Karbala Jane Wale Ahle BAit

7:01 pm

IS Safar Main Hazrath Imam Hussain (RadiyAllahu Ta'Aala Anhu) Ke 3 Farzand Hamrah The 
Hazrath Ali Ausat Ka Laqab Zainul Aabideen He,Ye Hazrath Sheher Banu Ke Batan Se The. Inki Umr Is Waqt 22 Saal Ki Thi Aur Bimar The.
Imam Aali Maqam Ke Dosre Sahebzade Ali Akbar Jo Umm-E-Laila Bint-E-Abi Marra Ke Shikam Se The  Inki Umr 18 Baras Ki Thi. Ye Karbala Main Shahid Huwe.
Imam Aali Maqam Ke Teesre Farzand Ali Asgar Jinki Walida Bani Qudaa’A Main Se The. Ye Sheer-Khwar Bachhe The.
Hazrath Imam Ki Ek Sahebzadi Hazrath Sakina Bhi Sath The Jin Ki Umr 7 Baras Ki Thi Aur Inki Walida Ka Banu Rubab Binte Umrul Qais Se Tha.
Hazrath Imam Ki Do Biwiya Sath The,Ke Ek Hazrath Sheher Banu 
Dosri Hazrath Ali Asgar Ki Walida
Inke Ilawa Hazrath Imam Hasan Bin Ali (RAdiyAllahu Ta'Aala Anhu) Ke 4 Noujawan Farzand Hazrath Qasim Bin Hasan, 
Hazrath Abdullah Bin Hasan ,
Hazrath Umar Bin Hasan, 
Hazrath Abu Bakar Bin Hasan Bhi Imam Aali Maqam Ke Hamrah The Aur Ye Sab Karbala Me Shaheed Huwe .
Aur HAzrath Moula-E- Kainaat Ali Murtaza (RadiyAllahu Ta’Aala Anhu) Ke 5 Farzand Hazrath Abbas Bin Ali, 
Hazrath Usman Bin Ali ,
HAzrath Abdullah Bin Ali ,
HAzrath Muhammad Bin Ali 
HAzrath JAfar Bin Ali Bhi Hamrah The Aur Sab Jaame Shahadat Se Serab Huwe 
Aur Hazrath Aqeel Bin Abi Taalib Ki Aulaad Main HAzrath Muslim Bin Aqeel To Apne Do Farzando Muhammad Aur Ibrahim Ke Sath Kufa Hi Me Shaheed Ho Chuke The 
Lekin 3 Farzand Hazrath Abdullah Bin Aqeel 
HArath Abdur Rahaman Bin Aqeel, 
HAzrath JAfar Bin Aqeel .
HAzrath Muslim Bin Aqeel Karbala Meain Hazir Ho Kar Shaheed Huwe 
Isi Tarha HAzrath Imam Ke 2 Bhanje  Hazrath Muhammad Bin Abdulla 
Aur Hazrath Aoun Bin Abdullah Jo Imam Aali MAqam Ki Haqiqi Behan Hazrath Zainab Binte Ali Ke Sahabzadegaan Hain.
KArbala Main Ye Dono Bhi Shahadat Se Sarfaraz Huwe 
Auratoun Me Se HAzrath Imam Ki Behan Hazrath Zainab Aur Dusre Shohdaye Ahle Bait Ki Biwiya Bhi Hamrah The.
Ahle Bait Me Se 17 Hazraath Imam Aali Maqam Ke Sath Rutbaye Shahadat Se Musharraf Huwe Aur Hazrath Imam Zainul Aabideen Bimaar Aur Dusre Kam Umr Sehzadegaan Maslan…Umar Bin Hasan 
Aur Muhammad Bin Umar Bin Ali Qaidi Banaye Gaye..
( RadiyAllahu Ta'Aala Anhum Ajmaeen)
(📚Sawneh Karbala)

HAzrath Imam Aali Maqam Bahot Tezi Ke Sath Safar FarmaRahe The Jab Aap Ek Mashoor Manzil "Zate Arq” Per Pahounche To Basheer Bin “Ghalib Asdi” Se Mulaqaat Huwi Jo Kufa Se Makka Mukarrama Ja Rahe The .Hazrath Imam Ne Unse Kufa Ka Haal Daryafat Farmaya To Unhone Jawab Diya Ke Ahle Kufa Ke Dil To Aap Ke Sath Hain Magar Unki Talware Bani Ummiya Ke Sath Hain.Aur Khuda Jo Chahta Hai Karta Hai Aur Aage Badhe To Mashoor Shayar “Farzooq” Se ,Mulaqaat Huwi Usne Bhi Yahi Jawab Diya .
Behre Haaal Hazrath Imam Ne Apna Safar Jari Rakha .Yahan Tak Ke "Batnur Rumma“ Ke Maqam Per Ubaidulla Bin Matee Se Mulaqaat Huwi Ye Ahle Bait Ke Bahot Hi Janisaar Aur Shaidayi The Unhone Hazrath Imam Ko Intehayi Israr Ke Sath Is Safar Se Mana Kiya Aur Arz Kiya Ke Aap Ahle Kufa Per Hargiz Hargiz Aetemaad Na Farmayen. Kufa Me Abtak Yazeed Ka Governer Moujood He Aur Wahan Aap Ka Tashreef Lejana Khatre Se Khali Nahi Hai.Magar Imam Aali MAqam Ne Inko Bhi Wahi Jawab Diya Jo Makka Mukarrama Me Hazrataate Sahabae Keram Ko Diya Tha.Aur Ye Farmakar Aap Aage Badh Gaye.. Yani Hame Wahi Musibat Pahounch Sakti Hai Jo Allah TA'Aala Ne Hamare Liye Muqaddar Farmadi Hai…






You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...