The Battle of BADR

7:34 am

*بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
Kaafiro ke khilaf Musalmano ki sab se pehli jang. Taarikh : 17 Ramazaan 2 Hijri (13 March 624 A.D.). Maqam : Madina Shareef se 130 km (80 miles) door Badr ka maidaan. Ta’adaad : Musalman 313, Kaafiro ka lashkar 1000.
Natija : Musalmano ki fateh.14 Musalman Shaheed Hue. Abu Jahl, Umayyah Bin Khalaf Aur Walid Ibn Mugheera Samet 70 Kaafir Qalt Hue Aur 70 Qaid Kiye Gaye.
Martaba : Jange Badr Me Saamil Hone Wale Ashaba Ka Martaba Ashra E Mubashara Ke Baad Sab Se Afzal Hai.2 Hijri (624 A.D.) Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Baargah Me Hazrate Jibreil Alaihis Salaam Ne Khabar Di Ki ‘Abu Sufyan Ki Sardari Me 30-40 Logo Ka Kaafila Shaam Se Makka Ja Raha Hai. ALLAH Ke Hukm Se Aap Un Par Hamla Karo.’

Badr Madina-E-Munawwara Se Takreeban 80 Meel Ke Fasile Par Ek Gaaon Ka Naam Hai Jahan Zamana-E-Jahilliyat Me Salana Mela Lagta Tha Yahan Ek Kuwaan Bhi Tha Jiske Malik Ka Naam Badr Tha Usi Ke Naam Par Is Jagah Ka Naam Badr Rakh Diya Gaya .
Allah Ta’ala Ne Jung-E-Badr Ke Din Ka Naam Youmul Furqan Rakha Quran Ki Surah Anfaal Me Tafseel Ke Saath Aur Doosri Suraton Me Ijmalan Baar Baar Is Ma'rike Ka Zikr Farmaya Aur Is Jung Me Musalmano Ki Fatah Mubeen Ke Baare Me Ehsaan Jatate Hue Khudawande Aalam Ne Quran-E-Majeed Me Irshad Farmaya
Tarjuma-E-Kanzul Imaan :Aur Yakeenan Khudawande Ta’ala Ne Tum Logon Ki Madad Farmayi Badr Me Jab Ki Tum Log Kamzor Aur Be-Saro-Saman The Toh Tum Log Allah Se Darte Raho Taaki Tum Log Shukr Guzar Ho Jaao !
Refe:( Al Qur’an: Surah Al Imran: Ayat: 123)
Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne 313 Ashaba Ka Lashkar Tayyar Kiya Jin Me Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Hazrat Umar Farooq, Hazrat Ali, Hazrat Ameer Hamza, Hazrat Mus’Ab Ibn Umair, Hazrat Zubair Bin Awwam, Hazrat Ammar Ibn Yasir, Hazrat Abu Zarr Ghifari, Hazrat Ubayy Ibn Ka’Ab, Hazrat Abdullah Ibn Mas’Ood Aur Hazrat Bilal Ibn Rabah Al-Habashi RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Saamil The.Hazrat Usmaan Ghani RadiAllahu Ta’Ala Anhu Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Hukm Se Apni Beemar Biwi Ruqayyah Bint RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Khidmat Ke Liye Madina Me Rooke. Is Liye Saamil Na Ho Sake.Hazrat Salman Faarsi Bhi Gulam Hone Ki Wajah Se Saamil Nahi Ho Sake
Ye Khabar Kisi Tarah Makka Ke Kaafiro Ko Mil Gai Aur Abu Jahl Qurish Ke Kaafiro Ka Bada Lashkar Saath Lekar Makka Se Nikla Jis Me Umayyah Ibn Khalaf, Utba Ibn Rabi’Ah, Shaiba Ibn Rabi’Ah, Walid Ibn Utba, Walid Ibn Mugheera Aur Hind Al-Hunnud Saamil The.Hazrate Jibreil Alaihis Salaam Ne Phir Se Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Baargah Me Haazir Hokar Khushkhabari Sunai ‘ALLAH Ta’Ala Aap Ki Madad Farmaega Aur Aap Ko Is Jang Me Fateh Haasil Hogi.’
17 Ramazaan Ko Badr Ke Maidan Me Jab Dono Lashkar Ka Saamna Hua To Kaafiro Ki Taraf Se Shaiba, Utba Aur Walid Ibn Mugheera Ko Bheja Gaya.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Abdullah Ibn Rawah, Awf Ibn Haaris Aur Mas’Ood Bin Haaris Ko Muqabale Me Bheja.
Kaafiro Ne Kaha ‘Aye Mohammad, Hamare Muqabale Me Hamare Hamsar Ko Bhejo.’
Phir Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Hazrate Ameer Hamza, Hazrate Ali Ibn Abi Taalib Aur Ubaida Ibne Haaris RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Ko Muqable Ke Liye Bheja.
Hazrate Hamza Ne Shaiba Ko Qatl Kiya Aur Hazrate Ubaida Ke Buri Tarah Jakhmi Hone Ke Baad Utba Ko Bhi Qatl Kiya Aur Hazarte Ali Ne Walid Ibn Mugheera Ko Qatl Kar Diya.Phir Jab Jang Shuru Hui To Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Teerandajo Ko Aage Rehkar Muqabala Kiya. Is Se Bahut Saare Kaafir Halaaq Ho Gaye.
Jang Me Abu Jahl Ko Abdullah Ibn Mas’Ood RadiAllahu Ta’Ala Anhu Ne Aur Umayyah Bin Khalaf Ko Hazrate Bilal Al-Habashi Ne Qatl Kiya.Is Tarah Jang Me 70 Kaafir Qalt Hue Aur 70 Qaid Kiye Gaye Aur Baaqi Apni Jaan Bachakar Bhag Gaye.
14 Musalman Shaheed Hue Aur Musalmano Ko Fateh Haasil Hui.

