Neek Bibiyoun Ka In'aam

4:09 pm

Mehshar Me Bakshi Jayengi Sab Neek Bibiyaan
Jannat Khuda Se Payengi Sab Neek Bibiyaan

Huraan e Khud Aankhen Bichayengi Rah Me
Jannat Me Jab Ke Jayengi Sab Neek Bibiyaan

Har Har Qadam Per Na'ara e Takbeer O Marhaba
A'ezaaz Aysa Payengi Sab Neek Bibiyaan

Kouser Bhi Salsabeel Bhi Piti Rahengi Ye
Jannat Ki Meewe Khayengi Sab Neek Bibiyaan

Deedaar e Haq Ta'ala Ka Hoga Inhe Naseeb
Anwaar Me Nahayengi Sab Neek Bibiyaan

Taron me Jaise Chaand Ki Hoti Hai Roshni
Is Tarha Jagmagayengi Sab Neek Bibiyaan

Jannat Ke Zewraat, Bihisti Libaas Me
Saj Dhaj Kar Muskurayengi Sab Neek Bibiyaan

Jannat Ki Ne'maton Me Magan Hoke Wajd Me
Naghmaat e Shouq Gayengi Sab Neek Bibiyaan

Aye Bibiyoun Namaaz Padho , Nekiyaaan Karo
In'aam e Khuld Payengi Sab Neek Bibiyaan

Tum Aazmi Ki Pyari Nasihat Ko Maan Lo
Jalwa Tumhe Dikhayengi Sab Neek Bibiyaan.


محشر میں بخشی جائیں گی سب نیک بی بیان
جنت خدا سے پائیں گی سب نیک بی بیان

حوران خلد آنکھیں بچھائیں گی راہ میں
جنت میں جبکہ جائیں گی سب نیک بی بیان

ہر ہر قدم پر نعرہ تکبیر و مرحبا
اعزاز ایسا پائیں گی سب نیک بی بیان

کوثر بھی سلسبيل بھی پیتی رہیں گی یہ
جنت کے سب میوے کھائیں گی سب نیک بی بیان

دیدار حق تعالیٰ کا ہوگا انہیں نصیب
انوار میں نہائیں گی سب نیک بی بیان

تاروں میں جیسے چاند کی ہوتی ہے روشنی
اس طرح جگمگائیں گی سب نیک بی بیان

جنت کے زیورات  بہشتی لباس میں
سج دھج کے مسکرائیں گی سب نیک بی بیان

جنت کی نعمتوں میں مگن ہو کے وجد میں
نغمات شوق گائیں گی سب نیک بی بیان

اے بی بیو نماز پڑھو نیکیاں کرو
انعام خلد پائیں گی سب نیک بی بیان

تم اعظمی کی پیاری نصیحت کو مان لو
جلوہ تمہیں دکھا ئیں گی سب نیک بی بیان

Hazrat Maymuna Sawdah RadiAllahuTa'alaAnha

3:03 pm

Ye Paak Watan Awrat Bhi apne Zamane ki Ek Bahot Hi Mashoor Karamat Waali Waliyyah Hain.

Inke Zamane Ke Ek Bahot Buland Martaba Ba-Karamat Wali Hazrat Abdul Wahid Bin Zaid RadiAllahuAnhu Farmate Hain Ke ...

Ek Martaba Maine Khuda Se Ye Dua MAangi ke..
 Ya Allah..! Jannat Me Duniya Ki Jo Awrat Meri Biwi Banegi Mujhe Woh Awrat Duniya Hi Me Ek Martaba Dikha De .
Khuda Ne Mere Dil Me Ye Baat Daldi Ke Woh Awrat "Maymuna Sawdah" Hai Aur Woh Kufa Me Rehti Hai.
Chunancha Main Kufa Gaya.Aur Jab Logon Se Uska PAta Thikana Pucha To Maloom Huwa Ke Woh Ek Diwani Awrat HAi.Jo Jangle ME Bakriyaan Charati Hai.
Main Uski Talash Me Jangle Ki Taraf Gaya.To Ye Dekha Ke woh Khadi Huwi Namaaz Padh Rahi HAi.Aur Bhediye aur Bakriyan Ek Sath Phir Rahe Hain .
Jab Woh Namaaz Se Farigh huween To Mujh Se Farmaya Ke..
Aye Abdul Waahid. !  Jao,Hamari Tumhari Mulaqaat Behist Me Hogi.

Muje BeHad Ta'ajub Huwa Ke In Bibi Saheba Ko Mera Naam Aur Mera Aane Ka MAqsad KAise maloom Ho Gaya?
Mujhe Ye Khayaal Aaya Hi Tha ke Inhone Kaha Ke .. Aye Abdul waahid ! Kya Tumko Maloom Nahi Ke Roz e Azal Me Jin Jin Ruhon Ko Ek Dosre Ki Jaan Pehchaan Ho Gayi Hai.Unme Duniya Ke Andar Ulfat O Muhabbat Paida Ho Jaya Karti Hai.

