Hadees

Namaz Ki Ahmiyat Hadees Shareef Se

7:14 am



Hadees Shareef 1:
Hazrath Abu Hurairah رضي الله عنه Ne Kaha Ke ...
Rasool Allah ﷺ Ne FArmaya Ke Batao Agar Tum Logon Me Kisi Ke Darwaze Per Naher(Canel/Channel) Ho Aur O Is Me Rozana Panch(5) Martaba Ghusl Karta Ho To Kya InKe Badan Per Kuch Mail Baqi RahJayega?

Sahaba e Karam Ne Arz Kiya Aysi Halat Me Uske Badan Per Kuch Bhi Mail Baqi Na Rahega.

Huzoor ﷺ Ne Farmaya Bas Yahi Kaifiyat Hai Panchon Namazon Ki.Allah Ta'ala Inke Ke Sab Gunah Ko Mita Deta Hai.
(Bukhari , Muslim)

Hadees Shareef 2:

Hazrath AbuZar رضي الله عنه ne Farmaya Ke Ek Roz Sardi ke Mosam Me Jab Ke Darakhton ke Patte Gir Rahe The (Yani Pat-Jhad Ka Mosam Tha ) Huzoor ﷺ Baher Tashreef Le Gaye To Aap Ne Ek Darakht Ki Do Tehniyan Pakde(n) (Aur Unhe Hilaya) to Us Shakhon Se Patte Girne Lage.
Aap Ne Farmaya Aye AbuZar!

Hazrath AbuZar رضي الله عنه Ne Arz Kiya Hazir Hoon Ya RasoolAllah.

Aap ﷺ Ne Farmaya Jab Musalmaan Banda Khalis Allah Ta'ala Ke Liye Namaaz Padhta Hai To Uske Gunah Is Tarha Jhad Jate HAin Jaisa Ke Ye Patte Darakht Se Jhad Rahe Hain.
(Ahmed)

Hadees Shareef 3:

Hazrath Salman  رضي الله عنه   Ne Kaha ke Myne Rasool e Kareem ﷺ ko Ye Farmate Huwe Suna Ke..
Jo Shakshs Fajar Ki Namaaz Ko Gaya Wo Imaan Ka Jhanda Le Kar Gaya.
Aur Jo Subh Sawere Bazaar ki Taraf Gaya To O Shaitan Ka Jhanda Le Kar Gaya.
(Ibn e Maja)

Hadees Shareef 4:

Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Al-'Aas  رضي الله عنهما Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Ek Roz Namaaz Ka Zikr Kiya To Farmaya Ke ...

Jo Shakshs Namaaz Ki Pabandi Karega To Namaaz Uske Liye Noor Ka Sabab Hogi, Kamal-e-Imaan Ki Daleel Hogi Aur Qayamat Ke Din Bakshish Ka Zariya Banegi.

Aur Jo Namaaz Ki Pabandi Nahi Karega Uske Liye Na To Noor Ka Sabab Hogi Na Kamal-e-Imaan Ki Daleel Hogi Aur Na Bakshish Ka Zariya.Aur Qayamat Ke Din Qaroon, Firoon ,Haroon Aur Ubay bin Khalaf Ke Hamrah Hoga.

(Ahmed,Darmi, Baihaqi)

Hadees Shareef 5:

Hazrath Ali KaramAllahuTa'alaWajhu Ne Kaha Ke Huzoor ﷺ Ne Mujh Se Farmaya Ke..
Aye Ali!
Teen (3) Kamon Me Dair (late) Na Karna.
Ek To Namaaz Ada Karne Me Jab Waqt Ho Jaye,
Dosre Janazah Me Jab Ke Wo Tayyar Ho Jaye,
Tesre Bewah Ke Nikah Me Jab Ke Uska Kufu Mil Jaye.
(Tirmizi)

Hadees Shareef 6:

Hazrat Anas رضي الله عنه Ne kaha Ke Rasulallah  ﷺ Ne Farmaya Ke Ye Munafiq ki Namaaz Hai Ke Baithe Huwe Suraj ka Intezaar Karta hai Yahan Tak ke Jab Suraj Pila (yellow) Padh Jata Hai Aur Shaitan Ke Dono Singh ke Beech Me Aajata Hai To Khada Ho Kar Char Choonch Maar Leta Hai. Nahi Zikr Karta Us (Tang Waqt) Me Allah Ta'ala ka Magar Bahot Thoda..

(Muslim)

Hadees Shareef 7:

Hazrath Amr Bin Shuaib رضي الله عنهما Apne Dada Se Riwayat Karte Hain Unhone Kaha Ke Huzoor ﷺ Ne Farmaya ke Jab Tumhare Bachche Sath (7) Saal Ke Ho Jayen To Unko Namaaz Padhne Ka Hukm Do Aur Jab Das(10) Saal Ke Ho Jayen To Unko Maar Kar Namaaz Padhao. Aur Unke Sone Ki Jagahen Alaheda Karo.

(AbuDawood)

Zaruri Ittebah (NOTE) :
1. Aahistah Qur'an Padhne Me Itna Zaruri Hai Ke Khud Sune Agar Huroof Ki Tasheeh Ki Magar Is Qadar Aahistah Padha Ke Khud Na Suna To Namaaz Na Huwi.
(#BaharEShariat)

2. Sajde Me Paon Ki Ek Ungli Ka Pait(Stomach) Zameen Se Lagna Shart Hai aur Har Paon Ki Teen Teen Ungliyoun Ka Pait(Stomach) Lagna Wajib, To Agar Kisi Ne Is Tarha Sajdah Kiya Ke Dono Paon Zameen Se Uthe Rahe To Namaaz Na Huwi.
(BaharEShariat) 

3. Aksar Awraten Apni Nadani Se Farz Wajib Sab Namaazen Bagair Uzr Baith Kar Padhti Hain Unki Namaaz Nahi Hoti Isliye Ke Mardon Ki Tarah Awraton Per Bhi Khade Ho Kar Namaaz Padhna Farz Hai. Agar Kisi Bimari Ya Budhape Ki Wajah Se Kamzori Ho Gayi Hai Lekin Khadima Ya Lathi Ya Diwar Per Taik(support) Laga Kar Khadi Ho Sakti Hai To Farz Hai Ke Khadi Ho Kar Padhen. Yahan Tak Ke Agar Kuch Der Hi Ke Liye Khadi Ho Sakti Hai AgarChe Itna Hi Khadi Ho Kar Allahu Akbar Keh Le To Farz Hai Ke Khadi Ho Kar Itna Keh Le Phir Baith Jaye.
(BaharEShariat)

Aaj Kal Umuman Mard Bhi Zara Si Takleef Per Baith Kar Namaaz Padhna Shuru Kar Dete Hain Halanke Dair(Long time ) Tak Khade Ho Kar Idhar Udhar Ki Batein Kar Liya Karte Hain Unki Namaaz Nahi Hoti Isliye Ke Qiyaam Ke Bare Me Awrat Mard Ka Hukm Ek Hai.

