Faraiz e Namaz

11:37 pm

Faraiz e Namaaz:

7 Cheezen Namaaz me Farz hain, Ke Agar Inme se Ek 1 Ko bhi Chod Diya to Namaaz hogi Hi Nahi.

1.Takbeer e Tehrima
2.Qiyaam
3.Qiraat
4.Ruku.
5.Sajda.
6. Qaidah-e-Aakhir
7.Koi Kaam KArke Maslan Salam Ya Kalam Karke Namaaz se Nikalna(Salam Pherna).

1.Takbeer e Tehrimah
 Takbeer e Tehrima ka ye Matlab hai ke Allahu Akbar keh Kar Namaaz Shuru Karna.Namaaz Me To Bahot Martaba Allahu Akbar Kaha Jata hai, Magar Shuru Namaaz Me Pehli Martaba jo Allahu Akbar Kehte Hian Iska Naam Takbire Tehrima Hai.Ye Farz Hai.Isku Agar Chod Diya To Namaaz hogi hi Nahi.

2. Qiyaam : 
Qiyaam Farz hone ka Matlab Ye hai Ke Khade Ho KAr Namaaz PAhna Zaruri hai.To Agar kisi MArd ya Awrat me Bagair Uzr ke Baith KAr Namaaz Padhi To Iski Namaaz Ada Nahi Huwi.Haan Nafil Namaaz Ku Bila Uzr Ke bhi Baith Kar Padhe To Ye Jaiz Hai.

3. Qira'at :
Qira'at Farz Hone KA Ye MAtlab Hai ke Farz Ke 2 Rakaton Me Aur Witr o Nawafil Aur Sunnaton Ki Har Har Rakat Me Qur'an Shareef Padhna Zaruri Hai.To Agar kisine In Rakaton me Qur'an Nahi Padha to Iski Namaaz Na Hogi.

4 Ruku : 
Ruku Ka Adna Darja ye Hai ke Itna Jhukna ke Hath Badhaye to Ghutne Tak Pahonch Jaye.Aur Pura Ruku ye Hai ke Itna Jhuke ke Peeth Seedhi Bichade. 
( Awarten Ruku Me Ziyada na jhuken balke Thoda Jhuken Yani Sirf Is Qadar ke Hath Ghutno Tak PAhonch Jaye.Isi Tarha Awraten Peeth Seedhi Na KAren, Aur Guthno Per Zoor Na Den Balke Mahaz Ghutno Per Hath Rakh den, Hathon ki Ungliyan Mili Huwi Rakhen.Aur Paon Kuch Jhuka Huwa Rakhen.Mardon Ki Tarha khoob Seedha Na Karen.)

5. Sajda :
Sajda Haqiqat Ye HAi Ke Matha Zameen Per Jama Ho aur Kam Se Kam Paon Ki Ek Ungli Ka Peth Zameen Se laga Ho.To Agar Kisine Is Tarha Sajda Kiya Ke Dono Paon Zameen Se Uthe Rahe Ya Sirf Ungli Ki Nook Zameen Se Lagi Rahi To Namaaz Na Hogi
(Durre Muqtar , Fatawa E Razviya, Bahare Shariat)
Ek Ungli Ke Pet Ka Sajde Me Zameen Se Lagna To Farz hai.Magar Dono Paon Ki 3 3 Ungliyoun Ka Pet Zameen Se Lagna Wajib Hai.Aur Dono Paon Ki Doson(10) Ungliyoun Ka Pet Sajde me Zameen Se Laga Hona Sunnat Hai.
( Awraton Ku Bikul Simat Kar Sajda Karna Chahiye.Yani Bazu Ko Karwaton se Mila Den, Aur Pet Ko Raan Se, Raan Ku Pindhliyoun se Aur Pindliyoun Ko Zameen Se Mila Den , Aur Qaide Me Attahiyat Padhte Waqt Awraten Bayen(left) Qadam Per Na Baithen.Balke Dono Poun Dahini(Right) Janib Nikalden.Aur Bayen Sureen Per Baithen.Mardon Ki TArha Na Baithen.)

6. Qaida e Aakhir :
Namaaz ki Rakaton Ku Puri Karlene ke Baad Puri Attahiyat Padhne ki Mighdaar Baithna Farz Hai.Aur Isi Ka Naam Qaida e Aakhira HAi.

7. Khurooj-e-Bisun'ihee (Salam Pehrna) : Qaida e Aakhira ke Baad Apne Qasad Wa Irada aur Kisi Amal se Namaaz Ku Khatam Kar dena khwah Salam Se Ho Ya Kisi Dosre Amal se Ye Bhi Namaaz Ke FAraiz me Se hai.Lekin Salam Ke Ilawa Agar Koi Dosra kaam KArke Namaaz Ku Khatam Kiya to Agar che Namaaz ka Farz To Ada Ho Gaya Lekin Is Namaaz Ku Dubara PAdhna Wajib Hai.

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...