Phir Maine Pucha Ke ..Bhediyoun Aur Bakriyoun ko MAin Ek Sath Charte Huwe Dekh Raha Hoon ,Ye Kya Mu'amla HAi .
Ye Sun Kar Unhone Jawaab Diya jayiye Apna KAam Kijiye,Mujhe Namaaz Padhne Dijiye.Maine Apna Mu'amla Allah Ta'ala Se Durust Kar Liya Hai.Isliye Allah Ta'ala ne Mere Bakriyoun Ka Mu'amla Bhediyoun Ke Sath Durust Kar Diya HAi.



Hazrat Aamina Ramaliy'yah RadiAllahuTa'alaAnha

2:42 pm

Ye Bhi Bahot Buland Martaba Aur Ba-Karamat Waliyah Hain.

Hazrat Bishar Hafi RahmatullahiAlai Jo Bahot Bade Muhaddis Aur Saheb e Karamat Wali Hain.Inki Mulaqaat Ke Liye Jaya Karte The.

Ek Martaba Hazrat Bishar Hafi Bimaar Ho Gaye.To Hazrat Aamina Ramaliy'yah Inki Bimaar Pursi Ke Liye Gayeen.Ittefaaq Se Usi Waqt Hazrat Imam Ahmed RahmatullahiTa'laAlai Bhi Iyadat Ke Liye Aagaye.
Jab Inko Pata Chala Ke Bibi Aamina Ramaliy'yah Aayi Huwi Hain .To Hazrat Imam Ahmed RahmatullahiTa'alaAlai ne Hazrat Bishar Hafi RahmatullahiAlai Se Kaha Ke In Bibi Saheba Se Hamare Haq Me Dua Karayen.

 Chunancha Hazrat Bibi Aamina Ramaliy'yah Ne Is Tarha Dua Mangi Ke..
Ya Allah..! Bishar Hafi Aur Imam Ahmed Bin Hambal ko Jahannam Ke Azaab Se Amaan De.

Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal RahmatullahiTa'alaAlai Ka BAyaan Hai Ke ..
Isi Raat Ko Ek Parcha Aasmaan Se Hamare Aage Gira.Jisme Bismillah Ke Ba'ad Ye Likha Huwa Tha Ke Hamne Bishar Hafi Aur Ahmed Bin Hambal Ko Dozakh Ke Azaab Se Amaan Dedi.Aur Hamare Yahan In Dono Ke Liye Aur Bhi Ne'maten HAin.

Hazrat Fatimah Nishapuriya RadiaAllahuAnha

2:28 pm

Ye Badi Allah Wali Huween Hain.Misr Ke Ek Bahot Bade Buzurg Hazrat Zun'noon Misri AlaihirRahma Farmaya Karte The Ke Is Allah Wali Neek Bibi Se Mujhe Bahot Ziyadah Faiz Mila Hai.

Hazrath Khwja Bayazeed Bustami RahmatullahiAlai Ka Bayaan Hai Ke Fatimah Ke Barabar Buzurgi Me Koyi Awrat Meri Nazr Se Nahi Guzri.

Woh Ye Farmaya Karti Theen Ke...

 Jo Khuda Ki Yaad Se Ghafil Ho Jata  Hai ,Woh Tamam Gunah Me Padh Jata HAi.Jo Muh Me Aata Hai BAk Dalta Hai.Aur Jo Dil Chahta Hai KAr Dalta Hai.
Aur Jo Khuda Ki Yaad Me Masroof Rehta Hai,Woh Fuzool Kamon Aur Gunah Ki Baton Ke KArne Aur Bolne Se Mehfooz Rehta Hai.

Makka Mukarramah Me Umrah Ke Raste Me 223 Sane Hijri Me Inki Wafaat Huwi. 

Hazrat Rabia Basriah RadiAllahuTa'alaAnha

2:18 pm

Ye Woh Neek Bibi Aur Karamat Wali Waliyah Hain KE Tamaam Duniya Me Inki Dhoom Machi Hai.Ye Din Raat Khuda Ke Khouf Se Roya Karti Theen.Agar Inke Samne Koyi Jahannam Ka Zikr Kar Deta To Ye Mare Khouf Ke Be-Hosh Ho Jaya KArti Theen.Bahot Ziyadah Nafl Namazen Padha Karti Theen.Khuda Ne Inka Dil Is Qadr Roshan Kar Diya Tha Ke Hazaron Meel Ke Waqi'aat Ki Inko Khabar Ho Jaya Karti Theen.Balke Apni Aankhon Se Dekh Liya Karti Thi.

Bade Bade Buzurgane Deen inki Dua Lene Ke Liye Inki Khidmat Me Haziri Diya Karte The.

Inki Karamaten Aur Inke Aqwaal Bahot Ziyadah Hain.Jo Aam Tour Per MAshoor HAin. 

