HAZRAT ALI AKBAR RadiyAllahu Ta'Aala Anhu.
4:09 pm
Ab Imam Ke Samne Aap Ke Noore Nazar Hazrath Ali Akbar Hazir Hain. Aur Maidane Jang Ki Ijazat Talab Kar Rahe Hain.
Ajeeb Waqt Hai Ke Chahita Beta Shafiqe Baap Se Sar Katane Ki Ijazat Talab Kar Raha Hai..
•● Agar Tu Sahebe Aulaad Hoga
Tujhe Aulad Ka Gham Yaad Hoga ●•
Dar Haqiqat Hazrath Imam Ke Liye Bade Imtehan Ka Waqt Tha. 18 Baras Ka Jawan Beta Budhape Ka Sahara Peeri Ka Aasa. Ijazat De To Kis Qalb-O- Jigar Se ????
Aur Nahi Ijazat Dete To Gulshane Risalat Ka Gul Shaadaab Rang -O- Gham Se Kamlaya Jata Hai. Kyunke Is Aarzu Mand Shaha'Dat Ko Shouqe Jihaad Me Is Qadar Warafta Bana Diya Tha. Ke Agar Hazrath Imam Inko Maidane Jang Me Jane Se Rok Dete To Sadmaat Se Inke Sine Me Shishaye Dil Paash Paash Hojata. Chaar -O- Naachaar Hazrath Imam Ku Ijazat Deni Hi Padhi...
Hazrath Ali Akbar Ka Laqab "Shabi-E- Payamber" Hai. Yani Inki Shakal -O- Surat Chehre Ka Naqsha Hubahu Jamale Mustafa (ﷺ) Ka Aaina Tha. Hazraat Sahaba -E- Keraam (RadiyAllahu Ta'Aala Anhum) Ko Jab Deedare Muhammadi Ka Shouq Be-Taab Karta Tha To Door Door Se Safar Karke Madine Munawwara Aate The. Aur Ali Akbar Ke Chehre Anwar Ka Jamal Dekhkar Inke Dilo Ko Tasalli Hasil Ho Jati Thi...
Ye Noor Ka Paikar Aur Tanveere Mustafa Ka Mar'Qa Jiske Jamale Surat Per Hazaro Ronayiya Tasadduq Aur Jis Ke Qadmo Per Noujawani Ki Lakho Baharen Qurbaan Ho Rahi The. Jis Waqt Maidane Jang Ka Irada Karke Rawana Hone Lage To Hazrath Imam Kheema Ke Andaar Tashreef Le Gaye. Aur Tabarrukaat Ka Sandooq Khool Kar Behtareen Tabarrukaat Jo Mahfooz The Nikal Kar Laaye.
Aur Uruse Shaha'Dat Ki Goad Me Qiyamat Tak Sone Wale Dulha Ko In Muqaddas Tabarrukaat Se Aarasta Farma Diya Aur Apne Shahzada Ali Akbar Ko Is Shaan Se Maidan Me Bheja Ke..
●• Quba -E- Rahmate Aalam Pehnayi Jisme Athar Per
Shahe Khaibar Ke Patke Se Kamar Baandhi Gayi Kas Kar •●
●• Sare Anwar Pe Rakha Khud, Apni Zarrah Pehnayi
Badhayi Joshane -O- Chaar Aaina Se Shaane Ronayi •●
●• Saja -E- Dast -O- Bazu -O- Neza -O- Shamsheer -O- Khanjar Se
Dua Mangi Utha Kar Daste Rahmat Rabbe Akbar Se •●
●• Ilahi Ye Mera LaKhte Jigar Hai Raahate Jaa(N) Hai
Ye Teri Rah Me 100 Jaa(N) Se Ab Hone Ko Qurbaan Hai •●
●• Khudawande Jaha(N) !!! Maqbool Farma Meri Qurbani
Ata Kar Sabr Isko Jab Ho Isper Teer Baaraani •●
●• Duaa'E De Kaha Noore Nazar !! Jao Khuda Hafiz
Rahe Haq Me Adu Se Jang Farma'O !! Khuda Hafiz •●
Gharz Muqaddas Baap Ki Pyari Pyari Duaa'O Se Daman Bhar Kar Ye Asadullahi Sher Maidan Me Aaya. Aur Zulfiqare Haidari Chamka Ker Mujahidana Lahje Me Rijz Ka Ye Sher Padha...
