Namaaz FAsid Karne Wali Cheezen

9:14 pm

Namaaz Me Bolne Se Namaaz Toot Jati Hai Chahe Jaan Boojh KAr Bole Ya Bhool KAr Bole, Ziyadah Bole Ya Ek Hi Baat Bole , Apni Khushi Se Bole Ya Kisi Ke Majboor Karne Se Bole Ba-Har Surat Namaaz Toot Jayegi.Isi TArha Zabaan Se Kisi Ko Salaam Kare Qasdan Ho Ya Sahwan Namaaz Jati Rahegi.

Younhi Salaam Ka Jawaab Dena Bhi Namaaz Ko Fasid KAr Deta HAi. Kisi Ki Cheenk Ke Jawaab Me "Yarhamuk Allah" Kahe.Ya Khushi Ki Khabar Sun KAr "Alhamdulillah" Kahe Ya Buri Khabar Sun Kar ."إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ..Kahe To In Suraton Me Namaaz Toot JAyegi.,

Lekin Agar Khud NAmaaz Padhne wale Ko Cheenk Aayi To Hukm Ye Hai Ke Chup Rahe.Lekin Agar AlHamdulillah Keh Diya To Us Ki Namaaz Fasid NAhi Hogi.. 

Namaaz Padhne Wale Ne Apne Imaam Ke Ghair ko Luqma De Diya To Uski Namaaz Fasid Hogayi.Aur Agar Usne Luqma Le Liya To Uski Bhi Namaaz Jati Rahegi Aur Ghalat Luqma Dene Se Luqma Dene Wale Ki Namaaz Jati Rehti hai.

"الله أكبر (Allahu Akbar)" ke Alif Ko Kheench Kar " ا'لله أكبر (AAAllahu Akbar) kehna Ya "أكبر (Akbar)" ko اكبار'(AAakbar) kehna Namaaz Ko FAsid KAr Deta HAi.

Isi Tarha نَستَعِینُ , ko Alif Ke Sath نَستَاعِینُ Padhne.Aur اَنعَمتَ Ke تَ Ko Pesh Ya Zeer Yani ِاَنعَمت ya ُاَنعَمتَ Padhne se bhi Namaaz jati Rehti Hai.

Aah, Ufff, Tufff, Durrr, Ya Musibat Ki Wajah Se Kahe Ya Aawaaz Ke Sath Roye Aur Kuch Huruf Paida Ho Jaye To In Sab Suraton Me Namaaz Toot Jayegi. 

Mareej Ki Zabaan Se Halat e Namaaz Me Be-Ikhteyaar Aah, Ya OOhh, Ya Haaye, Nikal Gaya to Namaaz NAhi Tootegi. Isi Tarha Cheenk, Khansi , Jamahi aur Dakaar me Jitne Huruf Majburan Zaban Se Nikal JAte HAin Maaf Hai. Aur Inse Namaaz Nahi Tootti.

DAnton Ke Andar Koi Khane Ki Cheez Atki Huyi Thi, Namaaz Padhte Huwe Zabaan Chala KAr Isko Nikal Liya Aur Nigal Gaya. Aagar Wo Cheez Chane Ki Miqdaar Se Kam hai To Namaaz Makruh Hogayi.Aur Agar Chane Ke Barabar hai to Namaaz Toot Gayi.

Namaaz PAdhte Huwe Zoor Se QehQaha Laga KAr Hasn Diya To Namaaz Bhi Toot Gayi Aur Wazu Bhi Toot Gaya. Phir Se Wazu KArke Naye Sire Se Namaaz PAdhe.

Awrat Namaaz Padh Rahi Thi BAchche Ne Uski Chaati Chusi Agar Doodh Nikal Aaya To Namaaz JAti Rahi.

Namaaz Me Kurta YA Paijama Pehna Ya Tehband Bandha Ya Dono Hath Se Kamar Bandh Bandha to NAmaaz Toot Gayi.

Ek Rukn Me 3 Baar BAdan Khujlane Se Namaaz Toot Jati hai.3 MArtaba Khujlane Ka Ye Matlab Hai Ke Ek Martaba Khujlaya Phir Hath Hata Liya Phir Khujlaya Phir Hath Hata Liya, Phir Khujlaya, Ye 3 Martaba Ho Gaya Aur ek MArtaba Hath Rakh Kar Chand MArtaba Hath Ko Hila Kar Khujlaya Magar Hath Nahi Hataya Aur Baar Baar Khujlata RAha To Ye Ek hi Martaba Khujlana Kaha JAyega.
(AalamGeeri Jild 1 Safa 92 Waghaira.)

Namaazi Ke Aage Se Guzarna Namaaz Ko Fasid NAhi Karta.Kwaah Guzarne wala Mard Ho Ya Awrat Lekin Namaazi Ke Aage Se Guzarne Wala Sakht Gunahgaar Hota Hai.Hadees Me Hai Ke Namaazi Ke Aage Se Guzarne Wala Janta Ke Us per Kya Gunah Hai To Wo Zameen Me Dhans Jane Ko Guzarne Se Behtar Jaanta.

Ek Dosri Hadees Me Hai ke Namaazi ke Aage Se Guzarne Wala Agar Jaanta Ke Us Me Kitna Bada Gunaah Hai to Chalis (40) Din Tak Khade Rehne Ko Guzarne Se Behtar Jaanta.Raawi Ka BAyaan Hai Ke My Nahi Jaanta Ke Huzoor SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Chalis(40) Din Kaha Ya Chalis(40) Mahine Ya Chalis(40) Baras.
(Tirmizi Jild 1 Safa 45).

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...