Laylatul Qadr

7:14 pm

Hadees Shareef

1. Hazrat Anas Bin Malik RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya ke Jab Ramdan Ka Mahina Shuru Huwa To Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Na Farmaya Ke ..
Ye Mahina Tum Me Aaya Hai.Aur Isme ek Raat Aysi Hai Jo Hazaar Mahino Se Behtar Hai ,To Jo Shakshs Iski Barkaton Se Mehroom Raha Woh Tamam Bhaliyoun Se Mehroom Raha Aur Nahi Mehroom Rakha Jata Iski Bhalayiyoun Se Magar woh Jo Ban kal Be-Naseeb Ho.
(Ibn e Majah)

2. Hazrat Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Kaha Ke Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke ..
Ramdan Ke Aakhri Ashrah Ki Taaq Raton Me Shab-e-Qadr Ko Talaash Karo.
(Bukhari)

3. Hazrat Aayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Farmaya Ke Maine Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Se Pucha Ke Ya RasoolAllah..! 
Agar Mujh Ko Shab-e-Qadr Maloom Ho JAye To Main Isme Kya Karoon?
Aap Ne Farmaya Ke Ye Dua Padho..


Yaani 
Aye Allah..! Tu Mua'af Farmaane Wala Hai Aur Mua'af Karna Tujhe Pasand Hai Tu Mujhe Mua'af Farmade.
(Timidhi)

4. Hazrat Aayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Farmaya Ke Huzoor  SallallahuAlaihiWaSallam Jis Qadr Ramdan Ke Aakhri Ashrah Me(Taa'at o Ibadat Ke liye) Koshish Farmate The Itni Kisi Dosre Ashrah me Na Farmate The.
(Muslim)

5.Hazrat Anas RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasool e Kareem SallalllahuAlaihiWaSallam ne Farmaya Ke 
Jab Shab-e-Qadr Aati Hai ,To Jibraeel AlaisSalam Farishton Ki Jam'at Ke Sath Aate Hain Aur Har us Bande Ke Liye Dua e Maghfirat Karte Hain jo Khade Ho KAr Ya Baith Kar Khuda e Ta'ala Ke Zikr Me Mashghool Rehta Hai.Phir Jab Unhe Eid-ul-Fitr Ka Din Naseeb hota Hai To Khuda e Ta'ala Apne In Bandon per Apne Farishton Ke Saamne Apni Khushnudi Ka Izhaar Karta HAi.Aur Farmata Hai Ke ..
Aye Mere Farishto..!
Is Mazdoor Ki Ujrat Kya HAi.jo Apna Kaam Pura Karde.
Farishte Arz Karte Hain ke 
Aye Mere Parwardigaar Iski Ujrat Ye HAi Ke isko Pura mu'awizah Diya Jaye.
Khuda e Ta'ala Farmata HAi Ke ..
Aye Mere Farishto..!
Mere BandOn Aur Meri Londiyoun(Mere Muqarrar kiye Huwe) Farz Ko Ada Kar Diya .Ab Woh Gharon Se Dua Ke Liye Eidgah Ki Taraf Nikle Hian,
Qasam Hai Apni Izzat,Apne  Jalal , Apni Bakshish O Rahmat Apni Azmat Shaan Aur Apni Rif'at e Makaan Ki Ke Mai Inki Duaon Ko Qubool Karonga.Phir Khuda e Ta'ala Farmata HAi 
Aye Mere Bandon ..!Apne Gharon Ko Lout Jao Maine Tum Ko Baksh Diya Aur Tumhari Burayiyoun ko Nekiyoun Me Tabdeel Kar Diya.
Farmaya Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Ne ke PAs Musalmaan Wapis Hote Hain.eidgah Se Is Haal Me Ke Unke Gunah Baksh Diye Jate Hain.
(Bihaqi)

6.Hazrat Aayesha radiAllahuTa'alaAnha ne Farmaya Ke Jab Ramdan Ka Aakhri Ashrah Aata To Huzoor SallallahuAalihiWaSallam Apne tahband Ko Mazboot Bandh Lete (Yaani Ibadat Me Bahot Koshish Farmate) raton Ko Jagte Aur Apne Gharwalon Ko Jagate.

Note:
Ba'az Jagah Shab-e-Qadr Me Isha Ki Namaaz Ke Liye Saat(7) Baar Azaan Kehte Hain,Ye Be-Asl Hai Jiska Koyi Suboot Nahi.
(Anwarul Hadees,Safa:291)





Ramazanul Mubarak k Aakhiri Ayyam hain. Sarkar Alaihis Salatu wasSalam ne irshad farmaya k jis ne Ramazan ko paya aur apni Maghfirat na karwa saka wo halaak ho gaya (Aow Kama Qaal). Huzoor hum gunahgaar tou kuch nekiyan na kar sakay. Sarkar kch iss silsilay mein naseehat farmaen aur Laylatul Qadr se muta'alliq bhi fazail irshaad farmaen jinn se khoob khoob nekiyan krnay ki taraf raghbat ho aur jo murda dilon ki jila aur hum gunahgaron maghfirat ka sabab banay in sha Allah. JazakAllahu Khaira aHsan al-Jaza fid Daarain!! -
Listen From Here
http://jamiaturraza.com/session/12Aug12/1.mp3

