Sone(Sleeping) Ke Aadab
12:45 pm
Mustahab Ye Hai Ke Ba-Wazu Soye Aur بِسْمِ اللهِ PAdh kar Kuch Deer Dahni KArwat Per
اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا
padh kar Dahne Hath Ko Ruksar Ke Neeche Rakh Kar Qiblah Rukh Soye Phir Uske Baad Bayen Karwat Per Soye.
Peet Ke Bal Na Lete Hadees Shareef Hai Ke Is Tarha Letne Ko AllahTa'ala Pasand Nahi Farmata.
Aur Paon Per Paon Rakh Kar Chit Letna Man'a Hai.Jab ke Tehband Pehne Huwe Ho.Kyunke Is Surat Me Satar Khul Jane Ka Andesha Hai.
Aysi Chat Per Sona Mana Hai Jis per Girne Se Koi Rok Na Ho.
Ladka Jab Das (10) Baras Ka Ho Jaye To Apni Maa Behan Waghaira Ke Sath Na Sulaya Jaye.Balke Itni Umr Ka Ladka Ladkon Aur MArdon Ke Sath Bhi Na Soye.
(Ibn e Maja Wa Tirmizi Waghaira)
Mas'ala: Din ke Ibtedayi Hisse Aur Maghrib Wa Isha Ke Darmiyaan Aur Asr Ke Baad Sona Makruh Hai.
(Aalamgeer Jild:5 Safa: 327, Bahar e Shari'at Jild:16 Safa:69)
Mas'ala: Uttar(North) Taraf Paon Phaila Kar Sona Bila Shuba Jaiz Hai. Usko Na Jaiz Samajhna Ghalti HAi.Haan Albatta Paschim(West) Ki Taraf Paon Karke Sona Yaqeenan Na-Jaiz Hai Ke Is Me Qible Ki Be-Adbi Hai.
(Bukhari O Muslim O Abu Dawood Waghaira)
Mas'ala: Raat Me Jab Kutton Ke Bhonkne Aur Gadhon Ke Bolne Ki Aawazen Suno To
أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ
Padho.
Mas'ala: Agar Raat Me Koi Daraona Khwaab Nazar Aaye To Bayen Taraf Teen Baar Thukna Chahiye Aur Teen Baar
أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ
Padh KAr Aur KArwat Badal KAr So Rehna Chahiye Aur Kisi Se Bhi Is Khwaab Ka Zikr Na KArna Chahiye.In sha Allah Ta'ala Us Khwaab Se Koi Nuksaan Nahi Pahonchega.
(Mishkaat Shareef Jild:2 Safa: 394)
Masla: Apni Taraf Se Jhuta Khwaab Gadh kar Logon Se Bayan KArna Haram Aur Bahot Bada Gunah Hai.
(Tirmizi Jild:2 Safa:52)
Mas'ala: Sone Se Pehle Bistar Ko jhad Lena Sunnat Hai.Jab So KAr Uthe To Ye Dua Padhe.
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Aur Bistar Se Uth Jaye.
(Aalamgeer)
0 comments