Mahe Muharramul Haram

10:34 pm



Mahe Muharramul Haram

Ye Mahina Allah Ka Mahina Hai.Aur Allah Ke Mahino Me Neeki Ka Sawab Azeem Hai Magar Gunah Ka Azab Bhi Isi Qadar Hai. Afsoos Ke Is Mubarak Mahine Me Aksar Musalmaan Biddaat, Bad Rusumaat,Gunaah O Kharafaat Me Ziyada Mubtila Rehte Hain.Shehar Aur Dihaat Me Khawateen Ka Sajh Ban Kar Gharon Se Nikalna Aur Ghair Mehram Ku Dawate Nazara Dena Aur Khud Ghair Muhraman Ku Dekhna Hi Mamuli Gunah Nahi.Us Per Ghazab Ye Ke Damate Asmat Ki Dhajjiyan Hona.Ghair Muslimon Se Islam Ka Mazhakh Udhwana.


Mamno Kaam Na Kiye Jayen:

>>Ashure Ke Din Siyah Kapde Pehanna,
>>Seena Kubi Karna,
>>Baal Noochna,
>>Nuha(Matam) Karna,
>>Mooh Peetna,
>>Churi Ya Chakhoo Waghaira Se Badan Zakhmi Karna Jaisa Ke Rafziyoun Ka Tareekha Hai.
Haraam Aur Gunah Hai...
>>>Aise Af'aal E Shaniaa Se Ijtinabe Kulli(Bachna Aur Door Rehna) Karna Cahhiye..

>>>Aise Af'aal Per Saqth Tareen Waeeden Aayi Hain.
(Mouzuaatul Kabeer ,Mishkat Safa150,Muslim Shareef)


Musalmano Ku Chahiye Ke Rawafiz Ki Iqtida Se Khud Bhi Bachen Aur Apne Awraton Ku Bhi Bachayen.
Alam,Taqth,Taziyoun Se Ahle Sunnat Ku Koi Lagao Nahi .Na Deen E Mubeen Me Iski Asliyat Hai.Baaja Waghaira To Yazeedi Afaal Hain Aur Gunahe Kabeera.
Haan Niyaz Fateha Karna Mehmood O Maghbool E Bargahe Ilahi Hai.Khoob Isaale Sawab Karen.Apne Ghar Ke Murdon Aur Khususan Shaheedane Karbala O Deegar Buzurgane Deen Ku Iska Sawab Pahonchana Bahot Achcha Amal Hai.Aur Jo Sawab Bakshega Isku Iska Das Gunah Ajar Milta Hai.

Fazail Muharramul Haram Aur Dua E Aashura

Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Farmate Hain Ke Mujhe Allah Tala Per Gumaan Hai Ke Allah Ta'ala Aashure Ka Roza Ek Saal Pehle Ke Gunah Mita Deta Hai
(Sahi Muslim)

Awliya E Keraam Farmate Hain Jo Shaqkhs Aashura Yani 10vi Muharram Ku 2 Rakat Namaz Is Tarha Padhe Ke Pehli Rakaat Me Alhamd Shareef Sure Anaam Aur Doosri Rakat Me Baad Alhamd Shareef Ke Sure Yaseen Padhe Usku Hazaar(1000) Baras Ki Ibadat Ka Sawab Milta Hai.Is Mah Ku Bahot Buzurgi Ata Farmayi Hai.Aur Iski Fazilat Me Bahot Si Hadeesen Warid Hain.
Chunanche Ek Hadees Me Hai Ke Farmaya Rasoole Khuda SallallahuAlaihiWaSallam Ne Ke Fazil Tareen Roza Baad Mahe Ramzaan Ke Mahe Muharram Ka Hai.Aur Fazil Tareen Namaz Baad Faraz Namazon Ke Namaz e Tahajjud Ki Hai.Aur Farmaya Huzoor SallahuAlaihiWaSallam Ne Jis Ne Mahe Muharram Ke Pehle Din Aur Zil Hajj Ke Aakhri Din Ka Rooza Rakha Usne Naya Saal Roze Se Shuru Kiya Aur Gushista Saal Roze Se Khatam Kiya. Aur Haq Ta'ala In Dono Rozon Ku Uske 50 Sala Gunahon Ka Kaffara Kar Dega.
Muharram Ke 10vi Tareekh Ke Din Ka Roza Rakhna Bahot Bada Sawaab Hai.Ibtida E Islam Me Musalmaano Per Ye Roza Farz Tha.Aur Mehbube Khuda SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Is Din Me Roza Rakhne Ka Hukm Farmaya Tha.,Magar Jab Ramzan Mubarak Ke Roze Farz Kiye Gaye To Moharram Ke Roze Nafil Rah Gaye.
Ibne Abbas RadiAllahuanhu Se Marwi Hai Ke Farmaya Hazrath SallallahuTalaAlaihiWaSallam Ne Kisi Roz Ku Kisi Roz Per Fazilat Nahi Hai Roza Rakhne Me, Magar Mahe Ramzan Aur Aashure Ku.
Mustahab Hai Ke 9vi Aur 10vi Ku Roza Rakhen Ke Baaz Ulma Ne Tanha Aashure Ke Roze Ku Ba-Wajhe Mushaabahate Yahood Ke Makru Kaha Hai, Aur Agar 11vi Ku Bhi Roza Rakhe To Afzal Hai.Shab E Aashure Ku Ta'at O Ibadat Me Masroof Rehna Bade Sawaab Ka Muwajjib Hai.