Taraweeh

12:22 am

Mas'ala: 
Mard Awrat Sab Ke LIye Tarweeh Sunnat e Muakkadah Hai.Is Ka Chodhna Jaiz Nahi.
Awraten Ghar Me Akele Taraweeh Padhen Masjidon Me Na Jayen.
(Dar e Mukhtaar,Jild:1 Safa:472)

Mas'ala:
Taraweeh Me Bees(20) Raka'aten Das Salam Se Padhi Jaye.Yani HAr Do(2) Raka'at Per Salaam Phere.Aur Har Chaar Raka'at Per Itni Der Baithna Mustahab Hai Jitni Der Me Chaar Raka'aten Padhi Hain.Aur Ikhtiyaar Hai Ke Itni Der Chahe Chupka Baitha Rahe .Chahe Kalma Ya Darood Shareef Padhta RAhe.Ya Koyi Bhi Dua Padhta RAhe.Aam Tour Se Ye Dua Padhi Jati HAi.


Mas'ala:
Mardon Ke Liye Taraweeh Jam'at Se PAdhna Sunnat e Kifaya Hai .Yani Agar Masjid Me Taraweeh Ki Jama'at NA Huwi To Muhalle Ke Sab Log Gunahgaar Honge.Aur Agar Kuch Logon Ne Masjid Me jama'at Se Taraweeh Padhli To Sab Log Bari uz Zimma Ho GAye.
(Dare Mukhtaar)

Mas'ala:
Pure Mahine Ki Taraweeh Me Ek Baar Qur'an e Majeed Khatam KArna Sunnat e Mukkadah Hai .Aur Do Baar Khatam KArna Afzal Hai .Aur Teen Baar Khatam KArna Isse Ziyadah Afzal Rakhta Hai.Ba-Shart Ye Ke Muqtadiyoun Ko Takleef Na Ho.Magar Ek Baar Khatam Karne Me Muqtadiyoun ki Takleef Ka Lihaaz Nahi Kiya Jayega.
(Dar e Mukhtaar)

Mas'alah : 
Jisne Isha Ki Farz Nahi Padhi Wo Na Tarweeh Padh Sakta hai Na Witr Padh Sakta hai JabTak Farz Na Ada Kare.

Mas'alah : Jis Ne Isha Ki Farz Namaaz Tanha Padhi .Aur Taraweeh Jama'at Se To Wo Witr Ko Tanha PAdhe. 
( Durr Al Mukhtaar wa Rad Al Muhtaar J:1 Safa 472)
Witr jo Jama'at Se Wahi PAdhega Jisne Isha Ki Farz Ko Jama'at Ke Sath Padha Ho.

Mas'alah 
Jis Ki Taraweeh Ki Kuch Raka'at Choot Gayi Hai Aur Imam Witr Padhane Ke Liye Khada HoJaye To Imam Ke Sath Witr Ki Namaaz Jama'at Se Padh len.Phir Us Ke Baad Taraweeh Ki Chuti huwi Raka'aton Ko Ada KAre Ba-shart Ye Ke Isha ki Farz Jama'at Se Padh Chuka ho.Aur Agar Chuti Huwi Taraweeh Ki Raka'aton Ko Ada Karke Witr Tanha Padhe To Ye Bhi JAiz HAi. Magar Pehli Surat Afzal Hai.
(AalamGiri Wa Rad Al Muhtaar)
(Note: Jama'at Sirf Mardon Ke Liye Hai Awraten Tanha Padhe)

Mas'alah 
Agar Kisi Wajah Se TAraweeh Me Khatm e Qura'an Na Ho Sake To Suraton Se Tarweeh Padhen Aur Us Ke Liye Baaz Logon ne Ye Tariqa Rakha Hai Ke ...
أَلَمْ تَرَ كَيْفَ 
(Alam Tara Kaifa) se Aakhir Tak Do Baar Padhne Me Bees(20) Raka'at HoJayegi .
(Durr Al Mukhtaar J:1 S:475)

Mas'alah : 
Bila Kisi Uzr Ke Baith Kar Taraweeh Padhna Makruh Hai .Balke Baaz Fuqaha Ke Nazdeek To Hogi Hi Nahi.
(Dare Mukhtaar,J:1,Safa:475)

Haan Agar Bimaari Ya Bahot Ziyadah Budha Aur Kamzoor Ho To Baith Kar Taraweeh Padhne Me Koyi Karahat Nahi.Kyunke Ye baithna Uzr Ki Wajah Se Hai.