●• Ana Aliyubni Husainubni Ali
Nahnu Ahlal Baiti Aula Bin'Nabi •●
Yani Giroh Ashqiya !! Tum Muje Jaan Lo Aur Pehchan Lo Ke Mera Naam Ali Akbar Hai. Aur Me Imam Hussain Ka Beta Hon..Aur Imam Hussain Faatihe Khibar Ali Haidar Ke Noore Nazar Hain.. Aur Yaad RakhLo Ke Ham "Ahle-Bait" Hain.
Aur Sunlo Ke Is Aasman Ke Neeche Khuda Is Zameen Ke Uper Khuda Ke Nabi Ka Ham Se Zyada Qaribi Rishtedaar Koyi Nahi Hai.
Shahzade Ne Jis Waqt Ye Rijz Padhi ...To App Ki Mujahidana Haibat Se Registane Karbala Ka Zarra Zarra Kaanp Utha. Aur Kore Batin Yazeediyo Ko Jab Shabihe Payember Ali Akbar Ke Chehre Anwar Per Jamale Mustafa Ki Tajalliya Nazar Padhe To Wo Mehwe Hairat Ban Kar Ibne Sa'Ad Se Puchne Lage. Ke Ye Koun Sawar Aagaya???Ke Jiske Husn -O- Jamal Ki Tajalliya Nigaho Ko Khira Kar Rahi Hain.
Ibne Sa'Ad Ne Kaha Ke Ye Imam Husain Ke Farzand Hain. Jo Jamale Surat Me Ham Shakle Mustafa. Aur Jamale Seerat Warise Ali Murtada Hain..
Ye Sun Kar Yazeedi Fouj Me Ek Sannata Cha Gaya. Aur Unke Zameer Ki Aawaz Ne Unhi Jinjhoda Ke .
Allahu Akbar !! Tanweere Mustafa Ki Noorani Tasweer Per Koun Talwar Uthane Ki Jurrat Kar Sakta Hai?? Lekin Yazeed Paleed Ke In'Aam -O- Ikraam Ki Tama Ka Bhoot Unke Saronm Per Sawar Tha Aur Duniya Ki Hirs Ne Inhi Is Qadar Andha Bana Diya Tha Ke Wo Ahle-Bait Ki Qadar -O- Manzilat Aur Apne Kartoot Ki Shaamat -O- Nuhusat Ko Jante Huwe Bhi Apni Shaqawat Se Baaz Nahi Aaye..
Aur Aale-Rasool Ke Khoon -E- Naahaq Ka Na Mitne Wala Dhabba Apni Peshaniyo Per Laga Kar Dono Jahaa(N) Ki Rusiyahi Me Giraftar Aur Qahre Qahhar -O- Ghazbe Jabbar Ke Sazawar Bane!!!
Bahre Kaif Ali Akbar Ne Aada Ki Safo Ki Samne Khade Ho Kar Ek Nara Mara Aur Farmaya Ke Aye Sitamgaro !!! Agar Tumhe Aale Rassol Ke Khoon Ki Pyaas Hai To Tumme Jo Sabse Zyada Bahaddur Ho , Usko Maidan Me Bhejo , Aur Tum Ko Zoore Baazu -E- Haidar Dekhna Hoto. Mere Samne Aao...... Shahzade Aali Waqar Ki Mujahidana Lalkar Sun Kar Lashkare Ashrar Saham Gaya. Aur Kisi Me Bhi Ye Himmat -O- Jurraat Nahi Huwi Ke Zulfiqare Haidari Ka Saamna Karta Jab Baar Baar Ki Lalkar Ke Bawajood Koyi Khoonkhwar Aage Nahi Bada. To Aapne Fouran Hi Ghoda Khuda Kar Dushmno Ki Safon Per Hamla Kar Diya.. Aur Jis Taraf Rukh Kiya Sitamgaro Ka Aahini Lashkar Kaayi Ki Tarha PPhatta Chala Gaya. Ek Ek Waar Me Kayi Kayi Dev-Paikar Khoon Khwaro Ko Khere Aur Kakdi Ki Tarha Kaat Kar Dal Diya. Kabhi Lashkar Ke Maimana Per Qahre ELaahi Ki Bijli Girayi To Khouf -O- Hiraas Se Dila'Waro Ka Lashkar Zer -O- Zabar Ho Gaya.
