qatra Baha Kar Aur Apne Khoon Me Naha Kar Surkh Posh Dulha Ban Kar Shahadat Ki Dulhan Se Ham-Aaghosh Ho Gaya.
Dulhan Ne Walihana Josh -O- Mohabbat Ke Sath Apne Sartaaj Ke Sar Ko Apne Seene Se Chimta Liya.
Magar Uske Gore Gore Gaal Aur Kale Kale Haseen Baal Ko Khaak-O- Khoon Me Lat-Pat Dekh Kar Uska Kaleja Phat Gaya. Shiddate Gham Se Uska Haal Is Qadar Nidhal Ho Gaya Ke Garam Garam Aansu Ki Dhaar Uske Rukhsaar Per Behne Lagi Aur Ba-Wajood Zabt Ke Ek Cheekh Nikal Gayi Aur Zabane Haal Se Usne Sohar Ke Kate Huwe Sar Se Ye Kaha Ke...

رفتی و مرا خبر نہ کردی
بر بیکسئ ما نظر نہ کردی

Phir Ek SarD-Aa'H Ke Sath Iska Taire Ruh Parwaaz Karke Apne Dulha Ke Sath Ham-Aaghosh Ho Gaya.
إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ.

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...