4. Awrat Ne Itna Bareek Dupatta Oodh Kar Namaaz Padhi Ke Jisse Baal Ki Siyahi Chamakti Hai To Namaaz Na Hogi Jab Tak Ke Uske Uper Koi Aysi Cheez Na Oodhe Ke Jisse Baal Ka Rang Chup Jaye.
(BaharEShariat )

Namaz

Witr Ki Namaaz

9:18 pm


Witr Ki Namaaz Wajib HAi. Agar Kisi Wajah Se Witr ki Namaaz Waqt Ke Andar NAhi Padhi To Witr Qaza PAdhni Wajib Hai.
(AalamGeeri J:1 S:104 Waghaira)

Namaaz e Witr Teen(3) Raka'at Ek Salaam Se HAi. Do(2) Raka'at Per BAithen aur Sirf Aatahiyat Padh Kar Tesri Raka'at Ke Liye Khada Ho Jaye.Aur Tesri Raka'at Me Bhi Al-Hamd Aur Sura Padhen .Phir Dono Hath Kano Ki Lou Tak Uthaye Aur "Allahu Akabr" Keh KAr Phir Hath Bandh Len.Aur Dua-e-Qunoot Padhen.Jab Dua-e-Qunoot Padh Chuke To "Allahu Akbar" Keh Kar Ruku KAre Aur Baqi Namaaz Puri Kare.Dua-e-Qunoot Image Me Dekhen.

Mas'ala: Jo Dua-e-Qunoot Na PAdh Sake to O Ye Padhen
اللَّهُمَّ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Aur Jisse Ye Bhi Na Hosake to Teen(3) Martaba
اللهم اغفر لي
PAdehen.Uski Namaaz E Witr Ada Ho Jayegi.
(Aalamgeeri J:1 S:104)

Mas'ala: Dua-e-Qunoot Witr me Padhna Wajib HAi.Agar Bhool Kar Dua-e-Qunoot Chood Diya To Sajda e Sahu KArna Zaruri HAi.Aur Agar Qasdan Chod Diya To Witr Ko Dohrana PAdega.
(Aalamgeeri J1 S:104)

Mas'ala: Witr Ke Siwa Aur Kisi Namaaz Me Dua-E-Qunoot Na Padhen.Haan Albatta Agar Musalmano Per Koi Bada HAdisa Waqi'e ho to Fajr Ki Dosri Raka'at Me Ruku Se Pehle Dua-e-Qunoot Padh Sakte HAin Isko Qunoot-e-Naazilah Kehte HAin.
(Dur Al Muqtaar Wa Rad Al Muhtaar j:1 S:54)

Note: Dono Hath Kano Ki Lou Tak Uthana Ye MArdon Ke Liye Hai, Awraton Ko Sirf Mondhe Tak Hi Hath Uthana Chahiye.

Namaz

Namaaz FAsid Karne Wali Cheezen

9:14 pm

Namaaz Me Bolne Se Namaaz Toot Jati Hai Chahe Jaan Boojh KAr Bole Ya Bhool KAr Bole, Ziyadah Bole Ya Ek Hi Baat Bole , Apni Khushi Se Bole Ya Kisi Ke Majboor Karne Se Bole Ba-Har Surat Namaaz Toot Jayegi.Isi TArha Zabaan Se Kisi Ko Salaam Kare Qasdan Ho Ya Sahwan Namaaz Jati Rahegi.

Younhi Salaam Ka Jawaab Dena Bhi Namaaz Ko Fasid KAr Deta HAi. Kisi Ki Cheenk Ke Jawaab Me "Yarhamuk Allah" Kahe.Ya Khushi Ki Khabar Sun KAr "Alhamdulillah" Kahe Ya Buri Khabar Sun Kar ."إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ..Kahe To In Suraton Me Namaaz Toot JAyegi.,

Lekin Agar Khud NAmaaz Padhne wale Ko Cheenk Aayi To Hukm Ye Hai Ke Chup Rahe.Lekin Agar AlHamdulillah Keh Diya To Us Ki Namaaz Fasid NAhi Hogi.. 

Namaaz Padhne Wale Ne Apne Imaam Ke Ghair ko Luqma De Diya To Uski Namaaz Fasid Hogayi.Aur Agar Usne Luqma Le Liya To Uski Bhi Namaaz Jati Rahegi Aur Ghalat Luqma Dene Se Luqma Dene Wale Ki Namaaz Jati Rehti hai.

"الله أكبر (Allahu Akbar)" ke Alif Ko Kheench Kar " ا'لله أكبر (AAAllahu Akbar) kehna Ya "أكبر (Akbar)" ko اكبار'(AAakbar) kehna Namaaz Ko FAsid KAr Deta HAi.

Isi Tarha نَستَعِینُ , ko Alif Ke Sath نَستَاعِینُ Padhne.Aur اَنعَمتَ Ke تَ Ko Pesh Ya Zeer Yani ِاَنعَمت ya ُاَنعَمتَ Padhne se bhi Namaaz jati Rehti Hai.

Aah, Ufff, Tufff, Durrr, Ya Musibat Ki Wajah Se Kahe Ya Aawaaz Ke Sath Roye Aur Kuch Huruf Paida Ho Jaye To In Sab Suraton Me Namaaz Toot Jayegi. 

Mareej Ki Zabaan Se Halat e Namaaz Me Be-Ikhteyaar Aah, Ya OOhh, Ya Haaye, Nikal Gaya to Namaaz NAhi Tootegi. Isi Tarha Cheenk, Khansi , Jamahi aur Dakaar me Jitne Huruf Majburan Zaban Se Nikal JAte HAin Maaf Hai. Aur Inse Namaaz Nahi Tootti.

DAnton Ke Andar Koi Khane Ki Cheez Atki Huyi Thi, Namaaz Padhte Huwe Zabaan Chala KAr Isko Nikal Liya Aur Nigal Gaya. Aagar Wo Cheez Chane Ki Miqdaar Se Kam hai To Namaaz Makruh Hogayi.Aur Agar Chane Ke Barabar hai to Namaaz Toot Gayi.

Namaaz PAdhte Huwe Zoor Se QehQaha Laga KAr Hasn Diya To Namaaz Bhi Toot Gayi Aur Wazu Bhi Toot Gaya. Phir Se Wazu KArke Naye Sire Se Namaaz PAdhe.

Awrat Namaaz Padh Rahi Thi BAchche Ne Uski Chaati Chusi Agar Doodh Nikal Aaya To Namaaz JAti Rahi.

Namaaz Me Kurta YA Paijama Pehna Ya Tehband Bandha Ya Dono Hath Se Kamar Bandh Bandha to NAmaaz Toot Gayi.

Ek Rukn Me 3 Baar BAdan Khujlane Se Namaaz Toot Jati hai.3 MArtaba Khujlane Ka Ye Matlab Hai Ke Ek Martaba Khujlaya Phir Hath Hata Liya Phir Khujlaya Phir Hath Hata Liya, Phir Khujlaya, Ye 3 Martaba Ho Gaya Aur ek MArtaba Hath Rakh Kar Chand MArtaba Hath Ko Hila Kar Khujlaya Magar Hath Nahi Hataya Aur Baar Baar Khujlata RAha To Ye Ek hi Martaba Khujlana Kaha JAyega.
(AalamGeeri Jild 1 Safa 92 Waghaira.)

