Satr E Awrat

10:43 pm

Satr Kitna Farz Hai
Yani Namaazi Ke Liye Kam Se Kam Kitna Dhaka Rehna Zaruri Hai.

Mas’ala: Mard Ke Liye Naaf Ke Niche Se Le Kar Ghutno(N) Ke Niche Tak Awrat(Chpane Ki Cheez) Hai .
Yani Itne Badan Ka Chupana Farz Hai.
Naaf Ka Chupana Farz Nahi Lekin Ghutna Dhakna Farz Hai.

Mas’ala : Aazad Awraton Aur Khansa(Hijda,mukhnis) Mushkil Ke Liye Sara Badan Awrat Hai. Siwa E Muh Aur Hateliyoun Aur Paon Ke Talwon Ke.
Sar Ke Latakte Huwe Baal, Aur Gardan Aur Kalayiyan Bhi Awrat Hain. Inka Chupana Bhi Farz Hai.

Mas’ala : Agar Awrat Ne Itna Bareek Dupatta Jesse Baal Ki Siyahi Chamke Oodh Kar Namaaz Padhi to Namaaz Na Hogi.
(Qaroon e Shariat)

Mas’ala : Baandi Ke Liye Sara Pait Aur Peet Our Dono Pehlu Aur Naaf Se Ghutnon Tak Awrat Hai.
*Mas’ala* : Jin 'Aaza Ka Chupana Farz Hai, Inme Se Koi ‘azu Agar Couthayi Se Kam Khul Gaya to Namaaz Ho Jayegi. Aur Agar Couthayi ‘azu Khul Gaya Aur Fouran Chupaliya Jab Bhi Namaaz Ho Gayi , Aur Agar Ba-qadr Ek Rukn Yani 3 Martaba SubhanAllah Kehne Ke Bara Bar Khula Raha Ya Qasdan Khola Fouran Chupa Liya Namaaz Jati Rahi.
(Jannati Zewar)

Awrat Ke Aaza-e-Awrat Ka Shumaar:
Aazad Awraton Ke Liye Siwaye in Panch ‘azu Ke Jinka Bayan Piche Bayan Kiya Gaya Hai. Sara Badan Awrat Hai. Jisme in 30 Aaza Shamil Hain.
Inme Se Jis ‘azu Ki Chouthayi Khul Jaye Namaaz Ka Wahi Hukm Hai Jo Pichli Post Me Bayaan Huwa.

1. Sar Yani Mathe Ke Uper Se Gardan Ke Shuru Tak.
2. Baal Jo Latakte Ho.
3. 4. Dono Kaan.
5. Gardan
6, 7.Dono Shane(Kandhe) 
8,9. Dono Bazu Kohniyoun Samet
10, 11. Dono Kalayiyan Yani Kohni Ke Baad Se Gatton Ke Niche Tak
12. Sina Yani Gale Ke Jod Se Dono Pistan Ke Niche Tak.
13,14. Dono Hath Ki Peet.
15, 16. Dono Pistan(breast) 
17. Pait Yani Sine Ki Had Jo Uper Zikr Huwi. Is Had Se Le Kar Naaf Ke Nichle Kinare Tak Yani Naaf Ka Bhi Pait Me Shumaar Hai.
18. Peet Yani Piche Ki Janib Sine Ke Muqabil Se Kamar Tak.
19. Dono Shanon Ke Beech Me Jo Jagah Hai Baghal Ke Niche Sine Ki Nichli Had Tak.
20, 21. Dono Surain
22. Furj(Vagina) 
23. Dubur(Peet, Kisi Cheez Ka Pichla Hissa
24, 25. Dono Ranen Yani Har Raan Chadde Se Ghutne Tak . Yani Ghutno Samet Ek ‘azu Hai. Ghutna Ek ‘azu Nahi.
26. Naaf Ke Niche Pedu Aur Usse Mili Jo Jagah Hai Aur Inke Muqabil Peet Ki Taraf Sab Mil Kar Ek Awrat Hai.
27, 28. Dono Pindhliyan Tukhnon Samet.
29,30. Dono Talwe.

Baaz Ulma Ne Haath Ki Peet Aur Talwon Ko Awrat Me Dakhil Nahi Kiya.

Mas’ala: Awrat Ka Chehra Agar Che Awrat Nahi Lekin Gair Mahram Ke Samne Muh Kholna Mana Hai .. Yunhi Gair Mahram Ku Iska Dekhna Jaiz Nahi.

Mas’ala: Agar Kisi Mard Ke Pass Satr Ke Liye Jaiz Kapda Nahi Aur Reshmi Hai to Farz Hai Ke Isse Satr Kare , Aur Isi Me Namaaz Padhe Albatta Aur Kapde Hote Huwe Mard Ku Reshmi Kapda Pehanna Haram Hai. Aur Reshmi Kapde Me Namaaz Makru E Tehrimi Hoti Hai.

Mas’ala: Agar Nange Shakhs Ku Chatayi Ya Bichona Mil Jaye to Isi Se Satr Kare. Nanga Na Padhe .. Yunhi Agar Ghaas Ya Patton Se Satr Kar Sakta Hai to Yahi Kare.
(Aalamgiri)

Mas’ala: Kisi Ke Pass Bilkul Kapda Na Ho to Baith Kar Namaaz Padhe Aur Ruku O Sajda Ishare Se Kare Chahe Din Ho Ya Raat, Ghar Me Ho Ya Maidaan Me.
(Hidaya , Durr Al Mukhtaar Ya Rad Ul Muhtaar)

Mas’ala: Agar Dosre Ke Pass Kapda Hai Aur Ghalib Gumaan Hai Ke Mangne Se De Dega to Mangna Wajib Hai.
(Rad Ul Muhtaar)

Mas’ala: Agar Na-paak Kapde Ke Siwa Koi Aur Kapda Nahi Aur Paak Karne Ki Koi Surat Bhi Nahi to Na-paak Hi Kapde Se Satr Kare. Aur Nanga Na Padhe.
(Hidaya)

Mas’ala: Agar Pure Satr Ke Liye Kapda Nahi Aur Itna Hai Ke Baaz ‘aza Ka Satr Ho Jayega to Isse Wajib Hai Aur Is Kapde Se Awrat E Ghaliza Yani Aage Piche Chupaye , Aur Itna Ho Ke Ek Hi Chupa Sakta Hai to Ek Hi Ko Chupaye.

Mas’ala: Agar Khade Ho Kar Namaaz Padhne Se Couthayi Satr Khulta Hai to Baitn Kar Padhe.
(Dur E Mukhtar Rad Al Muhtaar)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...