HUR AUR EK HAZAR SAWAR
7:19 pm
To Nagahana Ye Nazar Aaya Ke Kufa Ka Ek Mash'Hoor Bahaddur Aur Jangajo Shehsawar Hur Bin Yazeed Riyahi Ek Hazar Sawaro Ke Lashkar Ke Sath Aap Ka Rasta Rook KAr Khada Huwa He. Hur Ne Hazrath Imam Ko Salam Kiya Aur Arz Kiya Ke Ae_FArzande Rasoolﷺ Mujhe Kufa Ke YAzeedi Governer Ubaidullah Bin Ziyaad Ne Aap Ki Giraftari Ke Liye Bheja He. Aur Sath Hi Sath Usne Ye Maa'Zirat Bhi Pesh Ki Ke Khuda Gawah He Ke Main Ba-Dile Nakhwasta Aaya Hon.Aur Mujhe Aap Ki Muqaddase Janab Main Baal Barabar Jurraat-O-Gustakhi Bhi Intahayi NAgawar He.Lekin Main Is Zalim Ke Hukm Se Majboor Aur Laachaar Hon. Hazrath Imam Ne Farmaya Ke Aye Hur Main Is Shaher Main Khud Ba-Khud Nahi Aaya Hon Balke Ahle Kufa Ne Mujhe 150 Khutoot Likh Kar Bulaya He.
Imam Ki Pukar Sunkar Ye Sab Be-Haya Aur Na-Bakar Sharam Se Gardane Jhukaye Khade Rahe Aur Kisine Koyi Jawab Nahi Diya. Iske Baad Hazrath Imam Ne Itmame Hujjat Ke Liye Ye Bhi Farmaya Ke Behre Haal Aye Kufiyo Agar Tum Log Apne Ahad Per Qayim Ho To Main Tumhare Shaher Main Qadam Rakkho Warna Main ISke Liye Bhi Tayyar Hon Ke Main Yahi Se Apne Watan Ko Wapas Chala Jao .
Abhi Hur Se Hazrath Imam Ki Guftago Jari Hi Thi Ke Ek Dam Nihayat Hi Tezi Ke Sath Ek Saandni Sawar Aaya Aur Ubaidulla Bin Ziyaad Ka Ye Khat Hur Ko Diya Ke Jis Maqam Per Tumhe Mera Ye Khat Mile Tum Hazrath Imam Ko Usi Maqam Per Roklo Na Unhe Kufa Shehar Main Dakhil Hone Do Na Watan Wapas Loutne Do.
Khat Padh Kar Hur Ne Arz Kiya Ke Aye Ibne RasoolAllahﷺ Dekh Lijiye Aap Ko Giraftaar Karne Ke Liye Ubaidullah Bin Ziyaad Ka Kis Qadar Israr He. Isliye Ab Msin Bilkul Hi Majboor-O-Laachaar Hon Ke Main Aap Ko Kisi Tarha Chod Nahi Sakta. Hur Ne Ye Kaha Lekin Shiddate Gham Se Uski Aankho Main Aansu Aagaye Aur Aaawaz Bhar Aane Lagi.
Isme Koyi Shuba Nahi He Ke Hur Ke Dil Me Ahle Bait Ki Be-Panah Azmat Thi. Chunancha, Wo Namazo Main Barabar Hazrath Imam Hi Ki Iqteda Karta Raha . Lekin, Wo Ibne Ziyaadd Bad-Nihaad Ke Zulm-O-Istibdaad Se Lachaar Aur Majboor Tha . Aur Isko Ye Bhi Dar Tha Ke Agar Baal Bara Bar Bhi Wo Hazrath Imam Ke Sath Koyi Ri'Aa’Yat Karta To Ek Hazar Lashkar Ki Moujoodgi Main Ye Raaz Poshida Nahi Reh Sakta Tha . Aur Agar Ibne Ziyaad Ko Pata Chal Jata To Wo Hur Aur Uske Pure Khaandaan Ke Tukde Tukde Kar Dalta..
Isi Khouf Se Hur Apni Baat Per Ada Raha. Yahan Tak Ke Jigar Goshaye Rasool Farzande Batool Ko Kufe Ki Rah Se Hatt Kar Karbala Ki Us Be Aab-O-Gaya Sarzameen Me Utarna Pada Jahan Sar Chupane Ko Darakht Ka Ek Patta Aur Pyas Bujhane Ko Pani Ka Ek Qatra Bhi Moujood Nahi Tha.
0 comments