Bad-Mazhab

9:09 pm

Insan Ki Do(2) Qismen Hain .
Musalmaan Aur Kafir.
Phir Kafir ki Bhi Do(2) Qismen Hain , 
Kafir e Asli aur Kafir e Murtad.

Kafir e Asli Woh kafir Hai Jo Shuru Hi Se Kalma e Islam Ko na Maanta Ho.
Jaise Deheriya,Majusi,Mushrik Aur Yahood-o-nasara Waghaira.

Kafir e Murtad Ki Bhi Do(2) Qismen Hain.
Murtad Mujaahir Aur Murtad Munaafiq.

Murtad Mujahir Woh Kafir Hai Ke Jo Pehle Musalmaan Tha  Phir Khullam Khulla Islam Se Phir Gaya ,Aur Kalma e Shahadat (لا إله إلا الله ) Ka Inkaar Karke daheriya,Mushrik,Majusi Aur 
Yahood O Nasara Waghaira Kuch Bhi Ho Gaya.

Murtad Munafiq Woh Kafir Hai Jo Kalma e Shahadat Ab Bhi Padhta Hai, Apne Aap ko Musalmaan Hi Kehta Hai.Magar Khuda Wande-e-Quddos, Huzoor Sayyed-e-Aalam SallallahuAlaihiWaSallam Ya Kisi Nabi Ki Touheen Karta Hai Ya Digar Zaruriyaat e Deen Me Se Kisi Baat Ka Inkaar Karta Hai .

Kafiron Me Sab Se Bura Yahi Murtad Munafiq Hai Ke Musalmaan Ban Kar Kufr Sikhata Hai Aur Allah Wa Rasool SallallahuAlaihiWaSallam Ko Gaaliyan Deta Hai.
Wal Iyazu Billahi Ta'ala.

Aur Musalmaan Ki Bhi Do(2) Qismen Hain,
Sahi Musalmaan Aur Gumrah.

Sahi Musalmaan Woh Hai Jo Zaruriyaat-e-Deen ko Tasleem Karne Ke Sath tamam Zaruriyaat e Ahle Sunnat Ko Bhi Maanta ho .

Gumrah Musalmaan Woh Bad-Mazhab Hai Jo Zariyaat e Ahle Sunnat Me Se Kisi baat Ka Inkaar Karta Ho Magar Uski Bad-Mazhabi Hadd-e-Kufr Ko na Pahonchi Ho.



Bad-Mazhab Aur Ahadees-e-Kareema

1.Hazrat Ibraheem Bin Maysarah RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Farmaya Ke....
Jisne Kisi Bad-Mazhab Ki Ta'azeem O Touqeer Ki To Usne Islam Ke Dhane Per Madad Di.
(Mishkaat Shareef)

2. Hazrat Anas RadiAllahuTa'alaAnhu Se Riwayat Hai Ke Inhone Kaha Ke Sarkar e Aqdas ﷺ Ne Farmaya Ke
 Jab Tum Kisi Bad-Mazhab Ko Dekho To Uske Saamne Tursh-ruyi Se Pesh Aao. Isliye Ke Khuda e Ta'ala Har Bad-Mazhab Ko Dushman Rakhta Hai 
(Ibn-Asakar)

3. Hazrat Abu Amama RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Farmaya Ke
Bad-Mazhab Dozakh Walon Ke Kutte Hain.

4. Hazrat Huzaifah RadiAllahuTa'alaAnhu Se Riwayat Hai Inhone Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Farmaya Ke
Khuda e Ta'ala Kisi Bad-Mazhab Ka Na Roza Qubool Karta Hai 
Na Namaaz,
 Na Zakat
 Na Hajj
 Na Umrah
 Na Jihaad
 Na Farz.
Bad-Mazhab Deen E Islam Se Aysa Nikal Jata Hai Jaisa Ke Gundhe Huwe Aate Se Baal Nikal Jata Hai.
(Ibn Maajah)

5. Sarkar e Aqdas ﷺ Ne Farmaya Ke
Bad-Mazhab Se Door Raho Aur
 Unhe Apne Qareeb Na Aane Do.
 Kaheen Woh Tumhe Gumrah Na Karden, Kaheen Woh Tumhe Fitne Me Na Daal den.
Agar Woh Bimaar Padhen To Unki Iyadat Na Karo,
Agar Mar Jayen To Unke Janaze Me Shareek Na Hoon.
Unse Mulaqaat Ho To Unhe Salaam Na Karo,
Unke Pass Na Baitho,
Unke Sath Paani Na Piyo,
Unke Sath Khana Na Khao,
Unke Sath Shadi-Biyah Na Karo 
Unke Janaze Ki Namaaz Na Padho
Aur
Na Unke Sath Namaaz Padho 

(Ye Hadees Muslim,Abu Dawood, Ibn Maja,Aqeel Aur Ibn Habban Ki Riwayat Ka Majmu'ah hai.)


You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...