Aashure Ke Rooz Dua E Aashura Padhe Yani Ek(1) Paher Din Chadhe Baad Ghusul Kare Aur 4 Rakaat Namaze Nafil Ek Niyyat Se Kare Har Rakat Me Baad Alhamd Ke Sure Ikhlaas Yani 

Qull Hu-Wa Llahu Ahad ......15 Baar Padhe Baad Salam Ke 10 Martaba Man Darje Zail Dua Padhe Aur Is Namaz Ka Sawab Sayyadina Imam E Hassan Aur Sayyadina Imam E Hussain RadiAllahuAnhum Ki Arwahe Purfutuh Ku Baksh De Ke Sawabe Aazeem Hai. Ye Dono Hazrath Uski Shafa'at Farma Kar Apne Hamrah Bihist Me Le Jayenge.Ye Namaz Aur Dua Aksar Mashaikhe Kiram O Buzurgane Uz'zam Se Manqool Hai.Aur Uski Bahot Badi Fazilat Hai.

Dua E Muaazam O Mukarram Ye Hai




Dua E Aashura:

Subhaa-Nallahi Mil-Al-Meezaani Wa Munta-Hal-Ilmi
Wa Mabla-Garri-Daa
Wa Zinatal'Arshi
Laa-Mal-Jaa-A
Wala Manjaa-A
Minallahi Illaa Ilay.
Subha'Nallahi A-Da-Dash-Shaf-EE- Wal-Watri
Wa A-Da-Da Kalimaa'tilla'hit'taaammaa'ti
Kulli'Ha Nas-Alu-Kas'salamata
Bi-Rahmatika Yaa Arhamar Raahimeen.
Wa Hu-Wa Hasbuna Wa Neea'mal Wakeel.
Neea'mal Maula Wa Neea'Mannaseer.
Wala Haula Wala Quwwata Illa Billahil Ali-Il-Azeem.
Wa Sallallahu Ta'aala Alaa Sayyidina Muhammadiw-Wa Alaa
Aalihi Wa Sahbihee Wa Alal-Mu'minee'na Wal-Mu'minaati
Wal-Muslimee'na
Wal-Muslimaati
A-Da-Da Zarraa'Til-Ou-Judi
Wa A-Da-Da Ma'lumaatillahi
Wal Hamdu Lillahi Rabbil Aalameen


Aadab E Aashura


Is Roz Ke Aadab Se Hai 

● Ghusul Karna
● Rooza Rakhna
● Roza Iftiyaar Karana,
● Nafil Namaz Padhne,
● Dua Mangna,
● Ulma E Deen Ki Ziyarat Karna,
● Bimaar Pursi Karna,
● Yateem Ke Sar Per Shafaqat Se Hath Pherna,
● Sadqa Karna,
● Do(2) Mukahlifoon Ke Darmiyaah Sulaah Karana ,
● Khuda Ke Khoof Se Roona,
● Surma Lagana,
● Mud'dayiyoun Ku Razi Karna,
● Apni Khatayen Maaf Karana,
● Ahlo Ayal Ku Khana Wafar Dena,
● Khusbu Lagana,
● Gumrahon Ki Rahnumai Karna,
● Qur'an Paak Ki Tilawat Karna,
● 70 Martaba Kalmaye Tamjeed Padhna,
● Qabron Ki Ziyarat Karna,
● Akhrabaat Se Milna,
● Maa Baap Ki Khidmat Karna,

● Laghu Aur Behuda Kamon Se Door Rehna,

Is Maah Ki Pehli Tareeq Ku Sayyidina Farooqe Aazam RadiAllahuanhu Shaheed Huwe ,Lehaza Masajid Aur Deegar Ijtimaat Me Youme Farooqe Aazam Per Aap Ki Seerat Khusan Dushmane Rasool(SallahuAlaihiWaSallam), Munafiq Gustakhane Rasool(SallahuAlaihiWaSallam) Se Inteha Darje Ka Bughz O Adawat Jaisi Misali Sifaat Se Musalmano Ku Aagah Kiya Jata Hai.Is Maah Ki 10 Tareeq Ku Duniya Bhar Ke Musalmaan Islam Ke Liye Sayyadina Imam Hussain(RadiAllahuAnhu) Aur Ahle Bait Ki Shahadat O Qurbani Per In Nufuse Khudsiya Ku Khiraje Aqidat Jalson,Conferenson, Paani Ki Sabilon,Sharbat, Khane Ki Ziyafat Se Pesh Karte Hain.Yazeed Aur Yazeediyoun Ke Karnamon Se Nafret Ka Izhaar Karte Hain Aur Hazrath Sayyadina Imam Hussain RadiAlalhuTa'alaAnhu Ki Seerat Apnate Aur Apnane Ki Talqeen Karte HainIs Maah Ki 14 Tareeq Ku Aalim Ba Amal Mufti E Aazam Aalame Islam Aale Rahmaan Mustafa Raza Khan Qadda Sarrahul Azeez Ka Urs Mubarak Tamam Duniya Me Umuman Aur Pakistan O Hinduataan Me Khususan Manaya Jata Hai.Aap Ka Mazar Shareef Bareilly Shareef Bharat Me Marja'a Khalayaq Hai.
(Pakistani Panj Sura Page 308-310)



You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...