Imam Kyun Kufa Kufa Gaye?
6:42 pm
Aur Wo Masla Ye Tha Ke Agar Koi Quom Kisi Zalim O Fasiq Ki Baiat Per Razi Na Ho Aur Wo Kisi Aise Shakhs Se Bait Ki Darkhawast Kare Jo Har Aetabar Se Ahle Aurr Baiat-O-Ita'At Ka Haqdar Ho Aur Wo Shakhs Us Quom Ki Istad'Aa Or Darkhawast Ko Thukda De To Uska Matlab Yahi Huwa Ke Wo Shakhs Us Quom Ko Usi Zalim O Fasiq Ke Hawale Kerna Chahta Hai.
Ab Gour Farmaiye.... Ke Imam Jo Har Tarah Se Amirul Momineen Hone Ke Ahal O Mustahiq The Agar Us Waqt Kofiyo Ke Un Darkhawasto Ko Qubool Na Farmate To Qayamat Ke Din Darbare Khuda Wandi Mai Kofiyo Ke Us Mutaliba Ka Imam Ke Pass Kya Jawab Hota?? Ke
Ya Allah ! Hamne Her Chand Imam Se Baiat Ki Darkhawast Ki Lekin Imam Barhaq Ne Hamari Arziyo Ko Thukda Diya Is Liye Hame Yazeed Ke Zulm O Tashaddud Se Majbor Ho Ker Uski Baiat Kerni Padhi.
Ye Ek Aisa Masla Imam Ke Samne Darpesh Hogaya Ke Us Masla Ka Bajuz Uske Koi Hal Hi Na Tha Ke Imam Aali Maqam Ko Kofiyo Ki Darkhawast Manzoor Farma Ker Kufa Tashreef Le Jaye. Chunancha Jab Bade Bade As'Haabe Kubbar Maslan Hazrat Abdullah Bin Abbas , Hazrat Abdullah Bin Umar , Hazrat Jabir , Hazrat Abu Saeed, Hazrat Abu Waqad Leshi Wagera Ham RadiyAllahu Ta'AalaAnhum
Ne Aap Ko Kufa Ke Safar Se Mana Farmaya To Aap Ne Unke Samne Yahi Masla Pesh Farmaya Ke Aakhir Ahle Kufa Ko Istad'Aa Ko Radd Kerne Ke Liye Mere Pass Uzra Shara'Ee Kya He?? Algarz !
Hazrat Imam Ke Samne Ek Buhat Hi Pecheeda Masla Aan Pada Tha. Ek Jaleel Ul Qadar Sahaba Ka Israar Tha Ke Aap HerGiz Kufa Tashreef Na Le Jaye
Dusri Taraf Kofiyo Ki Darkhawast Radd Kerne Ke Liye Aap Ke Pass Koi Uzra Shara'Ee Na Tha Is Liye Aap Ne Ye Faisla Farmaya Ke Pehle Hazrat Muslim Bin Aqeel RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ko Bheja Jaye. Agar Kofiyo Ne Bad-Ahdi O Bewafai Ki To Uzra Shara-Ee Mil Jayega Or Ager Wo Apne Ahad Per Qaim Rahe To Sahaba Ko Tasalli O Itminaan Dilaya Ja Sake Ga.
0 comments