We should remind ourselves that Asma' Ahl Badr (the names of the Muslim warriors of the Battle of Badr) are Jalali (Majestic). They need the Jamal (Beauty) of Salawat (Invocation of Blessings) to cool them.
So before we recite these, and after completing the recitation, it is recommended to recite Durood Shareef 100 times. Or instead, we can recite Qasidah al-Burda.... May Allah bless us with the faiz of Ashaab e Badr... Aameen

Shohada E Badr :
(1) Umair Bin Abi Waqqas Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(2) Safwan Bin Wahb Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(3) Zush-Shimaalain Ibn Abdi Amr Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(4) Mihja Bin Saalih Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(5) Aaqil Bin Al-Bukair Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(6) Ubaida Bin Al-Haris Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(7) Sa’Aad Bin Khaisama Al-Awsi RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(8) Mubashshir Bin Abdul Munzir Al-Awsi RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(9) Harisa Bin Suraaqa Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu (10) Raafi' Bin Al-Mu’Alla Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(11) Umair Bin Al-Humam Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(12) Yazeed Bin Al-Haris Bin Fus-Hum Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(13) Muaawwiz Bin Al-Haris Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(14) Awf Bin Al-Harith Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu.


Jaa'n Nisaaraane BADR-O-UHUD Par Durood...
Haq Guzaarane BAI'AT Pe Lakho'n Salaam!!!
Ashaba RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Ne ALLAH Ta’Ala Ki Raza Ke Liye Ishqe Rasool Ke Saath Islaam Ki Hifazat Ke Liye Apne Jaano Maal Ki Qurbani Di Hai.
Is Ka Natija Hai Ke ALLAH Ke Karam Se Aaj Musalmano Ko Islaam Ki Hifazat Ke Liye Jang Ke Maidan Me Jaakar Apni Jaan Ki Qurbani Nahi Deni Padti.
Magar Hame Chahiye Asl Jihad Jaari Rakhen Ya’Ni Apne Nafs Ka Muqabala Karke Khwahishat Par Qaboo Rakhen Aur Gunaho Se Bachne Ki Aur Nek Amal Karne Ki Koshish Karen Aur Sahi Ilme Deen Sikhen Aur Us Par Khud Bhi Amal Karen Aur Dusro Ko Bhi Sikhayen.Aur Koi Bhi Aisa Amal Na Karen Jiski Wajah Se Kisi Ko Ye Kehna Ka Mauqa Mile Ki Musalman Sahi Amal Nahi Karte.ALLAH Ta’Ala Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Me
Aur Shohada E Badr RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Aur Ashaba Ke Waseele Se
Sab Ko Mukammal Ishqe Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Eimaan Ki Hifazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae Aur Sab Ko Dunya Wa Aakhirat Me Kaamyabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaiz Murado Ko Puri Farmae. Aameen Summa Aameen.
Hadees e Mubaraka
KAHAAÑ MARENGE ABU JAHAL O UTBA O SHEEBA_ KE JUNG E BADR KA NAQSHA HUZOOR ﷺ JAANTE HAI

KAHAAÑ MARENGE ABU JAHAL O UTBA O SHEEBA_ _KE JUNG E BADR KA NAQSHA HUZOOR ﷺ JAANTE HAI_Picture taken in 7/29/2012
Hazrate Anas رضي الله عنه Riwayat Farmate hain RasoolAllah ﷺ neMaidan e Jung me Jung se Pehle Zameen par Apna Haath Rakh kar Farmaya ki yeh falañ kaafir ke marne ki Jagah hai aur yeh falañ ki, Raawi kehte hai ki jis ko RasoolAllah ﷺ ne jahañ Haath Rakh Kar farmaya tha wahi par woh maara gaya.
Muslim Shareef, Jild 2, Safah 102.* Sunan Nasaai, Jild 1, Safah 226.*
Is Hadees Ko Padh Kar Yeh Andaza Lagana Mushkil Hai Ki Allah Ta'Ala Ne Apne Habib ﷺ Ko Kis Qadar Ilm Ata Farmaya Hai Ki Abhi Jung Nahi Huwi Hai Aur Aap ﷺ Ne Ek Ek Kaafir Ke Maare Jaane Ki Jagah Ki Nishandehi Farma Di Goya Aap ﷺ Yeh Bhi Jaante The Ki Kaun Kaun Maara Jaaega Aur Yeh Bhi Jaante The Ki Kahañ Maara Jaaega.
Jaa'n Nisaaraane BADR-O-UHUD Par Durood... ...Haq Guzaarane BAI'AT Pe Lakho'n Salaam!!!


Asma e Ashab e Badar RadiAllahuTa’alaAnhum >>

Download Pdf

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...