Mas'alah :
 Na-Baligh Kisi Namaaz Me Imam Nahi Ban Sakta. Isi Tarha Na-Baligh Ke Peeche Balighon Ki TAraweeh Nahi Hogi. Sahibe Hidaya Wa Sahibe Fath ul Qadeer Ne Is Qoul Ko Mukhtaar Bataya HAi.
(Bahare Sharia'at)

Aetikaaf

Aetikaaf

11:55 pm

Hadees Shareef:

Hazrat Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Ramdaan Ke Aakhri Ashrah me Aetikaaf Kiya Karte The Yahan Tak Ke (Isi Tariqe Per) Wisaal Farmaya.
(Bukhari,Muslim)

Hazrat Anas RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya Ke Huzoor AlaihisSalam Ramdan Ke Aakhri Ashrah Me Aetikaaf Farmaya Karte The.Aur Ek Saal Aetikaaf NAhi Farmaya To Dosra Saal bees(20) Din Aetikaaf Farmaya.
(Tirmidhi,Abu-Dawood)

Aetikaaf Ke Masail

Ibadat Ki Niyyat Se Allah TA'ala Ke Liye Masjid Me Teharne KA Naam Aetikaaf Hai.
Aetikaaf Ki Teen (3) Qismen HAin.
Awwal Aetikaaf e Wajib
Dosra Aetikaaf e Sunnat
Tesra Aetikaaf Mustahab.

Aetikaaf e Wajib:


Jaise Kisi ne Ye Minnat Maani ke Mera Falan Kaam HoJaye to My Ek(1) Din Ya Do (2) Din Ka Aetikaaf Karonga.Aur Us KA Kaam Hogaya To Ye Aetikaaf Wajib Hai.Aur Iska Pura Karna Zaruri Hai.Yaad Rakho ke Aetikaaf e Wajib ke Liye Roza Shart HAi.Baghair Roza ke Aetikaaf e Wajib Sahi Nahi.
(Dar e Mukhtaar J:2 S:130)



Aetikaaf e Sunnat e Muakkada:


Ramzaan KE Aakhiri Das Dino Me Kiya Jayega.Yani Beeswen (20th) Ramzaan Ko Suraj Doobne Se Pehle Aetikaaf Ki Niyyat Se MAsjid Me Dakhil Ho JAye.Aur Teesween(30th) Ramzaan Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya Unteesween(29th) Ko Chaand Hone KE Baad Masjid Se Nikle .
yaad Rakho Ke Aeitekaaf Sunnat e Muakkada Kifaya Hai. Yani Agar Muhalle Ke Sab Log Chodh Den To Sab Aakhirat Ke Muakhizah Me Giraftaar Hoonge.Aur Kisi Ek Ne Bhi Aetikaaf KAr Liya To Sab Aakhirat Ke Muakhizah Se BAri Ho JAyenge.
Is Aetikaaf Me Bhi Roza Shart Hai.Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kafi HAi.
(Dar e  Mukhtaar J:2 S:129)

Aetikaaf Mustahab

Aetikaaf e Mustahab Ye Hai Ke Jab Kabhi Bhi Din Ya Raat Me MAsjid Ke Andar Dakhil Ho To Aetikaaf Ki Niyyat Kare.Jitni Der Tak MAsjid Me Rahega Aetikaaf Ka Sawaab Payega.
Niyyat Me Sirf Itna Dil Me Khayaal Kar Lena Aur Muh Se Keh LEna Kafi HAi Ke Main ne Khuda Ke Liye Aetikaaf e Mustahab Ki Niyyat Ki.
(Aalamgeer ,Jild:1,Safa:197)

Mas'ala:
Mard Ke Liye Zaruri Hai Ke MAsjid Me Aetikaaf KAre. Aur Awrat Apne Ghar Me Us Jagah Aetikaaf Karegi Jo Jagah Usne Namaaz Ke Liye Muqarrar Ki Ho.
(Dar e Mukhtaar,Jild:2,Safa:129)

Mas'ala:
Aetikaaf Karne Wale Ke Liye Bila Uzr Masjid Se Nikalna Haraam Hai Agar Nikala To Aetikaaf  Toot JAyega.Chahe Qasdan Nikla Ho Bhool Kar.isi Tarha Awrat NE Jis Ghar Me Aetikaaf Kiya HAi Usko Us Ghar Se Baher Nikalna HAraam HAi.Agar Awrat Us MAkaan Se Baher Nikal Gayi To Khwah Woh Qasdan Nikli Ho Ya Bhool Kar Uska Aetikaaf Toot JAyega.
(Dar e Mukhtaar )

Mas'ala:
Aetikaaf Karne Wala Sirf Do(2) Uzr Ki Wajah Se Masjid Ke Baher Nikal Sakta HAi.Ek Uzr e Taba'i Jaise Peshaab Pakhana Aur Ghusl e Farz Wazu Ke Liye.
Dosri Uzr e Shara'i Jaise Namaaz e Jummua Ke Liye Jana.
In Uzron Ke Siwa Kisi Aur Wajah Se Agarche Ek Hi Minute Ke Liye Ho.Masjid Se Agar Nikla To Aetikaaf  Toot JAyega.Agarche Bhool Kar Hi Nikle.
(Dar e Mukhtaar)

