Hazrath Muslim Ki Shahadat Ki Khabar
7:12 pm
Algaraz Harath Imam Manzil Ba Manzil Safar Farmate Huwe Chale Ja Rahe The Aur Ab Tak Kufa Me Imam Muslim Ki Shahadat Aur Wahan Ke Inqelabi Halaat Se Bilkul Hi Be-Khabar The Ke Ekdam Nagaha Manzil “Salbiyah” Per “Bakre-Asdi” Se Mulaqqat Huwi Jo Kufa Se Aa Rahe The, Unhone Qadam Boos Ho Kar Kufa Ke Taza Tareen Halat Se Hazrath Imam Ko Aagah Kiya Aur Hazrath Muslim Aur Unke Farzando Ki Shahadat Ke Ibrat Khez Aur Dard-Naak Halat Ko Mufas'Sil Tour Per Bayan Kiya. Hazrath Imam Kufiyo Ki Gaddari Aur Ahad Shikni Ki Dastaan Sun Kar Hairaan Rah Gaye. Aur Shiddate Gham Se Dil Masoos Kar Bechain-O-Beqarar Ho Gaye Itne Main Hazrath Muslim Shaheed Ki Ek Choti Bacchi Jo Is Safar Main Sath The Hazrath Imam Ke Samne Aagaye Hazrath Imam Ne Unhe Intehayi Mohabbat-O- Shafaqqat Bhari Nigaho Se Dekha Aur Unke Sar Per Daste Shafaqqat Phirane Lage Aur Be-Ikhtiyar Aanso Ki Dhaar Aap Ke Muqaddas Ruksaar Per Jari Hogayen.. O Sehzadi In Qara'In Se Tadhgaye ..Aur Arz Karne Lage Ke Chacha Jaan Aaj To Aap Mere Sar Per Is Tarha Hath Phira Rahe Hain Jis Tarha Yateemo Ke Sar Per Hath Phera Jata Hai. Main Aap Ko Parwardigaar Ki Qasam Dilaati Hon Sach Sach Batayiye Kya Mere Baba Jaan Shaheed To Nahi Hogaye???
Ya Khud Bhi Shaheed Ho Kar Khuld-E-Bari Me Apne Bichde Huwe Bhai Se Ja Milenge. Ye Sun Kar Imam Aali Maqam Ne Farmaya Ke Bahot Achcha Agar Tum Logo Ki Yahi Khushi He To Chalo Main Bhi Tumhare Sath Chalta Hon Jo Tumhara Haal Hoga Wo Mera Haal Bhi Hoga Kyun Ke Tumhare Baad Meri Zindagi Be-Lutf Aur Mera Jeena Wabaal Hoga. Chunanche, Qafila Aage Chal Pada Yahan Tak Ke Jab Kufa Do Manzil Baqi Reh Gaya.
0 comments