Namaazi Ke Aage Se Guzarna Namaaz Ko Fasid NAhi Karta.Kwaah Guzarne wala Mard Ho Ya Awrat Lekin Namaazi Ke Aage Se Guzarne Wala Sakht Gunahgaar Hota Hai.Hadees Me Hai Ke Namaazi Ke Aage Se Guzarne Wala Janta Ke Us per Kya Gunah Hai To Wo Zameen Me Dhans Jane Ko Guzarne Se Behtar Jaanta.

Ek Dosri Hadees Me Hai ke Namaazi ke Aage Se Guzarne Wala Agar Jaanta Ke Us Me Kitna Bada Gunaah Hai to Chalis (40) Din Tak Khade Rehne Ko Guzarne Se Behtar Jaanta.Raawi Ka BAyaan Hai Ke My Nahi Jaanta Ke Huzoor SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Chalis(40) Din Kaha Ya Chalis(40) Mahine Ya Chalis(40) Baras.
(Tirmizi Jild 1 Safa 45).

Namaz

Jamaat O Imamat Ka Bayan

9:12 pm

Jamaat Ki Bahut Takeed Hai.Aur Iska Sawaab Bahot Ziyada Hai. Yahan Tak Ke Be-Jamaat Ki Namaaz se Jamaat Wali Namaaz Ka Sawaab 27 Guna hai.
(Mishkat Shareef Jild 1Safa 95)

Mas'ala: Mardon Ku Jamaat Ke Sath Namaaz PAdhna Wajib Hai. Bila Uzr 1 Baar Bhi Jamaat Chodne Wala Gunahgaar Aur Saza ke Layiq Hai.Aur Jamaat Chodne Ki Aadat Dalne Wala Fasiq Hai.Jiski Gawahi Qubool Nahi Ki Jayegi, Aur Badeshahe Islam Isku Sakht Saza Dega. Aur Agar Padosiyon Ne Sukoot kiya To O bhi Gunahgaar Honge .
(Raddul Muqtar Jild 1 Safa :371)

Mas'ala: Juma O Eidain Me Jamat Shart Hai.Yani Baghair Jamaat Ye Namaazen Hogi Hi Nahi.Taraweh Me Jamaat Sunnat e Kifaya HAi, Yani Mohalle ke Kuch Logon Ne Jamat Se Padhi To Sab Ke Zimma Se Jammat Chodne Ki Burayi Jati Rahi Aur Agar Sabne Jamaat Chodi To Sabne Bura Kiya, Ramzan Shareef Me Witr Ku Jamaat Se PAdhna Ye Mustahab Hai. Sunnaton Aur Niflon me Jamaat Makru Hai.
(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 371)

Mas'ala: Jin Uzron Ki Wajeh Se Jamaat Chod Dene Me Gunah Nahi O Ye HAin.

1.Aysi Bimari ke Masjid Tak Jane Me Mushaqat Aur Dushwari ho.

2.Sakht BArish

3.BAhot Ziyada Kichad.

4.Sakht Sardi.Sakht Andheri Raat

6.Aaandhi

7.Pakhana Pishaab ki Hajat

8.Riyah KA Bahot Zoor Hona

9.Zalim Ka khouf.

10.Qafila Choot jane Ka Qouf.

11.Andha Hona.

12.Apahij hona

13.Itna Budha Hona Ke MAsjid Tak Jane Se Majboor ho.

14.Maal YA Samaan Ya Khana Hilaak Ho Jane Ka Dar.

15.Muflis Ku Qarz Khwah Ka Dar.

16.Bimaar Ki Degbhaal Ke Agar Ye Chala Gayega To Bimaar Ku Takleef Hogi Ya O Ghabrayega.

Ye Sab Jamaat Chodne Ke Uzr HAin
(Dur e Mukhtar Jild 1 Saa 373)

Mas'ala: Awraton Ku Kisi Halat me Jamaat Ki Hazri Jaiz Nahi.Din ki Namaaaz Ho Ya Raat Ki. Jumma ki ho Ya Eidain Ki. Awrat Chahe Jawaan Ho Ya Budhiya.Yunhi Awraton Ku Ayse Majmu'on me Jana Bhi NaJaiz Hai Jahan Awraton MArdon ka Ijtema ho.
(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 370)

Mas'ala: Akela Muqtadi Mard Agar Che Ladka Ho Imam Ke Barabar Dahne Taraf Khada Ho. Bayen Taraf Ya Piche Khada Hona Makru Hai.Do Muqtadi Hon to Piche Khade Hon Imam ke Barabar Khada Hona Makru-e-Tanzeehi Hai. Do Se Ziyada Ka Imam ke Baghal me Khada Hona Makru-e-Tahrimi Hai.
(Dur e Mukhtar jild 1 Safa 371)

Mas'ala: Pehli Saf me Aur Imam Ke Qareeb Khada Hona Afzal Hai. Lekin Janaze Me Pichli Saf Me Hona Afzal HAi.
(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 372)

Mas'ala: Imam Hone Ka Sabse Ziyada Haqdaar O Shaksh Hai Jo Namaaz O Taharat Waghaira Ke Ahkaam Sabse Ziyada Janne Wala Ho.Phir O Shaksh Jo Qir'at Ka Ilm Ziyada Rakhta Ho.Agar Kayi Shaksh in Baton Me Barabar Ho to O Shaksh Ziyada Haqdaar HAi Jo Ziyada Muttaqi Ho.Agar Isme Bhi Barabar Hon to Ziyada Umr Wala.Phir Jiske Aqlaq Ziyada Achche Hon.Phir Ziyada Tahajuud Guzaar, Gharz Ke Chand Aadmi Barabar Darje Ke Hoon to Inme Jo Shari Haisiyat se Fouqiyat Rakhta Ho. Wahi Ziyada Haqdaar Hai.
(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 373)

Mas'ala: Fasiq Moalin Jaise Sharabi, Zina Kaar, Juwari, Sood Khor , Dadhi MudaneWala, Ya Kata Kar Ek Musht Se Kam Rakhne Wala In Logon ko Imam Banana Gunah Hai. Aur In Logon Ke Piche Namaaaz Makruh-e-Tehrimi Hai. Aur Namaaz Ku Dhurana Wajib Hai.
(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 376)

Mas'ala: Rafzi , Khwargi , Wahabi Aur Dosre Tamam Badmazhabon Ke Piche Namaaz Padhna Najaiz O Gunah Hai. Agar Galti Se PAdh Li to Phir Se PAdhe. Agar Dubara NAhi Padhega to Gunahgaar Hoga.
(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 377)

Mas'ala: Ganwaar, Andhe , Harami, Kodhi, Falij ki Bimaari Wala ,Bars Ki Bimaari Wala in Logon Ko Imam Banana Makruh-e-Tanzeehi Hai.Aur Karahat Us Waqt HAi Jab Ke Jamaat Me Aur Koi In Logon Se Behtar ho, Aur Yahi Imamat Ke Haqdaar Hoto Karahat Nahi.Aur Andhe Ki Imamat Me to Khafeef Karahat hai.
(Dur e Mukhtar Jild 1 Safa 377)