Mas'ala:
Aetikaaf Karne Wala Din Raat MAsjid Me Hi Rahega. Waheen Khaye Piye Soye MAgar Ye Ehtiyaat Rakhe Ke Khane Pine Se Masjid Gandi Na HOne Paye.
Mutakif Ke Siwa Aur Kisi Ko Majid Me Khane Pine Aur Sone Ki Iajzat Nahi Hai.
Isliye Agar Koyi Aadmi Masjid Me Khana Pina YA Sona chahe To Usko Chahiye KE Aetikaaf e Mustahab Ki Niyyat Kare Ke Masjid Me Dakhil  Ho Aur Namaaz PAdhe Ya Zikr e Ilahi Kare Phir Uske Liye KHane Pine Aur Sone Ki Bhi Ijazat Hai.
(Dar e Mukhtaar) 

Mas'ala:
Aetikaaf KArne Wala Bilkul Hi Chup Na Rahe Na BAhot Ziyadah Logon Se Baat Cheet Kare.Balke Usko Chahiye Ke Nafl Namaazen Padhen,Tilawat e Qur'an e Majeed Kare,Ilm e Deen KA Dars De ,Awliya o Swaliheen Ke halaat Sune Aur Dosron Ko Sunayen.Kasrat Se Darood Shareef Padhe ,Aur Zikr e Ilahi Kare Aur Aksar Ba-Wazu RAhe.Aur Duniyadari Ke Khayalaaat Se Dil Ko Paak O Saaf Rakhe.Aur Ba Kasrat Ro Ro Kar Gidh Gida Kar Khuda Se Duwaen Mange.
(Dare Mukhtaar,Jild:2,Safa:135)

















Hazrat Mu’azah Adawiy’yah RadiAllahuTa'alaAnha

6:41 pm

Ye Bahot Hi Ibadat Guzaar Aur Parheezgar Khuda Ki Neek Bandi Theen. Hazrat Ummul Momineen Bibi Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ki Hadees Me Shagird Hain. Din Raat Me che Saw (600)Raka’at Namaaz e Nifl PAdha Karti Theen. Aur Raat Bhar Nawafil Aur Khuda Ki Yaad Me Masroof Rah Kar Jagti Theen. Khuda Ke Khouf Se Kabhi Aasmaan Ki Taraf Sar Utha Kar Nahi Dekhti Theen.

Din Me Kabhi Kabhi Bahot Ziyadah Neend Ka Ghalba Hota Tha To Ghanta Do Ghanta So Liya Karti Theen. Aur Apne Nafs Se Kaha Karti Theen Ke Abhi Kyun Soyen.!?
Ye To Amal Ka Waqt Hai Jaag Kar Jitna Ho Sake Achche Achche Amal Kar Lena Chahiye.
Mout Ke Baad Amal Ka Waqt Nahi Rahega Phir To Qayamat Tak Sona Hi Hai..

Kabhi Kaha Karti Theen Ke..
Main Kyun So'on.?
Kya Maloom Kab Mout AaJaye Kaheen Aysa Na Ho Ke Main Soti Rah Jaoon Aur Khuda Ki Yaad Se Ghafil Rehte Huwe Mera Dam Nikal Jaye.
Gharz In Per Khouf e Khuda Ka Bahot Ziyadah Ghalba Tha Jo Wilayat Ki Khass Nishani Hai. Allah Ta'ala Har Musalmaan Ko Ye Doulat Naseeb Farmaye.
Aameen
(Akmaal, Safa:260)

Tabsira :

Allah Ki Bandiyoun .! Aankhe'n Kholo Aur Dekho Ke Kaisi Kaisi Neek Bibiyan Is Duniya Me Ho Gayeen. Kya Tum Me Bhi Neek Banne Ka Koyi Shouq Hai .!?

Haye Afsoos Aaj Kal Ki Musalmaan Awraton Ki Zindagi Aur Unki Ghaflaton Aur Bad Aamaliyoun Ko Dekh Dekh Kar Dar Lagta Hai Ke Kaheen In Gunahoon Ki Nahusat Se Khada Ka Azaab Na Utar Pade .

Aye Cinema Dekh Dekh Kar Jagane Waliyoun..! Kya Khuda Ke Khouf Se Bhi Tum Kabhi Jagti Ho .!

 Aur Aye Novel Aur Jhute Afsane Padhne Waliyoun.! Kya Tumhe Iski Bhi Toufeeq Huwi Ke Qur'an Aur Deeni O Imaani Kitaben Padho !
Socho Aur Ibrat Pakdo  Aur Halaton Ko Badlo Aur Ye Na Bhulo Ke  Duniya Ki Zindagi Chand Roozah Aur Aani Faani Hai  Lihaza Jald Kuch Aakhirat Ka Kaam Kar Lo.! 

Hazrat Sayyida Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha

6:10 pm

Ye Huzoor Gouse Aazam Muhiyuddeeen Jeelani RahmatullahiTa'alaAlai Ki Phuphi Hain. Badi Aabida Zahida Aur SaHib e Karamat Waliyah Theen.