Aur Kabhi Palat Kar Fouj Ke Muyassarsa Per Uqaab Ki Tarha Jhapte To Bahaduro Ki Safo Ko Darham Barham Kar Dala. Aur Kabhi Qalbe Lashkar Me Ghota Laga Kar Neza Ki Zarb Aur Talwar Ki Maar Ka Johar Dikhaya To Gardan Kasho Ke Sar_Mosame Khiza(N) Ke Patto Ki Tarha Jhad Kar Girne Lage.
Ek Shor Barpa Ho Gaya... Aur Bade Bade Sorma'O Ke Ausaan Khata Aur Bade Bade Jang'Jo Bahaduro Ki Himmate Shikista Aur Housle Past Ho Gaye. Shere-Haq Ka Hamla Na Tha. Balke Qahre ELahi Ka Ek Azaabe Azeem Tha. Jo Unke Saro Per Barqe Khaa'Tif Ban Kar Musallat Ho Gaya Tha. Har Taraf Kushto Ke Pushte Laga Diye. Aur Karbala Ki Zameen Ko Zalimo Ke Khoon Se Rangeen Bana Dala.
Lekin Teez Dhup Tapta Huwa Registaan Jhulsa Dene Wali Garam Garam Lu Ke Thapede Me Doud Dhoop Aur Hamlo Ki Shiddat Ne Is Mujahide Jaa(N)_Baaz Ko Pyaas Se Beqarar Kar Diya. Chunancha Aap Palat Kar Hazrath Imam Ki Khidmat Me Aaye. Aur Meharbaan Baap Ko Apni Khushkh Zuban Dikhakar Arz Kiya Ke
Abba Jaan Pyaas Ka Ghalba Hai Magar Yahan Paani Kaha Tha?? Jo Is Tishnaye Shaha'Dat Ko Sairab Kiya Jata...
Shafeeq Baap Ne Apni Angushtari Inaayat Farmayi Aur Kaha Ke Beta !! Isko Muh Me Rakh Lo. Muqaddas Baap Ki Mushaffiqana Tasalli Se Kuch Taskeen Huwi To Phir Razmgah Ka Rukh Kiya. Aur Farmaya Ke Aye Giroh Ashrar !! Jis Ke Sar Per Mout Sawar Ho Wo Mere Samne Aaye Aur Zulfiqar Ka Maza Chakle. Aapne Kayi Baar Lalkar Kar Mubariz Talab Farmaya. Magar Kisi Bahaddur Ka Qadam Aage Nahi Bada. Aur Aisa Maloom Hota Tha Ke Bhooke Sher Ke Samne Bakriyon Ka Ek Galla Hai Jo Jaan Ke Khouf Se Dam Ba Khud Aur Larza Barandam Hai.
Ye Manzar Dekh Kar Ibne Sa'Ad Ne Tariq Pehalwan Se Kaha. Aye Tariq !! Bade Sharam Ki Baat Hai Ke Ek Akela Hashmi Noujawaan Maidan Me Tum Hazaro Ko Lalkar Raha Hai.. Magar Tumme Koyi Bhi Aisa Ghairatmand Nahi Hai. Jo Iska Muqabla Kare... Aye Tariq !! Agar Tu Aage Badh Kar Is Noujawan Ka Sar Katle To Me Wada Karta Hon Ke Tujhe Abdullah Bin Ziyaad Se Mosal Ki Governari Ka Parwana Dila Dunga.. Duniya Ka Kutta Tariq Governari Ke Lalach Me Farzande Rasool Ka Khoon Bahane Ke Liye Doudh Pada.. Aur Neza Taan Kar Hazrath Ali Akbar Per Qatilana Hamla Kar Diya.. Magar Asadullahi Shuja'At Ke Waris Ne Kamale Hunar Mandi Se Dushman Ke Waar Ko Rad Kar Diya.. Aur Khud Aage Badh Kar Tariq Ke Sine Me Aisa Neza Mara Ke Uski Peet Se Paar Hogaya. Aur Ladh-Khada Kar Ghode Se Gira.. Aur Girte Hi Margaya..