Namaz

Namaaz Ke Baad Zikr O Dua

9:10 pm

Namaaz Ke Baad Bahot se Duaon Ke Padhne Ka Hadeeson Me Zikr Hai, Unme Se Jis Qadar Padh Sake PAdhen.Lekin Zohar o Maghrib Isha Me Tamam Wazaif Sunnaton Se Farigh Hone Ke Baad Padhen. Sunnat Se Pehle Muqtasar Dua Per Qina'at Chahiye .Warna Sunnaton Ka Sawaab Kam Hogayega Iska Khiyal Rahe.
(Raddul Muqtar)

Faida: Hadeeson me Jin Duaon ke bare Me jo Ta'dad Muqarrar Hai, Isse Kam Ya Ziyada Na KAren.Kyunke Jo Fazail In Duaon ke HAin O inhi Adadon ke Sath Maqsoos Hain, Inme Kam o Beshi Karne Ki Misal Ye Hai Ke Tala Kisi Khaas Qisam ki Kunji Se Khulata hai to Agar Is Kunji ke Dandane Kuch Kam Ya Zayid Kar den To Usse o Tala Na Khulega.Haan Albatta agar Ginti Shumaar Karne Me Shak Ho Jaye To Ziyada Kar sakte Hain Aur Ye Ziyada Karna Ginti Badhane Ke Liye Nahi HAi. Balke Ginti ku Yaqini Tour Per Puri Karne Ke Liye Hai.
(Raddul muqtar)

Ek Masnoon Wazifa:
Har Namaaz Ke Baad 3 Martaba "Astaghfar" Aur 1 Baar "Ayatul Kursi" Aur Ek Ek Baar "Qul Huwallahu" aur "Qul Auzu Bi Rabbil Falaq" aur "Qul A'uzu Bi-Rabbi-n-Naas" aur SubhanAllahi 33 Baar, Alhamdulillahi 33 Baar, Allahu Akbar 34 Baar, aur
(لا اله الا الله وحده لا شريك له، له الملك وله الحمد، وهو على كل شيء قدير)
1 Baar Padh len.to Iske Gunah Baksh Diye Jayenge Agar Che Samadar Ke Jhag Bara Bar ho, Aur Wo Na Murad Nahi Rahenge.
(Muslim Shareef)

Namaz

Namaaz Me Awraton Ke Chand Khaas Masail

12:04 am

Awraton Ku Chahiye Ke Takbeer-e-Tahrima Ke Waqt Mardon ki Tarha Kano Tak HAth Na Uthayen, Balke Sirf Mondhe Tak Hi Hath Utha KAr Bayen Hatheli Seene Per Rakh Kar Iski Peet Par Dahni Hatheli Rakhe,

Ruku Me Ziyada Na Jhuke, Balke Thoda Jhuken, Yani Sirf Is Qadar Ke Hath Ghutno Tak Pahonch Jaye.
Isi Tarha Awraten Ruku Me Peet Seedhi Na KAren , Aur Ghutno Per Zoor Na Den, Balke Mahaz Ghutno Per Hath Rakh Den, Aur Hathon Ki Ugliyan Mili Huwi Rakhen , Aur Paon Kuch Jhuka Huwa Rakhen, Mardon Ki Tarha Khoob Seedha Na Karden,

Awraton Ku Bilkul Simat Kar Sajda Karna Chahiye, Yani Bazu Ku Karwaton Se Mila Den, Aur Pet Ku Raan Se Aur Raan Ku Pindliyon Se Aur Pindliyoun Ku Zameen Se Miladen,

Qaide Me Aatahiyat Padhte Waqt Awraten Bayen Qadam Per Na Baithen, Balke Dono Paon Dahni Janib Nikal Den Aur Bayen Suarain Per Baithe, Mardon ki Tarha Na Baithen.

Awraten Bhi Khadi Ho Kar Namaaz Padhen, Bahot Si Jahil Auraten Farz o Wajib Aur Sunnat o Nafil Sari Namazen Baith KAr Padhti Hain, Ye Bilkul Galat Tariqa Hai,

Nafil Ke Siwa Koi Namaz Bhi Bila Uzr ke Baith Kar Padhni Jaiz Nahi,Ye Jahil Awraten Farz O Wajib Jitni Namaazen Baghair Uzr Baith KAr Padh Chuki Hain Un Sab Namaazon Ki Qaza KAren.Aur Tauba KAren.

Mas'ala:
Awrat Mardon Ki Imamat Karen Ye Najaiz Hai, Hargiz Awrat Mardon Ki Imam Nahi Ban Sakti. Aur Sirf Awraton Ki Jam'at Ke Awrat Hi Imam Ho Aur Awraten Hi Muqtadi Ho Ye Makru e Tehrimi Aur Najaiz Hai.

Mas'ala: Awraton Per Jumma Aur Edian Ki Namaaz Wajib Nahi. Panj Waqta Namazaon Ke Liye Bhi Awraton Ka Masjid Me Jana Mana HAi.

The Prophet ( صلى الله عايه وسالم ) passed by two women who were praying salah. He said, 'When you prostrate, let part of your body cling to the earth, for women are unlike men in this regard'.
أن رسول الله صلى الله عليه وسلم مر على امرأتين تصليان فقال إذا سجدتما فضما بعض اللحم إلى الأرض فإن المرأة ليست في ذلك كالرجل
[Abu Dawood in his al Maraseel (Muassasah al Risalah edition), and Sunan Baihaqi 3201]


Namaz

Namaaz Padhne Ka Tariqa

12:02 am

Namaaz Padhne Ka Tariqa Ye Hai Ke Wazu Karke Qible Ki Taraf Muh Kare.Aur Is Tarha Khada Ho Ke Dono Pairon Ke Darmiyaan 4 Ungul Ka Fasila Rahe.Aur Dono Hathon Ko Dono Kano Tak Uthaye Ke Dono Angothe Dono Kanon Ke Lou se Chu Jaye.Baqi Ungliyan Apne Haal Per Rahen.Na Bilkul Mili Huwi Na Bahot Phaili Huwi. Is Haal Me Ke Kano Ki Lou Chute Huwe Dono HatheLiyan Qible Ki Taraf Hoon aur Nigah Sajde Ki Jagah Per Ho.

Phir Niyyat Karke Allahu Akbar Kehte Huwe Hath Neeche La Kar Naaf Ke Neeche Is Tarha Bandh Len Ke  Dahni Hatheli Ki gaddi Bayen Kalayi Ke Sare Per Pahonchon Ke Pass Rahe, Aur Beech Ki 3 Ungliyan Kalayi ki Peet Per, Aur Angotha Aur Choti Ungli Kalayi Ke Aghal Baghal Halkhe Ki Surat Me Rahe.