Ek Martaba Geelaan Me Bilkul Barish Nahi Huwi Aur Log Qahet Se Pareshaan Haal Ho Kar Inki Khidmat Me Dua Ke Liye Hazir Huwe To Aap Ne Apne Sahen Me Jhadu De Kar Aasmaan Ki Taraf Sar Uthaya. Aur Ye Kaha Ke .

رب انا كنست فرش انت

Yaani..
Aye Parwardigaar.! Maine Jhadu Dediya. Tu Chidkaao Karde.

Is Dua Ke Baad Fouran Hi Mousuladhaar Barish Hone Lagi. Aur Is Qadr Barish Huwi Ke Log Nihal Aur Khush haal Ho Gaye.
(Bahjatul Asraar & Qala’id ul Jawaahir)

Tabsira:

Allahu Akbar.! Khuda Ke Neek Bandon Aur Neek Bandiyoun Ki Wilayat Aur Karamat Ka Kya Kehna? Jo Log Awliya Se Aqidat Wa Muhabbat Nahi Rakhte Woh Bahot Bade Mehroom Balke Manhoos Hain.
Isliye Har Musalmaan Mard Awrat Per Lazim Hai Ke In Buzurgon Se Aqidat O Muhabbat Rakhe Aur Fateha Padh Kar Inki Niyaaz Dila Kar Inke Ruhon Ko Sawaab Pahonchta Rahe. Aur Inko Wasila Bana Kar Khuda Se Duaen Mangta Rahe .

Awliya Khuda Ke Mehboob Aur Pyare Bande Hain. Isliye Jo Musalmaan Awliya Se Ulfat O Aqidat Rakhta Hai Allah Ta'ala Us Musalmaan Se Khush Ho Kar Usko Apna Pyara Banda Bana Leta Hai Aur Tarah Tarah Ki Ne'maton Aur Doulaton Se Us Bande Ko Mala Maal Aur Khush Haal Bana Deta Hai  Is Qism Ke Hazaron Waqi'aat Hain Ke Agar Inko Likha Jaye To Kitaab Bahot Moti Ho Jayegi.! 

Hazrat Umme Waraqah Bint Abdullah RadiAllahuTa'alaAnha

9:12 pm

Ye Qabila Ansaar Ki Ek Sahabiya Hain. Huzoor E Akram ﷺ Inper Bahot Hi Meharbaan The. Aur Kabhi Kabhi Inke Ghar Bhi Tashreef Le Jate The Aur Inki Zindagi Me Hi Aapne Inko Shahadat Ki Basharat Di Aur ‘Shaheeda’ Ke Laqab Se Sarfaraaz Farmaya.

 Jang e Badr Ke Mouq'a Per Inhone Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah .! Aap Mujhe Bhi Is Jang Me Chalne Ki ijazat Dee dijiye Main Zakhmoon Ki Marham Patti Aur Unki Teemedaari Karongi. Shayad Allah Ta'ala Mujhe Shahadat Naseeb Farmaye.

Ye Sun Kar Huzoor AlaihisSalatoSalam Ne Farmaya Ke Tum Apne Ghar Me Baithi Raho Allah Ta'ala Tumhe Shahadat Se Sarfaraaz Farmayega. Yaqeenan Tum ‘Shaheeda’ Ho.

Chunanche Aysa Hi Huwa Ke Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Dour e Khilafat Me Inko Inke Ghar Ke Andar Inke Ek Ghulaam Aur Ek Londi Ne Qatl Kar Diya. Aur Dono Farar Ho Gaye

Ameerul Momineen Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ko Bada Ranj Huwa. Aur Aapne In Dono Qatilon Ko Giraftaar Karaya Aur Madina Munawwara Me In Dono Ko Phansi Di  Halanke In Dono Se Pehle Madina Munawwara Me Kisi Ko Phansi Nahi Di Gayi Thi.

Umme Waraqah RadiAllahuTa'alaAnha Ki  Shahadat Ki Khabar Sun Kar Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya Ke Beshak RasoolAllah ﷺ Sachche The. Kyunke Aap Farmaya Karte The Ke Chalo Umme Waraqah Shaheeda Ki Mulaqaat Kar Len. Chunanche Aysa Hi Huwa Ke Ghar Baithe Inko Shahadat Naseeb Hogayi.

(Isti'aab, Jild :4,Safa:1965)

Tabsira

Hazrat Umme Waraqah RadiAllahuTa'alaAnha Ke Shouq e Shahadat Se Ibrat Hasil Karo. 

Hazrat Khansa RadiAllahuTa'alaAnha

10:34 am

Ye Zamane Jahiliyat Me Bahot Badi Marsiyah Go Sha'airah Theen. Yahan Tak Ke "Ukkaz" Ke Mele Me Unke Qeme Per Jo Sign Board Lagta Tha  Us Per 'Arab ki Sabse Badi Marsiyah Go Sha'airah' Likha Hota Tha.

