Libaas Ka Bayan
5:00 pmItna Libaas Pehenna Zarori He ke Jisse Satare Aurat Hojaye. Aurate Bahot Bareek Aur Itna Chust Libaas Hargiz Na Pehne Ke Jisse Badan Ke Aaza Zahir Hon. Ke Aurato Ko Aisa Kapda Pehenna Haram He.
Mard Bhi Pajama Aur Tehband Itne Bareek Aur Halke Kapde Ka Na Pehne Ke Jisse Badan Ki Rangat Jhalke Aur Satar Poshi Na Ho. Ke Mardo Ko Bhi Aisa Tehband Aur Pajama Pehenna Jaiz Nahi.
Mas'ala:.Mardo Ko Dhoti Nahi Pehenna Chahiye Ke Dhoti Pehenna Hindu'o Ka Libaas He Aur Isse Satar Poshi Bhi Nahi Hoti Ke Chalne Aue Othne Bethne Mai Aksar Raan Ka Pichla Hissa Khul Jata He. Isi Tarah Har Wo Libaas Jo Yahood-o-Nasara Ya Dusre Kuffaar Ka Quami Ya Mazhabi Libaas He Musalmano Ko Hargiz Nahi Pehenna Chahiye.
(Bahare Shari'at ,J-16,S-54)
Aur Aisa Tang Libaas Bhi Na-Jaiz He ke Jisse Ruku-o-Sujood Na Ho Sake.
Mas'ala: Mardo Ko Reshmi Libaas Pehenna Ya Ladko Ko Pehenna Haram He
Aur Aurato Ke Liye Jaiz He.
Lekin Agar Reshmi Kapde Ka Bana-Soot (Wo Tar Jinse Kapde Bunte He)
Ka Ho Aur Tana-Resham (Soot Ke Dhage Jo Kapda Bunne Mai Lambayi Ki Taraf Ho)
Ka Ho To Ye Kapda Pehenna Mardo Ke Liye Bhi Jaiz He.
(AalamGiri,-J-5 ,S-291)
Mas'ala: Aurat Ka Sara Badan Sar se Pair Tak Cchupaye Rakhne Ka Hukm He
Kisi Gair Mehram Ke Samne Badan Ka Koyi Hissa Kholna Jaiz Nahi.
(AalamGiri, J-5 ,S-288)
Mas'ala: Balig Aurat Ko Gair Mehram Ke Samne Chehra Kholna. Ya Sarke Kuch Hissa Se Dupatta Hata Dena Jaiz Nahi.
Isi Se Maloom Huwa Ke Baad Jaga
Nayi Dulhan Ki Muh Dikhayi Ka Jo Dastoor He
Ke Kumba Wale Aur RishteDaar Log Aaker Dulhan Ka Muh Dekhte Hai
Aur Kuch Raqam Muh Dikhayi Mai Dulhan Ko Dete Hai.
Gair Mehram Logo Ke Liye Ye Hargiz Jaiz Nahi.
Mas'ala: Mardo Ko Aurato Ka Libaas Pehenna Aur Aurato Ko Mardo Ka Libaas Pehenna Bhi Mana He.
(Abu-Dawood, J-2 ,S-212)
Mas'ala: Safed Kapde Behtar Hai Ke
Hadees Shareef Mai Iski Tareef Aayi He
Aur Siyah Rang Ke Kapde Bhi Behtar Hai.
Hadeeso Mai Aaya He Ke
RasoolAllah (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam)
Fateh Makka Ke Din Jab Fatihana Haisiyat Se Makka Mu'azzama Tashreef Laaye To
Sare Aqdas Per Kale Rang Ka AmamaTha. Kusum-o-Zaafaraan Mai Ranga Huwa Aur Surkh Rang Ka Kapda Aurato Ke Liye Jaiz
Aur Mardo Ke Liye Mana He.
(Rudul Mukhtar ,J-5 ,S-228)
Mas'ala: Ulma-o-Fuqaha Ko Aisa Libaas Pehenna Chahiye Ke Wo Pehchane Jaye Take Logo Ko Unse ILmi Faida Hasil Kerne Ka Muqa Mile Aur ILm ki Izzat-o-Waq'at Bhi Logo Ke Dilo Mai Paida Ho.
(Rudul Mukhtar-o- Bahare Shari'at ,J-16 ,S-52)
Mas'ala: Aurato Ko ChodiDaar Tang Pajama Nahi Pehenna Chahiye Ke Isse Unki Pandliyo Aur Rano Ki Banawat Aur Shakal Zahir Hoti He. Aurato Ke Liye Yahi Behtar He Ke Unke Pajame Garare Ya Dheele Dhale Aur Niche Hon Ke Qadam Chup Jaye. Unke Liye Jaha Tak Pao Ka Zyada Se Zyada Hissa Chup Jaye Ye Bahot Hi Accha He.
Mas'ala: Mardo Ka Pajama Ya Tehband Takhno Se Nicha Hona Sakht Mana He Aur Allah Ta'aala Ko Bahot Zyada Na-Pasand He.
Mas'ala: oon Aur Balo Ke Kapde Hazrat Ambiya Alehimussalam Ki Sunnat Hai Aur Bahot Se Auliya-E- Kamileen Aur Buzrugane Deen Ne Ne Apni Zindagi Bhar Un Kapdo Ko Pehna He.
Hadees Shareef Mai He Ke oon Ke Kapde Pehen Ker Apne Dilo Ko Munawwar Karo.
Ye Duniya Mai Zillat He Aur Aakhirat Mai Noor.
(AalamGiri ,J-5 ,S-293)
Mas'ala: Kapda Dahne Taraf Se Pehenna
Maslan___ Pehle Dahni Aasteen
Dahna Paincha Pehenna Ye Sunnat He.
Kapde Pehente Waqt Ye Dua Padhe :
Al-Hamdu LillaHil Lazi Kasaani Haaza Wa-Ra'za'Qanihi Min Gairi Hawlim Minni Wala Quwwa.
Libaas Utarte Waqt Ki Dua:
BisMillah
0 comments