Phir Sana Padhe.Phir Ta'awuz Aur Tasmiya Phir Al-Hamd Shareef Puri Padhe,Aur Khatam Per Aashista Aameen Kahe.

Iske Baad Koi Surat Ya 3 Aayaten Ya 1 Lambi Aayat Jo 3 Aayaton ke Barabar Ho Padhen.

Phir Allahu Akbar Kehte Huwe Ruku me Jaye.

Aur Ghutno Ku Hathon Se Is Tarha Pakde ke  Hatheliyan Dono Ghutno Per Ho Aur Ungliyan khoob Pahili Ho Aur Peet Bichi Ho Aur Sar Peet Ki Barabaar ho Uncha Neecha Na ho Aur Nazar Pairon ki Pusht Par Ho.

Aur Kam Se Kam 3 Martaba "Subhana Rabbi'al Azeem " Kahe.

Aur Akele Namaaz Padhte Hain to Iske Baad "Rabbana Lakal Hamd" Bhi Kahe.Aur Dono Hath Latkaye Rahe.Hathon Ku BAndhe Nahi.

Phir Allahu Akbar Keh Kar Sajde Me JAye, Is Tarha Ke  Pehle Ghutna Zameen Per Rakhe Phir Hath, Phir Dono Hathon Ke Darmiyaan Me Sar Rakhe, Is Tarha Par Ke  Pehle Naak Zameen Per Rakhe, Phir Matha Aur Naak Ki Haddi Ku Daba Kar Zameen Per Jamaye , Aur Nazar Naak Ki Taraf Rahe , Aur Bazuon Ku Karwaton Se Aur Pet Ku Rano se Aur Rano Ku Pindhliyon Se Juda Rakhe , Aur Paon Ki Sab Ungliyoun Ku Qible Ki Taraf Rakhe , Is Tarha Ke Ungliyon Ka pet Zameen Per Jama Rahe , Aur Hatheliyaan Bichi Ho, Aur Ungliyan Qible Ki Taraf Ho, Aur Kam Se Kam 3 Baar "Subhana Rabbiyal A'la" (سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلَى) Kahe.

Phir Sar Uthaye Is Tarha Ke  Pehle Matha Phir Naak ,Phir Muh , Phir Hath Aur Dahina Qadam Khada karke Iski Ungliyan Qibla Rukh Kare aur Bayan Qadam Bicha Kar Is Per Khoob Seedha Baith Jaye , Aur Hatheliyan Bicha Kar Rano Per Ghutno Ke Pass Rakhe Is tour Per Ke Dono Hathon Ki Ungliyan Qibla Rukh Hoon, Aur Ungliyon Ka Sira Ghutno Ke Pass Ho, Phir Zara Tehar Kar Allahu Akbar Kehte Huwe Dosra Sajda Kare, Ye Sajda bhi Pehle Ki Tarha KAre,

Phir Sar Uthaye Aur Dono Hathon Ku Ghutno Per Rakh KAr Panjon Ke Bal Khade Ho Jaye,Uthte Waqt Bila Uzr Hath Zameen Per Na teke.
Ye Ek Raka'at Puri Ho Gayi.

Ab Phir Tasmiya Padh Kar Al-Hamd Puri Aur Koi Suart Padhe Aur Pehle Ki Tarha Ruku Aur Sajda KAre,
Phir Jab Sajde Se Sar Uthaye To Dahina Qadam Khada Karke Bayan Qadam Bicha KAr Baith Jaye, Aur Attahiyat Padhe.
Isku Tashahhud Kehte Hain Jab Ashadu Allah Ke Qareeb Pahonche To Dahine Hath Ki Beech Ki Ungli Aur Angothe Ka Halkha Banaye Aur Choti Ungli Aur Uske Pass Wali Ungli ku Hatheli Se Mila De Aur Lafz "Laa" Per Kalme Ki Ungli Uthaye Magar Idhar Udhar Na hilaye , Aur " illa" Per Girade.
Aur Sab Ungliyan Fouran Seedhi Kare,

Ab Agar Do se Ziyada Raka'ate Padhni hai To Uth Khade Ho Jaye,Aur Isi Tarha Padhe ,Magar Farz Ki In Raka'aton Me Al-Hamd Shareef Ke Sath Surat Milana Zaruri Nahi,
Ab Pichla Qaida Karne Ke Baad Namaaz Khatam Kare,

Is Me Tashahhud Ke Baad Darood e Ibraheem Padhe,Phir Dua e Masurah Padhe.Phir Dahne Shane Ki Taraf Muh Karke "AssalamuAlaikum Wa Rahmatullah" Kahe, Phir Bayen Shane K Taraf Muh Karke Kahe.

Ab Namaaz Khatam Ho Gayi Iske Baad Dono Hath Utha KAr Koi Dua Maslan Allahumma Antas-Salam Padhe Aur Muh Per Hath Pher len,

Namaaz Ka ye Tariqa jo Likha Gaya Imam Ya Tanha Mard Ke Padhne Ka Hai. Lekin Agar Namaazi Muqtadi ho Yani Jama'at ke Sath Imam Ke Peeche Namaaz Padhta Ho To Al-Hamd Aur Surah Na PAdhe, Chahe Imam Zoor Se Qir'at Karta Ho Ya Aahista Imam Ke Piche Kisi Namaaz Me Qir'at Jaiz Nahi.

Namaz

Raka'aton Ki Tadad Aur Niyyat Ka Tariqa

12:00 am

Niyyat Se Muraad Dil me Pakka Irada KArna Hai.Khali Khiyal Kafi Nahi Jab Tak Irada Na Ho.

Mas'ala: 
Agar Zabaan Se bhi Keh de To Achcha Hai.Maslan Youn Ke Niyyat ki Myne 2 Raka'at Farz Fajar Ki Waste AllahTa'ala Ke Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

Mas'ala:
 Muqtadi Ho to Niyyat Me Usko Itna Aur Kehna Chahiye Ke Piche Is Imam ke.

Mas'ala:
 Imam ne Imam Hone ki Niyyat Nahi Ki Jab Bhi Muqtadiyoun Ki Namaaz Inke Piche ho Jayegi, Lekin Jamaat Ka Sawaab Na Payega.

Ab Ham Tamam Namazon Ki Raka'aton Aur Inki Niyyaton ke Tariqon Ka Alag Alag Sawaal o Jawaab ki Surat Me Bayaan Karte Hain.Unku Khoob Achchi Tarha Yaad Karlo.

Sawaal:
 Fajr ke Waqt Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati HAi ?
Jawaab: Kul 4 Raka'at. Pehle 2 Raka'at Sunnat-e-Muakkadah Phir 2 Rakat Farz.

Sawaal :
 2 Rakat Sunnat Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?
Jawaab : Niyyat Ki Myne 2 Rakaat Namaaz Sunnat Fajr Ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat RasoolAllah Ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

Sawaal :
 2 Rakat Fazr ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?
Jawaab : Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Farz Fajar Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna Aur Kahe Piche Is Imam Ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

Sawaal
Zohar Ke Waqt Kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati HAi?
Jawaab: 12 Raka'at, Pehle 4 Raka'at Sunnat-e-Muaakkada Phir 4 Raka'at Farz, Phir 2 Raka'at Sunnat-e-Muaakkada, Phir 2 Raka'at Nafil.