Ye Musalmaan Huween Aur Hazrat Ameerul Momineen Hazrat Umar Farooq e Aazam RAdiAllahuTa'alaAnhu Ke Darbaar e Khilafat Me Bhi Hazir Huween.

Inki Sha'ayiri Ka Diwaan Aaj Bhi Moujood Hai. Aur Ulama Adab Ka Ittefaaq Hai Ke Marsiyah Ka Fan Me Aaj Tak Khansa Ka Misl Paida Nahi Huwa.

Inke Mufassil Halaat Allama Abul Farj Asfahani Ne Apni Kitaab "Kitab - ul-Aghani" Me Tehreer Kiye Hain .

Ye Sahabiyat Ke Sharf Se Sarfaraz Hain Aur Be-Misaal Sha'air Goyi Ke Sath Ye Bahot Hi Bahaddur Bhi Theen .

Muharram 14 Sane Hijri Me Jang e Qadsiya Ke Khoon Reez Mu'arika Me Ye Apne Chaar Jawaan Beton Ke Sath Tashreef Le Gayeen . Jab Maidaan E Jang Me Ladayi Ki Safen Lag Gayeen Aur Bahadduron Ne Hathiyaar Sambhal Liye. To Inhone Apne Beton Ke Saamne Ye Taqreer Ki Ke..

"Mere Pyare Beton..! Tum Apne Mulk ko Do-Bhar Na The  Na Tum Per Koyi Qahet PAdha Tha. Bawajood Iske Tum Apni Budhi Maa Ko Yahan Laye Aur Faras Ke Aage Daal Diya Khuda Ki Qasam Jis Tarha Tum Ek Maa Ki Awlaad Ho Isi Tarha Ek Baap Ke Bhi Ho . Maine Kabhi Tumhare Baap Se Baddiyani Nahi Ki Na Tumhare Mamu Ko Ruswa Kiya. Lo Jao . Aakhir Tak Lado."

Beton Ne Maa Ki Taqreer Sun Kar Josh Me Bhare Huwe Ek Sath Dushmano Per Hamla Kar Diya  Jab Nigah Se Oujhal Ho Gaye. To Hazrat Khansa RadiAllahuTa'alaAnha Ne Aasmaan Ki Taraf Hath Utha Kar Kaha Ke Ilahi .! Tu Mere Bachchon Ka Hafiz o Nasir Hai Tu Unki Madad Farma.

Charon Bhaiyoun Ne Intehayi Dileri Aur Jaan Baazi Ke Sath Jang Ki Yahan Tak Ke Charon Is Ladayi Me Shaheed Ho Gaye.  Ameerul Momineen Hazrat Umar Farooq RadiAllahuTa'alaAnhu Is Waqi'a Se Behad Mutasir Huwe. Aur In Charon Beton Ki Tankhwahen Inke Maa Hazrat Khansa RadiAllahuTa'alaAnha Ko Ata Farmane Lage.

Tabsira :

Khawateen e Islam..! Khuda Ke Liye Hazrat Khansa Ka Dil Apne Seenon Me Paida Karo  Aur Islam Per Apne Beton Ko Qurbaan Kar Dene Ka Sabaq Is Deendaar Aur Jaan Nisaar Awrat Se Seekho Jis Ke Josh e Islam O Jazba e Jihaad Ki Yaad Qayamat Tak Faramosh Nahi Ki Ja Sakti. (RadiAllahuTa'alaAnha)
(Isti'aab  Jild 4, Safa 1826)

Hazrat Kabsha Ansariya RadiAllahuTa'alaAnha

8:08 pm

Ye Qabila Ansaar Ki Bahot Hi Janisaar Sahabiya Hain. Ek Martaba RasoolAllah ﷺ Ne Inke Mashk Ke Muh Se Apna Muh Laga Kar Pani Nosh Farma Liya. To Hazrat Kabsha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Is Mashk Ka Muh Kaat Kar Taburrukan Apne Pass Rakh Liya.
(Ibn Maajah,Safa :253,
Isti'aab, Jild 4, Safa :1907)

Tabsira :

Isse Pata Chalta Hai Ke Hazraat Sahaba o Sahabiyaat RadiAllahuTa'alaAnhum Ko Huzoor ﷺ Se Kitni Walihana Muhabbat Thi Ke Jis Cheez Ko Bhi Huzoor Se Ta'aluq Ho Jata Tha Woh Cheez Unki Nazron Me Ba'ais e Ta'azeem Aur Laiq e Ehteraam Ho Jaya Karti Thi. 

Kyun Na Ho Ke Yahi Imaan Ki Nishani Hai Ke Musalmaan Na Sirf Huzoor ﷺ Ki Zaat Se Muhabbat Kare. Balke , Huzoor ﷺ Ki Har Har Cheez Se Bhi Muhabbat Kare  Aur Huzoor Ki Har Cheez Ko Apne Liye Qabil e Ta'azeem Jane Aur Uska Imaani Muhabbat Ke Sath Aezaaz O Ikraam kare ..! 

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...