Aur Shahzade Ne Apne Ghode Ki Tap Se Iski Lash Ko Rond Kar Uski HaddiyoKo Bhi Chakna Choor Kar Diya. Tariq Ke Bete Umru Bin Tariq Ne Apne Baap Ko Is Zillat Ke Sath Qatal Hote Dekha To Isper Khoon Sawar Ho Goya. Aur Wo Gusse Me Aag Bagola Ho Kar Jhillaya Huwa Aage Badha. Aur Majnuno Ki Tarha Hazrath Ali Akbar Per Hamla Karne Laga. Magar Aapne Ek Hi Neza Ki Maar Se Usko Bhi Iske Baap Ke Pass Pahoncha Diya.. Tariq Ka Dosra Beta Talha Bin Tariq Baap Aur Bhai Ke Inteqam Lene Ke Liye Shola Jawala Ki Tarha Uchalta Kudta Talwar Lekar Ghode Per Sawar Huwa Aur Hazrath Ali Akbar Per Chadh Daudha Magar Aapne Uska Patka Pakadh Kar Aisa Jhatka Diya Ke Ghode Se Girne Laga. Phir Aapne Usko Is Zoor Se Zameen Per Patka Ke Iska Dam Nikal Gaya. Aur Hazrath Ali Akbar Ki Haibate Haidari Se Yazeedi Lashkar Me Zalzala Aagaya.. Ibne Sa'Ad Ne Gusse Me Aakar Misra Bin Ghalib Ko Hamla Ka Hukm De Diya. Chunancha Wo Nihayat Hi Mutakabbirana Andaz Me Neza Hilata Huwa Aap Ki Taraf Badha Aur Jaise Hi Usne Neza Tana Aapne Neza Per Aisi Talwar Mari Ke Uska Neza Qalam Hogaya. Aur Phir Iske Sar Per Talwar Ka Aylisa War Kiya Ke Uska Sar Do Tukde Ho Kar Zameen Per Gir Padha. Ibne Sa'Ad Ne Jab Ye Dekha Ke Ab Kisi Bahaddur Me Is Shere Haq Ke Muqabla Ki Taab -O- Himmat Nahi Hai To Usne Ek Bahaddur Pahelwan Ko Hukm Diya Ke Wo Ek Hazar Sawaro Ko Sath Le Kar Pehle Inka Muhasira Kare..
Phir Door Se Teero Ki Barish Ki Jaye . Aur Jab Ye Shere Khuda Ka Sher Zakhmi Ho Kar Muzmahal Ho Jaye To Isko Nezo Se Ched Kar Talwar Se Qatal Kar Diya Jaye.
Chunancha Sitamshu'Aron Ne Yek'Baargi Charo Taraf Se Ghera'Dal Kar Teero Ki Barish Shuru Kar Di. Yahan Tak Ke Zakhmo Se Chakna Choor Ho Kar Chamane Fatimah Ka Ghuncha-E- Hussain Apne Khoon Me Naha Kar Rangeen Ho Gaya..
Aur Ibne Numair Ne Aap Ke Sina-E- Anwar Per Aisa Neza Mara Ke Aap Ghode Ki Zain Se Zameen Per Tashreef Laye..
Aur Shafeeq Baap Ko Pukara Ke Abba Jaan !! Apne Noore Nazar Ko Sambhaliye Shahzade Ki Pukar Per Hazrath Imam Be-Taabaana Ghoda Doudha Kar Maidan Me Pahonche Aur Aap Ko Utha Kar Kheema Me Laye.. Aur Shabiya Payambar Ke Cehre Anwar Se Khoon Aalood Ghubar Apne Damane Athar Se Saaf Karne Lage. Itne Me Ali Akbar Ne Aankhe Khol Di Aur Aakhri Baar Hazrath Imam Ka Deedar Karke Hamesha Ke Liye Aankhen Band Kar Liye. Aur Bihishte Bareen Ko Rawana Ho Gaye..
♢♢ إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ ♢♢
Hazrath Imam Ne Ba-Didaye Tar Lakhte Jigar Ki Lash Ko Farshe Zameen Per Lita Kar Zabane Haal Se Ye Farmaya...
•● Jab Khak Per Lita Chuke Lashe Pisar Imam
Taa'Der Roye Phir Ye Zameen Se Kya Kalam ●•
•● Me Ibne Bu-Turaab Hon Mazloom -O- Tishna Kaam
Aur Hai Ye Mera Lakhte Jigar Badre Lalafaam ●•
•● EezaNa Dijiyo Ke Mera Gule Zaar Hai
Barchi Ke Phal Se Iska Kaleja Figaar Hai ●•
•● Hasrat Zadah Jahan Se Utha Hai Ye Mah-Jabeen
Sun Sun Ke Iska Waqi'A Royege Momineen ●•
•● Tagho Se Paash Paash Hai Sab Jism Nazneen
Rakh Isko Ahtiyaat Se Daman Me Ae Zameen ●•
•● 18 Saal Ki Hai Ye Doulat Husain Ki
Ab Hai Tere Supurd Amanat Husain Ki ●•
0 comments