Sawaal :
 4 Raka'at Sunnat ki Niyyat Kis Tarha Ki Jaye gi ?
Jawaab : Niyyat Ki Myne 4 Raka'at Namaaz Sunnat Zohar ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat RasoolAllah Ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal:
 4 Raka'at Fazr Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi ?
Jawaab : Niyyat Ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Zohar Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur Kahe Piche Is Imam Ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal:
 Aur 2 Raka'at Sunnat Zohar Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?
Jawab : Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Sunnat Zohar ki Allah Ta'ala Ke Liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
2 Rakat Nafil Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?
Jawab : Niyyat Ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil Ki Allah Ta'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Faida :
 Nafil Namaaz Baith Kar Padhna Jaiz Hai..Lekin Khade Ho kar Padhne me Dugna Sawaab Milta Hai. Aur Baith Kar Nafil Padhne me Adha Sawaab.

Sawaal:
 Asr Ke Waqt kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati Hai?
Jawaab: 8 Raka'at. Pehle 4 Raka'at Sunnat-e-Ghair Muakkada Phir 4 Raka'at Farz.

Sawaal
4 Rakat Sunnat Ghair Muakkada Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?
Jawaab: Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Sunnat Asr ki Allah Ta'ala ke Liye Sunnat RasoolAllah Ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
Phir 4 Raka'at Farz Ki Niyaat Kaise Kare ?
Jawaab : Niyyat Ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Asr Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
Maghrib Ke Waqt Kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati hai?
Jawaab: 7 Raka'at. Pehle 3 Raka'at Farz Phir 2 Raka'at Sunnat e Muakkada Phir 2 Raka'at Nafil.

Sawaal
3 Raka'at Fazr ki Niyyat kis Tarha Ki Jayegi ?
Jawaab : Niyyat ki Myne 3 Raka'at Namaaz Farz Maghrib Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
2 Raka'at Sunnat e Muakkada Ki Niyyat kis tarha ki jayegi?
Jawaab : Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Sunnat Maghrib ki Allah Ta'ala ke liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal:
 2 Raka'at Nafil Ki Niyyat kis tarha ki jayegi?
Jawaab : Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil ki Allah Ta'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
Isha Ke Waqt Kul Kitni Raka'at Namaaz Padhi Jati Hai?
Jawaab :17 Raka'at. Pehle 4 Raka'at Sunnat Ghair Muaakada Phir 4 Raka'at Farz., Phir 2 Raka'at Sunnate Muakkada, Phir 2 Raka'at Nafil Phir 3 Raka'at Witr Wajib Phir 2 Raka'at Nafil.

Sawaal
4 Raka'at Sunnat Ghair Muakkada Ki Niyyat Kis Tarha Ki Jayegi?
Jawaab : Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Sunnat Isha ki Allah Ta'ala ke Liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
Phir 4 Raka'at Farz ki Niyaat Kaise Kare ?
Jawaab :Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz Farz Isha Ki Allah Ta'ala Ke Liye(Muqtadi itna aur kahe Piche Is Imam ke ) Muh Mera Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
2 Raka'at Sunnat e Muakkada Ki Niyyat kis tarha ki jayegi??
Jawaab : Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Sunnat Isha ki Allah Ta'ala ke Liye Sunnat RasoolAllah ki Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal:
 2 Raka'at Nafil Ki Niyyat kis tarha ki jayegi??
Jawaab :Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil ki Allah Ta'ala ke liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
Phir Witr Ki Niyyat kis Tarha ki Jayegi?
Jawaab :Niyyat Ki Myne Namaaze Wajib Witr Ki Allah Ta'ala Ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal:
 Phir 2 Raka'at Nafil Ki Niyyat kis tarha ki jayegi?
Jawaab : Niyyat ki Myne 2 Raka'at Namaaz Nafil ki Allah Ta'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef ke Allahu Akbar.

Sawaal
Agar Niyyat ke Alfaaz bhul Kar Kuch ke Kuch Zabaan Se 
Nikal Gaye To Namaaz Hogi Ya Nahi?
Jawaab:  Niyyat Dil ke Pakke Irade Ku Kehte Hain, Yani Niyyat me Zabaan Ka itebaar Nahi to Agar Dil me Maslan Zohar Ka Pakka Irada kiya Aur Zabaan Se Zohar Ki Jagah Asr Ka Lafz Nikal Gaya To Zohar Ki Namaaz ho Jayegi.

Sawaal
Qaza Namaaz ki Niyaat KisTarha Karna Chahiye?
Jawaab : Jis Roz(Din) Aur Jis Waqt Ki Namaaz Qaza Ho Us Roz Aur Us Waqt Ki Niyyat Qaza Me Zaruri Hai.
Maslan: Agar Jumma ke Roz Fajar Ki Namaaz Qaza Ho Gayi To Is TArha Niyyat Kare ke Niyyat Ki Myne 2 Rakat Namaaz e Qaza Jumma ke Farz Fajar Ki Allah Ta'ala Ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe Shareef Ke Allahu Akbar.

Sawaal
Agr Kai Saal Ki Namaazen Qaza Hoon To Niyaat Kaise Karen?
Jawaab : Aysi Surat Me Jo Namaaz Maslan Zohar Ki Qaza Padhni Hai To Is Tarha Niyyat Kare Ke Niyyat ki Myne 4 Raka'at Namaaz e Qaza jo Mere Zimma Baqi hain. Inme se Pehle Farz Zohar Ki Allah TA'ala ke Liye Muh Mera Taraf Ka'abe shareef Ke Allahu Akbar.Isi Tariqe per Dusri Qaza Namaazon ki Niyaaton Ku Qiyaas Kar lena Chahiye.

Sawaal: 5 Waqt Ki Namazon Me Kul Kitni Raka'at Qaza Padhi jayegi?
Jawaab :20 Raka'at , 2 Raka'at Fajar, 4 Raka'at Zohar , 4 Raka'at Asr , 3 Raka'at Maghrib, 4 Raka'at Isha, 3 RAka'at Witr . Khulasa Ye ke Farz Aur Witr Ki Qaza Hai. Sunnaton Aur Nafilon Ki Qaza Nahi Hai.(Aamaye Kutub Fiqha)

Namaz

Namaaz Ke Mustahabaat

11:51 pm

1.Halate Qiyaam Me Sajde Ki Jagah Per Nazar Karna.
Jamahi Rookne ka Mujarrib Tariqa ye Hai Ke Dil Me YE Khiyaal KAre Ke Ambiya AlaihisSalam Ku Jamahi NAhi Aati Thi. Dil me Ye Khiyaal Aate Hi Jamahi Ka Aana Band Ho Jayega.

2. Ruku Me Qadam Ki Pusht Per Dekhna.

3.Sajde Me Naak Per Nazar Rakhna.

4.Qaide Me Seene Per Nazar Jamana.

5.Pehle Salam Me Dahne Shaane ko Dekhna.

6.Dosre Salam me Bayen Shaane Per Nazar Karna.

7.Jamahi Aaye To Muh Band Kiye Rehna, Aur Isse Jamahi 
Na Ruke To Hont Dant Ke Neeche Dabaye, Isse bhi Na Ruke To Qiyaam ki Halat me Dahne Hath Ki Pusht Se Muh Dhank le, aur Qiyaam ke ilawa Dosre halaton me Bayen Hath Ki Pusht Se .

8.Mard ke Liye Takbeere Tehrima Ke Waqt Hath Kapde Se Bahar Nikalna

9.Aurat Ke Liye Kapde ke Andar Behtar Hai,

10.Jahan Tak Mumkin Ho Khanci Ko Dafa Karna.

11.Jab Mukabbir Hayya ʿalal-Falāḥ Kahe to Imam O Muqtadi Sab Ka Khada ho Jana.

12.Jab Mukabbir "Qad Qamatis Salah Kahe To Imam Namaaz Shuru Kar Sakta HAi, Magar Behtar Ye hai ke Iqamat Puri Ho Jane Per Namaaz Shuru Kare.

13.Dono Panjo Ke Darmiyaan 4 ungul Ka Fasila Hona.

14.Muqtadi Ku Imaam ke Sath Shuru Karna.

15.Sajda Zameen Per Bila Kuch Bichaye huwe KArna.

Namaz

Namaaz ki Sunnaten

11:46 pm

Namaz Me Jo Chezan Sunnat HAin In Ka Hukm Ye hai ke Inku Qasdan Na choda Jaye.
Aur Agar Galti Se Choot Jaye to Na Sajda e Sahu ki Zarurat hai Na Namaaz Dohrane Ki.Lekin Agar Dohrale to Achcha Hai.Kyunke Namaaz ki kisi Sunnat ku Chod Dene Se Namaaz Ke Sawab me Kami Ho Jati hai.

Namaaz Ki Sunnaten Ye Hain 

1.Takbeere Tehrima ke Liye Hath Uthana.

2.Hathon ki Ungliyon Ko Apne Haal Per Chod Dena, Yani Na Bilkul Milaye Na Khuli Rakhe.Balke Apne Haal Per Chod den.

3.Ba-Waqte Takbeer Sar Na Jhukana.

4.Hatheliyoun Aur Ungliyon ke Pet Ka Qible Ruqh Hona.

5.Takbeer Kehne Se Pehle Hath Uthana, Isi Tarha Qunoot Aur Eidain ki Takbiron Me Bhi .

6.Kano Tak Hath le Jane Ke Baad Takbeer Kehna.

7.Awrat Sirf Mundhon Tak Hath Uthana.

8.Imam Ka Allahu Akbar , Sami Allahu Liman Hamida , Aur Salam Buland Aawaaz Se Kehna.

9.Takbeer Ke Baad Hath Latkaye Baghair Bandhlena.

10.Sana O Tawuz Aur Bismillah Padhna.

11.Aur Aameen Kehna.

12.Aur In Sab Ka Aahista Hona.

13.Pehle Sana Phir Tawuz Phir Bismillah Aur Har Ek Ke BAad Dosre Ko Fouran Padhna.

14.Ruku me 3 Baar Subhana Rabbi'al Azeem Kehna.

15.Aur Ghutno Ko Haton Se Pakadna.

16.Aur Ungliyon ko Khoob Khuli Rakhna.

17.Awrat Ku Ghutne Per Hath Rakhna Aur Ungliyoun ko Kushada Na Rakhna.

18.Halate Ruku Me Tange Seedhi Hona.

19.Ruku Ke Liye Allahu Akabr Kehna.

20.Ruku Me Peet Khoob Bhichi Rakhna.

21.Ruku Se Uthne Per Hath Latka Huwa Chod Dena.

22.Ruku Se Uthne Me Imam ku Sami Allahu Liman Hamida Kehna.

23.Muqtadi Ku Rabbana Lakal Hamd kehna.

24.Aur Akele Namaz Padhne Walon Ko Dono Padhna.

25.Sajde ke Liye Aur Sajde Se Uthne ke liye Allahu Akbar Kehna.

26.Sajde me Kam Se KAm 3 Martaba "Subhana Rabbi al-A'la " Kehna.

27.Sajda Karne Ke Liye Pehle Ghutna Phir Hath Phir Naak Phir Matha Zameen Per Rakhna.

28.Aur Sajde Se Uthne Ke Liye Pehle Matha, Phir Naak Phir Hath Phir Ghutna Zameen Se Uthana.

29.Sajde me Bazu Ka Karwaton Se Aur Pet Ka Rano Se Alag Rehna.

30.Sajde Ki Halat Me Kalaiyon Ko Zameen Per Bichana.

31.Awrat Ku Sajde me Apne Bazu Ku Karwaton se Pet Ku Raan Se Raan Ku Pindliyoun Se Aur Pindliyon Ko Zameen Se Mila Dena.

32.Dono Sajdon Ke Darmiyaan Misle Tashhud Ke Baithna.

33.Aur Hathon ku Rano Per Rakhna.

34.Sajde Me Hath Ki Ungliyon Ka Qible Ruqh Hona aur Mili Huwi Hona.

35.Aur Paon Ku Dason Ungliyon ke Pet Ka Zameen Per Lagna.

36.Dosri Rakat ke Liye Panjon Ke Bal Ghutno Per Hath Rakh Kar Khada Hona.

37.Qaide Me BAyan Pair Bicha Kar Dono Surain Is Per Rakh Kar Baithna.

38.Dahina Qadam Khada Rakhna

39.Aur Dahne Qadam Ki Ungliyon Ko Qible Ruqh Karna.

40.Awrat ku Dono Poun Dahne Janib Nikaal Kar Bayen Surain Per BAithna.

41.Dayan Hath Dahni Raan Per .

42.Aur Bayan Hath Bayen Raan Per Rakhna.

43.Aur Ungliyon Ko Apni Halat Per Chod Dena.

44.Kalma e Shahadat Per Kalme ki Ungli se Ishara Karna.

45.Qaida e Aakhir me Atahyat ke Baad Darood Shareef Aur Dua e Masurah Padhna.

Namaz

Namaaz Ke Wajibaat

11:42 pm

1.Takbeere Tehrima me Lafz Allahu Akbar Hona.
2.Alhamd Shareef Padhna.
3.Farz Ki 2 Pehli Rakaton me Aur Sunnat O Nafil aur Witr Ki Har Rakaat Me Alhamd Shareef Ke Sath Koi Surat Ya 3 Choti Aayaton Ku Milana.
4.Farz Namazon me 2 Pehli Rakaton me Qir’at Karna.
5.Alhamd Ka Surat Se Pehle Hona.
6.Har Rakat me Surat se pehle ek hi Baar Alhamd Padhna.
7.Alhamd Aur Surat ke Darmiyan Ameen aur BisMillah ke Siwa Kuch Aur na PAdhna.
8.Qir’at ke Baad Fouran Hi Ruku Karna.
9.Sajde me Dono Paoun Ki 3 3 Ungliyoun Ka pet Zameen Per Lagna,
10.Dono Sajdon ke Darmiyan Kisi Rukn Ka Fasil Na Hona.
11.Tadeel e Arkan yani Ruku o Sujood Aur Qouma jalsa Me Kam Se Kam ek baar SubhanAllah kehne ke Baraar teherna.
12.Jalsa Yani Dono Sajdon KE Darmiyaan Seedha Baithna.
13.Qouma yani Ruku Se seedha khada Ho Jana.
14.Qa’ida e ula Agar Che Nafil Namaaz Ho .
15.Farz Aur Witr Aur Mouakkida Sunnaton Ke Qa’ida e ula me Attahiyat se Ziyada kuch na Padhna.
16.Har Qa’ide me Pura Tashhud padhna.
17.Lafz Assalam Do baar kehna.
18.Witr me Due Qunoot Padhna.
19.Witr ME Qunoot ki Takbeer.
20.Eidain 6 Zahid Takbeeren.
21.Eidain me Dosri Rakat ke Ruku ki Takbeer
22.Aur Is takbeer ke liye Lafz Allahu Akbar hona.
23.Har Jehri Namaaz me Imam Ku Buland Awaaz Se Qira'at Karna.
24.Aur ghair Jehri Namaazon me Aahista Qira'at Karna.
25.Har Farz O Wajib ka iski Jagah Per Ada Hona.
26.Har Rakat me Ek hi Ruku Hona.
27.Aur Har Rakat Me 2 hi Sajda hona.
28.Dosri Rakat puri Hone Se Pehle Qa'ida na KArna.
29.Aur 4 Rakat Wali Namazon me tesri Rakat per Qaida na Karna.
30.Aayate Sajda PAdhi To Sajda e Tilawat Karna.
31.Sahu huwa To Sajda e Sahu Karna.
32.Do Farz Ya 2 Wajib, Ya Wajib o Farz Ke Darmiyaan 3 
Martaba SubhanAllah Kehne ke Barabar Waqfa na hona.
33.Imam Jab Qir'at Kare Buland Aawaaz Se ho Ya Aahista Is Waqt me Muqtadi Ka Chup Rehna.
34.Qir'at ke Siwa Muqtadi ku Imam Ki Pairwi Karna.

Namaz

Faraiz e Namaz

11:37 pm

Faraiz e Namaaz:

7 Cheezen Namaaz me Farz hain, Ke Agar Inme se Ek 1 Ko bhi Chod Diya to Namaaz hogi Hi Nahi.

1.Takbeer e Tehrima
2.Qiyaam
3.Qiraat
4.Ruku.
5.Sajda.
6. Qaidah-e-Aakhir
7.Koi Kaam KArke Maslan Salam Ya Kalam Karke Namaaz se Nikalna(Salam Pherna).

1.Takbeer e Tehrimah
 Takbeer e Tehrima ka ye Matlab hai ke Allahu Akbar keh Kar Namaaz Shuru Karna.Namaaz Me To Bahot Martaba Allahu Akbar Kaha Jata hai, Magar Shuru Namaaz Me Pehli Martaba jo Allahu Akbar Kehte Hian Iska Naam Takbire Tehrima Hai.Ye Farz Hai.Isku Agar Chod Diya To Namaaz hogi hi Nahi.

2. Qiyaam : 
Qiyaam Farz hone ka Matlab Ye hai Ke Khade Ho KAr Namaaz PAhna Zaruri hai.To Agar kisi MArd ya Awrat me Bagair Uzr ke Baith KAr Namaaz Padhi To Iski Namaaz Ada Nahi Huwi.Haan Nafil Namaaz Ku Bila Uzr Ke bhi Baith Kar Padhe To Ye Jaiz Hai.

3. Qira'at :
Qira'at Farz Hone KA Ye MAtlab Hai ke Farz Ke 2 Rakaton Me Aur Witr o Nawafil Aur Sunnaton Ki Har Har Rakat Me Qur'an Shareef Padhna Zaruri Hai.To Agar kisine In Rakaton me Qur'an Nahi Padha to Iski Namaaz Na Hogi.

4 Ruku : 
Ruku Ka Adna Darja ye Hai ke Itna Jhukna ke Hath Badhaye to Ghutne Tak Pahonch Jaye.Aur Pura Ruku ye Hai ke Itna Jhuke ke Peeth Seedhi Bichade. 
( Awarten Ruku Me Ziyada na jhuken balke Thoda Jhuken Yani Sirf Is Qadar ke Hath Ghutno Tak PAhonch Jaye.Isi Tarha Awraten Peeth Seedhi Na KAren, Aur Guthno Per Zoor Na Den Balke Mahaz Ghutno Per Hath Rakh den, Hathon ki Ungliyan Mili Huwi Rakhen.Aur Paon Kuch Jhuka Huwa Rakhen.Mardon Ki Tarha khoob Seedha Na Karen.)

5. Sajda :
Sajda Haqiqat Ye HAi Ke Matha Zameen Per Jama Ho aur Kam Se Kam Paon Ki Ek Ungli Ka Peth Zameen Se laga Ho.To Agar Kisine Is Tarha Sajda Kiya Ke Dono Paon Zameen Se Uthe Rahe Ya Sirf Ungli Ki Nook Zameen Se Lagi Rahi To Namaaz Na Hogi
(Durre Muqtar , Fatawa E Razviya, Bahare Shariat)
Ek Ungli Ke Pet Ka Sajde Me Zameen Se Lagna To Farz hai.Magar Dono Paon Ki 3 3 Ungliyoun Ka Pet Zameen Se Lagna Wajib Hai.Aur Dono Paon Ki Doson(10) Ungliyoun Ka Pet Sajde me Zameen Se Laga Hona Sunnat Hai.
( Awraton Ku Bikul Simat Kar Sajda Karna Chahiye.Yani Bazu Ko Karwaton se Mila Den, Aur Pet Ko Raan Se, Raan Ku Pindhliyoun se Aur Pindliyoun Ko Zameen Se Mila Den , Aur Qaide Me Attahiyat Padhte Waqt Awraten Bayen(left) Qadam Per Na Baithen.Balke Dono Poun Dahini(Right) Janib Nikalden.Aur Bayen Sureen Per Baithen.Mardon Ki TArha Na Baithen.)

6. Qaida e Aakhir :
Namaaz ki Rakaton Ku Puri Karlene ke Baad Puri Attahiyat Padhne ki Mighdaar Baithna Farz Hai.Aur Isi Ka Naam Qaida e Aakhira HAi.

7. Khurooj-e-Bisun'ihee (Salam Pehrna) : Qaida e Aakhira ke Baad Apne Qasad Wa Irada aur Kisi Amal se Namaaz Ku Khatam Kar dena khwah Salam Se Ho Ya Kisi Dosre Amal se Ye Bhi Namaaz Ke FAraiz me Se hai.Lekin Salam Ke Ilawa Agar Koi Dosra kaam KArke Namaaz Ku Khatam Kiya to Agar che Namaaz ka Farz To Ada Ho Gaya Lekin Is Namaaz Ku Dubara PAdhna Wajib Hai.

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...